Maniisha
November 1st, 2007, 04:25 PM
Mere khwaab mere sapne mere tak hain
Mere baad inhe yaad karega kaun
Meri chahaat ban jayegi afsana
Meri mohabbat ko yaad karega kaun
Mere tak hain yeh tamaam sunder nazare
Mere baad inhe aabaad karega kaun
Meri kahaniyian bikhrengi rahoon pe
Mere afsano ko yaad karega kaun
Meri khatayon ko shumar karega zamana
Meri wafayon ko yaad Karega kaun
Jo guzare the humne zamane milke
Un zamano ko yaad karega kaun
Meri aahein mere saath ho jayengi dafan
Mere aashkon ko yaad karega kaun
Ek Tumse hai zinda yeh chahaat meri
Tumhi na hogaye tho yaad karega kaun
Aake is saath ko yaadgaar bana le
Kal kya pata is yaad ko yaad karega kaun....:)
Mere baad inhe yaad karega kaun
Meri chahaat ban jayegi afsana
Meri mohabbat ko yaad karega kaun
Mere tak hain yeh tamaam sunder nazare
Mere baad inhe aabaad karega kaun
Meri kahaniyian bikhrengi rahoon pe
Mere afsano ko yaad karega kaun
Meri khatayon ko shumar karega zamana
Meri wafayon ko yaad Karega kaun
Jo guzare the humne zamane milke
Un zamano ko yaad karega kaun
Meri aahein mere saath ho jayengi dafan
Mere aashkon ko yaad karega kaun
Ek Tumse hai zinda yeh chahaat meri
Tumhi na hogaye tho yaad karega kaun
Aake is saath ko yaadgaar bana le
Kal kya pata is yaad ko yaad karega kaun....:)