ssphougat
February 4th, 2003, 09:57 PM
Ek Jat aur ek baniya ek gaam ma raande(unmarried) the. dono bhole shanker parvati ji ke mandir ma gaye aur manat mangne lage. baniya ne kaha, hey parvati mata agar mera byah (marriage) karwa de to saare gamm ne ladu khawa dunga. phir jat ki baari aaye, jat bolya hey bhole shanker ja meri shadi karwa de to ishi balli chadha dun, jo aaj tak kisse ne na chadhae ho. bhagwan ki daya se dono ki shadi ho gae. baniya ne saare gaam ko laddu khilae. phir jat ki barri aae, usne socha kya karun ab. kuch samaj ma nahi aaya. aakhir kar jile jhota kutub garh aala gale ma rasha bandh ke mandir ma le aaya. aur bhole shanker ki murati ke bandh diya aur bola hey bhole shanker tu jane aur eb u jhota jaane. ma challa. thodi der ke baad jhota bhag liya. saath ma bhole shanker ki statue ne bhi pad le gaya. gaal ma jor se bhag liya. pichhe pichhe statue bhi parta girta ja raha tha. aage parvati mata mil gae. woh hasne lag gae. bhola shanker bhola dukhi to ho hi raha tha. kehne laga bholi tu kyun hasi. Parvati boli teri durdasa dekh ke hasi aa gae. bhola kehne laga meri bati tane te baniya bakal ke laadu khae sain, kade jaaton ke na phansi sa, teri mante ho to is jhote se pichha chhhutwa de.