downtoearth
December 28th, 2005, 02:26 PM
shola hu bhadakney ki gunjarish nahi karta
sach muh se nikkal jata hai koshish nahi karta
Girti hui diwaar ka hamdaard hun lakin
chadhtey hue suuraj ki parastish nahi karta
Maathey ke pasiney ki mehaak na aaye to dekheyn
vo khoon mere jism mein gardish nahi karta
Apnoo ki hamdardi sey darta hu `muzaffar`
mein zakhm ko rakhta hu numaaish nahi karta
..........................................
muzaffar warsi sahaab...