addy
August 29th, 2006, 07:51 PM
Tera chehra mere jehan mein bass gayaa hai,
tera jaana meri dhadkan ko dans gayaa hai.
Tu thi to main jindaa tha,
Abb to ek patthar sa bach gayaa hai.
Umeedon ka daaman ye soch kar thaame hoon main,
ki haathon ki lakiren badlti hain.
Jo utar jaati hain gahre samandar mein,
wahi kashtiyan toofanon mein sambhalti hain.
Tujhe mahsoos abb bhi karta hoon apni saanson mein,
har lamha karwatein badalta hoon raaton mein.
Jo saamne hai dikhayee wo deta nahin,
teri muskurahat chalak jaati hai jabb inn aankhon mein.
Kiss ka dosh hai? kyon hua ye sabb?,
aaj tak hamein ye bhi to pataa nahin.
Waqt aur haalaat ki majbooriyaan hi hongi,
warna teri to isme koi khataa nahin.
Tumne ummeed jagaayi thi,
aur main abb aas lagaaye hoon.
ikk din waapas tum aaogi,
har aahat par nazar bichaaye hoon.
Bass itna jaanta hoon abb,
ke pyaar tujh se hi karoonga main.
Tere saath gar na jeeya,
to tanha hi maroonga main.