PDA

View Full Version : praud sikhs kendra(budhon ka skool)


mmanoj_vverma
November 24th, 2002, 12:25 PM
EK ber ek gaam mein ek maaster ki nayi nayi naukri lag gi, wo lagya padhawaan gaam ke budhon ne, " A for Apple, B for BOY, C for CAT".....kaeen maheene likadge , kisi bhi budhdhe ne kucn ni sikhyaa, ek din maaster ke dimmag main ek baat ayee, usne agle din shuru kar diya apna naya idea. eb wo lagya padhawaan " A for atar sing ki bahu, B for Bhartu ki bahu, C for chhatre ki Bahu..." uska idea kaam kar gya, saare budhdhe roj ek naya harap sikhan lag ge, maaster bada khush....usne sikha diya unhe M tak " M for Maange Raam ki bahu.." .
Pher gaam main ho gaya inspection, to inspector sahaab bole maaster ji kya progress hai....maaster to phool ke koopa ho gaya, bolya sahaab bahut achche progress hai ...kuch bhi pooch lo ABCD main to......usne sochya jyaada jyaada inspector A ya B hi poochegaa aur ke......to inspector ne jaake likh diya board pe "W" aur bolya tau ji kisi ne baara hai yo ke hai.......to saare budhdhde chup.......thodi der baad jo sabte buddha tha jise saare gaam ka pata tha kaun kiski bahu hai wo bolya.....sahaab hai to ya Maange Raam ki bahu , baaki aaj baara ni pair uper ar sir neeche karke kyoon khadi hai.........

n'joy

singhkapoor
November 24th, 2002, 05:50 PM
Bahut Bhadiya

duhan
November 25th, 2002, 02:43 AM
nice one!!!

akdabas
November 25th, 2002, 11:24 PM
Bahut badhiya ...