PDA

View Full Version : Shayri-e-Sharab

hamendra
February 22nd, 2005, 10:53 AM
Pyar Karne Wale Pareshan Ho Jate Hai,
Shadi Karne Wale Sharabi Ho Jate Hai,
Divorce Dene Wale Devdas Ho Jate Hai,
Hamse Dosti Karne Wale Dilvale Ho Jate Hai

uday
February 22nd, 2005, 01:04 PM
In lighter mode...

Divorce Dene Wale Devdas Ho Jate Hai,
Hamse Dosti Karne Wale Diwaliye Ho Jate Hai :) ;)

Pyar Karne Wale Pareshan Ho Jate Hai,
Shadi Karne Wale Sharabi Ho Jate Hai,
Divorce Dene Wale Devdas Ho Jate Hai,
Hamse Dosti Karne Wale Dilvale Ho Jate Hai

hamendra
February 22nd, 2005, 02:23 PM
Uday Bhai,

Abhee tou manga bhee nahi hai...
usse pahle hi devaliya ho gaye..........

ha ha ha ..............

In lighter mode...

Divorce Dene Wale Devdas Ho Jate Hai,
Hamse Dosti Karne Wale Diwaliye Ho Jate Hai :) ;)

hamendra
February 22nd, 2005, 02:28 PM
E uper waale tere dar per aayen hain dewaane chalke
Gurudware me saji mehfilen,masjid me paimane chhalke
Baahon ko baahon me daale aayi hai rindon ki toli
Aaj baadal se may barsegi,naachenge dewaane jumke
Gurudware me saji mehfilen,masjid me paimane chhalke

devdahiya
February 22nd, 2005, 05:43 PM
BHAI HAMENDRA JI,

Gurdware and masjid ka mention is not in good taste. Please desist from this kind of adventure. hope you appreciate it!

hamendra
February 23rd, 2005, 10:41 AM
baadalon se salaam leta hoon ,
wakt ke haath thaam leta hoon,
maut ruk jaati hai pal bhar ke liye ,
jab mein hathon mein jaam leta hoon

I Love Walking In The Rain Because Nobody Can See Me Crying

hamendra
February 23rd, 2005, 10:46 AM
Bhai Dev Dahiya Ji,

Hum to sab ko salam marte hai.
I am sorry for mentioning Gurudwara and Masjid. I have same respect for all the religions.
I have not done intentionally. Hum to Sharab ke nase mai the.

rkumar
February 23rd, 2005, 01:28 PM
I Love Walking In The Rain Because Nobody Can See Me Crying

Wah bhai wah..aaj pata chala ki barish hona kyoon band ho gayee...jise se log aapke aansoon dekh saken...LOL

Waise bhai maut bhi sharabi se bach kar hi chalti hai lagta hai...LOL.. esee bat par ek hamari taraf se bhi...ek sharabi ko doosre sharabi ki aur se...LOL.

Aaj to ji bhar ke pila de saaki
bahakne to to umr pari hai baki

RK^2

hamendra
February 23rd, 2005, 02:22 PM

Jaam pe jaam peene se kya fayda..
Shaam ko pee.. Subah ko utar jaayegi..
Do bund pyaar ke pee lo..
Saari Zindagi nashe mein Guzar jaayegi..

hamendra
February 23rd, 2005, 02:31 PM
Wah bhai wah..aaj pata chala ki barish hona kyoon band ho gayee...jise se log aapke aansoon dekh saken...LOL

Waise bhai maut bhi sharabi se bach kar hi chalti hai lagta hai...LOL.. esee bat par ek hamari taraf se bhi...ek sharabi ko doosre sharabi ki aur se...LOL.

Aaj to ji bhar ke pila de saaki
bahakne to to umr pari hai baki

RK^2

It is for RK Saab
arz hai.....
lakhon comment dete hai is duniya me
RK jaisa kisi zamane me nahi
yu to kitne hi jaam peete hai roz hi
par unki Likhai ka nasha kisi paimane me nahi.....

hamendra
February 24th, 2005, 09:09 AM
Kuch To Baat Hai Teri In Nigaho Mein Saakhi.
Tere Diwane Bin Piye Yunhi Zhoomne Nahin Lagte.

rkumar
February 24th, 2005, 02:08 PM
Kuch To Baat Hai Teri In Nigaho Mein Saakhi.
Tere Diwane Bin Piye Yunhi Zhoomne Nahin Lagte.

Huzoor! Bahut kuch hai unkee nigahon me...kisi bhi shayar se puuchiye bas wohi unkee nigahon ka kayal hai..dekhiye bhala hasrat jaipuri ne kiya likha thaa unkee aankhon ke baare mai;

Teri aankhon ke sivai duniya me rakha kiya hai..mera marna ,era jeena enhee palkon ke tale..

bahut kuch hai unkee aankhon me janab...ek aur lijiye

aankhon hi aankhon me ishara ho gaya, jeene ka sahara ho gaya..

Meena kumari ne to fir film pakizaa me palkon ka shamyana tak offer kar diya to upnee hero Jaani sahab ko..LOL..kaash ki wo shamyana bhai tumhe aur hume bhi naseeb ho..LOL

Khuda mahfooz rakhe unkee ankhon ko...aur bhai saath me hamari bhi aankhon ko...jis se ki hum unko yoonhi dekhte rahen..LOL

RK^2

devdahiya
February 24th, 2005, 07:58 PM
Saki tu hata de peimane aaj sare, maryada toot jane de
bebak hokar pine de mahboob ko mere, mohobbat fuut jane de
tabhi to karenge wo ikrare ishk,hichkian chhoot jane de
aaj gar wo dushmani bhi karen, beshak roothh jane de
fainsla aaj angoor ki beti karegi, galle mein ghoont,sirf ghoont jane de.

rkumar
February 24th, 2005, 09:34 PM

wah bahi wah...kaun kahta hai ki sharabi sirf hum hi hain.. Lagta hai maikhaane me kadardaanon ki koi kami nahi..theek hai chalne do dor pe dor..

muflasi me saki bas sharab hi saath nibhayegee
mere lahas ki har nas me, sharab nazar ayegee
lakdee agar ek ne daalen meri lahas ke oopar log
ek chingaari hi mere lahas ko, khaak banayegee

RK^2

devdahiya
February 24th, 2005, 09:43 PM

BOHOT KHOOB..............NASHA HONE LAGA HAI AB

Marne ke baad e saki, photo mera laga dena ek iss meikhane mein
Aissa na ho kahin angoor ki beti mehroom ho jaye dewane se.

arvindsinghrot
February 24th, 2005, 10:33 PM
wah bahi wah...kaun kahta hai ki sharabi sirf hum hi hain.. Lagta hai maikhaane me kadardaanon ki koi kami nahi..theek hai chalne do dor pe dor..

muflasi me saki bas sharab hi saath nibhayegee
mere lahas ki har nas me, sharab nazar ayegee
lakdee agar ek ne daalen meri lahas ke oopar log
ek chingaari hi mere lahas ko, khaak banayegee

RK^2
mere yaar mujhe looT kar abhi laute hain sabhi,
mere dushman tujhe is bar bhi der ho gayi.

Do-Char bootlain chupa lo kafan main ,
Kabr par baith kar piya karenge,
Kudha ja maange ga gunhaoon ka saboot,
TO bhar-2 kar jaam use diya karaenge.

mere khuda mujhe thodi si zindagi de de,
udaas mere janaaze se ja raha hai koi.

bhoole hain unhe rafta rafta, mudatton me hum,
kishton me khudkushi ka maza humse poochiye.

Hope you all like this.

Regards,

Arvind Singhrot.

devdahiya
February 24th, 2005, 10:51 PM
Janaje pe mere jam le kar pichhe-2 chalna tu sakiye hamdam
pata nahin kab mood ban jaye, hampyala hone ko maut ka

Chita bhi banana khud tum hi, laga dena ambaar sharabbe hussan ka
Jab jale gi chita meri to mehboob ko kehne do, kya adda hai aashike jam ki

rkumar
February 24th, 2005, 11:48 PM
subhan-allah...wah bhai sharabiyo..kiya kahne aap sabke...no place like madhusala...and no man like a sharabi...sharabi ka dil saharb ke piyale mai tairta hai har waqat...

dil ka har mail nikal deti hain, Mai ki chand boonden.
dost nazar aati hai poori duniya, hum sharabiyon ko.

RK^2

devdahiya
February 25th, 2005, 08:45 AM
subhan-allah...wah bhai sharabiyo..kiya kahne aap sabke...no place like madhusala...and no man like a sharabi...sharabi ka dil saharb ke piyale mai tairta hai har waqat...

dil ka har mail nikal deti hain, Mai ki chand boonden.
dost nazar aati hai poori duniya, hum sharabiyon ko.

RK^2

MAJJA AA GYA BHAI LOGO KASOOTA:

Sharaab pitte hein kisi ko gali to nahin dete
Ham unse to achhe hain jo na jitte aur na jine dete
ai khudda tu iss duniyan ko thoddi akal de taki ye
meikhane ke deewano ki, khoj khabbar na lein

CHARCHE BAHUT HOTE HEIN ISHK AUR MUSHK KE
SAB KAHTE HEIN YE CHHUPTE NAHIN JAMANE SE
KYON NAHIN CHALE AATE YE DUNIYAN WALE IDHAR
KYA KISSI NE ROKA HEI MEIKHANE AANE SE.
CHHUPTE TO NAHIN HEIN PEENE WALE BHI
WO AUR BAAT HEI KI MEIKHANA BADNAAM HEI.

hamendra
February 25th, 2005, 09:14 AM

Aaja ki dil bahut soona hai, jaise bina phool ke baug,
Sharab ne bhi bahut koshish ki, magar bhujti nahin aag.

Kabhi sharab pine mein, kabhi dil ke tukde jodhne mein samay bitate hain,
Na jaane kaise kaise bewafa is dil mein chale aate hain.

subhan-allah...wah bhai sharabiyo..kiya kahne aap sabke...no place like madhusala...and no man like a sharabi...sharabi ka dil saharb ke piyale mai tairta hai har waqat...

dil ka har mail nikal deti hain, Mai ki chand boonden.
dost nazar aati hai poori duniya, hum sharabiyon ko.

RK^2

Jo too hi sanam hamse bezaar hoga
To jeena hamen apna dushwaar hoga

thoda sa hume pee lene do,
gum-e-zindagi bhoola dene do,
kya pata kal ki sham aye ya na aye,
nashe me hi kuch pal jee lene do!

Humne sochi thi balak sai yo....
kaal-parsu jatland pai aaya....

tanne diya guldasta,ghale phool-mala....
ke bera tha yo nu roppega challa....

Na issa dekhya kadde,na dekhna chantey....
issey isset tai suthrey lagein GADHEY chrantey...

ek aur swaal jatlanders se.............`ARR THAAMNEYY DEKHYAA THAA`????:D

hahahahah...........killkiiiiiiiiiiii............. ..pe............killkiiiiiiii.................haha hahhahahahahahh..................hahha...........m ar geeeeeeeeee............reeeeeeeee.........:D[/quote]

TU iski fotu ki tai jaan de apni fotu ki bata pehlam.....wah tanne paakadd kai jo laath chass rakhi thi wa kyun hata di???? Issmey tu jarurat tai ghana sudha lage sai....wahe laa dey nai dyakii....HIP-HOPP style aali....arr TOOPLI MUDHI MAAR RAKHI....GAGU @ MOODHI TUPLII:D

ek aur swaal jatlanders se.............`ARR THAAMNEYY DEKHYAA THAA`????:D

hahahahah...........killkiiiiiiiiiiii............. ..pe............killkiiiiiiii.................haha hahhahahahahahh..................hahha...........m ar geeeeeeeeee............reeeeeeeee.........:D[/quote]

rkumar
February 25th, 2005, 10:33 PM
Jo too hi sanam hamse bezaar hoga
To jeena hamen apna dushwaar hoga

thoda sa hume pee lene do,
gum-e-zindagi bhoola dene do,
kya pata kal ki sham aye ya na aye,
nashe me hi kuch pal jee lene do!

Mian raat dhalne ko hai...maikhana bhi band hone ko hai...jara uthiye ub..ghar chaliye...LOL...aur haan jara sambhal kar chalna..kahin raaste me hi gir pado...LOL

RK^2

devdahiya
February 25th, 2005, 10:40 PM
Mian raat dhalne ko hai...maikhana bhi band hone ko hai...jara uthiye ub..ghar chaliye...LOL...aur haan jara sambhal kar chalna..kahin raaste me hi gir pado...LOL

RK^2

Jab ghar hi mera maikhana hei to chal ke jana kahan
Chalti to hei sarri duniyan, mera to paimana yahan
sambhalte hein wo jinko sakoone idarat nahin
ham to jindaggi dav par lagaye baithe hein yahan
mat uljha mujhe iss gaflat mein e hosh wale
Humen hosh mein aane ka hosh hi kahan.

rkumar
February 26th, 2005, 02:37 AM
Jab ghar hi mera maikhana hei to chal ke jana kahan
Chalti to hei sarri duniyan, mera to paimana yahan
sambhalte hein wo jinko sakoone idarat nahin
ham to jindaggi dav par lagaye baithe hein yahan
mat uljha mujhe iss gaflat mein e honss wale
Humen honss mein aane ka honss hi kahan.

wah janab...be-hoshi mubaraq ho...LOL.... Hosh me aana shan-e-sharab me gustakhi hogi bhai..

ghar me maikhana ho, ya fir maikhaane me ghar ho
khuda kare hume aur zamane ko, aapki khabar ho
suna hai angoor ki beti to ban dulhan, ho gayi ruksat
mian chalo so lo, es se pehle ki rat dhale aur pasar ho.

Shabba Khair.

RK^2

devdahiya
February 26th, 2005, 07:27 AM

HAMARI TO JINDAGI HI RUKSAT KAR DI RAJENDRA JI.

Angoor ki beti gar ban gai Dulhan,Hamara to maikhana sarak jayega
Hum to rehtey hein uski palkon ke niche, iske khyal bhar se dil dhaddak jayega
Matt do tum badduaen aisi, sitam bhi karna tha to yahi kiya
Namm to aur bhi hein duniya mein lene ko, kyun saki ko dulhan ka namm diya
Laggta hei thhik nahin hai tammanae yaar, varna ghar ko na lagate mere aag
Aur phir dulhan bannane jaisa , kabhi na lagate bewafae daag.

rkumar
February 26th, 2005, 03:32 PM
HAMARI TO JINDAGI HI RUKSAT KAR DI RAJENDRA JI.

Angoor ki beti gar ban gai Dulhan,Hamara to maikhana sarak jayega

Mian kiya karen batao ub ? Ub to bas khuda se ek hi dua maang sakte hain hum aapke liye ki Angoor ki beti jaldi se maa bane aur upne se bhi haseen beti ko paida kare jo maikhaane me fir se bahar laa sake..MIan intzaar kijiye bas...suna hai intzaar ka fal bahut meetha hota hai...

RK^2

devdahiya
February 26th, 2005, 04:43 PM
Mian kiya karen batao ub ? Ub to bas khuda se ek hi dua maang sakte hain hum aapke liye ki Angoor ki beti jaldi se maa bane aur upne se bhi haseen beti ko paida kare jo maikhaane me fir se bahar laa sake..MIan intzaar kijiye bas...suna hai intzaar ka fal bahut meetha hota hai...

RK^2

YE ACHCHI BAAT NAHIN HAI?

RAJENDRA JI YE KYA KAR DALLA AAPNE..............DULHAN.......EK AUR PYARI SI LADDKI................???????????????????????????? ????????????????????????

BANNA KE DULHANIYA SAKI KO, WO HAMMEN SABBAR KARNE KO KAHTE HAIN
SABBAR HI GAR HOTA E JANNE TAMMANNA, TO ANGOOR KI BETTI SE MUHABBAT HI KYUN KARTE

BHASAM NA KAR MERE ISS DIL KE TUKKADDE KO, YE NADDAN HAI BIFFAR JAYEGA

KAHAN NAI SAKI KI BAAT KARTE HO , KHUDA KASAM KATTLE-AAM HO JAYEGA.

rkumar
February 26th, 2005, 07:52 PM
YE ACHCHI BAAT NAHIN HAI?

RAJENDRA JI YE KYA KAR DALLA AAPNE..............DULHAN.......EK AUR PYARI SI LADDKI................???????????????????????????? ????????????????????????

Mian kitne baar kaha ki peete waqat behosh mat hua karo..dekho tumhaari behoshi me bechari ko koi dulhan bana kar le gaya...acha hai mian ub dil bhar ke shaayree kijiye...jab tak angoor ke ghar doosree beti ho , ek do kitbaa to likh hi daaaloge mian..LOL

RK^2

devdahiya
February 27th, 2005, 12:13 AM
Mian kitne baar kaha ki peete waqat behosh mat hua karo..dekho tumhaari behoshi me bechari ko koi dulhan bana kar le gaya...acha hai mian ub dil bhar ke shaayree kijiye...jab tak angoor ke ghar doosree beti ho , ek do kitbaa to likh hi daaaloge mian..LOL

RK^2

KARE LAKH KOSISH CHAHE SARA ZAMANA, CHHODENENGE NA KABHI MAIKHANE KO
KYA KABHI CHHODTA HAI KOI, APPNE AASHIYANE KO
GUMRAH KARNE KI LAKH KARO KOSISH, HAM JANTE HAIN KI SAKI NA JAYEGI MUJH KO CHHODD KAR KABHI
AASHIK HEIN HUM USKE, WO HEI MERI TAMMANNA, YE JAMANE WALE JANTE HEIN SABHI.

mit
February 27th, 2005, 05:43 AM
koi cheez nahi hai markaaz per.
akk roz idhar akk roz udhar
nafrat se na dekho dushman ko
shayad wo mohabbat kar bethay

hamendra
March 9th, 2005, 02:46 PM
koi cheez nahi hai markaaz per.
akk roz idhar akk roz udhar
nafrat se na dekho dushman ko
shayad wo mohabbat kar bethay

khuda ki banayi kudarat nahi dekhi ,
dilo mei chupi daulat nahi dekhi,
jo bhi kehta hai ki duriyoo se miti hai dosti,
usne shayad hamari dosti nahi dekhi"
Zindagi Ek Chahat Ka Silsila Hai,
Koi Mil Gaya To Koi Bichad Gaya,
Jinhe Manga Tha Duaon Mein,
Voh Kisi Ko Bina Maange Mil Gaya
Aankhon mein aansu aa jaate hain
Phir bhi labo pe muskaan rakhni padti hai
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron
Jisse karte hai useese chupani padti hai
Agar kal hum nahi bhi rahe,
Hamari yaadein sada rahengi.
Sirf nazare uthake chaand ko dekhna,
Hamari dosti ki tasvir waha bani rahegi.

rkumar
March 9th, 2005, 02:56 PM

Bahut Sundar...ek ek labz dil ko choo gaya bhai es baar to..ek dam be-juban kar diya es baar to..

RK^2

hamendra
March 9th, 2005, 05:20 PM
Bahut Sundar...ek ek labz dil ko choo gaya bhai es baar to..ek dam be-juban kar diya es baar to..

RK^2

kudrat ke karishmo mein agar raat na hoti
khwabon mein bhi unse mulakat na hoti
ye dil har ek gham ki wazah hai
ye dil hi na hota to koi baat ha hoti

rkumar
March 9th, 2005, 06:40 PM
kudrat ke karishmo mein agar raat na hoti
khwabon mein bhi unse mulakat na hoti
ye dil har ek gham ki wazah hai
ye dil hi na hota to koi baat ha hoti

wah bhai...kiya baat hai..dil hi ne hota to koi baat ne hota...khuda kahir kare be-dilon ki...LOL..

1. e dil tu gamm nikal de dil se,
aur fir dhadak, hokar bedhadak

2. Tumne to khwabon me aane ki kasam khaayee thee
magar tum ho gayee gayab, meri neenden churaakar

3. kis kaam ka wo dil, jo ne ho saka kisi kaa
kab chal basen, kiya bharosa zindgi kaa.

RK^2

hamendra
March 10th, 2005, 02:56 PM

Nila nila ho sama,
zamee par chandni ki bundeN!
soya soya ho jahaN ,
gungunane ko dil naam koi dhunde..
saansoN mein saaz ho naya,
bhej ne sanam ko dil payam koi dundhe!
Isse badh kar nasha, bhala kyu koi dundhe

sard mausm ki garmiyaN
ho surkh hawaeN darmiya..
tanha tanha zehen mein
khawaboN ki ho narmiya..!
haii..aise mein koi aawaz kano mein gunje!
Isse badh kar nasha, bhala kyu koi dundhe!

palkon par ho aasma..,
nazar yun zhuk jaye!
haya ki giraft se..,
lab khul ne na paye!
haii..aise mein koi hothon se chhu de..!
Isse badh kar nasha, bhala kyu koi dundhe!

Deed hojaye toh ho seher gulabi
dhup ho jaye shabnami!
chahat mein ho voh dilkashi..
k har shey ho jaye sharabi!
haii..fir kyu pata koi maikade ka puche!!
Isse badh kar nasha, bhala kyu koi dundhe!

hamendra
March 14th, 2005, 03:46 PM

Mehkhane me jo logo ne hame dekha
to Diljale bhi heirat me aa gaye
logo ne pehchana na khud ko
aur dekho mujhko aazmaane aa gaye

rkumar
March 14th, 2005, 07:53 PM
Mehkhane me jo logo ne hame dekha
to Diljale bhi heirat me aa gaye
logo ne pehchana na khud ko
aur dekho mujhko aazmaane aa gaye

arre mian;

maikhaane me bada bhaichara hotaa hai
peekar jab pre dagmagane lagte hain
ladkhadata huaa sharabi hi
girte hue sharabi ko, sahara deta hai

RK^2

hamendra
March 15th, 2005, 09:20 AM
RK Sahab

Hasana hamamara kisiko gavara nahi hota,
har musafir zindigi ka sahara nahi hota,
milte hai bahot log is tanha zindgi mai,
har koi dost tumsa pyara nahi hota.

mukeshkumar007
March 15th, 2005, 05:02 PM
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron
Jisse karte hai useese chupani padti hai
.

Apney Aap Dharakta Hai, Dharkaya Naheen Jata,
Yeh Raaz-E-Mohabbat Har Eik Ko Bataya Naheen Jata,

Agar Ehsaas Ho To, Mohabat Ko Kar Lo Mehsoos,
Yeh Woh Jazba Hai Jo Lafzon Mein Samjhaya Naheen Jata,

Dosti Ke Liye Mohabat Aur Khuloos Hai Lazim
Har Haath Milaney Walay Ko Dost Samjha Naheen Jata,

Bohat Kam Hain Log Jo Dil Mein Utar JateyHain,
Har Raah Chaltey Ko Apna Banaya Naheen Jata,

Koshish Sey Badal Jati Hai Taqdeerain
Dey Kar ilzaam Qismat Aur Dil Ko Behlaya Naheen jata,

hamendra
March 16th, 2005, 10:20 AM

Nashaa hum karte hain magar ilzaam sharab ko diya jaata hai
Nashaa hum karte hain magar ilzaam sharab ko diya jaata hai
Kambakth kusur inka hai jinka chehra humein har jaam mein nazar aata hai

amar0974
March 16th, 2005, 11:19 AM
Wah Bhai Wah Kaya Baat Kahi Hai. Laagey raho Mirza Galib na bhey fail kar re so, or aan do.............. :)

Nashaa hum karte hain magar ilzaam sharab ko diya jaata hai
Nashaa hum karte hain magar ilzaam sharab ko diya jaata hai
Kambakth kusur inka hai jinka chehra humein har jaam mein nazar aata hai

hamendra
March 18th, 2005, 03:59 PM
Wah Bhai Wah Kaya Baat Kahi Hai. Laagey raho Mirza Galib na bhey fail kar re so, or aan do.............. :)

Amar Bhai Galib to galib They, Hum to unke pairo ki dhool bhi nahi hai, Bas aap sab logon ki wah wah wai pane ke khatir likhte rahte hai....

Aap logon ki khidamt mai ek aour hazir hai...
It is from Madhushala(H. Bachchan)

Dharma granth sab jala chuki hai jiske antar ki jwaala
mandir, masjid, girje sabko tod chuka jo matwaala,
pandit, mulla, padriyo ke, grantho ko jo kaat chuka,
kar sakti hai aaj usi ka swaagat meri madhushaala.

hamendra
March 23rd, 2005, 11:33 AM
kat gayi ye jindgi yaar teri yaad me,
aadhi guzaar di tere nahse me,
aadhi guzaar denge saraab me.

muskil se yahan tak aaya hoon ab kahan jaaon,
tu kahe to ek ghoont aur pi jaaon.

yadi tere aane se dard khatam ho jaata,
to tujhe pichle dard ki dava bana leta.

hamendra
March 29th, 2005, 01:59 PM
La Pila de E Saki Mujko tu Madhu ka Pyala
paimane ab toot gaye aankhon mein basi hai madhushala.

hamendra
April 7th, 2005, 12:11 PM
Mehkhane me jo logo ne hame dekha
to Diljale bhi heirat me aa gaye
logo ne pehchana na khud ko
aur dekho mujhko aazmaane aa gaye

hamendra
April 12th, 2005, 06:48 PM
Baandh le do-chaar bottle
Kabra mein baith k piya karenge,
Gar maang le khuda hisaab gunahon ka
Do-chaar peg use bhi de diya karenge.

hamendra
April 29th, 2005, 10:12 AM
Mat pee sharab galib masjid mein baith kar
Mat pee sharab galib masjid mein baith kar
Ek hi botal hai, kahin khuda na mang le

rkumar
April 29th, 2005, 12:42 PM
Mat pee sharab galib masjid mein baith kar
Mat pee sharab galib masjid mein baith kar
Ek hi botal hai, kahin khuda na mang le

wah bhai mian...bahut samajhdar sharabi ho....LOL...

RK^2

hamendra
June 28th, 2005, 04:13 PM
Tere paimaane aur mujh mein bhala kya farq hai saaqi.........
Ek may se moattar hai to dooja teri hasti se..........

Palko K Uthte Hi Do Diye Se Jal Jaate Hai
Jhuk Jaati Hai Jab Palke
To Band Kaliyo Se Nazar Aate Hai
Uski Aankhe hai Ya Meh K Pyale
Jo Bin Peeye Hi Hum Behak Se Jaate Hai....

hamendra
July 13th, 2005, 03:57 PM
Rok do mere janaaze ko, ke mere me jaan aa gayee hai....
pichhe mud ke dekho jara, ke daru ki dukaan aa gayee hai...
Botal chhupa do kafan mein mere , kabra mein piya karunga....
jab mangega hisab khuda to , peg bana ke diya karunga....

rkumar
July 13th, 2005, 04:13 PM
Muddaton ke baad kuch hamari taraf se;

1. Rukhna humse door tum, upne hushn ki chingaari
Meri nason me bah rahee hai, bas sharab hi sharab

2. Peekar do ghoont sharabi ki, hume Zannat nazar aati hai
kaun upna aur kaun paraya, sabme khudai nazar aati hai

RK^2

hamendra
July 13th, 2005, 04:54 PM
Wah Wah Wah Wah........................................
Kya Baat hai .................................................
Bahut Dino Baad Hee Sahee, Per Sir Jee Dill Khush ho gaya aapka kalam padke..

rkumar
July 13th, 2005, 07:57 PM
Wah Wah Wah Wah........................................
Kya Baat hai .................................................
Bahut Dino Baad Hee Sahee, Per Sir Jee Dill Khush ho gaya aapka kalam padke..

Lo mian ek aur lo esee bat par;

Kai roj se unkee bahut yaad aa rahee hai
neend aur dil ka chain khaa rahee hai
Roj raat me galiyon me bhatkte hain hum
bas mai hoon aur meri tanhaai hai
maikhaana aur maszid dono ke hain band darwaze
bas mai hoon, aur meri parchaai hai
kisko aawaj den, samajh nahi aata
kab kisne kiske jakhmon pe, marham lagai hai

RK^2

mukeshkumar007
July 13th, 2005, 08:03 PM
kisko aawaj den, samajh nahi aata
kab kisne kiske jakhmon pe, marham lagai hai

RK^2

Bhoot Khoob Unceji, Acha Kasha lik late ho...

sjakhars
July 14th, 2005, 02:22 AM
Bhai logon aapke maikhane me ek aur bhai aane ki izazat chahata hai.............
Arz kiya hai.....

Aksar log pahle jakhm dete hain
phir marham lagane ki baat hoti hai
Sharab wo cheej hai jo pahle marham lagati hai
phir se wohi jakhm har shaam de deti hai

Saraaab ko baddua mat de ae jamane
ye na hoti to koi shayar nahi hota.
sharab se zinda hai shayari sahil
Iske bina shayar au shayari ka naam nahi hota.

hamendra
July 14th, 2005, 06:32 PM
Are Jakhar Jee,
Kaisi baat karte hai aap. Izazat kya hoti hai aap ka to huk hai.
Aasa karte hai Shayri Sharab ko aap roshan karoge.

Thanks,
Ham

sjakhars
July 17th, 2005, 04:54 AM
Thanks Hemendra Bhai.
Wo kya hua ki Jatland par shayari padh-padhke main bhi sochya ki main bhi shayari karoon.bhai logan dekhke maine bhi jaosh aa gyo.

Aapke sher padhkar hum bhi kabhi shayar ho jayenge.
shayar na sahi shayari ke chakkar me sharabi jaroor ho jayenge.

Regards.

hamendra
July 19th, 2005, 10:15 AM
WAH WAH,...................Jakhar Bhai..........

haryanajat
July 19th, 2005, 10:36 AM
Itnee sharrab pee sharrabi nee
kae pitaaa hee chaala gayyaa
nashe mein wooh Jaa pahunchaa
railway tracks paar
laet gayaa wooh waahan par
usko samazhk kaar bistaar
subahh milee uske laash
huaa uska parivvar barbaad
roteee roteee kiiya uska antim sanskar

hamendra
July 19th, 2005, 04:59 PM
maikhaano mein aajkal bheed bahut hoti hain
aaisa lagta hain mano mohabbat mein bewfaai bahut hoti hain
yaha har ek shaks hain apne hi gam mein dooba
yaha har ek shaks hain tadap tadap ke jeeta
sharab she toh khair thodisi umra kam hoti hain

hamendra
July 19th, 2005, 06:03 PM
Baat Sharab ki Karteen haien..
Kyaa Maloom unhee Nasha Jindagee Mein Hai
Jarurat hai uskoo maja leeke kar peene kee
Har pal koo bindaas jeene kee

rkumar
July 19th, 2005, 07:40 PM
maikhaano mein aajkal bheed bahut hoti hain
aaisa lagta hain mano mohabbat mein bewfaai bahut hoti hain
yaha har ek shaks hain apne hi gam mein dooba
yaha har ek shaks hain tadap tadap ke jeeta
sharab she toh khair thodisi umra kam hoti hain

Sharabiyon ke paas peene ke bade bahane hote hain
Khushi me, gham me ya fir tanhaayee me hote hain
mushkil se din dhalta hai, botlen khankne lagtee hain
kabhi peekar hanstee hai to kabhi peekar rote hain
aajeb duniya hai en peene walon ki bhi
kuch peekar likhte hain aur kuch pekar sote hain..
kuchke maikhaano me ghar hain to kuchke ghar pe maikhana
har taraf sharabi hai aur har taraf maikhanaa.

RK^2

hamendra
July 20th, 2005, 11:05 AM
WAH WAH WAH......................................
Dil Kush Kar Diya Apne

hamendra
July 27th, 2005, 04:55 PM
Pal le ek rog nadan zindagi ke waste.
Ek sehat ke sahare zindagi katati nahi.

Karz ki pite they aur samajhte the
Rang layegi apni faka-masti ek-din.

hamendra
August 2nd, 2005, 12:58 PM
Bekabu hai dil fir bhi jiya ja raha hu,
Khali hai botal fir bhi piya ja raha hu,
Majburi to dekho is dil ki?.
Reply nahi mil raha fir bhi sher likhe kiya ja raha hu

rkumar
August 2nd, 2005, 01:10 PM
Bekabu hai dil fir bhi jiya ja raha hu,
Khali hai botal fir bhi piya ja raha hu,
Majburi to dekho is dil ki?.
Reply nahi mil raha fir bhi sher likhe kiya ja raha hu

wah mian..khoob kaha...bhal aap bulayen aur hum na aayen...LOL esee bat par kuch hamario taraf se;

Kitna be aabru hai dil, utarkar nakab fenk diya hai
wo nazren chura rahe hain, magar hume dekh liya hai
Hushn walon ki fitraten bas khuda hi samajh sakta hai
Khuda ki kasam badi gustakhi ki, jo ek baar unhe dekh liya.

RK^2

hamendra
August 2nd, 2005, 01:16 PM

WAH WAH......................................
RK Jee
Apki khidmat aarj kiya....................

aasman mein jab badal garajta hoga
mausom bhi aapna rang badalta hoga
uthi hogi jab aapki nigahne
khuda bhi gir gir kar samalta hoga

rkumar
August 2nd, 2005, 01:20 PM
WAH WAH......................................
RK Jee
Apki khidmat aarj kiya....................

aasman mein jab badal garajta hoga
mausom bhi aapna rang badalta hoga
uthi hogi jab aapki nigahne
khuda bhi gir gir kar samalta hoga

barsaat ka mausam ho, hamendra bhai kuch like aur jabab ne den..ek hamari taraf se janab,

mehfil me humne sher kiya bola,
baadlon ne wah wah kiya taliyan bajakar
etna barse ki unka daman tak bhigo diya
fir chale wo sharm se simat simat kar

RK^2

hamendra
August 2nd, 2005, 01:25 PM
barsaat ka mausam ho, hamendra bhai kuch like aur jabab ne den..ek hamari taraf se janab,

mehfil me humne sher kiya bola,
baadlon ne wah wah kiya taliyan bajakar
etna barse ki unka daman tak bhigo diya
fir chale wo sharm se simat simat kar

RK^2

WAH WAH............................................... ............
RK Jee kya bataiyen, Aap ne to hame aap kee shayri aur andaj ka mureed bana diya.............................

Irshad kahiyega............................
Aapkee khidmat mai hazir hai...........

Sharab doston ke sath pee jati hai
Aaj hum unse door honkar pee rahe hai
Kal tak jo whisky khule aam peete the
Woh aaj biwi se chup chup kar peete hai

rkumar
August 2nd, 2005, 01:28 PM

Jis se bhi humne rishta jora, wo bewafa nikla
aslee bottle ke daam diye, magar jaam naklee niklaa

RK^2

rkumar
August 3rd, 2005, 01:12 PM
Jis se bhi humne rishta jora, wo bewafa nikla
aslee bottle ke daam diye, magar jaam naklee niklaa

RK^2

incontinuation of above lines;

nashe me etne dhutt hain hum yaaro
pata hi nahi ki kaunsi bottle aslee hai kaunsee naklee
bas maikhaane me baithkar roj lute jaa rahe hain
band aankh karke pee rahe hain, naklee ko samjh kar aslee

RK^2

hamendra
August 4th, 2005, 02:54 PM
Insano ke kandhon par insan ja rahe the,
kafan me lipte kuch arman ja rahe the,
jinhe mili bewafai mohabbat me,
wafa ki talaash me wo samshaan ja rahe the!

hamendra
August 16th, 2005, 02:01 PM
Logo ne sharab mehkhane ja ja kar pee hai,
jo do pal mein utar jayegi,
humne to pee hai apne mehboob ki aankho se,
jo umar bhar naa utar payegi....

rkumar
August 16th, 2005, 02:22 PM
Insano ke kandhon par insan ja rahe the,
kafan me lipte kuch arman ja rahe the,
jinhe mili bewafai mohabbat me,
wafa ki talaash me wo samshaan ja rahe the!

Murdon se ummeed bhi kiya rakhen, bewafai ke siwai
bin dekhe nikal jate hain, gairon ke sayaono pe baithkar

RK^2

poonam
August 16th, 2005, 10:44 PM
Murdon se ummeed bhi kiya rakhen, bewafai ke siwai
bin dekhe nikal jate hain, gairon ke sayaono pe baithkar

RK^2

what 'sayaono' stands for?

rkumar
August 17th, 2005, 01:58 AM
what 'sayaono' stands for?

murdon= dead bodies
sayaono= kandhon ( shoulders)

P.S: Very impressive picture Poonam ji...

hamendra
August 17th, 2005, 12:22 PM
Murdon se ummeed bhi kiya rakhen, bewafai ke siwai
bin dekhe nikal jate hain, gairon ke sayaono pe baithkar

RK^2

Hasana hamamara kisiko gavara nahi hota,
har musafir zindigi ka sahara nahi hota,
milte hai bahot log is tanha zindgi mai,
har koi dost tumsa pyara nahi hota.

rkumar
August 17th, 2005, 02:02 PM
Hasana hamamara kisiko gavara nahi hota,
har musafir zindigi ka sahara nahi hota,
milte hai bahot log is tanha zindgi mai,
har koi dost tumsa pyara nahi hota.

Hanste dekha hai aaj unhe, muddaton ke baad
e chand unhe jaakar, meri ed mubarak kahnaa

RK^2

poonam
August 17th, 2005, 07:19 PM
murdon= dead bodies
sayaono= kandhon ( shoulders)

P.S: Very impressive picture Poonam ji...

Thanks Rajendra uncle... :)

poonam
August 17th, 2005, 07:20 PM
yo sher-o -shayari tam aappey likho so kae... ;) .kati chaale kar rakhey sae..
its good.. :)

rkumar
August 17th, 2005, 07:34 PM
yo sher-o -shayari tam aappey likho so kae... ;) .kati chale kar rakhey sae..
its good.. :)

Arrey Poonam ji har sher ke peeche koi ne koi histroy hotee hai... yoon kahiye ki kahin pe nigahen aur kahin pe nishana...LOL... chalo aaj ek aapkee nayee tasveer ko dekhkar ho jaye....( No offence please..)

bahut dar lag raha hai choote hue, unka mani sa chehra
jehreele naagon ki zulfen lehra rahee hain, uske Kareeb

RK^2

poonam
August 18th, 2005, 01:01 PM

.............read next one..... :p

Arrey Poonam ji har sher ke peeche koi ne koi histroy hotee hai... yoon kahiye ki kahin pe nigahen aur kahin pe nishana...LOL... chalo aaj ek aapkee nayee tasveer ko dekhkar ho jaye....( No offence please..)

bahut dar lag raha hai choote hue, unka mani sa chehra
jehreele naagon ki zulfen lehra rahee hain, uske Kareeb

RK^2

Oho..ho...ho....ho...zehnaseeb ....zehnaseeb..... :) ..

almost fell off the chair.. ... :D

(ek baat maanani padegi Uncle ji........kati ek minute nahi lagaate response post karan main....palmtop le re ho kae.... :eek: )

hamendra
August 18th, 2005, 01:02 PM
yo sher-o -shayari tam aappey likho so kae... ;) .kati chaale kar rakhey sae..
its good.. :)

Roshni se roshan hai chehra aapka
Jhalak pane ko betaab, sara jahan hai aapka,
Jis kooche mein fana hue hum zalim,
Har shaks jisne dekha hai noore jasb tumahara

rkumar
August 18th, 2005, 01:18 PM
Roshni se roshan hai chehra aapka
Jhalak pane ko betaab, sara jahan hai aapka,
Jis kooche mein fana hue hum zalim,
Har shaks jisne dekha hai noore jasb tumahara

ummm mian... yeh koi maamuli chehra nahi jo Roshni se roshan hota ho....yoon kahiye ki;

Roshni bikhra raha hai, chehra aapka
jo bhi dekhe, wohi ho jaaye aapka
khuda aapko umar daraz kare
hum bhi muskurayen, leke naam aapka

RK^2

hamendra
August 18th, 2005, 01:51 PM
ummm mian... yeh koi maamuli chehra nahi jo Roshni se roshan hota ho....yoon kahiye ki;

Roshni bikhra raha hai, chehra aapka
jo bhi dekhe, wohi ho jaaye aapka
khuda aapko umar daraz kare
hum bhi muskurayen, leke naam aapka

RK^2

Baat Roshni kee karte ho, Jara chahre par latkte baal ko to dekho
khuda ne umar daraz kar dee, jara husan ka raaj poochch ke to dekho

rkumar
August 18th, 2005, 03:53 PM
Baat Roshni kee karte ho, Jara chahre par latkte baal ko to dekho
khuda ne umar daraz kar dee, jara husan ka raaj poochch ke to dekho

unka shukr hai ki zulfon se chehra dhak rakha hai
warna hazaron aaftabon ki roshni ho jaayegee
arrey mian unka kuch ne jayegaa,
dekhne walon ki nazron ki roshni chalee jayegee

RK^2

hamendra
August 18th, 2005, 04:20 PM
unka shukr hai ki zulfon se chehra dhak rakha hai
warna hazaron aaftabon ki roshni ho jaayegee
arrey mian unka kuch ne jayegaa,
dekhne walon ki nazron ki roshni chalee jayegee

RK^2

Huzoor kis ko dar hai hazaron aaftabon ki roshni ka
Didar ho jaye to koi gam na hoga nazron ki roshni chale jane ka

poonam
August 18th, 2005, 07:23 PM
errrrr....errrrrr.........tam tae kati karde ho kae laag gae..........eeb tham bhi jao...... :D

hamendra
August 22nd, 2005, 03:58 PM
errrrr....errrrrr.........tam tae kati karde ho kae laag gae..........eeb tham bhi jao...... :D

aye post reply ko salaam kehna,
dil mein hai tasveer aur hotho pe hai naam kehna,
unka reply aaya aur likh na bhool gaye,
pina pilana toh door hum hosh mein lkhna tak bhool gaye!!!!!!!

dahiyasaab
August 22nd, 2005, 05:20 PM
kaun laga sakta hai maikhane me tala,
ek nahi... do nahi... yanha sara sehar hai pene wala !!!! :rolleyes:

hamendra
August 23rd, 2005, 11:02 AM
kaun laga sakta hai maikhane me tala,
ek nahi... do nahi... yanha sara sehar hai pene wala !!!! :rolleyes:

Rok do mere Jana-je ko;
Rok do mere Jana-je ko;
Mujh-me Jaan aa gayee hai;
Jara peeche mudh kar deko;
Sharab Ki dukaan aa gayee hai;

hamendra
August 26th, 2005, 12:53 PM
Itni Pee Jab Tak Subah Ka Suraj Chhad Nahin Jaata,
Itni Pee Jab Tak Teri Zindagi Ka Suraj Doob Nahin Jaata

Itni Pee Jab Tak Tu Nashe Mein Choor Choor Nahin Ho Jaata,
Itni Pee Jab Tak Us Bewafa Ka Chehra Tu Bhool Nahin Jaata

Itni Pee Jab Tak Teri Aankhon Mein Noor Nahin Aa Jata,
Itni Pee Jab Tak Tujhe Saara Alam Sharabi Nahin Nazar Aata

cooljat
August 27th, 2005, 07:26 AM
wow,
Itni sari Daru!
mind-blowin, intoxicating.
woh bhi free!
sahi lage raho,

rock on,
Jit.

Ps- u gotta have spirit in ur hand n in ur head to conquer the world ;)

dahiyasaab
August 29th, 2005, 04:21 PM
LafzoN men fusaane dhoondte hain hum loG..
LamhoN men zamaane dhoondte hain hum loG...
Tu zeher hi de sharaab keh ker saQi..
Jeene ke bahaane dhoondte hein hum loG... !

dahiyasaab
September 1st, 2005, 08:03 PM
phansaya uljhnoun main tu nay mery dil ko aay saqi....
idhar taoba jo karta houn udhar phir jaam laita houn

tu gar apni aankho se pila de saki to mahkhane ka rasta hum bhool jaaye, apni julfo ki chaanv main sula le saki to hum paymano ki shrab bhool jaye.

hamendra
September 2nd, 2005, 11:10 AM
Main Jee Leta Tere Gham O Ko Magar
Mujhe Pine Se Fursat Nahi
Tu Kiye Ja Sitam Pe Sitam
Mujhe Peene Se Fursat Nahi

dahiyasaab
September 2nd, 2005, 05:15 PM
kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!

rkumar
September 5th, 2005, 02:29 PM
kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!

bahut khoob...ek damm mast...

aaap yoon hi roj meri galee se aaya jaya karen
daman me chehra chupakar, muskuraya karen
Bin peeye yoon hi waqt kat jayegaa gareeb ka
agar aap mere ghar ke aage, ek bar ruk jaya karen.

RK^2

dahiyasaab
September 5th, 2005, 08:49 PM
BaDNaaM MeRe PYaaR Ka AfSaNa HuWa Hai

DeeWaNe Bhi KehTe HaiN Ke DeeWaNa HuWa Hai

RiShta Tha TaBhi To KiSi Be-DaRD Ne ToDa Hai

ApNa Tha TaBhi To Koi Be- GaaNa HuWa Hai

BaDaaL Ki TaRha Aa Ke BaRaS JaYe Aik DiN

DiL Aap Ke Hote HoYe ViRaaN HuWa Hai

BaJte HaiN KhaYaLoN MaiN TeRi YaaD Ke GhuNhRu

KuCh DiN Se MeRa GhaR Bhi PaRi KhaNa HuWa Hai

MuSaM Ne BaNaYa Hai NiGaaHoN Ko ShaRaBee

JiS PhooL Ko DeKhooN Wahi PaiMaNa HuWa Hai.....................

rkumar
September 5th, 2005, 09:15 PM

Beautiful..just superb..

RK^2

hamendra
September 6th, 2005, 09:59 AM
Hairan Ho Jo Baha Na Lahu
Sharabi Rag O Se Behthi Bhi Kaise
Tu Var Pe Var Kiye Ja
Mujhe Pine Se Fursat Nahi

dahiyasaab
September 7th, 2005, 03:41 PM
Gar hota woh saqi apni aankhon ke jaam ka
Gar milta na saqi sharab-e-haraam ka
Kiya ittefaaqat ne mujh ko barbaad
Varna naam apna bhi hota aala muqaam ka !

singh1981
September 7th, 2005, 03:49 PM
Ultimate.....
kati lath gaad diye...

khuda ki banayi kudarat nahi dekhi ,
dilo mei chupi daulat nahi dekhi,
jo bhi kehta hai ki duriyoo se miti hai dosti,
usne shayad hamari dosti nahi dekhi"
Zindagi Ek Chahat Ka Silsila Hai,
Koi Mil Gaya To Koi Bichad Gaya,
Jinhe Manga Tha Duaon Mein,
Voh Kisi Ko Bina Maange Mil Gaya
Aankhon mein aansu aa jaate hain
Phir bhi labo pe muskaan rakhni padti hai
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron
Jisse karte hai useese chupani padti hai
Agar kal hum nahi bhi rahe,
Hamari yaadein sada rahengi.
Sirf nazare uthake chaand ko dekhna,
Hamari dosti ki tasvir waha bani rahegi.

dahiyasaab
September 8th, 2005, 01:21 PM
Kyon Hamein Maut Ke Paigaam Diye Jaate Hain
Ye Saza Kam To Nahi Hai Ke Jiye Jaate Hain
Nasha Dono Mein Hai Saaqi ! Mujhe Gum De Ke Sharaab
Mai Bhi Pi Jaati Hai aur Aansoon Bhi Piye Jaate Hain

hamendra
September 8th, 2005, 01:41 PM
Kyon Hamein Maut Ke Paigaam Diye Jaate Hain
Ye Saza Kam To Nahi Hai Ke Jiye Jaate Hain
Nasha Dono Mein Hai Saaqi ! Mujhe Gum De Ke Sharaab
Mai Bhi Pi Jaati Hai aur Aansoon Bhi Piye Jaate Hain
Ek Dariya Bana Lete Ansoo Oka
Ithna Rulaya Hai Tune Mujhe
Magar Yaha Sharab Me Pani Milate Hai
Our Mujhe Pine Se Fursat Nahi

dahiyasaab
September 12th, 2005, 11:33 AM
Auron Ke Liye Kharaab Sahi
Hamare Liye To Zindagi Banti Hai
Sau Ghamon Ke Nichoud Ne Ke Bad
Ek Katraa Sharaab Banti Hai !!!!!

Sakhi Bus Itna Sa Kam Kar
Ye Sare Ilzaam Mere Naam Kar
Ek-do Paimane Se Mera Kya Hoga
Sara Maikhana Mere Naam Kar !!!

deepakchoudhry
September 15th, 2005, 08:30 PM
Kahin Shaarab per toh kahin Dard per Shayari Ho rahi hai.

Didnt know where this one will go..but here it is :)

zameer kaanp toh jaata hai, aap kuch bhi kehain

ho gunah say pehle, yah ho gunah ko ka baad.

devdahiya
September 15th, 2005, 08:45 PM
Sharaab jo banai peene ke liye,to piya kyun na jaye
Jindagi banai jine ke liye, to jiya kyun na jaye
Hamendra bhai ne diya mauka, shayari karne ka
To phir shayari kari kyun na jaye.

suniljakhar
September 16th, 2005, 01:37 AM
Pee liya kartae haen jinae ki tamanna mae kabi,
ladkhadana bi jaruri hae sambhalnae kae liyae !!

hamendra
September 19th, 2005, 03:00 PM
apni zindagi me to bas ab hai jaam,
apni subah suru hoti hai,jab hoti sham.

ye ishq kya kar baithe hum janab,ki,
hum to bas bhool baithe apna naam.

dil mera aaj roo raha hai,par kyun,
ye wakya ab ho gaya hai itna aam.

aisa diljala hoon main ki kya kahoon,
mehkhane me bhi hain hum badnaam.

marr chuka hai aaj ye"HAMENDRA"mere,
mehbub tak pahuncha dena ye paigam.

pine ke baad kahte hain ki itni piya na karo.
pine ke baad kahte hain ki itni piya na karo.
itne pyar se pahle bola hota, sayad pine ki nobat nahin aati.

aaj se jina chahta hoon, aaj se pina chahta hoon...
jisne thukraya mujhko, uske liye pina chahta hoon.

dahiyasaab
September 20th, 2005, 10:48 AM
sharab hi sharabi ki jaan hoti hai,
sharabi se sharab ki pehchan hoti hai.

log sharab tab pite hain jab,
rooh jakhm se lahu-luhan hoti hai.

kai logon ke liye to sharab pina,
hi unki sabse bari shaan hoti hai.

log pite hain ise tab bhi,
jab mohhabat jawan hoti hai.

aashiq ise tab jyada pite hain,
jab ishq unke liye dard-e-jahan hoti hai.

gam ke sagar me duba logon ke liye,
ye khuda ki sabse bari daan hoti hai.

unhe to kabhi koi gam hua hi na hoga,
jinki rooh sharab se anjaan hoti hai.

har zindagi ki kasti gam ke bhar se baar-baar doobti hai,par,
ghayal shayar doobta hai tab kadardan kasti sharab me hoti hai

gaganjat
September 20th, 2005, 11:15 AM
My original sher:

Intazar hamse hota nahi,
Izhar me zamana lagega,
Mere ishq ko tum kya jaano,
Pyar me to parvana hi jalega.

dahiyasaab
September 21st, 2005, 05:59 PM
gagan bhai umda tha, per aashiq shayari ya shayari-e-dard mein fit baith ta !

shayari-e-sharab mein toh sharabi sher jamega,
koi orignal sa pakad ke dalna idhar bhi, aadawarz hai !!!

gaganjat
September 23rd, 2005, 12:47 PM
Bhai dahiya, i didnt feel any 'dard' while writing it, so doesnt quite fit in shayari-e-dard for me:D

Ar ek adh ghoot la kai likha tha isliye shayari-e-sharab mai likh diya;)

gagan bhai umda tha, per aashiq shayari ya shayari-e-dard mein fit baith ta !

shayari-e-sharab mein toh sharabi sher jamega,
koi orignal sa pakad ke dalna idhar bhi, aadawarz hai !!!

hamendra
September 26th, 2005, 04:27 PM
maikhane mein baithe hai
peene,ek jaam tere naam ka
teri yaad mein jo peele lage
toh phir hisaab he na raha shaam ka
kehte hai humme sharabi log
hum kehte hai,
sharab bina maikhana,
aur ranjha bina heer,na kisi kaam ka

devdahiya
September 26th, 2005, 04:33 PM
Maikhana badalne se,na badle sharaab
Nasha na ho to shaki kharaab

Jab kaddam badhh hi gaye mehkhane ki taraff ai dost pyare
Dubbo de gamm jindaggi ke aaj yahan saare.

hamendra
September 30th, 2005, 02:37 PM
Maikhana badalne se,na badle sharaab
Nasha na ho to shaki kharaab

Jab kaddam badhh hi gaye mehkhane ki taraff ai dost pyare
Dubbo de gamm jindaggi ke aaj yahan saare.
Dev Sahab,
WAH WAH..............................................W AH

hamendra
September 30th, 2005, 02:37 PM
maikhane mein baithe hai
peene,ek jaam tere naam ka
teri yaad mein jo peene lage
toh phir hisaab hee na raha shaam ka
kehte hai humme sharabi log
hum kehte hai,
sharab bina maikhana,
aur ranjha bina heer,na kisi kaam ka

rkumar
September 30th, 2005, 03:11 PM
maikhane mein baithe hai
peene,ek jaam tere naam ka
teri yaad mein jo peene lage
toh phir hisaab hee na raha shaam ka
kehte hai humme sharabi log
hum kehte hai,
sharab bina maikhana,
aur ranjha bina heer,na kisi kaam ka

ummm..

Ranjhe ko heer ne nakam kar diya
sharabi ko sharab ne badnam kar diya
isq ho ya sharab, dono ka asar dekh lo
Ranjhe aur sharabi ka, eksa anjaam kar diya

hahaha...looks like heer was like a bottle of sharab...LOL..bechara Ranjha mara gaya...

RK^2

devdahiya
September 30th, 2005, 05:43 PM
maikhane mein baithe hai
peene,ek jaam tere naam ka
teri yaad mein jo peene lage
toh phir hisaab hee na raha shaam ka
kehte hai humme sharabi log
hum kehte hai,
sharab bina maikhana,
aur ranjha bina heer,na kisi kaam ka

AAJ mujhe Thoddi shayari karne de Ai saaki
Dil Mei chhuppa liya hai jaroorat se jayada Gamm

Baad me baithenge sangg tumhare
Piyenge aaj dhama-dham-2

Mehfil kuchh aissi saja dena aaj,Ki ek afsaana ban jaye
Sab kahein jam chhalkate huwe....Hamendra Shayar wo aye-2

dahiyasaab
September 30th, 2005, 06:21 PM
Akhiyon se pee raha hoon
mausam badal na jaaye
jhukaao na tum nigaahein
kahin raat dhal na jaaye.

rkumar
September 30th, 2005, 06:45 PM
Akhiyon se pee raha hoon
mausam badal na jaaye
jhukaao na tum nigaahein
kahin raat dhal na jaaye.

umm..

karke rakhna band palken upnee, kahin mai chalak na jaye
mere labon pe rakh kar kholna unko, aankhen bina hilaaye

RK^2

dahiyasaab
October 1st, 2005, 04:52 PM
Aap ki tuk bandhi lajawab hain
aapki shayari hats off baba !!!

devdahiya
October 12th, 2005, 04:22 PM
Jab toota tha ye dil mera,apno ne bhi kar di ruswai
Tabb Mujhe iss duniyan mei thi sirf ye sharaab kaam aayi
Tabb se kasam li thi meine ai duniya walo
Meikhane ko samjhoonga tookda-e jigar,kyunki yahi hei wo jagah jahan mene khushiyan anginat pai.

hamendra
October 12th, 2005, 08:47 PM
Jab toota tha ye dil mera,apno ne bhi kar di ruswai
Tabb Mujhe iss duniyan mei thi sirf ye sharaab kaam aayi
Tabb se kasam li thi meine ai duniya walo
Meikhane ko samjhoonga tookda-e jigar,kyunki yahi hei wo jagah jahan mene khushiyan anginat pai.

Ab to hum bhi sharabiyo ki mahfil mai jate hai,
Jo na thi adat jane kee, ab wo bhi banate hai.

Tham li hai botal gam ko bhulane ke liye,
Ab to roj pite hai zam pe zam, jine-mar jane k liye.

Ye botal bhi nahi kartee hai koi kam,
Kyunki ye na diye dilasa aur na hi aram.

Yhi hai ye botal jo kartee hai mujhe badnam,
Kyunki aaj bhare dil se bhi, thama hai ye zam.

dahiyasaab
October 21st, 2005, 05:30 PM
Tum jaam tootnay ka bahana na karo
Hum tumhari aankhon say pee lenge
Tum na aao, bus aanay ka wada karo
Hum intezaar main jee lenge..............?

hamendra
October 24th, 2005, 10:32 PM
Tum jaam tootnay ka bahana na karo
Hum tumhari aankhon say pee lenge
Tum na aao, bus aanay ka wada karo
Hum intezaar main jee lenge..............?

meri kahani sun sakee kee bhee aankhon me aansoo aa jate hain,
sare mehkhane kee sharab pee hum nashe me nahi aate hain,
kya karein sakee aab to itnee jyada peene lage hain,
ki hum mehkhane me bhee darwaje se lauta diye jate hain.

dahiyasaab
October 26th, 2005, 08:45 PM
Main ashq bahata nahee, ye zamana rulata hai.
main sharab peeta nahee, ye zamana pilata hai.

bichad gaye maykade me sare yaar apnay.
main agar akela hun, tou ye sannata pilata hai.
main sharab peeta nahee, ye zamana pilata hai.

saqi ko dekho, jaanta hai ke ye zehar hai ek.
kabhi ik paimana, kabhi sara maikhana pilata hai.
main sharab peeta nahee, ye zamana pilata hai.

mujh ko tou hosh nahee rehta, zindagi ka bhi.
khwabo ki dunya me jo chupa,woh afsana pilata hai.

Main ashq bahata nahee, ye zamana rulata hai.
Main sharab peeta nahee, ye zamana pilata hai.

dhayal
October 27th, 2005, 05:58 PM
bhai hemendra aap gr8 hai ...............

jab hum piya karte the
toh tufanun ka rukh mod diya karte the
jitni sab piya karte the
utani paimane me chood diya karte the

:) :) :) :) :) :) :) :)
SUBHASH DHAYAL

hamendra
October 27th, 2005, 09:05 PM
bhai hemendra aap gr8 hai ...............

jab hum piya karte the
toh tufanun ka rukh mod diya karte the
jitni sab piya karte the
utani paimane me chood diya karte the

:) :) :) :) :) :) :) :)
SUBHASH DHAYAL
Wah Wah .................................................. .....
Dhayal Sahab

hamendra
October 27th, 2005, 09:15 PM
Jab Dava Na Mili, To Dard Ko Hee Dava Bana Liya,
Jab Pani Na Mila, To Aansuon Se Hee Pyas Ko Bujha Liya

Jab Saathi Na Mila To, Sharab Ko Hee Saathi Bana Liya,
Phool Na Mile To, Kanton Se Hee Dil Behla Liya

Jab sharab na mili, To Panee Ko Hee Pee Liya,
Jab Dost na Mila To, Dostee Naam Se Hee Dil Bahala Liya

Tere Ghar Ke Raston Ne, Mujhe Apna Ghar Bhula Diya,
Ishq Mein Itna Bhatak Gaye Kee, Sharab Se Hee Dil Laga Liya

prashantacmet
October 29th, 2005, 10:44 AM
Jindgi nein bhi mujhe kya rang dhiklaya hai
Mohabbat ki thi usne GAM humne paaya hai.
Hum to jhumte hai uski yaadon mein
Aur jamana kahta hai aaj phir PIKAR aaya hai.

Shaam thi wo katil,jo uski yaad le aayi
The hum tanha, humhe mahkhana le aaye
Saaki ne to aur bhi julm dhya hum per
chalak gaya paimana, aisi aankhoien se pilayi

dhayal
October 29th, 2005, 08:37 PM
Nasha Hum karte hain,
Ilzaam botal par hota hai,
Isme kasoor botal ka nahi,
Unka hota hai,
Jinka chehra SHRAAB me dooba hota hai.

SUBHASH DHAYAL

rkumar
October 30th, 2005, 01:57 PM
bara baras ho gaye kaid hue hume bottle me.
ne jane kab choyenge lab hume, kisi janab ke

RK^2

mansi1218
October 30th, 2005, 08:37 PM
wah wah
wah wah
wah wah wahhhhhhhhhh

hamendra
October 31st, 2005, 01:55 PM
Saqi ne pilaya jaam yun ke tabiyat machal gayi
Yaaro kya bataoon tumhein ke phir us bewafa ki yaad aa gayi,

Uskee bewafai ne hum ko tood diya
dil to lagana chaha par dil hee tood diya,

tootne ke baad sambhala hai humein sharaab ne
aab duniya walein kahte hai ki chood doon ab sharaab ne

dahiyasaab
October 31st, 2005, 02:53 PM
Ram yug main Dudh mila,

Krishan yug main Ghee,

Apne yug main Daru mile,

Tu dabaa ke Pee.

dhayal
October 31st, 2005, 08:03 PM
kya baat devsab nase mein achhe hai

Palko K Uthte Hi Do Diye Se Jal Jaate Hai
Jhuk Jaati Hai Jab Palke
To Band Kaliyo Se Nazar Aate Hai
Uski Aankhe hai Ya Meh K Pyale
Jo Bin Peeye Hi Hum Behak Se Jaate Hai....

poonam
November 10th, 2005, 08:05 AM
Palko K Uthte Hi Do Diye Se Jal Jaate Hai
Jhuk Jaati Hai Jab Palke
To Band Kaliyo Se Nazar Aate Hai
Uski Aankhe hai Ya Meh K Pyale
Jo Bin Peeye Hi Hum Behak Se Jaate Hai....

Wah Wah...kya baat hai...very good....:)

nd-chora
November 10th, 2005, 10:06 AM
Bandh Le 2-4 Bottle Kafan Mein
Kaber Mein Baith Ke Piya Karengen
Jab Mangega Khuda Heesab Gunahon Ka
1-2 Peg Usse Bhi Diya Karengen

Roz to aisa hota hai ki
hum nashe mein hote hai
aur shaam guzar jaati hai
kisi din aisa hoga ki
shaam nashe mein hogi
aur hum guzar jaayenge

hamendra
November 10th, 2005, 10:09 PM
peena haraam hai naa peelaanaa haraam hai, peeney ke baad hosh main aana haraam hai
kisney kahaa sharaab kaa peena haraam hai, iskey piye bagair toh jeena haraam hai.......

jazb-e-wafah se kaam liyaa aur pee gayaa, saaqi se badh key jaam liyaa aur pee gayaa
jabsey yeh sun liyaa ke mey angoor hai haraam, allah miya kaa naam liyaa aur pee gayaa.......

dhayal
November 11th, 2005, 10:19 AM
Tum bahot haseen ho, Gulab jaisi ho.
Dil chahe tumhe pi jaaun...
Tum to sir se paon tak sheraab jaisi ho..

ShArAbi
Botal chupa dena kafan mein meri,
Shamshan mein piya karunga,
Jab mange ge hisab khuda..
To unhe bhi ek peg bana kar diya karunga

(DOSTOON PIO LEKIN RAKHO HISAB....................)

SUBHASH DHAYAL:D :D :D :D :D

devdahiya
November 11th, 2005, 10:26 AM
Pila de itana tu saaki,ke paymana bhul mein jaun
Hosh mujhe na lage achha,behoshi mei sab bhool jaun
Unhein bhi jinone diya hei darde dil
Aur unhein bhi jo hein bade sangdil
Kya rakhha hei jamaane mei, sitamgar hein yahan sarre
Koi takdeer ka mara, koi dhoke se gaye maare.

hamendra
November 11th, 2005, 11:00 PM
jhooth kehney se faa'edah kyaa hai, Waaqei mai sharaab peeta hoon
roz hisab rakhne se faa'edah kyah hai,waaqei mai nashe mai rahta hoon

Roz peeta hoon aaj bhee pee hai, mainey tauba kabhee nahee kee hai
arey mai toh woh may-nosh hoon yaaro, jisey khuda ne chhaan kar dee hai.....

hamendra
November 16th, 2005, 04:34 PM
Jaam-e-Mai ko gavaah kartaa hoon, maikhdey main niqaah kartaa hoon
teree rehmat kaa aasaraa lekar, aaj yeh aakhree gunaah kartaa hoon.......

Saqiyaa dekh main ranjoor huyaa jaataa hoon, zabt kee had se bahut door huyaa jaata hoon
meharbaani ho teree mujhko pilaa de, warnaa chheen kar peeney pe majboor huyaa jaataa hoon......

dahiyasaab
November 19th, 2005, 10:25 AM
Maikhane Se Rishta Hai Hamara,
Kabhi Unse Bhi Hua Karta Tha.
Ab To Jaam Ka Sahare Lete Hain,
Pehle Unke Pyaar Ka Hua Karta Tha

krish.idea
November 25th, 2005, 04:55 PM
zindagi bhar inhi ummeedon ko seenchte rahe
ab chain se marne toh dijiye
bewafai ka yun naam lekar
wafa ko badnaam mat kijiye

vins
November 26th, 2005, 02:44 PM
Arrz hain ..
Pagal hain wog log jo ladkio ko miss kia karte hain ..
miss karna han toh Machharo ko karo jo saamne se aa kar kiss toh karte hain

dhayal
November 26th, 2005, 03:36 PM
ke baat hai bhai baada pyar hai machharo se

Arrz hain ..
Pagal hain wog log jo ladkio ko miss kia karte hain ..
miss karna han toh Machharo ko karo jo saamne se aa kar kiss toh karte hain

dhayal
December 2nd, 2005, 02:43 PM
Ram Janam Me Dudh Mila
Shyam Janam Me Ghee
Is Kalyug Me Daru Mila
Soch Samaj Ke Pee

rkumar
December 2nd, 2005, 05:09 PM
nazar saaki par hain, aur lab paimaane par
dil hamara hai aaj fir, kisi ke nishaane par
wo khaali pyaale liye lete hain, kabr me upni
kehte hain saharb milegi, jannet ke aane par

RK^2

dhayal
December 5th, 2005, 01:25 PM
lehron se khelta hua lehra ke pigaya.
sakhi ki har nigha ha per balkha ke pigaya maine to chohd di thi,
per rone lagi sharab.
uske ansoo 'o' per taras kha ke pigaya.

hamendra
December 12th, 2005, 07:04 PM
Beete Hue Kal Ke Kisse Yaad Rakhte Hain.
Tute Hue Dil Ke Hisse Paas Rakhte Hain.
Mujhe Shayar Se Sharabi Banane Wale,
Hum Tere Toote Jaam Ke Sishe Bhee Sath Rakhte Hain.

sjakhars
December 14th, 2005, 12:14 AM
Ek hamari aur se bhi pesh hai.........mulahiza farmaiye.....

jab se tu bichhda main phir se maikhane jane laga,
har taraf tera masoom chehra ab najar aane laga.
har waqt tera khyal tera hi tasavvur hai mujhe,
raaton ko khwabon me aake tu mujhe jalane laga.
maine to socha tha ab na hogi gam ki parchhai bhi,
teri judai ka gam ab mujhe tadpane laga.
tujhse milne ke liye tadpane laga hai ye dil,
na bichhad jaye sada ke liye sahil, ye khyal satane laga.

dahiyasaab
December 16th, 2005, 11:01 PM
Jhakhar Sahab in full mood :) ;) :eek:
chad gayee oyeeeeeeeeeeeeeee sarraatte naal !

Baadalon se salaam leta hoon ,
wakt ke haath thaam leta hoon,
maut ruk jaati hai pal bhar ke liye ,
jab mein hathon mein jaam leta hoon !

mukeshkumar007
December 24th, 2005, 01:26 PM
Pani maie whiskyi milawo to nasa hota hai,
Pani maie brandy milawo to nasa hota hai,
pani maie Rum milawo to nasa hota hai,
Pani maie deshi daru milawo to nasa hota hai,
lagta hai sala pani maie hi gadhbadh hai..:rolleyes:

hamendra
December 29th, 2005, 05:05 PM
Raaston Tum Mujhe Kahin Bhi Le Chalo,
Meri Apni Koi Manzil Nahin Hai
Meri Kashti Tu Mujhe Kahin Bhi Le Chal,
Mera Apna Koi Kinara Nahin Hai

Mere Dard Tu Mujhe Mehkhane Le Chal,
Mera Aur Koi Sahara Nahin Hai
Meri Zindagi Tu Mujhe Maut Ke Paas Le Chal
Yeh Duniya Meri Apni Nahin Hai

vijay
December 29th, 2005, 07:25 PM
Prem amar hai
Judai se tanhai hai,
Preet ke taar mat chhedo
Inme badi gahrai hai

Main jaisa bhi hoon
Sweekar karo,
Mujhme khamiyan mat dhoondho,
Kyonki meri har cheez
Prakrti ne banai hai

hamendra
January 6th, 2006, 11:33 PM
Pite Hai Log Gamm Bhulne Ko,
Mai To Pite Hai Bas Mar Jane Ko.

Sarabiyo Ki Mahfil Mai Gumnaam Hu Mai,
Par Log Kahte Hai Badnaam Hu Mai.

Kambakhat Zahar Bhee Nahi Milta Pine Ko,
Hume Aab Eaikchhaa Nahi, Is Duniya Mai Jine Ko.

Aab To Sarab Bhi Mujhse Ruth Gai Hai,
Tarasta Hu Aab Main Pine Ko.

downtoearth
January 6th, 2006, 11:54 PM
hammen to aadheyy ne lutta pawwey mein kahan dum tha
AAJ,AADHA WHAN PHUTTA ; JAHAN THEKKA BAND THAA

dndeswal
January 8th, 2006, 04:37 PM
Ye zindgi ek sarai phani dekhi.
Har cheez yahan aani-janni dekhi.
Jo aa ke na jaye wo budhapa dekha …
Jo ja ke na aaye wo jawani dekhi.

misha0119
January 9th, 2006, 12:46 PM
Nice Shayari everyone.

zindagi ka safar ek raah thi suhaani
thakte nahin the kadam aisi thi jawani
subeh uthkar intezaar karna
shaam hote hi phir ghar chal dena
zindagi aise beet gayi
samay ke saath aaya na behna

hamendra
January 9th, 2006, 01:20 PM
hammen to aadheyy ne lutta pawwey mein kahan dum tha
AAJ,AADHA WHAN PHUTTA ; JAHAN THEKKA BAND THAA
Rupendar Bhai,

Dil Khush ho gaya, Apnee gaon kee shayree sunke.

Ye zindgi ek sarai phani dekhi.
Har cheez yahan aani-janni dekhi.
Jo aa ke na jaye wo budhapa dekha …
Jo ja ke na aaye wo jawani dekhi.
Wah Wah .........................Sur Jee

Dil Ko chho gayee

Nice Shayari everyone.

zindagi ka safar ek raah thi suhaani
thakte nahin the kadam aisi thi jawani
subeh uthkar intezaar karna
shaam hote hi phir ghar chal dena
zindagi aise beet gayi
samay ke saath aaya na behna
That's good. Misha.

bschhikara
January 9th, 2006, 10:17 PM
Main peena kaise chhod du
Pyar se bhara pyala kaise tod du
ye mumkin nahin saki
unke kahne se jina kaise chhod du.

hamendra
January 13th, 2006, 08:32 PM
Naa Zor Hai Ishme Kisi Ka Naa Koi Khudai Hai
Meri Taqdeer Hai Jo Use Mere Kareeb Le Aayi Hai.......

Mat Peela Saqee Ab Mujhe Peene Ki Jaroorat Nahi
Wo Jam-A-Sharab Meri Jaan Apni Aankho Mein Bhar Laayi Hai

Mat Roko Aab Ae Logo Mujhe Nashe Mein Doob Jaane Do
Meri Dilrooba Mujhe Apni Baaho Mein Bharne Aayi Hai

Chha Raha Hai Khumaar Mujh Par Unke Jazbaat Bekaboo Hai
Wo Dariya-A-Mohabbat Mujh Pe Lootane Aayi Hai

Naa zor hai ishme kisi ka Naa koi khudai hai
Meri taqdeer hai jo use mere kareeb le aayi hai.......

hamendra
January 17th, 2006, 04:44 PM
Har Taraf Khamoshi Ka Saya Hai
Zindagi Me Har Kisee Ko Khamosh Paya Hai
Jam Ke Sahare Hum Yadon Me Jhumte Hai
Or Zammana Kehta hai......
Dekho Aaj Fir Peekar Aaya Hai.

ravi.shekhar
January 17th, 2006, 05:53 PM
wah hemendra ji, RK ji, Dev ji aap sab ne to kamal hi kar diya. aaj to bina piye hi shayeri ke nashe mein Jhumne lage hai.
contnd... ,

Cheers
R.S.Singh
Meerut(U.P.)

dndeswal
January 17th, 2006, 06:48 PM
The following sher is fit for today's 'rishwatkhor' politicians (when even one leader is enought to ruin the whole country, what will happen if all of them are of the same category):

BARBAAD CHAMAN KO KARNE KO
JAB EK HI ULLOO KAAFI HAI...
ANZAAME GULISTAN KYA HOGA -
HAR SHAAKH PE ULLOO BAITHE HAIN

hamendra
January 19th, 2006, 08:10 PM
Jitni Fursat Se Khuda Ne Us Haseena Ko Nahin Banaya,
Utni Fursat Se Insaan Ne Sharab Ko Banaya
Usne To Pyar Ko Bewafai Ka Naam De Diya,
Sharab Ne Marte Dam Tak Mujhe Sahara Diya

Kaash Husn Ko Bhi Insaan Ne Banaya Hota,
To Bewafai Ka Nishan Tak Na Hota

nikitadhaiya
January 19th, 2006, 08:21 PM
agar husn ko insaan ne banaya hota
to sharaab maykhaane jaam shayari aur jatland ka kya hota

cooljat
January 19th, 2006, 08:45 PM
ek dum kadak
jaise apni deis Old monk XXX Rum ;)
aur aane do nashili shayri

rock on
Jit

Jitni Fursat Se Khuda Ne Us Haseena Ko Nahin Banaya,
Utni Fursat Se Insaan Ne Sharab Ko Banaya
Usne To Pyar Ko Bewafai Ka Naam De Diya,
Sharab Ne Marte Dam Tak Mujhe Sahara Diya

Kaash Husn Ko Bhi Insaan Ne Banaya Hota,
To Bewafai Ka Nishan Tak Na Hota

sjakhars
January 19th, 2006, 08:55 PM
Kya baat hai Ham bhai. shubhanallah.....
Lagta hai doobe hue rahte rahte ho........
Keep on posting nashili shayari.

Jitni Fursat Se Khuda Ne Us Haseena Ko Nahin Banaya,
Utni Fursat Se Insaan Ne Sharab Ko Banaya
Usne To Pyar Ko Bewafai Ka Naam De Diya,
Sharab Ne Marte Dam Tak Mujhe Sahara Diya

Kaash Husn Ko Bhi Insaan Ne Banaya Hota,
To Bewafai Ka Nishan Tak Na Hota

hamendra
January 19th, 2006, 10:32 PM
Kya baat hai Ham bhai. shubhanallah.....
Lagta hai doobe hue rahte rahte ho........
Keep on posting nashili shayari.

Jakhar Bhai,
Ghar se jab idhar aaya tha, to soch ke aaya tha, Kuchh kama ke le jaonga, aab to easa lagta hai, yahan se bager kapde hee na jana pade.

Shayri-e-Sharab likhte - 2 khud sharabee ho gaya hoon sir Jee

sjakhars
January 23rd, 2006, 09:00 PM
Ham bhai ye achchhi baat nahi.
aur aapke bina ye shayari-e-sharab sooni padi hai.
Kuchh post karo yahan whisky/Rum/gin me dooba hua.:D
Waise beer bhi chalegi.:D :D

dahiyasaab
January 24th, 2006, 01:07 PM
Chupke se aap humse, daman chuda rahe the, Gairo se ja milkar, humko bhula rahe the, Hume ye malum na tha, aapne bhi paraye hai, Humto nasheme aapke, duniya bhula rahe the.

sjakhars
January 24th, 2006, 01:59 PM
Wah..wah subhanallah.
Dahiya saab bahut badhia.

dahiyasaab
January 25th, 2006, 08:02 PM
Tujhse mile ik zamana hua,
Maikhane jane ka bahana hua.
Jaam jab saaqi ne pilaya apne haathon se,
ek muddat ke baad mera hosh mein aana hua.

Sheeshe mein dekha,ik ajnabi tha saamne,
tere ishq mein kaisa main khud se begana hua.

Zikr fir tera aaya,jab chala daur-e-jaam,
lutna fir shuru mere ashqon ka khazana hua.

Socha teri yaad ko pi jaaoon mai mein ghol kar,
yaadein aati rahi magar band maikhana hua.

Girte ladkhadaate ja pahuncha tere darwaaze tak,
jo purane zakhmon ne di duhai,na fir mujhse khatkhataana hua

hamendra
January 30th, 2006, 01:59 PM
Saara Samandar Pee Liya,
Phir Bhi Sharab Teri Pyaas Baaki Thi
Sabko Saathi Banakar Dekh Liya,
Sirf Ek Sharab Ki Kami Baaki Thi

Saari Duniya Dekh Li,
Ek Sharab Ki Jhalak Baaki Thi
Khuda Ka Dar Bhi Dekh Liya,
Ek Mehkhane Ki Gali Baaki Thi

sjakhars
January 31st, 2006, 02:30 PM
sharab bhi pi li samandar bhi pi liya shaki
magar wo nasha kahan jo dilbar ki aankhon me hai.
door tak veerana hai najar kuchh aata nahi
phir bhi tasveer-e-yaar kyun meri aankhon me hai.

mukeshkumar007
January 31st, 2006, 05:17 PM
sharab bhi pi li samandar bhi pi liya shaki
magar wo nasha kahan jo dilbar ki aankhon me hai.
door tak veerana hai najar kuchh aata nahi
phir bhi tasveer-e-yaar kyun meri aankhon me hai.

bhai lagta hai dukan wale ne nakli sharab de di hai...

sjakhars
February 1st, 2006, 02:46 AM
asli ho ke nakli ho koi fark nahi saaki
mujhe to use yaad karne ka bahana chahiye.
Jab bhi maikhane ki taraf kadam badhaun main
logon ki juban par uska naam aana chahiye.

shivamchaudhary
February 5th, 2006, 09:18 PM
jam pe kar apne gam ko kahan kam kiya maine.....
har waqt teri yaad main aankh ko nam kiya maine.......
chaha tha tujhe bhoolna par yaad hi kiya maine......
aur zindagi ke bad bhi kabrr se haath nikal kar tera intezar kiya maine...........

downtoearth
February 6th, 2006, 08:40 PM
jam pe kar apne gam ko kahan kam kiya maine.....
har waqt teri yaad main aankh ko nam kiya maine.......
chaha tha tujhe bhoolna par yaad hi kiya maine......
aur zindagi ke bad bhi kabrr se haath nikal kar tera intezar kiya
maine........... areyy merey bhai satyam shivam sundaram:D ,,, sher mein aur photu mein itna sanjida kyu ha gaya dost.......
good going ,,,

hamendra
February 13th, 2006, 07:37 PM
Jise Saari Zindagi Apna Samjha, Woh Bewafa Nikli,
Unki Yaad Aai To Unke Naam Se Hi Dil Behla Liya
Raat Ko Bechain Hokar Jab Sharab Ki Boutal Uthai, Woh Khali Nikli,
Humne Roshni Karke Boutal Ke Saaye Se Hi Dil Behla Liya

hamendra
February 14th, 2006, 08:16 PM
Naa Kissee Makaam Kee Talash Hain,
Naa Kissee Thikane Kee Talash Hain,
Main To Deewana Houn Tanhaiyo Ka,
Mujeh Bus Maikhane Kee Talaash Hain.

vijay
February 14th, 2006, 08:37 PM
Naa Kissee Makaam Kee Talash Hain,
Naa Kissee Thikane Kee Talash Hain,
Main To Deewana Houn Tanhaiyo Ka,
Mujeh Bus Maikhane Kee Talaash Hain.

Sahi kaha Hamendra bhai....

Sharab cheez hi aisi hai na chhodi jaye
Ye mere yaar ke jaisi hai na chhodi jaye
Har ek shei ko jahan main badalate dekha hai
Magar ye waisi ki waisi hai na chhodi jaye

devdahiya
February 14th, 2006, 08:56 PM
Sahi kaha Hamendra bhai....

Sharab cheez hi aisi hai na chhodi jaye
Ye mere yaar ke jaisi hai na chhodi jaye
Har ek shei ko jahan main badalate dekha hai
Magar ye waisi ki waisi hai na chhodi jaye

Ishq ne peena sikhaya,meikhane ne diya pyar inteha
Agar meikhana nahi hota,to hum jate to jate kahan

vijay
February 14th, 2006, 09:41 PM
Ishq ne peena sikhaya,meikhane ne diya pyar inteha
Agar meikhana nahi hota,to hum jate to jate kahan

Is duniya main gum peene wale
Ek had tak devdas hote hai
Khoon de de ke bharna padta hai
dard jab khali gilaas hota hai

stokas
February 15th, 2006, 02:26 AM
Sheikh karta hai masjid mein khuda ko sajde,
Uske sajdo mein asar ho, yeh zaroori to nahi!

Sab ki nazaron mein ho saaki, yeh zaroori hai magar,
Sab pe saaki ki nazar ho, yeh zaroori to nahi!!

vijay
February 15th, 2006, 02:47 AM
Sab ki nazaron mein ho saaki, yeh zaroori hai magar,
Sab pe saaki ki nazar ho, yeh zaroori to nahi!!

Aaj saaki ko pila di jayegi
Bus yahi usko saja di jayegi
Aag dil main dabi hai jo pyar ki
Aaj phir usko hawa di jayegi

niraj191
February 16th, 2006, 03:51 PM
agar aisa hai ki saza saqi ko mile
to sabse pehle saza mere yar ko mile
saqi ke hatho se to mujhe dava mile
paimana to mujhe yar ki aanko se mile

maikhane me unhone is kadar kaher hai dhaya
hamne rindo ke sath saqi ko bhi ladkhada sa paya

rindo==sharabies

hamendra
February 27th, 2006, 08:58 PM
Sharab Tu To Khamosh Hai,
Tujhe Peekar Mujhe Zubaan Lag Jaati Hai
Tu Kya Mere Andar Jaati Hai,
Baar Baar Zubaan Us Husn Ka Naam Leti Hai

Unko Khabar Hai Mere Tute Hua Armano Kee
Aaj Jarurat Padegi Kaanch Ke Paimano Kee
Khali Na Hone Dena Jaam Yaro
Varna Fir Se Yaad Aa Jayegi Guzre Jamano Kee.

mukeshkumar007
February 28th, 2006, 10:15 AM
Unko Khabar Hai Mere Tute Hua Armano Kee
Aaj Jarurat Padegi Kaanch Ke Paimano Kee
Khali Na Hone Dena Jaam Yaro
Varna Fir Se Yaad Aa Jayegi Guzre Jamano Kee.

very nice bhai wa wa wa.....

dhayal
March 9th, 2006, 02:38 PM
Tujhse mile ik zamana hua,
Maikhane jane ka bahana hua.

Jaam jab saaqi ne pilaya apne haathon se,
ek muddat ke baad mera hosh mein aana hua.

Sheeshe mein dekha,ik ajnabi tha saamne,
tere ishq mein kaisa main khud se begana hua.

Zikr fir tera aaya,jab chala daur-e-jaam,
lutna fir shuru mere ashqon ka khazana hua.

Socha teri yaad ko pi jaaoon mai mein ghol kar,
yaadein aati rahi magar band maikhana hua.

Girte ladkhadaate ja pahuncha tere darwaaze tak,
jo purane zakhmon ne di duhai,na fir mujhse khatkhataana hua

ravi.shekhar
March 10th, 2006, 01:43 PM
:cool: Rok do mere janaze ko,
maine kaha rok do mere janaze ko mugh mein jaan aa gayi hai,
Abe peeche mudd ke dekho salo darru ki dukan aa gayi hai----

cheerrrrrrrss
R.S.Singh
Meerut (U.P.)

hamendra
March 13th, 2006, 09:49 PM
Shaarab Hee To Sharabi Kee Jaan Hotee Hai,
Sharabi Se Sharab Kee Pehchaan Hotee Hai,
Unhe Kabhee Gum Na Hua Hoga,
Jinkee Rooh Sharab Se Anjaan Hotee Hai.

sjakhars
March 14th, 2006, 12:31 PM
Ham bhai back with a bang.
bahut badhia bhai.

hamendra
March 22nd, 2006, 08:17 PM
Phir Aaj Itna Suroor Kaise,
Ye Mujhe Me Itna Junoon Kaise,
Naa Teree Aankhon Ke Jaam Piye,
Naa Tere Honthon Ke Pemane Chhuye,
Phir Aaj Itna Suroor Kaise,
Ye Mujhe Itna Junoon Kaise.

hamendra
April 7th, 2006, 02:59 PM
Kaash Kisine Hume Apni Zindagi Mein Shamil Kar Liya Hota,
To Aaj Humne Apni Zindagi Mein Sharab Ko Shamil Na Kiya Hota

Kaash Ek Baar Kisine Apne Labon Se Mera Naam Liya Hota,
To Aaj Hamare Labon Se Sharab Ka Pyala Na Laga Hota.

panwar18
April 7th, 2006, 03:57 PM
Gila tujse koi nahi,
gila apni majburiyon se karte hain,
Tu aaj humare karib na sahin ae dost,
mohabbat to hum teri duriyon se bhi karte hain.

rkumar
April 7th, 2006, 04:07 PM
mere mukaddar ne mera sab kuch loot liya
labon tak aate hi, mera paimana toot gaya
kis se karen jakar e dost ub shikayat
mujh se jab mera mahboob bhi rooth gaya

RK^2

hamendra
April 13th, 2006, 10:24 AM
Log Jeene Ke Liye Jeete Hain,
Hum Saza Kaatne Ke Liye Jee Rahe Hain

Log Shauk Ke Liye Peete Hain,
Hum Gam Mitane Ke Liye Peete Hain

rana1979
April 14th, 2006, 12:43 AM
Logo ne sharab mehkhane ja ja kar pee hai,
jo do pal mein utar jayegi
humne to pee hai apne mehboob ki aankho se,
jo umar bhar naa utar payegi....

hamendra
April 17th, 2006, 06:34 PM
Koi Kahata Hain Jindagi Zeher Hoti Hain.
Koi Kahata Hain Jindagi Keher Hoti Hain.
Main To Kahta Houn Jo Tadapti Rahe Hamesha Kinare Ke Liye.
Jindagi Eak Eisee Leher Hoti Hain..

Tanhaai Wo Nahi Jo Akele Main Aatee Ho.
Tanhaai Wo Hain Jo Mahfil Main Bhee Tanha Kar Jaati Ho..

hamendra
April 19th, 2006, 07:36 PM
Gam Tu Mujhe Na Satana,
Mehkhana Hamare Liye Band Ho Chuka Hai
Aaine Tu Mujhe Mera Chehra Na Dikhana,
Khud Se Nafrat Si Ho Gai Hai
Khuda Tu Mujhe Apne Paas Na Bulana,
Tujh Se Bhi Nafrat Ho Gai Hai

hamendra
May 4th, 2006, 09:42 PM
Maikhane Mein Aa Kar ,
Hosh Kee Batein Naa Kar

Mujhe Apna Dard Kuchh Pee Lene De,
Lamha Do Lamha Jee Lene De

La Ke Ea Saaqee Eak Jaam,
Apnee Mast Nighaon Ka Mere Naam

Aaj Peekar Tere Dar Par,
Main Jeena Chahata Hoon Khud Hee Ko Bhool Kar

Maikhane Mein Aa Kar ,
Hosh Kee Batein Naa Kar

Madhosh Hoon Aaj Main Bin Peeye,
Nasha Kaafi Hai Saaqee Ka Jeene Ke Liye

Main Chuka Naa Sakoonga Eahasaan Markar,
Aaj Kee Raat Pee Lene De Jee Bhar Kar

Maikhane Mein Aa Kar ,
Hosh Kee Batein Naa Kar

dhayal
May 5th, 2006, 07:10 PM
Har Insaan Mein Khuda Betha Hai,
Jab Mein Peeta Hoon To Khuda Bhi Peeta Hai
Kaun Kehta Hai Sharab Buri Cheez Hai,
Jab Khuda Bhi Use Peeta Hai
:D :D

--------------------------------------------------------------

Aaj Jo Seene Mein Dard Bhara Hai,
Unki Tasveer Ko Seene Se Lagane Ki Saza Hai

Aaj Jo Sharab Ki Boutal Haath Mein Hai,
Unka Haath Thamne Ki Saza Hai

-------------------------------------------------------------

Sabke Haathon Mein Kisi Na Kisi Ka Haath Hai,
Hamare Haathon Mein Sirf Sharab Hai
Sabki Aankhon Mein Koi Haseen Chehra Basa Hua Hai,
Hamari Aankhon Mein Sirf Uska Khawab Basa Hua Hai

------------------------------------------------------------

Aapko Doosra Saathi Mil Gaya,
Aur Hume Sharab Mil Gai
Aapki Doli Sasuraal,
Aur Hamari Doli Mehkhane Chali Gai

Doli To Dono Ki Uthi,
Magar Woh Suhagan Ban Gai Aur Hum Sharabi,
Unki Zindagi Mein Khushiyan Aa Gai,
Aur Hamari Zindagi Mein Barbadi
.

dhayal
June 10th, 2006, 03:53 PM
lagta hai jat bhai logon sharab pina band kar diya hai ish liye ye thread bhi suna suna pada hai

choudharyneelam
June 11th, 2006, 10:10 PM
hmmmmm to aaj kam se kam ye to pata chala ki kaun kaun drink karta hai....kuchh jyada hi adat daal rakhi hai drinks ki jo ki itni great shayari aa rahi hain ek ke baad ek.....anyway good going but guys drink milk/curd instead of beer/whisky that will make you more healthy

ratheetheraist
June 11th, 2006, 10:15 PM

exactly......... haha....... bt neelam ji yaa baat aap kiss kee aage kaho hoo....... ye tee DAARU kee kasuuti dhaal chipatt re sain.... ye nahi chodden innee.......:p;):D:D

choudharyneelam
June 11th, 2006, 10:29 PM
exactly......... haha....... bt neelam ji yaa baat aap kiss kee aage kaho hoo....... ye tee DAARU kee kasuuti dhaal chipatt re sain.... ye nahi chodden innee.......:p;):D:D

abhi sabki mummy ya wife ko pata chale to sab thikane lag jaayenge aur doodh par shayari likte dikhayi denge.......to sabke address le ke inki sahyari post kar do sabke address pe....mere bhaiya ko to main dekh lungi.....jyada bigad gaye hain sab aur naa badon ko sharam aati chhoton ko aur uksa rahe hain.....class leni padegi sabki;):D :D

ratheetheraist
June 11th, 2006, 10:31 PM

class main kaam koni chaalee neelam ji..... haha...... inkee tee santii todnii padengii ek do DARJAN..... hahaha........ khi khi;):D:D:cool:

vijay
June 11th, 2006, 10:39 PM
Bahut dino ke baad mile hain bhoole bichhade yaar
Apna apna gum bahalaayen, saaki bottle khol
Kiske dil pe kya kya gujri kisne kya kya jakhm khaye
Ek doosre ka dil bahalaayen, saaki bottle khol

ratheetheraist
June 11th, 2006, 10:48 PM
Bahut dino ke baad mile hain bhoole bichhade yaar
Apna apna gum bahalaayen, saaki bottle khol
Kiske dil pe kya kya gujri kisne kya kya jakhm khaye
Ek doosre ka dil bahalaayen, saaki bottle khol

bichdee yaar hain millee par unkii yaade nahi bichdii
gamm unke diye hain par unki chaah nahi bichdii
saaki bottal khol de aaj saari tere maikhaane kii
deekhen aaj pehmaano main rehti hai ya gamm hamare dil main

vijay
June 11th, 2006, 10:57 PM
bichdee yaar hain millee par unkii yaade nahi bichdii
gamm unke diye hain par unki chaah nahi bichdii
saaki bottal khol de aaj saari tere maikhaane kii
deekhen aaj pehmaano main rehti hai ya gamm hamare dil main

Yaaron ka gum kya hota hai kya janoge
Dil se dil ka rishta tha aur jaan se jaan ka
Aj jee bhar ke pee lene de humko saaki
Kal se sauda kerenge insaano se imaan ka

ratheetheraist
June 11th, 2006, 11:06 PM
Yaaron ka gum kya hota hai kya janoge
Dil se dil ka rishta tha aur jaan se jaan ka
Aj jee bhar ke pee lene de humko saaki
Kal se sauda kerenge insaano se imaan ka

yaaron ka rishta kya hota hai saakii sunaaun kaise
jab dil toota to kyaa aawaazz aai sunaaun kaise
par aaj ye soch raha hun ke ye dill fir se judd jaaega
tere maikhane ka ek ek pyaala iss dil main sama jaaega

vijay
June 11th, 2006, 11:20 PM
yaaron ka rishta kya hota hai saakii sunaaun kaise
jab dil toota to kyaa aawaazz aai sunaaun kaise
par aaj ye soch raha hun ke ye dill fir se judd jaaega
tere maikhane ka ek ek pyaala iss dil main sama jaaega

In sheeshe ke pyalon ke kya umeed karen
Jo ek halki so chot se toot kar bikhar jayenge
Aur ek jaam lekar paththar dil ban kar dekhen
Waqt ki har baazi hum jeet kar hi aayenge

ratheetheraist
June 11th, 2006, 11:33 PM
In sheeshe ke pyalon ke kya umeed karen
Jo ek halki so chot se toot kar bikhar jayenge
Aur ek jaam lekar paththar dil ban kar dekhen
Waqt ki har baazi hum jeet kar hi aayenge

baazii dill kii haaree ee dost hum waqt chalta raha
dil ke tukkdee huee ee dost aur waqt chalta raha
par iss waqt kaa hi intazaar karte rehte hain ee dost
ke aaj unka waqt hai kal hamara waqt bhi aaega ee dost

shobhitdeshwal
June 12th, 2006, 12:37 AM
Roz khulti hai botal kisi bewafa ke naam se.....
Roz hoti hai shaam, uski bewafai ke jaam se......
Hum ujde hue baithe hain uski muhabbat me....
voh baithi hai kisi gair ki bahaon me aaram se.....
Kisko padta hai mere peene se farak deshwal.....
Kisko yaad aata hai kuch ab mere naam se......

sharab itni na pee lun kahin ke naam tera har harf pe ubhar aaye.....
kahin main khud ko bhool jaun aur phir dard aankhon me bhar aaye....

.

vijay
June 12th, 2006, 12:55 AM
Roz khulti hai botal kisi bewafa ke naam se.....
Roz hoti hai shaam, uski bewafai ke jaam se......
Hum ujde hue baithe hain uski muhabbat me....
voh baithi hai kisi gair ki bahaon me aaram se.....
Kisko padta hai mere peene se farak deshwal.....
Kisko yaad aata hai kuch ab mere naam se......

Ye bottle hi bewafaai ka naam hai
Jo har roz khull jaati hai mere liye
Ye usko kya maloom ki mohabbat kya hai
Woh aajkal nahin muskurati mere liye

ratheetheraist
June 12th, 2006, 01:08 AM
Ye bottle hi bewafaai ka naam hai
Jo har roz khull jaati hai mere liye
Ye usko kya maloom ki mohabbat kya hai
Woh aajkal nahin muskurati mere liye

wo din thee kabhii humare khaayaal se bhi muskara diya kartee thee
aaj aalam hai kee hamare saamne aane par muh faer liya kartee hain
lagta hai kabhi wo hamaare kadmoon ki aahat ko pehchaane hi nahin
warna mohabbat karne waale to millon door se aah ko mehsoos kar lete hain

shobhitdeshwal
June 12th, 2006, 01:19 AM
Waqt badal gaya ki voh badal gaya
afsana pyar ka pyale me dhal gaya
kahani adhoori reh gayi.. kissa khatam na hua
Andhiyan chali aur bechara dil jal gaya
Kusoorvar to hum na the pyar ki jung me
phir kyun dil botal ke aage machal gaya???

vijay
June 12th, 2006, 01:19 AM
wo din thee kabhii humare khaayaal se bhi muskara diya kartee thee
aaj aalam hai kee hamare saamne aane par muh faer liya kartee hain
lagta hai kabhi wo hamaare kadmoon ki aahat ko pehchaane hi nahin
warna mohabbat karne waale to millon door se aah ko mehsoos kar lete hain

Kya kisi pe wisvash karoge har kadam pe dokha hai
Woh kya saamne aayenge jinki fitrat bewaafai hai
Humaare kadamon ki aahat se badal jayengi taqdeeren
Ye zindagi kahan is maut ke samne haar pai hai

ratheetheraist
June 12th, 2006, 01:27 AM
Kya kisi pe wisvash karoge har kadam pe dokha hai
Woh kya saamne aayenge jinki fitrat bewaafai hai
Humaare kadamon ki aahat se badal jayengi taqdeeren
Ye zindagi kahan is maut ke samne haar pai hai

jaante hain ee dushman tera naam dhokhaa hi hai
parr fir bhi iss dil ko hamesha tujh main ek dost paya hai
aaj laut karr aai hai yaad terii tujhe khawaab main dekh kar
aur jab khawaab se bahar niklee to is pyaale main ek dost paya hai

dhayal
June 12th, 2006, 01:29 PM
hmmmmm to aaj kam se kam ye to pata chala ki kaun kaun drink karta hai....kuchh jyada hi adat daal rakhi hai drinks ki jo ki itni great shayari aa rahi hain ek ke baad ek.....anyway good going but guys drink milk/curd instead of beer/whisky that will make you more healthy

rrreeeee neelam daroo mein toh nai peeta lekin shayari karne se kyo chuken, akhir peene wale shayri jo achhi karte hai. hahahahhahaha
:D

choudharyneelam
June 12th, 2006, 07:25 PM
hey friends you all are doing well ....but come out with some happy mood now and leave all this befai

skdca
June 13th, 2006, 02:05 PM
Rok do mere janaze ko, mujh me jaan aa gai hai...
Saalo zara mud ke dekho, daru ki dukan aa gai hai....:D :D :D

dhayal
June 14th, 2006, 04:00 PM
Roz khulti hai botal kisi bewafa ke naam se.....
Roz hoti hai shaam, uski bewafai ke jaam se......
Hum ujde hue baithe hain uski muhabbat me....
voh baithi hai kisi gair ki bahaon me aaram se.....
Kisko padta hai mere peene se farak deshwal.....
Kisko yaad aata hai kuch ab mere naam se......

reee itani bewafa banata he kyo hai

shobhitdeshwal
June 14th, 2006, 09:31 PM
reee itani bewafa banata he kyo hai

Sarr Jhukaoge to pathhar DEVTA ho jaayega...
Itna mat chaho use voh BEWAFA ho jaayega......
The same happened... ha ha ha ha ha... Kuch zayada chahat kar li!!!!

Rooth jaana to Muhabbat ki alamat hai magar..
kya khabar thi humse voh aise JUDA ho jaayega????

vijay
July 8th, 2006, 11:19 PM
Kaun kahta hai ke ye sharaab buri cheez hai
Humen to waqt ne shikhaya ke vishwas boora hai
Kisi daag daaman ke chhinte mere kapdon pe lage
Bewafa ki mohabbat mein loot jaane ka ehsas boora hai

hamendra
July 10th, 2006, 06:54 PM
Tumhe Apna Samajhkar Jo Paap Kiya Tha,
Use Sharab Peekar Dho Raha Hoon
Haqiqat Mein To Aap Mil Na Saki,
Aapke Khawab Dekhkar Jee Raha Hoon

Sharab Tu To Khamosh Hai,
Par Tere Andar Bhee Eak Dard Choopa Hai,
Peene Ko Dil To Nahee Kar Raha Hai,
Par Dil Ko Aashara Dene Ke Liye Pee Lete Hai,
Tujhe Peekar Mujhe Zubaan Lag Jaati Hai
Tu Kya Mere Andar Jaati Hai,
Baar Baar Zubaan Par Us Beete Lamhe Kee Yaad Aatee Hai.

rkumar
July 10th, 2006, 07:19 PM
muddat ke baad fir khule, darwaze aaj maikhaane ke
botlen neyee hain par sharabi wohi hai maikhaane pe
ne jaane magar saaki kahan rah gayee hai aabhi tak
es se pehle ki jaam chalken fir se aaj maikhaane pe

RK^2

vijay
July 10th, 2006, 07:23 PM
Jisko apna samajha tha kabhi humne
Woh chhalawe ki tarah aye aur chal diye
Kya anshoo bahana kisi bewaafa ke liye
Gum bhulaane ko maikhane ki aur chal diye

sjakhars
July 10th, 2006, 10:36 PM
Jab unki yaadein gher leti hain har shaam muje,
ashq hazaron in aankhon me chhalkate hain,
dil unki har baat pe rota hai pal pal
aur kadam bas maikhane ki taraf nikalte hain
begano me wafa ki talash na kar "sahil"
tere to apne bhi aksar bewafa nikalte hain.

Jisko apna samajha tha kabhi humne
Woh chhalawe ki tarah aye aur chal diye
Kya anshoo bahana kisi bewaafa ke liye
Gum bhulaane ko maikhane ki aur chal diye

vijay
July 10th, 2006, 10:47 PM
Jab unki yaadein gher leti hain har shaam muje,
ashq hazaron in aankhon me chhalkate hain,
dil unki har baat pe rota hai pal pal
aur kadam bas maikhane ki taraf nikalte hain
begano me wafa ki talash na kar "sahil"
tere to apne bhi aksar bewafa nikalte hain.

Jinhe apna samajha tha woh begana nikla
Is duniya mein har shakhs begana nikla
Jiske liye zindagi ki tamanna mangee thi
Woh chehra to aaj sirf ek afsaana nikla

hamendra
July 17th, 2006, 08:41 PM
Pee Jau Teri Aankho K Jam
Jisme Pura Mehkhana Basa Hai
Khumar Jo Teri Aankho Mein Hai
Aisa Nasha Kisi Meh Mein Naa Mila Hai
Sharab Se To Insaan Behak Jaata Hai Magar
Teri Aankho Mein Mila Mujhe Mohabbat Ka Jahaa Hai.

rkumar
July 17th, 2006, 09:05 PM
Jinhe apna samajha tha woh begana nikla
Is duniya mein har shakhs begana nikla
Jiske liye zindagi ki tamanna mangee thi
Woh chehra to aaj sirf ek afsaana nikla

Jinhe begana samjha tha wo upne nikle
jinhe haqikat samjha tha wo sapne nikle
kitni ulat palat hai yeh duniya yaro
kisi ko hansi aati hai, jab mera dam nikle

RK^2

choudharyneelam
July 17th, 2006, 09:19 PM
Jinhe begana samjha tha wo upne nikle
jinhe haqikat samjha tha wo sapne nikle
kitni ulat palat hai yeh duniya yaro
kisi ko hansi aati hai, jab mera dam nikle

RK^2

life aisi hi hoti hai Sir....hahahaha...likhte raho acchi acchi shayari

prashantacmet
August 9th, 2006, 02:15 PM
rok do mere janaze ko
mujme jaan aa gayi hai
zaro peeche mudkar dekho
daaru ki dukaan aa gayi hai..........

cheelu
August 11th, 2006, 09:55 PM
Kuch unkahe kisse bhi fasaane ban jaya karte hain
N sunane n kehne ke banane hazar ban jaya karte hain
Gam kam nahi hote yahan chahne waalon ke
Sirf gamojaam ke liye makhaane kam pad jaya karte hain

vijay
August 11th, 2006, 10:34 PM
Kuch unkahe kisse bhi fasaane ban jaya karte hain
N sunane n kehne ke banane hazar ban jaya karte hain
Gam kam nahi hote yahan chahne waalon ke
Sirf gamojaam ke liye makhaane kam pad jaya karte hain

Woh ankahe kisse to ab afsaane ban gaye
Shayad hum kisi teer ke nishaane ban gaye
Gum bhulaane gaye jab maikhaane mein
Unki zubaan se nikle lafz paimaane ban gaye

cheelu
August 18th, 2006, 04:40 AM
N jeene waalon ki kashti me sawaar the
Tere kaaran duniya ne kashti se utaar diya

Mere saath hone se, logo ne tumse sawaal kiye
Jawabbo ke waaste tune zindagi se nikaal diya

Har taraf gam me jeene waale hi nazar aaye
Unki basati me humne in kadamo ko utaar diya

N peete the to har khushi me aansoo aate the
Ab, is peene ne to har gam me hansna sikha diya

Jeene waalon se jeena sikha tha
Ab peene waalon ne peena sikha diya

vijay
August 18th, 2006, 05:18 AM

Ye zindagi jo ab tak thi andhere mein
Aaj tere pyar ne aake isko sanwaar diya

Ek ehsaas jo dil mein rahta tha hardum
Teri mohabbat ki chahhat ne aaj ubhar diya

Es dil ke ander dard tha teri hi mohabbat ka
Tumhare dard ko humne seene mein uttar diya

Ek mohabbat thi jo humne teri zindagi pe war di
Har paimaana humne teri tamanna mein waar diya

cheelu
August 18th, 2006, 07:02 AM

Is dosti ke pyaar ko mohabbat n kehna
jo kare ye wada use is dosti ka sansaar diya

khushi me itni peeya karte hain hum sada
ke gam ne bhi khushiyon ka daman swikaar kiya

sirf humne akele kabhi koi dard saha hi nahi
har us dost ko bata ek gam unpe udaar kiya

jis jahan me ko dosti aur chahat se dekha
usi jahan ne maikhane me hume utaar diya

vrshokeen
August 18th, 2006, 04:18 PM
Kya Jarorrat saki kee kya kam paimane se
salamat rahe "unki" ankhe matlab kya hame mykhane se

meetu
August 18th, 2006, 04:43 PM
Na tujhe chorr sakte hain... tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte...

Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai ...
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahin sakte...

Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte.....

Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte......

Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab toh....
Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte...

pretty senti i guess much unlike me but tas the ongoing theme i suppose