PDA

View Full Version : ek yaad


singh1981
December 16th, 2005, 07:20 PM
Lehron se darkar nauka paar nahin hoti
Koshish karne waalon ki kabhi haar nahin hoti
Nanhi chinti jub dana lekar chalti hai
Chhadti deewaron per sau baar fisaltee hai
Mann ka vishwas ragon mein saahas bharta hai
Chadhkar girna, girkar chhadna na akharta hai
Mehnat uski bekaar har baar nahin hoti
Koshish karne waalon ki kabhi haar nahin hoti

Dubkiyan Sindhu mein gotakhar lagata hai
Ja Ja kar khali haath lautkar aata hai
Milte na sahaj hi moti gehre paani mein
Badhta doona vishwaas isi hairani mein
Mutthi uski khaali harbaar nahin hoti
Koshish karne waalon ki kabhi haar nahin hoti

Asafalta ek chunauti hai, sweekar karo
Kya kami reh gayee, dekho aur sudhaar karo
Jub tak na safal ho neend chain ko tyago tum
Sangharshon ka maidan chhod mut bhaago tum
Kuchch kiye bina hi jai jai kar nahin hoti
Koshish karne waalon ki kabhi haar nahin hoti

Kavi Sriyut Harivansh Rai Bachchan

devdahiya
December 16th, 2005, 08:28 PM
Thanks so much for posting it out here Sukhbir bhai. Good poem.

vinodks
December 16th, 2005, 11:30 PM
Hindi mein pado, aur bhi majja aayega...

-vinod