sujatadahiya
December 24th, 2002, 12:57 PM
Ek baar ki baat hai , ek gaon mai ek husband wife rehtay thay , vo thay bade kanjoos, kisi mehmaan ko pasand nahi kartay thay, ek din unhonay kheer banai ,usmai chini nahi milai thi ki ek mehman a gaya , unhonay socha ki isay bhi khilani padegi to aurat nay bahana banaya ki mujay to khet mai jana hai aur tokari aur darati le kar ghar say nikal gai , aur jate jate kheer charpai kay neechay sarka kar chadar neechay kheech gai, uska husband bola ki mujay bhi jana hai kaam say aur vo bhi chala gaya , socha tha kuch der bore ho kar ye chala jaiga, par vo aadmi bada kasoot tha , usnay unkay jate hi ghar tatola aur kheer mil gayi , par vo feeki thi to usnay aur tatola to usay ek gur ki bheli mil gai , usnay gur kay sath sari kheer kha li aur usi charpai kay neechay so gaya .
sham ko vo dono vapas aaye to unhonay socha ki mehmaan chala gaya, aadmi bola ki ,
mai akalmand bada hoshiyaar bada hu kadkay ka kaam ka bana bahana nikla mai tadkay ka ,
aurat boli, mai akalmand hoshiyaar badi hu kadkay ki , tokri darati le kay nikli mai tadkay ki,
charpai kay neechay so raha mehmaan ye sun kar jaag gaya aur bola ,
mai akalmand hoshiyar bada hu kadkay ka, thari gur tai ragad di kheer pada su tadkay ka .