PDA

View Full Version : Haryanvi Bhajan



bhupindersingh
September 19th, 2010, 09:46 PM
Kai saal pahle mere ghar pe ek cassette thi jismein haryanvi bhajan they. wo bahut hi achhe they. wo cassette koi le gya thaa to dobara nahi mili. main kaafi time se wo bhajan net pe search kar raha hoon, magar mil nahi rahe. agar kisi ke pass ho to jarur share karna. uss cassette ka title tha "Ambe tere naam hazar". main yahan pe unn bhajano main se kutchh ke title likh raha hoon.

1. Ambe tere naam hazar bata koon sa likhu main mata
2. Man ki khidaki khol re tanne raam ji milenge
3. Dawaar khula darbaar khula hai
4. Kutchh lena naa dena magan rahana

bhupindersingh
October 20th, 2010, 12:10 AM
koi to kutchh batao inn bhajna ke bare main. oon to baaki batan pe itni search kar denge ek janu samunder main te ratan toh ke lana ho. arr ye thode se bhajan ni toye gaye kisi pe bhi.

upendersingh
October 20th, 2010, 12:49 AM
Man ki khidaki khol re tanne raam ji milenge (http://ishare.rediff.com/music/haryanvi-devotional-ram-bhajan/man-ki-khidki-khol-re-tanne-ram-ji-milenge/10021469)

bhupindersingh
October 20th, 2010, 08:58 PM
Bhai Uppu, tera bahot bahot dhanaywad jo ye link share kiya......ye bhi bahut achchha hai (mere ko ye mil gya thaa)...magar jo maine pahle sune they wo sare ek female singer ke gaye hue they and bahut hi achchhe they.


Man ki khidaki khol re tanne raam ji milenge (http://ishare.rediff.com/music/haryanvi-devotional-ram-bhajan/man-ki-khidki-khol-re-tanne-ram-ji-milenge/10021469)

bhupindersingh
February 20th, 2011, 05:43 AM
kai din hoge, kisi ne kutchh ni mila ke? Bhai Harvinder aap hi kutchh toh ke layo.

shivamchaudhary
February 20th, 2011, 08:00 AM
bhai main bhi haar gaya.. internet pe sayad nahi hai bhajans ..

Ek KrishnJi pe hai "Banwari O-Mohan Murari Nirale tune maya banayi re "

Yo bhi na mil raha.. Main to sochu hoon ki Radio station (Aakaashvaani) Indraprasth jaake hi unse le aau !!

Bahut badhiya collection hai waha !! :)

shivamchaudhary
February 20th, 2011, 08:04 AM
Bhai yo Bhajan sun.. Mera fav. hai.. Isme TulsiDaas Ji ki manki vyatha ka jo chitran hai wo dil ko chhoo jata hai ..
http://www.google.co.in/music/search?q=braj+bhoomi+mein+ek+samay

bhupindersingh
February 20th, 2011, 11:28 PM
bhai main bhi haar gaya.. internet pe sayad nahi hai bhajans ..

Ek KrishnJi pe hai "Banwari O-Mohan Murari Nirale tune maya banayi re "

Yo bhi na mil raha.. Main to sochu hoon ki Radio station (Aakaashvaani) Indraprasth jaake hi unse le aau !!

Bahut badhiya collection hai waha !! :)

i heard this once in a HR bus in delhi....it was really very nice...

bhupindersingh
February 20th, 2011, 11:30 PM
Bhai yo Bhajan sun.. Mera fav. hai.. Isme TulsiDaas Ji ki manki vyatha ka jo chitran hai wo dil ko chhoo jata hai ..
http://www.google.co.in/music/search?q=braj+bhoomi+mein+ek+samay

bahut hi acchha hai ye...i like it very much...

shivamchaudhary
February 21st, 2011, 02:41 PM
Bhajan Sunane ka bhia main bhi bahut saukeen hoon, aur subah subah kuch sun jaaye to mann aanad vibhior ho jaata hai ...

Aajkal saharo me to subha-shaam, besura raag hai treffic ka raag..

Gaon me aaj bhi subah subha madir ki ghanti sunayi deti hai. aur yaad aata hai .. kuch bhajans sune jaye .. :)

bhupindersingh
February 22nd, 2011, 10:34 PM
bhai thode bahut hai mere pass, agar chahiye ho to bata dena, main share kar lunga...:-)

shivamchaudhary
February 22nd, 2011, 10:47 PM
bhai thode bahut hai mere pass, agar chahiye ho to bata dena, main share kar lunga...:-)

Bilkul, SkyDrive pe a/c bana lo, free hai aur easy bhi :)