PDA

View Full Version : Love Poems (Shayar. . . )


dhayal
May 5th, 2006, 06:03 PM
Yeh yakayak kya hua hai ,
Dil mera shaa'ir hua hai !

Koi khushboo hai hawaa main ,
Aaj khush khush si zameen hai.
Baadalon ke paar nikali,
Ik sUBHAh jaise nayi hai.

Chand kehata hai chalo ,
Kuchh mod ke aage khushi hai,
Ab khatam hone ko hain,
Jo dooriyan tumane sahi hai.

Pyaas ki lambi talashen,
Manzilon tak aa gayin hai,
Itne saalon se nibhayin,
Ab kasam kitni rahi hai.

Peed si uthatee hai jaise,
Hain mere jaanib yahin hai ,
Kyon achanak tokataa hai ,
Mann mujhe kyaa yeh sahi hai.

Hook uthatee hai magar ,
Thahare qadam uthate nahin hain ,
Poochane ko naam uska,
Lafz milate hi nahin hain .

Zindgi bhar bandagi ki ,
Ab mua kaafir hua hai ,
Dil mera kaayar hua hai,
Yeh achanak kya hua hai,

Dil mera shaa'ir hua hai..........

prashantacmet
May 5th, 2006, 06:07 PM
Bohat badhiya.............

netrapalsingh
May 5th, 2006, 06:16 PM
Yeh yakayak kya hua hai ,
Dil mera shaa'ir hua hai !

Koi khushboo hai hawaa main ,
Aaj khush khush si zameen hai.
Baadalon ke paar nikali,
Ik sUBHAh jaise nayi hai.

Chand kehata hai chalo ,
Kuchh mod ke aage khushi hai,
Ab khatam hone ko hain,
Jo dooriyan tumane sahi hai.

Pyaas ki lambi talashen,
Manzilon tak aa gayin hai,
Itne saalon se nibhayin,
Ab kasam kitni rahi hai.

Peed si uthatee hai jaise,
Hain mere jaanib yahin hai ,
Kyon achanak tokataa hai ,
Mann mujhe kyaa yeh sahi hai.

Hook uthatee hai magar ,
Thahare qadam uthate nahin hain ,
Poochane ko naam uska,
Lafz milate hi nahin hain .

Zindgi bhar bandagi ki ,
Ab mua kaafir hua hai ,
Dil mera kaayar hua hai,
Yeh achanak kya hua hai,

Dil mera shaa'ir hua hai..........


wah.... bhai dayal lath gad diya bhai tane to
maja agaya bhai laga raha

dhayal
May 5th, 2006, 06:37 PM
thanks doston aaj kal line change karne mein lag rahe hai