View Full Version : aankhen
nainakhicher
May 7th, 2008, 02:40 PM
:rolleyes::rolleyes:.......
what is the job & significance of aankhen, the lovely gift presented by God:
Dil-e-nadan ki sabhi baten bata deti hen aankhen,
Dharkanon mein ek shor jaga deti hen aankhen!
Dil pe chalta nahi jadoo, chehron ka kabhi,
Dil ko to deewana bana deti hen aankhen!
Woh hum se baat nahi karte to na karen,
Haal sara unke dil ka suna deti hen aankhen!
Mana k neend aati he aankhon hi k raaste,
magar kabhi kabhi neend bhi udha deti hen aankhen!
Shukr he Khuda ne ada ki aankhon ki niyamat hamen,
kyunki, dardo-gham sare dil k chhupa leti hen aankhen.:)
dkumars
May 7th, 2008, 02:53 PM
:rolleyes::rolleyes:.......
what is the job & significance of aankhen, the lovely gift presented by God:
Dil-e-nadan ki sabhi baten bata deti hen aankhen,
Dharkanon mein ek shor jaga deti hen aankhen!
Dil pe chalta nahi jadoo, chehron ka kabhi,
Dil ko to deewana bana deti hen aankhen!
Woh hum se baat nahi karte to na karen,
Haal sara unke dil ka suna deti hen aankhen!
Mana k neend aati he aankhon hi k raaste,
magar kabhi kabhi neend bhi udha deti hen aankhen!
Shukr he Khuda ne ada ki aankhon ki niyamat hamen,
kyunki, dordo-gham sare dil k chhupa leti hen aankhen.:)
Aankho ka doosra aur jyada pyara naam hai Naina
Lagta hai tumhe aanko se bahut pyaar hai Naina
Chaahe tum ho Neetu yaa fir Naina
Tumhaari Likhaawat ka kya kehna
Par kyu har cheez mein ishq pyaar foonk deti ho ?
Naino ko keval ek hi sarlaarth se sajja deto ho ?
Maana pyar anmol hai aur iss duniya mein bahut rare hai,
Iss faaltu ki duniya se bahar niklo aur dekho bahar kitni andher hai
Jin aanko ki tum baat karti ho
uspar kuch andhe ke vichaar vyaakt karo
Aankhe duniya dekhne ke liye banai hai bhagwaan ne
Par iski issi tissi kar di aankh maar maar insaan ne
Chalo abb likhdo ek karara sa jawab
kyunki abb Naina ke naina karenge naino se katak waar.;)
nainakhicher
May 7th, 2008, 04:39 PM
hmm........
kya kar payengi tumhari ya hamari nadaan aankhen,
Jo kar gaeen, Helen Keller, Louise braile or Surdaas ki aankhen!
Tan ki aankhen chhod, man ki aankhen khol,
tabhi samajh payega k pyar kitna he anmol!
dkumars
May 7th, 2008, 08:18 PM
hmm........
kya kar payengi tumhari ya hamari nadaan aankhen,
Jo kar gaeen, Helen Keller, Louise braile or Surdaas ki aankhen!
Tan ki aankhen chhod, man ki aankhen khol,
tabhi samajh payega k pyar kitna he anmol!
Sach kaha tumne pyaar hai badda anmol
Par ek baar pyar ki paribhasha toh bol
Pyar insaan insaan mein hota hai
Pyaar Anjaan se hota hai
Pyar apna ghar chod doosare ka basaane mein hota hai
Pyar janwar se hota hai
Pyar maa auc bachhe mein hota hai
Pyar bhakt aur bhagwaan mein hota hai
Pyar karuna mein hota hai
Pyar kshama mein hota hai
pyaar dinta, dayalta mein hota hai
Aur pyar keval dil mein hota hai
Inmein se koun sa pyaar hai jiska aapne ull lekh kiya ?