PDA

View Full Version : ek chutkala - as a entry on jatland


jat_somveer
September 15th, 2002, 04:53 PM
english me hello everybody
Aur ji aapni me sabne Ram Ram

ek din nu a net pe dhoondhte ne jatland milgi. sach me badi khusi hui ki aapni site se.
Aap logon ke article kai din tak padhe to mere man kaa keeda bhi kulbullaayaa ki somveer tu bhi kuchh bhej. To yo usi koshish kaa ek hissa-

ek baar ki baat, koi mere kesa nikhatoo tha kuchh karna nahi thaali rahna aur bhadhiya khana. Ghar ke dukhi the.ek din ghar aala ne wo peet diya. gusse me ho ke ghar chhod ke chaal pada. Johad pe gaya to do babaji the. Un dhore baith gaya. We chaalen laage te uth ke gal ho liya, babaji bole bachcha kit jaaga hum to sanyaasi aadmi nu a maang khaa ke gujaara kar lyan saan tere buska yo rog nahi se.usne ke tha paayan me lot gaya ar bola babaji main to is duniya-daari te tang aa liya,jo kahoge karoonga,par chaaloonga thaari gal.
babaji ne bahut samajhaaya ,naa maana.
baba ne sochi ki jit tum khaao so ude do took iske bhi bhagwaan dega.to baba bole bachcha le to chaalange par tane mahre sur me sur milana padega. Nu bola maharaj chinta na karo nu latth gaad dunga.
to bhai teenu chaal pade. agle din subeh - 2
jaa ke ek bhudhia ke baharne aage alakh jagaai, pahela bola ghaaliye (daaliye) maai,
dusraa bola- jio tere bhatije aur bhai, ib number tha us khaagad kaa babaji ne kohni lagaai.
to wo mere kesaa jo tha bola- thaare baahar khade teen jamaai (daamaad)

akdabas
September 15th, 2002, 11:22 PM
Bhai Dalal sahab,

Bahut badhiya,maja aagya padh kai.

Ha ha ha ha ha ha....!!

keep it up.

.

anurana
September 16th, 2002, 12:37 AM
Wah Bhai Somveer,
Bhaut Badhiya. Kya Khoob enrty ki hai aapne.
Aur bheejo isse isse.

ranjitjat
September 16th, 2002, 12:40 AM
Somvir Bhai -welcome
RAMRAM
YAh to Bhai kasuty entry mari ss- aur anady .

naveenadalal
September 16th, 2002, 01:12 AM
welcome to jatland somveer bhai,

majja aa gaya, bhot badhiya entry mari apne, aur bhejo isse-isse to.

dkumar
September 16th, 2002, 09:25 AM
ram ram somveer ji,

nice one with entry!

keep it up!

jat_somveer
September 16th, 2002, 04:55 PM
bhaiyo ram ram,
aapne mera chutkala padha aur aapne badhiya laaga jaankar badi khushi hui

dabas bhai sahab, dharampal ji,anu ji, naveena aur apne koyad bhai sahab bahot bahot dhanyawaad

Aur bhai jade tahi chutkala ki baat se to ya to ek entry thi chutkala ki chinta na karo line laa dyange.
aap sabka bahot dhanywad

rathee
September 17th, 2002, 03:46 PM
bhai somveer ek dhanyawaad mera bhi bach rhya se...kati chaale se paadh diye tanne, bahut bahdiya tha...!!!