PDA

View Full Version : Shayri-e-Dard



hamendra
February 23rd, 2005, 10:36 AM
Dard-e-dil chupaane mein mazaa aata hai...
Aap puchhe to bataane mein mazaa aata hai...
Youn to tanha rahon ko dost banaate aayen hain...
Gar aap saath chalen to mehfillen sazaane mein mazaa aata hai.

Aapka,
Hamendra

hamendra
February 23rd, 2005, 04:41 PM
tanha si ho gayi hoon mein sab kuch hote hue
saari umar guzaari hai meine to rote hue

din to kat te rahe hai mere gammon ko samone mein
raatein guzari hai meine,aashko ki mala pirote hue

eh mere khuda kya taqdeer banayi hai toone meri
tamaam umar kateghi kya meri gamon ko dhote hue

kisi ne loota chain mera,kisi ne meri neendo ko loota
har din guzra hai mera,kuch na kuch khote hue

jholi pailaye khada hoo tere dar pe
aapne paas bulale kabhi yu hi sote hue!

devdahiya
February 23rd, 2005, 05:59 PM
Very Nice Hamendra.................keep It Up!

hamendra
February 24th, 2005, 09:07 AM
Apni Ankhon mein Basakar tujh ko
Teri Ankhon mein Khud ko pana chahte hain

Duriyon ka Ehsas na ho jara bhi
Aise hum tujh mein Samana chahte hain

Bekhudi kuch toh kam ho meri Sanson mein
Madhosh teri Sanson ko Thamna chahte hain

Khamosh Fasana Apne Dil ka
Unke Lafzon mein Sunana chahte hain

Kitne kareeb wo Khushnaseeb Pal hain "roop"
Yakeen aise Manzar ka khud ko Dilana chahte hain

hamendra
February 25th, 2005, 09:21 AM
kya jaane kab maut aa jaaye,
intezar hai ki hum tere kaam aa jaaye,
yeh mat sochna ki bhul jaayenge tujhe
pardes rehkar bhi yaad aayenge tujhe.

zindagi mein kya khaak gum milenge
tere hoslon se to kam milenge,
agar museebat aa bhi jaaye
toh teri yaad se hi bhag jaaye

Dil rota hai, ankh bhar aati hai,
Kaisi yeh ajib pareshani hai,
Dil ke darwaaze pe dastak ho rahi hai,
Pardes mein tumhari yaad sata rahi hai.

hamendra
March 10th, 2005, 07:15 AM
kudrat ke karishmo mein agar raat na hoti
khwabon mein bhi unse mulakat na hoti
ye dil har ek gham ki wazah hai
ye dil hi na hota to koi baat ha hoti

hamendra
March 14th, 2005, 03:49 PM
maine rukne ko nhain kahta
yeh bhi nahi kahta k mat jao
bas ik baat pochni hay,k tumhare baad
jab tumhari yaad aye ...to..kiya karna hoga????

rkumar
March 14th, 2005, 07:57 PM
maine rukne ko nhain kahta
yeh bhi nahi kahta k mat jao
bas ik baat pochni hay,k tumhare baad
jab tumhari yaad aye ...to..kiya karna hoga????

arrey mian bhala yah bhi koi baat huee...

" jab yaad meri aaye, milne ki duaa karnaa"....

RK^2

anujkumar
March 15th, 2005, 12:40 AM
nice stuff.. post more

hamendra
March 15th, 2005, 09:16 AM
arrey mian bhala yah bhi koi baat huee...

" jab yaad meri aaye, milne ki duaa karnaa"....

RK^2

BEETE DINO KI BAAT BHULAU KAISE .
PYAAR KI PAHALI MULAQAT BHULAU KAISE.

AAKHON ME APANE LAAKH SAPANE SAJAYE MAINE ,
AAJ AASNHUO ME UNHE MAIN BAHAU KAISE.

ROOH SE UTH KE LAFJ AATE HAIN JUBA PE MERE,
KHULATE HAIN LHUD BA KHUD HOTH NA GAAOU KAISE.

MAHAL UMMID KE CHUN CHUNKE BANAYE MAINE,
AAPANE HAATHON HI UNHE AAJ GIRAOU KAISE.

HOTH KHAMOSH THE AUR AANKH BAAT KARATI THI,
SHOKHIYON SE BHARI WO RAAT BHULAUOU KAISE.

PADATE HAIN PAIR ME CCHALE CHALATE CHALATE,
CHALAKE NAZDIK TERE PAAS MAIN AAUOU KAISE.

drrajpoonia
March 15th, 2005, 05:56 PM
really really mindblowing...........syayri

keep it well done

hamendra
March 16th, 2005, 10:22 AM
Kaash Ke Hum Mar Jaate Tum Pe Marne Se Pehle,
Dil Ko Aaram Milta Dard Milne Se Pehle

Dil itna naazuk hota hai ke,
isski tootne ki awaaz bilkul nahi aathi,


really really mindblowing...........syayri

keep it well done


Dhanyabad Dr. Poonia

amar0974
March 16th, 2005, 11:13 AM
Bahut badhia bhai. Or aan do............

Dard-e-dil chupaane mein mazaa aata hai...
Aap puchhe to bataane mein mazaa aata hai...
Youn to tanha rahon ko dost banaate aayen hain...
Gar aap saath chalen to mehfillen sazaane mein mazaa aata hai.

Aapka,
Hamendra

hamendra
March 18th, 2005, 04:03 PM
Tum kinara ho khyalon ki lahron ka
Tum intezaar ho her subah ki kirno ka
Tum bahaar ho gulshan kay phoolon ka
Tum hasee ho her khilti hui kaliyon ka
Tum namii ho her chaudhween ki shabon ka
Tum pari ho her aashiqon kay khwabon ka
Tum sahara ho dharkano say seenay ka
Tum bahana ho bin aarzoo bhi jeenay ka
Tum izhaar ho ek shayar kay tasavvur ka
Tum misaal ho husn-e-huroon ka

hamendra
March 22nd, 2005, 12:36 PM
Mat karo koi wada jise tum nibha na sako,
Mat chaho use jise tum paa na sako,
pyar kisi ka kahan pura hota hai ,
pyar ka pehla akchar hi adhoora hota hai

Waade Pe Woh Mere Aitbar Nahin Karte
Hum Zikre Mohabbat Sare Baajar Nahin Karte
Darta Hai Dil Unki Ruswai Se
Aur Woh Samjhate ki Hum Unse Pyar Nahin Karte


Kushi Ki Raho Mein Gum Mile To Kya Kare,
Wafa Ki Raho Mein Bewfai Mile To Kya Kare,
Zindagi Ko Kaise Bachaye Dhokhebajo Se,
Koi Haskar Dhokha De jaye To Kya Kare

Sapno Se Dil Lagane Ki Aadat Nahi Rahi,
Har Waqt Muskurane Ki Aadat Nahi Rahi..
Ye Soch K Ki Koi Manane Nahi Aayega,
Ab Hame Ruth Jane Ki Aadat Nahi Rahi...

ajayverma1973
March 22nd, 2005, 05:45 PM
Bahut Badhiya

Hamendraji,

Good one,

Cheers

rkumar
March 22nd, 2005, 07:31 PM
pyar kisi ka kahan pura hota hai ,
pyar ka pehla akchar hi adhoora hota hai

...

Pyaar ke pehle akshar pe mat ja dost
uske aage ke akshar ki bahar dekh
Pyaar ka pehla akshra kitna bhi adhoora ho,
maagar pyaar me baithe, yaar ko dekh

Pyaar=P+yaar

RK^2

hamendra
March 23rd, 2005, 11:22 AM
Pyaar ke pehle akshar pe mat ja dost
uske aage ke akshar ki bahar dekh
Pyaar ka pehla akshra kitna bhi adhoora ho,
maagar pyaar me baithe, yaar ko dekh

Pyaar=P+yaar

RK^2

Some times my mind asks-----
Why I miss u?why I care for u?
Then my heart anwers-----
Simple bcoz “mental patient need more care”

rkumar
March 23rd, 2005, 02:01 PM
Some times my mind asks-----
Why I miss u?why I care for u?
Then my heart anwers-----
Simple bcoz “mental patient need more care”

Arrey mian yeh dimag ki bimaari jara zaldi se control me lao, warna electrick shocks bhi dene par sakte hain...LOL

RK^2

hamendra
March 29th, 2005, 02:04 PM
Arrey mian yeh dimag ki bimaari jara zaldi se control me lao, warna electrick shocks bhi dene par sakte hain...LOL

RK^2

Kaash ki her cheez ki tarah , ishq biqta dil_e_majloom biqta
Kaash ki insaano ki tarah, neend biqti or sukoon biqta

hamendra
March 31st, 2005, 05:17 PM
Raat sunsaan si, bojhal si fiza ki saasen
Rooh pe chhaaye the benaam ghamoN ke badal
Dil ko ye zid thi ki tu aaye tasalli dene
Meri koshish thi ki kambkht ko nind aa jaye

hamendra
April 12th, 2005, 06:41 PM
In nigahoN main jo intzaar hai…
Mujhe bhi bas usi se pyar hai..
Khwab ki duniya main hi sahi…
Koi to hai jo mera dildaar hai…

In nigahoN main jo intzaar hai…

Uski har ada mujhe hai bulati…
Meri bekrari yuN hai badhati…
Har waqt bas ek dhun hai sunati…
Kehti hai tu hi to mera yaar hai…

In nigahoN maiN jo inzaar hai…

Har raah pe kyuN usko hi paya…
Wo mujhe kyuN apna nazar aaya…
Tab ye raaj usne mujhe bataya..
Teri aankhoN maiN mera sansar hai

In nighaoN main jo intzaar hai…

Har had se wo to anjaani hai..
Lagti mujhe kuch deewani hai…
Saaf yuN jaise ganga ka pani hai…
lab lagte mujhko kyuN angaar hai…

in nigahoN main jo intzaar hai…

kayi jawaN aks mujhse ye kehte hai…
kouN hai jo tere dil main rehte hai..
ashq mere rukh pe phir behte hai…
kehta huN wo mera ‘saccha_pyar’ hai

in nigahaoN main jo intzaar hai….

Is raat main bhale andhera chaya…
Par suraj ko ugne se kahan rok paya…
kahiN door se tabhi ek sandesha aaya
Chalo ki wo bhi tumhari talabgaar hai

In nigahoN main jo intzaar hai…
Mujhe bhi bas usi se pyar hai..

hamendra
April 29th, 2005, 01:47 PM
Woh Meri Thi Yeh Batana Ajeeb Lagta Hai
Ab Us Se Aankh Milana Ajeeb Lagta Hai ...
Jo Zindagi Me Kabhi Bhi Mera Ho Na Paya
Ab Us Ka Khwaab Me Aana Ajeeb Lagta Hai ...
Bade Khuloos Se Dawat To Us Ne Bheji Hai
Par Us Ki Mehfil Mai Jana Ajeeb Lagta Hai...
Tha Jis Ka Haath Hamesha Hamare Haathoo Me
Ab Us Se Haath Milana Ajeeb Lagta Hai...

hamendra
May 11th, 2005, 12:13 PM
Ek baar mombatti ke ander ka dhaga bola,
Jab main jalta hu to tu kyu pighalti hai...?
Mombatti boli, jisko dil me jagah di hai..
Wo jab bichadta hai to aansu aa hi jaate hain


Pucho mere dil se paigham likhta hun...
Saari gujari baatien tamam likhta hun...
Deewani ho jati hai wo kalam bhi...
Jis kalam se tumhara naam likhta hun..!!

rkumar
May 11th, 2005, 02:00 PM
Mombatti boli, jisko dil me jagah di hai..
Wo jab bichadta hai to aansu aa hi jaate hain


.!!

Bahut sundar...bahut khoob...atee uttam...

RK^2

hamendra
May 11th, 2005, 04:54 PM
Bahut sundar...bahut khoob...atee uttam...

RK^2


aap hee hai, Jo WAH WAH kar dete otherwise, koi kuchc bhee nahi reply karta.

Thanks a lot sir .

hamendra
May 11th, 2005, 04:56 PM
zakhm ek na do ke pura badan hi chchalnee hain
dard khud pareshaan hain ke kidhar se uthun!

rkumar
May 11th, 2005, 06:36 PM
aap hee hai, Jo WAH WAH kar dete otherwise, koi kuchc bhee nahi reply karta.

Thanks a lot sir .

haan bhai..lagta hai tere aur mere seene ko chaor kar aur kisi ke seene me dard nahi hota...LOL... sab pathar dil hain lagta hai...LOL

stokas
May 11th, 2005, 11:13 PM
haan bhai..lagta hai tere aur mere seene ko chaor kar aur kisi ke seene me dard nahi hota...LOL... sab pathar dil hain lagta hai...LOL


Aisa naa kahein janaab - bahut jyaada nahin to thodaa bahut dard to hamein bhi hotaa hai..... ;)

Hamendra bhai, lo ek chota sa hamari taraf se bhi.......


Deewaron se milkar, rona achcha lagta hai,
Hum bhi paagal ho jayenge, aisa lagta hai!

Duniya bhar ki yaaden, humse milne aati hain,
Shaam dhale is soone ghar mein, mela lagta hai!

Deewaron se milkar................................!

Kitne dinon ke pyase honge, yaaron socho to,
Shabnam ka katra bhi jinko, dariya lagta hai!

Deewaron se milkar………..........................!

Kisko Qaiser pathar maroon, kaun paraya hai,
Sheesh-mahal mein ek-ek chehra, apna lagta hai!

Deewaron se milkar, rona achcha lagta hai,
Hum bhi paagal ho jayenge, aisa lagta hai!



Shukriyaa!!

mukeshkumar007
May 15th, 2005, 10:46 AM
aap hee hai, Jo WAH WAH kar dete otherwise, koi kuchc bhee nahi reply karta.

Thanks a lot sir .

Bhi Hamendra abi kya hai ki hamie dard hona saru nahi huwa :)
Fir bi try kosis karte hai :-

Baaki kuch na raha zamaane mein
Jawani guzar rahi mehkhaane mein
Ab to karle mere pyaar pe yakeen
Warna zindagi beet jaayegi aazmane mein
--
Tumhari har adaa ka kya jawab don
Apne pyaar ko kya upahaar don
Koi acha sa phool hota to maali se mangwata
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab don.
--
Aankhon mein aansu aa jaate hain
Phir bhi labo pe hansi rakhni padti hai
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron
Jisse karte hain useese chupani padti hai

Sukriya.....

hamendra
May 16th, 2005, 11:18 AM
Bhi Hamendra abi kya hai ki hamie dard hona saru nahi huwa :)
Fir bi try kosis karte hai :-

Baaki kuch na raha zamaane mein
Jawani guzar rahi mehkhaane mein
Ab to karle mere pyaar pe yakeen
Warna zindagi beet jaayegi aazmane mein
--
Tumhari har adaa ka kya jawab don
Apne pyaar ko kya upahaar don
Koi acha sa phool hota to maali se mangwata
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab don.
--
Aankhon mein aansu aa jaate hain
Phir bhi labo pe hansi rakhni padti hai
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron
Jisse karte hain useese chupani padti hai

Sukriya.....


WAH WAH WAH....................
Bahut Khubb Mukesh Bhai,
Dard likhne ke liye Dard dil mai hona jaroori nahi hota.

aryapv
May 19th, 2005, 02:34 PM
Maja aa raha hai padne me ... Maja paenge logo ko sunane me .... Kahi band na kar dene ye silsila anjane me....

singh1981
May 19th, 2005, 03:08 PM
Dil tod diya mera

ab lash bhi dafna dena
kafan na mile to apna duppatta odha dena
koi pooche ke rog kya tha
to nazrein jhuka ke mohabbat bata dena.

rkumar
May 19th, 2005, 03:16 PM
Dil tod diya mera

ab lash bhi dafna dena
kafan na mile to apna duppatta odha dena
koi pooche ke rog kya tha
to nazrein jhuka ke mohabbat bata dena.

Wah Janab...kiya bat hai...Magar Bhai jaan wo aajkal dupatta nahi odhtee...LOL....lagta hai bina kafan ke rehna parega..LOL ...wakai me maja aa gaya...Waise yeh marz-e-ulfat hai hai la ilaaz bimari.. aur aajeeb bat yeh hai ki mareez dawa bhi usee se maangta hai jisne yeh bimaari di hai...hahaha...hai na bikul waisa hi jaise kasai se bakra zindgi mangta ho...LOL

RK^2

hamendra
May 19th, 2005, 03:39 PM
dard se to hamaraa bahot puranaa rishtaa hain
gaye dino ke guldastein mein se bas yahi to niklaa hain


wo mere dil ko kuchal ke chala gaya anjane me
muzko wo shayar bana gaya anjane me

ajayverma1973
May 19th, 2005, 06:41 PM
Mukesh Bhai, Chcha gaye, kya jabardast shayari ki hai, keep it up.

Regards,

Ajay Choudhary


Bhi Hamendra abi kya hai ki hamie dard hona saru nahi huwa :)
Fir bi try kosis karte hai :-

Baaki kuch na raha zamaane mein
Jawani guzar rahi mehkhaane mein
Ab to karle mere pyaar pe yakeen
Warna zindagi beet jaayegi aazmane mein
--
Tumhari har adaa ka kya jawab don
Apne pyaar ko kya upahaar don
Koi acha sa phool hota to maali se mangwata
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab don.
--
Aankhon mein aansu aa jaate hain
Phir bhi labo pe hansi rakhni padti hai
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron
Jisse karte hain useese chupani padti hai

Sukriya.....

mukeshkumar007
May 20th, 2005, 12:09 PM
Teri baraat hogi Mera janaza hoga
char admi tere sath honge char admi mere sath honge

Phool tujh per bhi honge
Phool mujh per bhi honge

Tujh per dulhan ka jora hoga
Mujh per kafan ki sajawat hogi

Lali tere chehre per hogi
Noor mere chehre per hoga

Khubsoorat tum bhi lag rahi hogi
Khubsoorat main bhi lag raha honga

" FARK SIRF ITNA HOGA "

Tum kisi ki zindagi main ja rahi hogi
Main tumhari zindagi se ja raha honga

Mera naseeb teri kismat se acha hoga
Mera gham teri khushi se acha hoga

Yakeen na aae to apni ankhoon se dekhna
Mera janaza teri baraat se acha hoga

Mere samne rukhsat jo teri baraat hogi
Us lamhe gul-e-shamay hayaat hogi

Wo bhi jan kesi aafat ki raat hogi
Pehloo main kisi k meri Kainaat hogi

hamendra
May 20th, 2005, 12:31 PM
Gharoon main hawaa kahan itni tej chalti hai
Use to bas mera diya bujhana tha






Teri baraat hogi Mera janaza hoga
char admi tere sath honge char admi mere sath honge

Phool tujh per bhi honge
Phool mujh per bhi honge

Tujh per dulhan ka jora hoga
Mujh per kafan ki sajawat hogi

Lali tere chehre per hogi
Noor mere chehre per hoga

Khubsoorat tum bhi lag rahi hogi
Khubsoorat main bhi lag raha honga

" FARK SIRF ITNA HOGA "

Tum kisi ki zindagi main ja rahi hogi
Main tumhari zindagi se ja raha honga

Mera naseeb teri kismat se acha hoga
Mera gham teri khushi se acha hoga

Yakeen na aae to apni ankhoon se dekhna
Mera janaza teri baraat se acha hoga

Mere samne rukhsat jo teri baraat hogi
Us lamhe gul-e-shamay hayaat hogi

Wo bhi jan kesi aafat ki raat hogi
Pehloo main kisi k meri Kainaat hogi

hamendra
May 20th, 2005, 12:37 PM
Do pal ki khushi na mili to kya.
Hum umar bhar gam ke sahare ji lenge.
Kya hua jo wo hume na mili.
Ham unki yaado ke sahare ji lenge.

malikmca
May 20th, 2005, 01:36 PM
Kya baat hai....dosto ne to shayari ke dhoom macha rakhee hai.....good yaar Mukesh and Hamendra.... nice job.....keep it up......

mukeshkumar007
May 24th, 2005, 06:08 PM
Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai

Mujko tum apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamanay mein meray naam say badnaam to hai

Meray hissay mein koi jaam na aaayaa na sahi,
Teri mehfil mein meray naam koi shaam to hai

Dekh kar log mujhay naam tera letay hain,
Is pay main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to ha

Woh sitamghar hi sahi dekh kay usko priye
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai

Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai

rkumar
May 24th, 2005, 08:04 PM
Do pal ki khushi na mili to kya.
Hum umar bhar gam ke sahare ji lenge.
Kya hua jo wo hume na mili.
Ham unki yaado ke sahare ji lenge.

not a bad idea Hamendra Bhai...LOL...

aur haan, please upnee photo post bhi kar do jatland par..Let all of us see the great shayar...

RK^2

singhgmc
May 26th, 2005, 04:26 AM
Boss Good Stuff....

hamendra
May 26th, 2005, 11:00 AM
RK Sir,

Apna photo jaldi hi laga dunga. Scanned photo nahi tha.

Kabhi to aisi rut bhej maula mausamo ki,
ke mere ghar ka pata bhool jaye tanhaiyaa,
maine apni zindagi me haath se jaane na di.........
kiske ghar jaayegi mere baad ye rusvaiyaan...

hamendra
June 1st, 2005, 11:28 AM
Bayaan-e-haal-e-dil mera kaise karaoon samajh aaye na
Zazbaat-e-dil ko kaise labon tak laaoon samajh aaye na

Ehsaaso ko samet kayi baar labjo ka roop diya hai
Jo sameta na jaaye use kaise baandhoon samajh aaye na

Mulaakat-e-subah to jindagi khud se har roj karati hai
Aaj ki subah khaas thi kaise bataaoon? samajh aaye na

jitana khush hoon mai, rubru-e-khwaab se bhi nahi milata
Sach kah reh hoon o chaand kaise bataoon samajh aaye na

Har pal intezzar karata raha jis khwaab ko dil me sajoye
Deedar-e-haqiqat ki khushi kaise manaoon samajh aaye na

Labj milate rahe hai har pal bayaan-e-ehsaas ke khaatir
kyu maun hai mera dil khudko kaise bataloon samajh aaye na

phooli ki mehak, chidiyo ki chahak, dhup ki khusaboo pyaari
aaj aur bhi pyaare dikhate hai ye kaise jatlaaon samajh aaye na

din beeta,shaam dhali Raat ki devi aasmaan par chaayi
bulaaye ye nawal khel ke liye ‘dil’ kaise bataoon samajh aaye na

chaand suhaana, taare pyaare, isape ruk-ruk chaate badal pyaare
dekh–dekh mai muskaaon inhe kya samjhaaon samajh aaye na

haath pasaare bulaate mujhako,khel apana ye dikhaate mujhako
hasata “Hamendra” khush hai kyu inhe kya samjhaaon samajh me aaye na

hamendra
June 9th, 2005, 06:03 PM
Aaj mere liye aasman roya hai
aanson sukh gaye ankhon mein meri
shayd isliye usne mera yeh bojh dhoya hai
barish girne ki awaz nahi
yeh mera dil gir ke toota hai
yeh nazare nahi aunjhal tez barish se
mere jalne ki yeh dhund hai
socha ek bar phir kisi par bharosa kar ke to dekhen
par ab to bharose par bhi bharosa nahi hai
kehta hai dil tadap ke mar jaun ek din
use kya pata yeh ek zinda lash ban chuka hai

rkumar
June 9th, 2005, 06:20 PM
Aaj mere liye aasman roya hai
aanson sukh gaye ankhon mein meri
shayd isliye usne mera yeh bojh dhoya hai
barish girne ki awaz nahi
yeh mera dil gir ke toota hai
yeh nazare nahi aunjhal tez barish se
mere jalne ki yeh dhund hai
socha ek bar phir kisi par bharosa kar ke to dekhen
par ab to bharose par bhi bharosa nahi hai
kehta hai dil tadap ke mar jaun ek din
use kya pata yeh ek zinda lash ban chuka hai

Khuda kare poori duniya ke aasiq mere koonche me bas jayen
jab jab unkee aankhon ke asq sookhen, jam kar aasman roye
Khet khalyanon me haryaali hogee, sabke ghar diwali hogee
majnoo ko laila milei ne mile, magar koi ne koi uskee saali hogee

RK^2

mukeshkumar007
June 9th, 2005, 07:12 PM
Yaadon Ko Apne Dil Se

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete.

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete.

Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete.

Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete.

Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete.

Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete.

Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete.

Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye .................
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete!

hamendra
June 10th, 2005, 10:01 AM
WAHA Mukesh Bhai,

Dil Kush kar Diya.

Ham

------------------------------------------------------------------

mohaabat humnein bhi ki thi,magar tumko bataye kya
mile hai gamn humein ismein,magar tumko sunaye kya!

yeh aapne sapne bhi yaaron,kabhi na aapne hote hai
jab bhi aa jati hai subhah,yeh daaman chor dete hai
kaise dekhe they sapne humne,batane se hoga faida kya!

jinhein paas chahte they lana,wo humse door ho gaye kyo
jinhein mushkil se doonda tha,kahin phir kho gaye kyo
khud ko hi samjha nahi paaye,dil ko ab samjhaye kya!

jinhein hum dil se chahte hai, wo dilko todh dete hai
"jas" ki kismat aaisi hai,gammon ke sang chor dete hai
hua hai haal jo dil ka,wo ab tumko dikhayein kya!

singh1981
June 10th, 2005, 02:28 PM
Mili hai saza unse dil laga ne ki,
Nazar lag gayi hamare pyar ko zamane ki,
Kabar se nikle hue dono haath kehte hai,
Aarzoo reh gayi unko gale lagane ki



Gham Utthaoonga to kuch aur sanwar Jaaoonga,

Main teri zulf nahi hoon, ki bikhar jaaoonga,

Khud Pukaarogi to manzil pe theher jaaoonga,

Varna Khuddar musafir hoon, guzar jaaoonga…

mukeshkumar007
June 10th, 2005, 04:33 PM
Bhoot khoob Hamendra & Sukbhi bhi......

Agar aansu baha deta to us ke pass kia rehta..
Woh mujh ko Hosla deti to us k pass kia rehta ..
Nishan mujh ko nahi milta koi us tak pohonchnay ka
Mujhe apna pata deti to us ke pass kia rehta..
Woh us ka maaan tha ki jis ke dum per ab woh zinda hai
Mein us ka dil dukha deta to us ke pass kia rehta .....
Mussafir saarey hi phal bhar ruk kar apni raah chal detay
Pairh (tree) tehni jhuka deta to us ke pass kia rehta ?
Meri yaadon ne hi ab tak usay abaad rakha hai
Woh mujh ko bhi bhula deti to us k pass kia rehta ....

hamendra
June 14th, 2005, 10:55 AM
Aaj aapki nazar kar raha hoon......


Pata nahi…..koi bataye to…..

Jisne kabhi keh apna, khud se begana bana diya……
Kya ab bhi dil-e-nadan use pyar kiya karta hai…..

Jiski har mehfil kabhi mere *shuhood se roshan thi…..
Kya ab bhi vo tanhayion ko *sharaar kiya karta hai…..

Jiska har khayal meri khushboo se mehkata tha…..
Kya ab vo mere sukoon ko, beqaraar kiya karta hai….

Jo pahroon intezaar ke baad kabhi lada karta tha…..
Kya har vo manzar uska *muntazar kiya karta hai……

Kabhi sez sajayi thi armaanon ki tune ^HAMENDRA^….
Aab chun-chun unhe, kyun maar diya karta hai…..

Pata nahi….. koi bataye to…..


*shuhood= hone se
*sharaar= flash /(yahan) roshan
*muntazar= one who is awaited (not waiting)[/FONT]

hamendra
June 21st, 2005, 10:04 AM
Tasavvur yeh tha ke ik Shaks apne bewafa mehboob/ mehbooba se humkalaam ho raha hai. Aur woh bhi aisa bewafaa jo bichaDne ke baad bhi kaafi khush hai....


Jo haqeeqat se hua saamnaa tumhaara kabhi
to sarr jhuka ke tasleemaat karna behtar hai.
Jo aashnaayee kisi se vabaal bann jaaye,
to usse tarq-e-mulaakaat karna behtar hai.

The maraasim hamaare itni zyaada qurbat ke,
ke faasloN ki to aukaat nahi thi kuch bhi.
Yeh achaanak hamaara raah badal chal dena,
huee jo baat uss mein baat nahi thi kuch bhi.

Magar abb zidd hai tere saath mere saath anaa,
tau yeh gumaaN hai ke hum na akele honge.
Agar huee na kaif-o-ishratein naazil hum par,
kabhi kabhi puraani yaadoN ke mele honge.

Yeh aaj dil mein kaise valvale hue raksan,
ke iss zameen pe aakaal paDa barsoN se.
Na tukhm-e-zist hai na ashq seenchne ke liye,
mein jaise sehra mein ik peyD khada barsoN se.

Tu aaj kal jo baDa kush mijaaz phirta hai,
sambhal ke chalna ke din raat badalte hai yahan.
Kabhi hai dhoop, kabhi chaanV to kabhi rim jhim,
inn taghaiyur se hi to sang pighalte hai yahan.

Kabhi jo dard ki deemag lagegi dil mein tere,
to reza reza yeh armaan bikhar jaayenge.
Yeh tagaaful ki salakhein bhi zang khayegi,
agar yeh ashQ rag-e-jaan mein utar jaayenge.


MAANEE/ Meanings

tasleemaat = Kubool karna/ Acceptance
aashnaayee = Pehchaan
vabaal = Dikkat/ problem.
tarq-e-mulaakaat = mel jhol khatm karna/ stop meeting.
maraasim = rishtey/ relations
qurbat = kareebi/ closeness.
anaa = ahankaar/ Ego
gumaaN = Andaaza/ doubt
kaif-o-ishratein = khushiyaN
naazil = barasnaa/ shower.
valvale = josh/ Restlessness.
raksan = Naachna/ Dance
tukhm-e-zist = seed of life.
taghaiyur = Badlaav/ Changes.
tagaaful = Ignorance/ Neglegence.
rag-e-jaan = jeevan ki rag (Artery...?i m not sure .. LoL)

hamendra
June 24th, 2005, 05:29 PM
jab manzil hi nahi koi..
to raho ka kya karu..

jo nadi sukh jaye...
un kinaro ka kya karu...

main samndar hu.. zarne ki tarah bah nahi sakta....
sikh sakta hu bahna... magar tufano ka kya karu....

kabr bana di hai... hakikat ko katl karke...
lash to kho gai hai.. magar..........
.................................................. ....Ruh ka kya karu...

hamendra
July 14th, 2005, 06:39 PM
Tum Marham ki baat kartee hoo..
Logon ne Jakhmon pe namak lagaya hai..
Kannton ke baat kartee hoo
yanah par to phoolon se Jakhm Kayee Haien...
Pathzhad ke baat kartee hoo..
Yanha to sawan mein Murjahyee haien...

rkumar
August 18th, 2005, 06:32 PM
Zindgi mere hathon se fisaltee ja rahee hai
unkee yad me saansen nikaltee ja rahee hai
pata nahi kis haal me honge mere sanam,
jehen me unkee tasveer nikhartee ja rahee hai

RK^2

spdeshwal
August 19th, 2005, 08:13 AM
wo deh saath nahi to kya, tere dil me to hnu!
Tere har saans me hnu , teri har rag rag me hnu!
Jo baag humne mil kar lagayatha, uski har sakh me hnu, uski har paat me hnu!
Phir milne ka bhi to vaada hai, par kab isi phirak me hnu!

lucky
August 19th, 2005, 09:33 AM
cool work liked it :) :D

hamendra
August 22nd, 2005, 04:03 PM
bhula kar hume woh khush reh paenge
saath mein nahi tao mere jane ke baad muskuraenge
dua hai khuda se ki unhe kabhi dard na de
hum tao seh gaye par woh toot jayenge..........

hamendra
August 26th, 2005, 12:54 PM
jeena usi ka jeena hai, jo auron ke liye jeeta hai,
uska har kadam kuran aur har kadam bhagwat geeta hai

mukeshkumar007
August 26th, 2005, 01:00 PM
bhula kar hume woh khush reh paenge
saath mein nahi tao mere jane ke baad muskuraenge
dua hai khuda se ki unhe kabhi dard na de
hum tao seh gaye par woh toot jayenge..........

Pyaar kar ke jo wafa karte hain
Aise kam log milaa karte hain
Kyun woh khud hum se nahin keh dete
Aur logon se gila karte hain
Hum se milne ko wo ajaye kabhi
Har gharri yeh hi dua karte hain
Chahte hai unhe ji jaan se hum
Bas yahi ek khatt karte hain
Tum karam karo ya sitam karo hum gila hain kerty
Khizaoon main phool yakinan khila nahin kerte
Mila do khak main Lakin khiyal rahe itna
Hum jaise log dubara mila nahin kerte

rkumar
August 26th, 2005, 11:54 PM
aaj ki raat hamare gham me sitaare bhi etna roye
subah uthakar dekha to, darkhat bhi bheege paaye
pata nahi kab chorega hume, yeh tanhaye ka aalam
zinda jalta hoon ghut kar mai, jab wo chain se soye

RK^2

poonam
August 26th, 2005, 11:59 PM
jeeye to jeeye kaise, bin aapke..
lagta nahi dil kahin, bin aapke..

(ye to kuchh jaanaa pehchana lagta hai... :D )

rkumar
August 27th, 2005, 12:10 AM
jeeye to jeeye kaise, bin aapke..
lagta nahi dil kahin, bin aapke..

hahhahaa...

yeh dil to pagal hai... aapki nannhi si jaan lekar manega...LOL

RK^2

hamendra
September 2nd, 2005, 11:08 AM
jeeye to jeeye kaise, bin aapke..
lagta nahi dil kahin, bin aapke..

(ye to kuchh jaanaa pehchana lagta hai... :D )
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar,
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah.
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen,
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah.

dahiyasaab
September 3rd, 2005, 01:44 PM
bhai logo ne jo collection tyar kiya hey ush mein
kuch mein bhi add karna chahonga !

Aadtan tumne kar diye vaade,
aadtan humne aeitbaar kiya !
teri raahon mein barhaan ruk kar,
humne apna hi intezaar kiya !
ab na mangegey zindagi ya rub,
yeh gunah humne ek baar kiya !
subah chubhti hai aankhon mein meri,
andhera humsafar lagta hai,
teri di huyi tanhai ka asar hai,
khud se miltey hue bhi dar lagta hai !

aaj se paanch saal pehle kahi kisi k tution register mein padhi thi yeh,
dil ko chu gayi aur yaad reh gayi ! tribute to tht unknown poet !

deepakchoudhry
September 5th, 2005, 02:53 PM
And on a Lighter Note... :)


Jab main mar jaoon...toh meri kabr per aloo boh dena..

Taki log janay......ki Baanda chat ka shaukeen tha..


ps: I love aloo chat :D

singh1981
September 5th, 2005, 03:02 PM
wah -wah ..wah wah ....


And on a Lighter Note... :)


Jab main mar jaoon...toh meri kabr per aloo boh dena..

Taki log janay......ki Baanda chat ka shaukeen tha..


ps: I love aloo chat :D

deepakchoudhry
September 5th, 2005, 03:32 PM
Thank you....

Jyotishi Nay kaha Haath dekhar, Wah Kya naseeb paya hai.

Dhan, Ek lauti Kanya aur Ek rais(rich) sasur tumhare bhaag main aaya hai.


Dil kush kar diya panditji, mainay kahaa muskarte huye,

per 3 bacchoin aur gharwali ka kya kroon, yeh bhi toh batiayee. ;)

rkumar
September 5th, 2005, 08:15 PM
meri aankhon se aaj asq etne chalke
lakh ki koshish, rok nahi payee palken
wo door khade hoke, muskurate rahe
aur ed manate rahe, mera katl karke

Hushn walon ki fitrat kaun samajh paya hai
ne jaane enhone, kitno ka ghar jalaya hai
Hushn ki chingaari chor kar chale jaate hain,
mere riste chaalon pe, kab taras khaya hai

RK^2

dahiyasaab
September 5th, 2005, 08:29 PM
Ghayal kiya jab apno ne,to gairon se gila kya karna .
uthaaye hain khanjer jab apno ne, to zindagi ki tamanna kya karna.
dil tha ik kanch ka ghar ,so aakhir wo bhi toot gaya.
qismat main likhey hain jab gum ,to khuda se gila kya karna.
taraste raha zindagi bhar jin sachey rishton ke liye.
jab unhon ne hi thukra diya, to gairon se tawaqo kya karna.
jis ko samjha tha apna, jis ko banaya tha apna raazdaan.
usi ne jab dil tor diya, to gair ko apna kar kya karna.

hamendra
September 6th, 2005, 09:58 AM
Dil gumsum juban khamosh,
yeh aankhe aaj nam kyon hai,
jab tujhe kabhi paya hi nahi tha,
to aaj khone ka gam kyon hai.

singh1981
September 6th, 2005, 11:02 AM
bahut khoob........lijiye hamari taraf se bhi..


Teri Palko pe Khwab rakh gaya koi
Teri sanso pe naam likh gaya koi
Chalo vada raha tumse, bhool jana hame
Agar humse acha pyar mil gaya koi

hamendra
September 6th, 2005, 11:10 AM
bahut khoob........lijiye hamari taraf se bhi..


Teri Palko pe Khwab rakh gaya koi
Teri sanso pe naam likh gaya koi
Chalo vada raha tumse, bhool jana hame
Agar humse acha pyar mil gaya koi

Bahut Khoob Dhanda Sahab...............................

Dil se tera khayal na jaaye to kya karu,
Tu hi bata teri yaad aaye to kya karu,
Hasrat yeh hai ki ek nazar tekh loon tujhe,
Magar kismat woh lamha na laaye to kya karu.

rkumar
September 6th, 2005, 01:10 PM
Bahut Khoob Dhanda Sahab...............................

Dil se tera khayal na jaaye to kya karu,
Tu hi bata teri yaad aaye to kya karu,
Hasrat yeh hai ki ek nazar tekh loon tujhe,
Magar kismat woh lamha na laaye to kya karu.

wah janab...kiya baat hai...Lo ek hamari taraf se bhi ho jaaye;

toote hue es naakam dil ka, mai ub kiyaa karoon
pata nahi kahan jaun, ya kisi darya me ja giroon
khuda teri duniya me, kiya thodee bhi jagah nahi
saansen mushkil ho rahee hain, enko kaise ginoon

RK^2

dahiyasaab
September 6th, 2005, 04:11 PM
Dard hai ki Mohabbat ka Jata nahi
Us berahem ko mujh pe rahem aata nahi
Didaar-E-Yaar ko hum tadapte rahe
Khuda bhi uska didaar karaata nahi

Duwa ye aati hai hoto pe bar bar
Mout aane se pahle bas ek bar
mere mahboob ke didaar hojaye
Dil hai ki koi aur khuwaab sajata nahi

Wo aayega zaroor dil ye kahta hai
usi ki yaad me muftalib ye rahta hai
ab ruk ne ko hai ye saanse meri
aur ye waqt hai ki rukta nahi

Dard hai ki Mohabbat ka Jata nahi
Us berahem ko mujh pe rahem aata nahi
Didaar-E-Yaar ko hum tadapte rahe
Khuda bhi uska didaar karaata nahi

hamendra
September 8th, 2005, 01:43 PM
Dard hai ki Mohabbat ka Jata nahi
Us berahem ko mujh pe rahem aata nahi
Didaar-E-Yaar ko hum tadapte rahe
Khuda bhi uska didaar karaata nahi

Duwa ye aati hai hoto pe bar bar
Mout aane se pahle bas ek bar
mere mahboob ke didaar hojaye
Dil hai ki koi aur khuwaab sajata nahi

Wo aayega zaroor dil ye kahta hai
usi ki yaad me muftalib ye rahta hai
ab ruk ne ko hai ye saanse meri
aur ye waqt hai ki rukta nahi

Dard hai ki Mohabbat ka Jata nahi
Us berahem ko mujh pe rahem aata nahi
Didaar-E-Yaar ko hum tadapte rahe
Khuda bhi uska didaar karaata nahi
Hasino ne hasi bankar gunah kiya,
Auro ko thik humko bhi tabah kiya,
Pesh kiya jab gazlon me unki bewafai ko,
Auro ne to thik unho ne bhi wah wah kiya.

rkumar
September 8th, 2005, 04:01 PM
Duniya me bade bewakoof hain, magar humse neeche
unhee se marham mangte hain, jisne hume jakhm diye

RK^2

singh1981
September 8th, 2005, 04:16 PM
Kis Kis Ko yaad kijiye kis kis ko royiye

Aaram badi cheez hai munh dhak ke soyiye




Duniya me bade bewakoof hain, magar humse neeche
unhee se marham mangte hain, jisne hume jakhm diye

RK^2

rkumar
September 8th, 2005, 04:21 PM
Kis Kis Ko yaad kijiye kis kis ko royiye

Aaram badi cheez hai munh dhak ke soyiye

Bahut Khoob...magar kiya karen janab;

Muh dhak ke jab bhi sota hoon, unke khawab aate hain
hamari neend karke gul, wo no do gyareh ho jaate hain

RK^2

dahiyasaab
September 12th, 2005, 11:30 AM
Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye
Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bhula ke roye
Ek tera hi naam tha jise hazaar baar tha likha
Jise khush hue the likhkar use mita mita ke roye...

hamendra
September 14th, 2005, 11:32 AM
teri yaadon ke sahary jiye jaa raha hun
tere ghamo ko piye jaa raha hun

har pal dil toot-ta hai mera
fir bhi iss zindagi ko jiye jaa raha hun

maloam tha ghamon ke tufaan se ghuzarna padega
fir bhi inn tufano mein chaly jaa raha hun

mehsoos kiya hai samunder sey gerhy dard ko roz maine
fir bhi itna gehra dard piye jaa raha hun

meri majboori ko meri kamzoori mat samajh bewafa
tere inn yaadon mein akhiri pal jiye jaa raha hun.

mukeshkumar007
September 14th, 2005, 01:29 PM
Bahut Khoob...magar kiya karen janab;

Muh dhak ke jab bhi sota hoon, unke khawab aate hain
hamari neend karke gul, wo no do gyareh ho jaate hain

RK^2

Hum ne lakh roka tha tumhe is daldal maie jane se,
Lakin tumhe to chain milta tha us chand se chare ko dekne se

rkumar
September 15th, 2005, 01:10 AM
Ashkon ka aashiki se bada gehra rishta hai
Aashik ko unkee soorat me rab dikhtaa hai
Ankhon me basi unki tasveer ne ho jaye mailee
ashkon se uski tasveer dhokar, bada shakun milta hai

RK^2

mukeshkumar007
September 15th, 2005, 06:05 PM
Ashkon ka aashiki se bada gehra rishta hai
Aashik ko unkee soorat me rab dikhtaa hai
Ankhon me basi unki tasveer ne ho jaye mailee
ashkon se uski tasveer dhokar, bada shakun milta hai

RK^2
Ashkon se dholi huwi tasveer unhe doondli nazar ati hai,
shyed isiliye unhe hamari wafa maie bi bewafai nazar ati hai !!!!!!

jashvir
September 16th, 2005, 04:31 PM
arj hai....

..... aye kabarr , kayu na lipat kar rouu tujse.....

tujhe to jaan de kar payaa hei maine .....

ranbirsheoran
September 17th, 2005, 10:55 AM
kya baat karta ho yaar , are dard to har sina me hota hai. koi chupa leta hai aur koi gaa leta hai.

do line mere taraf se:

payar maine bhi kiya magar dil jakhmi ho gaya,
intzar maine bhi kiya magar samay katil ho gaya,
wafa ki thi maina magar wo bewafa ho gai,
aur kya kaho yaar mera to jina duswar kar gai.

hamendra
September 19th, 2005, 02:51 PM
raat ke aate hi mujhko ek dar sa laga rehta hai,
iski khamoshi mein jo dil ka shor sunayi deta hai,

din toh bas yuheen kisi tarah mere kat jate hai,
sach kahu toh unme bhi tere khyaal aate jaate hai,

aajao ke tumse mujhe bahaut si batein karni hai,
meri saase meri aankhe mera pyar bayaan karti hai,

chand ki chandni toh har taraf dikhayi deti hai,
meri ankhein toh tujhko dekhne ko taras jati hai,

suna hai aj wo bekhabar mere shaher me aye hai,
saath apne wo apna dilkash humsafar bhi laye hai,

dekh ke unhe aaj dil mera tukde tukde toota hai,
jaanke us bedardi ne mera aaj sab kuch loota hai,

Woh kagaz ki kashti thi ya mere khwaabon ki basti,
lut gayi jo kal sare mehfil woh mein thi ya meri hasti,

de gaya jo darde dil jalane woh tu tha ya meri ghalti,
Bik gayi jo kal woh meri zindagi thi ya mohabbat sasti

dahiyasaab
September 20th, 2005, 07:47 PM
Socha tha unko is kadar bhool jayenge,
Dekh kar bhi undekha kar jayenge,
Par jab jab saamne aaya chehra unka,
Dil ne kaha ,is baar dekh le, agli baar bhool jayenge....

hamendra
September 21st, 2005, 06:20 PM
Socha tha unko is kadar bhool jayenge,
Dekh kar bhi undekha kar jayenge,
Par jab jab saamne aaya chehra unka,
Dil ne kaha ,is baar dekh le, agli baar bhool jayenge....

Wah Wah.......................................Wah
Dil Khush kar diya Dahiya Saab

mukeshkumar007
September 23rd, 2005, 10:19 AM
Har kisiko ko tanha paya hai hamne yeha, har koi khoya khoya rehta hai !!!!
Yakin nahi hota WAFA bi koi Lafaz hota hai !!

Unhe khabar nahi hai hamare pyar ki yeh to inteha ho gai !!
Akhi sapno maie bi rehne ki koi sima hoti hai!!

dahiyasaab
September 24th, 2005, 11:28 AM
kaise samjhaye ghum-e-dil ko hakeekat kya hai
baad mudat ke mili hum ko nasihat kya hai

apni bigdi hui kismat ka gila kis se kare
kaun jaane ga hum ko shikayat kya hai

hue barbaad hai ulfat me kuch aise hum toh
koi jaane ga kya yaha hoti ulfat kya hai

pyaar karke bhi na samjhe wo muhabat ki zubaan
unko batlaaye koun is pyaar ki keemat kya hai

hum ne har saans me unhen dil se duae di hai
phir bhi kahte hai is dil ko inaayat kya hai

hum ne dekha jo mila hum ko wafao ka sila
dekh li hum ne jahan waalo ki fitrat kya hai

koi ummeid-e-wafa ai 'shaam' nazar nahi aayi
aise ghut ghut ke jiye hum to kyaamat kya hai !

hamendra
September 30th, 2005, 02:34 PM
Tum ruthe humse kuch is taraha,
Jaise koi dil tootne ko ho,
Tum door hue humse kuch is taraha,
Jaise koi daman in haathon se chootne ko ho...!

Tum na sahi tumhari yaado ke sahare jiye hum ab tak,
Par ab to aisa lagta hai,
Jaise is jism se sanson ka rishta tootne ko ho...!

rkumar
September 30th, 2005, 03:19 PM
Tum ruthe humse kuch is taraha,
Jaise koi dil tootne ko ho,
Tum door hue humse kuch is taraha,
Jaise koi daman in haathon se chootne ko ho...!

Tum na sahi tumhari yaado ke sahare jiye hum ab tak,
Par ab to aisa lagta hai,
Jaise is jism se sanson ka rishta tootne ko ho...!

mian!,

Daman ko mat pakdo dost, hawa me lahraane do
mashtee se zara saans lo, dil ko tarane gaane do
wo upnee hongee to jaroor lautkar ayengee ek din
sawan sookha ho ya bhara, dil ko malhar gaane do

RK^2

hamendra
September 30th, 2005, 04:13 PM
mian!,

Daman ko mat pakdo dost, hawa me lahraane do
mashtee se zara saans lo, dil ko tarane gaane do
wo upnee hongee to jaroor lautkar ayengee ek din
sawan sookha ho ya bhara, dil ko malhar gaane do

RK^2

Wah Wah......................................Sir Jee
Dil Khush kar diya


Thanks

dahiyasaab
September 30th, 2005, 06:31 PM
Mein tum ko buhat aane lagu jab yaad, chaley aana
Bhool jana apni kahi har baat, chaley aanaa
Judaai ka woh lamha aur woh manzar dhaltey sooraj ka
Yaad tum ko jab aaney lagey woh shaam, chaley aanaa
Bhool jaao tum agar manzil kabhi apni
Uthana apney kadam phir meri taraf , chaley aanaa
Hadh sey guzar jaaye jub mera zabt-e-ghum
Aur mein pukaaroun tum ko baar baar, chaley aanaa
Us kay bin jeene ka ab tasawwur nahee
Meri mout ka gar tum ko miley paigam, chaley aanaa

hamendra
October 5th, 2005, 09:10 PM
Dekhi hai duniya par ankhon ko teri talash rehti hai,
Aadat ho gayi hai andhere ki phir bhi ujale ke aas rehti hai,
In sanson se to kab ka rishta toot chuka hai,
Jism to ik kabr hai jisme mairi zinda laash rehti hai...!

hamendra
October 12th, 2005, 08:57 PM
Tum mere Darwaje per Dastak na diya karo
Mai apne khwaabon se ubar nahi paata,
Mai kho gaya hooN kisi or hi duniyaa me ey dil
Tumhaare laakh jagaane se uth nahi paata,

Tumhaare phone ke massege bhi milte haiN magar
Mai unke jawaab me kuchh bhi likh nahi paata,
Kuchh eis kadar se badh gai hai tangdili meri
Ke mujhe mere siva kuchh nazar aata hee nahi,

Ho sake to mujhe...waqt do sambhalne ka
Mujhme kuchh kaam hai hausla...badalne ka
Mai apne aap se mil loon.. to..tum ko dhoon loonga
Mai ek umr se khudko hi sun nahi paata,

meri is berukhi ko samjho ...Dil
Mujhe kuchh waqt do, ban jaaun mai kuchh kaabil,
Yoon to waakib hoon .. Sab Sakeeno se
Magar har waqt mai ...inpe chal nahi paata.

devdahiya
October 12th, 2005, 09:52 PM
Tum mere Darwaje per Dastak na diya karo
Mai apne khwaabon se ubar nahi paata,
Mai kho gaya hooN kisi or hi duniyaa me ey dil
Tumhaare laakh jagaane se uth nahi paata,

Tumhaare phone ke massege bhi milte haiN magar
Mai unke jawaab me kuchh bhi likh nahi paata,
Kuchh eis kadar se badh gai hai tangdili meri
Ke mujhe mere siva kuchh nazar aata hee nahi,

Ho sake to mujhe...waqt do sambhalne ka
Mujhme kuchh kaam hai hausla...badalne ka
Mai apne aap se mil loon.. to..tum ko dhoon loonga
Mai ek umr se khudko hi sun nahi paata,

meri is berukhi ko samjho ...Dil
Mujhe kuchh waqt do, ban jaaun mai kuchh kaabil,
Yoon to waakib hoon .. Sab Sakeeno se
Magar har waqt mai ...inpe chal nahi paata.



Jagaana mera kaam hei jago mere yaar
Aggar nahin jagge to kaisse lagge gi naiyaa paar
Sone wale to rehte hein hamesha gaflat mei hamesha
Tumhein nahin milega Dost iss dharti par mere jaissa.

amitkumarpuni
October 15th, 2005, 05:11 PM
Jinhe Pooja Wo Khuda Ho Gaye
Jinse Ki Wafa Wo Bewafa Ho Gaye

singh1981
October 21st, 2005, 01:58 PM
ye muhabaat ke pal kitne anmol hein
kitne phhooolon se naazuk mere bol hein
sabko phhoolon ki maala pehnaata hoon mein

roshni hogi itni kisse thhi khabar
mere man ka ye darpan gaya hai nikhar
saaph hai ye darpan dikhhata hoon mein

hamendra
October 24th, 2005, 11:06 PM
Kabhi aansoo kabhi khushi bechee,
hum gareebon ne bekasi bechee.....

chand saansein kharidne ke liye,
roz thodi si ziNdagee bechee.....

jab rulaane lage mujhko saaye,
maine uktaake roshni bechee.....

Ek hum the jo bik gaye khud hi,
varna duniya ne dosti bechee......

Kabhi aansooo kabhi khushi bechii,
hum gareeboN ne bekasi bechii.....

mukeshkumar007
October 26th, 2005, 03:45 PM
Kabhi aansoo kabhi khushi bechee,
hum gareebon ne bekasi bechee.....

chand saansein kharidne ke liye,
roz thodi si ziNdagee bechee.....

jab rulaane lage mujhko saaye,
maine uktaake roshni bechee.....

Ek hum the jo bik gaye khud hi,
varna duniya ne dosti bechee......

Kabhi aansooo kabhi khushi bechii,
hum gareeboN ne bekasi bechii.....

nice... dil ko chuh gai Hamendra bhai..

tuJhse milne ki saza denge tere shehar ke log
ye wafaoN ka sila denge tere shehar ke log

kya khabar thee tere milne pe qayamat hogi
muJhko deewaana bana denge tere shehar ke log

teri nazaroN se giraane ke liye jaane-haya
muJhko mujrim bhi bana denge tere shehar ke log

kehke deewana muJhe maar rahe haiN patthar
aur kya iske siwa denge tere shehar ke log

mukeshkumar007
October 29th, 2005, 05:01 PM
Sab ke sab sharabi ho rehe hai... kisi ko bi kisi ke dard ki nahi padhi hai yeha... phir bi hum se ruka nahi jata :-:) :)
------------------------------------------
Aye dil tu mahobaat karta kyun hai
jo karta hai tu phir tarapta kyun hai

jo beth gaya hai dil main pyar ka dard banke
vo aankhon ke raste nikalta kyun hai

main tere saath hun har raah mein mujhse kehti thi wo
tu phir aaj yeh rasta mujhe sunsaan lagta kyun hai

main dharkan hon uske dil ki vo kehta thi mujhse
phir aaj uska dil mere bina dharkta kyun hai

vo meri nahi hai yeh janta hun main phir bhi
kisi aur ke saath dekh ke usko dil zalta kyun hai

Ye dil bhi ajeeb hota hai doston kabhi kehta hai ja tham le uske daman ko
phir reh reh ke sambalta kyun hai

prashantacmet
October 29th, 2005, 06:14 PM
sabko nahi milti wafa jamane mein ..
dekho to mazaa kya hai thokrre khane mein

hamendra
October 31st, 2005, 01:58 PM
gam sataaye to muskuraana,
isi auzaar se usko haraana,
zindgi banegi kuchh aur dilkash,
har dard ko seene se lagana,
dard taraash dega hasti ko tumhaari,
muskuraana aur bass muskuraana

dahiyasaab
October 31st, 2005, 03:03 PM
Dayaar-e-dil ki raat mai chirag sa jala gaya
Mila nahi toh kya hua ? Woh shakal toh dikha gaya

Judaiyon kay zakhamou-dard zindagi nay bhar diyee
Usay bhi neend aa gai , mujhey bhi sabar aa gaya

Woh dosti toh khair ab naseeb dushmana hui
Woh choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya

Pukaarti hain fursatain, kahan gayin wo sohbatain
Zameen nigal gai unhain, keh asmaan kha gaya ?

Yeh subah ki safaidiyan, yeh dopeher ki zardiyan
Mai aainay mai dhoondhta hun, mai kahan chala gaya ?

Yeh kis khushi kay rait par ghamon ko neend aa gai
Woh leher kis taraf gai ? yeh mai kahan sama gaya ?

Jo aur kuch nahi toh koi taaza dard hi milay
Mai aik hi tarhan ki zindagi say tang aa gaya

hamendra
October 31st, 2005, 08:50 PM
dard se mera naata aaj ka nahi barso se hai,,
ye teri yaad hai jo roz isse naya rang deti hai...



mujhe gam bhi unka azeez hai,
ke ye unhi ki di hui cheez hai....

hamendra
November 7th, 2005, 09:40 PM
In Aankho Mein Aansu aaye Na Hote,
Aagar Wo Mudkar Muskaraye Na Hote,
Unke Jane Ke Baad Ye Gum Na Hote,
Aagar Wo Jindgi Me Aye Na Hote.

hamendra
November 8th, 2005, 07:24 PM
koi keh gaya ye mohabbat ke kharidaaroo se
pyaar wo sheh hai jo milti nahi bazaaroo se
hum to pehle se hi mohabbat may jale bhaithe hai
kyu darate ho dahekte huve angaaroo se

poonam
November 10th, 2005, 08:10 AM
Sab ke sab sharabi ho rehe hai... kisi ko bi kisi ke dard ki nahi padhi hai yeha... phir bi hum se ruka nahi jata :-:) :)
------------------------------------------
Aye dil tu mahobaat karta kyun hai
jo karta hai tu phir tarapta kyun hai


Very good Mukesh...didn't know that you too are a 'shaayar'....:)

(P.S. waise tumhe shaayar banaaya kisne..;) )

raj2rif
November 10th, 2005, 09:30 AM
Wade Zindgi Ke Jab Had Se Gujar Chuke
Kaha Dil Ne Tumhi Chalo, Wo to Aa Chuke
Pahunche unke dar pe to aye ye sada,
Kahdo unse ke hum to mehndi laga chuke.

nd-chora
November 10th, 2005, 10:14 AM
Mujhko Dil Se Yehi Shikayat Hai
Jo Usko Mil Nahi Sakta K Uski Chaahat Hai
Mujhko Dil Se Yehi Shikayat
Tukdo Tukdo Mein Mujhse
Roz Milne Wale Sun
Jab Mukammal Nahin Milna
To Koi Khwaab Na Bun
Tanha Tanha Hoon Mein
Mujhe Teri Zaroorat Hai
Mujhko Dil Se Yehi Shikayat Hai
Yeh Teri Zulfein Teri Aankhen
Uff Yeh Tera Pair Hai
Aur Khushboo Se Mehekta Hua
Yeh Gora Sa Badan
Jaanta Hoon Mein Lekin
Kisi Gair Ki Amanat Hai
Mujhko Dil Se Yehi Shikayat Hai

nd-chora
November 10th, 2005, 10:18 AM
log Kahate Hien,agar Nasib Hoga Mere To Hum Use Jarur Payienge,
hum Puchte Hien Logon Se Agar Hum Badnasib Hue To Kaise Ji Payienge

poonam
November 10th, 2005, 12:08 PM
Wade Zindgi Ke Jab Had Se Gujar Chuke
Kaha Dil Ne Tumhi Chalo, Wo to Aa Chuke
Pahunche unke dar pe to aye ye sada,
Kahdo unse ke hum to mehndi laga chuke.

Arrey Col. Uncle aap bhi...good good ..very good!!

dhayal
November 10th, 2005, 06:16 PM
Dil...
Aaj jab tere baalon ko haatho se sahlata hoon....
Lagta hai... kisi kaantedaar jhari ko haath laga raha hoon...
jee karta hai, in baalon ko trim kar shampoo karoon.....
nahin to phir apne haath hi dho daloon....


ish darde shayri waloon ka thoda dard kam karne ki chhoti si kosis


subhash dhayal:p :p :p :p :p :p

hamendra
November 16th, 2005, 11:19 PM
Teri aankhon ke ishaaron ki bahot yaad aayi
Aaj patjharr mein bahaaron ki bahot yaad aayi

Jab kabhi dekhaa hai aaine mein khud ko
Humko toote hue taaron ki bahot yaad aayi

Nikal ke maikade se jab bhi ladkhadaaya hoon
Teri baahon ke sahaaron ki bahot yaad aayi

Jab bhi poonchhe hain aansoo maine haathon se
Tere daaman ke kinaaron ki bahot yaad aayi

dahiyasaab
November 19th, 2005, 10:18 AM
Meri daastaan-e-hasarat vo sunaa sunaa ke roye
Mere aazamaane vaale mujhe aazamaa ke roye

Koi aisaa ahal-e-dil ho ke fasaanaa-e-muhabbat
Main usey sunaa ke rouun vo mujhe sunaa ke roye

Meri aarazuu ki duniyaa dil-e-naatavaan ki hasarat
Jise kho ke shaadamaan they usey aaj paa ke roye


Teri bevafaaiyon par teri kajadaaiyon par
Kabhi sar jhukaa ke roye kabhii muunh chupaa ke roye

Jo sunaai anjuman main shab-e-Gam ki aap biitii
Kai ro ke muskuraaye kai muskuraa ke roye !!!

hamendra
November 22nd, 2005, 07:50 PM
Surkh Havaon se Aaj Mahosus hua
Koi Tanha Aaj bhi Hai,
Uski Khushboo ne ye yakin dilaya
Usko Pyar Aaj Bhi Hai,
Udte Patten ye vadiya ye Dhua
Vo Bekarar Aaj Bhi Hai,

Mere Dil Tu Na Is Tarha Se Machal
Kese Manu vo Talabgar Aaj Bhi Hai,
Shor Machne Laga He Galiyomain
Charche Me Mera Pyar Aaj Bhi Hai,
Aakhri Sans Tak Rahenge yu Kahmosh Ham
Ak Bar Na kahenge Intazar Aaj Bhi Hai…

hamendra
December 1st, 2005, 09:38 PM
Ab Nahin Shikayat Koi Pathar Dil Jamane Se
Hamne Kar Li Mohabbat Doston Maikhane se

Toot Jate Hai Khaali Jaam Aksar Bekhudi Mein
Gam Nahin Dil Ko Mere Khawabon Ke Bikhar Jane Se

Naakaamiyan Hai Muqaddar Mera Dosh Nahin Kisi Sa
Mit Ti Nahin Hai Lakeerein Kabhi Hathon Ki Mitane Se

Ubal Pada Hai Dard Ban Ke Jaljala Jaise Saagar Mein
Ashqon Ki do Boondein Jab Jaa Mili Paimane Se

Raah Ea Jindagi Mein Maut Ka Ab Khauf Nahin
Marte Rahe Hai Kishton Mein Ham Jeene Ke Bahane se

dhayal
December 2nd, 2005, 03:01 PM
YARON DARD TOH SABHI KO LEKIN BATAO ISH TAHR SE


ek nazar teri kaher dhati hai,
ek teri chal lehrati hai,
dua dete hain hum jab tu aati jati hai,
girten hain log aur tu hasti jati hai...







Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
Tumhare khel ko me samaj na saka,
Tumko bewafa kehne ka kabil na raha

hamendra
December 5th, 2005, 07:19 PM
Dekhna Jajwe Mohabbat Ka Asar Aaj Kee Raat,
Mere Shane Pe Hai Uss Shekh Ka Sar Aaj Kee Raat.

Kya Hua Agar Meine Haath Badana Chaha,
Apne Khud Bhee Too Daman Naa Bachana Chaha.

By Majaj

hamendra
December 12th, 2005, 07:06 PM
Aansuon Ke Chalne Ki Sarsarahat Nahi Hoti.
Dil Toot Jane Ki Aahat Nahi Hoti.
Agar Hota Khuda Ko Dard Ka Ehsaas
To Use Yoon Dard Dene Ki Aadat Nahi Hoti.

sjakhars
December 14th, 2005, 12:06 AM
Ham bhai arz kiya hai.......

too nahi to na sahi, teri yaad to mere saath hai,
wafa teri na mili to na sahi, tera pyar to mere saath hai.

Zidagi me mohabbat ka hamen to ye sila mila hai,
waqt-e mohabbat mila kam, aur ye gam-e sailab mila hai.

sjakhars
December 14th, 2005, 12:23 AM
ek aur aapki najar hai.......

aati hai jab teri yaad,kahin chhup ke ro liya karte hain
didar to ab mumkin nahi,tasweer se dil bahla liya karte hain
jab bhi charcha hota hai tera,dil me kasak si hoti hai
ashq to bahte hain magar, palkon me chhupa liya karte hain
hamen to koi ummid nahi is veerane ki sukoon ki sanam
teri khushiyan ke liye aksar duayen kiya karte hain
hamen to mayusion ke saaye ab achchhe lagne lage hain
yaar kisi ka na bichhde 'sahil' yahi fariyad kiya karte hain.

sjakhars
December 14th, 2005, 12:37 AM
Ek baar mombatti ke ander ka dhaga bola,
Jab main jalta hu to tu kyu pighalti hai...?
Mombatti boli, jisko dil me jagah di hai..
Wo jab bichadta hai to aansu aa hi jaate hain


Pucho mere dil se paigham likhta hun...
Saari gujari baatien tamam likhta hun...
Deewani ho jati hai wo kalam bhi...
Jis kalam se tumhara naam likhta hun..!!

Wah Ham bhai kya khoob kaha hai
isi baat par ek aur.............


Kaghaj pe aksar tumhare fasane likhta hoon
teri mohabbat se bhare khushion ke jamane likhta hoon
tumhari pyar bhari baaten wo kasme mohabbat ki
dil me bhare tumhari yaadon ke khajane likhta hoon
kabhi berukhi tumhari kabhi tumhari hansi ke saath
gam se bhare dil ke ye tarane likhta hoon
har waqt teri yaad me dooba rahta hoon sanam
phir bhi teri yaad ke 'sahil' so bahane likhta hoon.

mukeshkumar007
December 15th, 2005, 04:07 PM
yeh dil ki rah mein udta gubar kis ka hai
woh ja chuka hai to phir yeh intezar kis ka hai
muntazir kis ka hoon tooti hoi delhiz per
kon aaye ga yahan koun aane wala hai
buton ko chah ke hum to azab mein rahe
jo tere intezar mein jaage tamam umar
hairan hon kis tarah woh araam se so gae
kismat maie judai, nigahon mein intezar liye
har aik shaam teri arzoo rahi mughko
ik umar kat gai hai tere intezar mein
aise bhi hain ke kat na saki jin ki aik raat
abb zindage hai nam fakat intezar ka
kis kis tarah ki dil mein guzarti hain hasratein,
hai maut se ziada maza dost ke intezar mein.

dahiyasaab
December 16th, 2005, 08:27 PM
Dhal gai shaam intezaar yaar mein

Hota hai yehi aksar aitbaar mein


Woh phool juo kissi key pyaar mein khiley

Murjha gaye ussi key intezaar mein



Duniya ki ronaqein yun hi simat gaaein

Bun key wafa nigah-e-ashkbar mein



Saazish nahi kissi ki kismat ki bewafai

Dooba hua hai Jigar hai Inteshaar mein



Veeranio key derey zameen-o-aasman per

Kahin koi khushi nahi ikhtiar mein



Dharkan mein Jaagti Jeeti Jawan umang

Qaid ho gaye hai kissi mazaar mein



Muskaan-e-Shub koi chandni thi shayad

Toota Sitara dekha deedar-e-yaar mein



Khusbo kharid lena sasti miley juo saaqi

girti hain roz keematein bazaar mein

sjakhars
December 18th, 2005, 04:09 AM
Chand lamhat ki khushi ke liye,
log barson udas rahte hain.
ittefakan jo hans liye the kabhi
intekaman wo udas rahte hain.
wo bhi pahchante nahi mujhko
jo mere aaspaas rahte hai.
unke bare me jara sochiye 'sahil'
jo musalsal udas rahte hain.

sjakhars
December 18th, 2005, 04:15 AM
Kahan jayen kidhar jayen pareshan haal rahte hain
jahan hum paon rakhte hain wahan bhuchal rahte hain.
meri sone ki ganga me meri chandi ki jamna me
sunahari machhli thi aaj ghadiyal rahte hain.
mahfil me na tanhai me ab kahin dil nahi lagta 'sahil'
pata nahi hajrat-e-dil aajkal kis khyal me rahte hain.

sjakhars
December 18th, 2005, 04:17 AM
Sorry friends galti se dubara post ho gaya.

Chand lamhat ki khushi ke liye,
log barson udas rahte hain.
ittefakan jo hans liye the kabhi
intekaman wo udas rahte hain.
wo bhi pahchante nahi mujhko
jo mere aaspaas rahte hai.
unke bare me jara sochiye 'sahil'
jo musalsal udas rahte hain.

hamendra
December 18th, 2005, 04:58 PM
Wah Wah ................................Wah,

Good, very good Jakhar Bhai.

mukeshkumar007
December 19th, 2005, 05:16 PM
Sorry friends galti se dubara post ho gaya.

Chand lamhat ki khushi ke liye,
log barson udas rahte hain.
ittefakan jo hans liye the kabhi
intekaman wo udas rahte hain.
wo bhi pahchante nahi mujhko
jo mere aaspaas rahte hai.
unke bare me jara sochiye 'sahil'
jo musalsal udas rahte hain.


wa wa wa... jakhar bhai..kamal kar diya...bhoot khoob..

dahiyasaab
December 21st, 2005, 10:49 AM
Jo mere shaher mein kuch roshni laaye hongay
Un charaghon ne kayi ghar bhi jalaye hongay
Haath uske bhi yakeenan huwe hongay zakhmi
Jisne kaante meri raahon mein bichaaye hongay

dhayal
December 21st, 2005, 12:37 PM
Falak Ke Teer Ka Bhi Kya Nishana Tha
Idhar Thi Bijli Idhar Aashiana Tha
Pahoonch Rahi Thi Kinare Pe Kashti
Kambakht Toofan Ko Bhi Abhi Aana Tha

hamendra
December 29th, 2005, 05:12 PM
Kohra Aasmaan Per Chha Raha Hai Aur Hum Chup Hai,
Andhera Dhoop Ko Dhamka Raha Hai Aur Hum Chup Hai.

Naya Daur Purane Daur Par Habee Hai Aur Hum Chup Hai,
Beta Pitajee(Father) Ko Dhamka Raha Hai Aur Hum Chup Hai.

puneetsheoran
December 29th, 2005, 05:29 PM
Khoon ko rang-e-henna, zakhm ko gulzar kaha
Dil se bebas hain, ke katil ko bhi dildar kaha

vijay
December 29th, 2005, 07:28 PM
Prem amar hai
Judai se tanhai hai,
Preet ke taar mat chhedo
Inme badi gahrai hai

Main jaisa bhi hoon
Sweekar karo,
Mujhme khamiyan mat dhoondho,
Kyonki meri har cheez
Prakrti ne banai hai

prashantacmet
December 30th, 2005, 01:49 PM
Agar jurrat na ho to mohabbat nahi milti
aur itni aasani se yeh haseen daulat nahi milti
aur kuch log is sahar mein hamse youn bhi khafa hai
ki harek se hamari tabiyat nahi milti..................

prashantacmet
January 12th, 2006, 10:55 AM
Ae dil unki yaad me rona fizul hai
anso anmol hai inko khona fizul hai
rote uske liye hai jo tum pe nisar ho
uske liye kya roye jiske aashiq hazar ho............

hamendra
January 13th, 2006, 08:27 PM
Mohbbat Ka Gaam Hai,Mile Jitna Kam Hai
Yeh To Zamana Nahi Jaan Payega
Mera Sanam Jo Jara Behram Hai
Dekhar Mujhe Wo Dard Muskuraeega

sjakhars
January 13th, 2006, 08:31 PM
aati hai jab teri yaad,kahin chhup ke ro liya karte hain
didar to ab mumkin nahi,tasweer se dil bahla liya karte hain
jab bhi charcha hota hai tera,dil me kasak si hoti hai
ashq to bahte hain magar, palkon me chhupa liya karte hain
hamen to koi ummid nahi is veerane me ki sukoon ki sanam
teri khushiyan ke liye aksar duayen kiya karte hain
hamen to mayusion ke saaye ab achchhe lagne lage hain
yaar kisi ka na bichhde 'sahil' yahi fariyad kiya karte hain.

pragati
January 14th, 2006, 11:22 AM
Rudad meri betabi ki unko to sunai logon ne,
Bechain hain woh bhi mere liye ye baat chhupai logon ne.

Mujh se hi wafa ka dars liya mera, mera hi nasheman phoonk diya;
Ilzam to aaya bijli pe, aur aag lagai logon ne.

Jab khak-e-nasheman hi na raha, to toot ke barsa paani bhi;
Us waqt kahan thi kali ghata, jab aag lagayi logon ne.

Jab waqt pada tha gulshan pe, mujh se hi lahu ka daan liya;
Mere hi lahu ke chhinto se, holi bhi manai logon ne.

hamendra
January 16th, 2006, 02:22 PM
Rudad meri betabi ki unko to sunai logon ne,
Bechain hain woh bhi mere liye ye baat chhupai logon ne.

Mujh se hi wafa ka dars liya mera, mera hi nasheman phoonk diya;
Ilzam to aaya bijli pe, aur aag lagai logon ne.

Jab khak-e-nasheman hi na raha, to toot ke barsa paani bhi;
Us waqt kahan thi kali ghata, jab aag lagayi logon ne.

Jab waqt pada tha gulshan pe, mujh se hi lahu ka daan liya;
Mere hi lahu ke chhinto se, holi bhi manai logon ne.




Wah Wah............................Wah
Bahut Khub Pragti Jee

pragati
January 16th, 2006, 02:54 PM
Thanks hamendra ji...one more

lab-a-khamoshi bhi ek khobsurat ehsas hai,
tujhe shayad mere hoton se nikle lafzon ki aas hai
per shayad manjoor nahi hai yeh khuda ko bhi,
usse bhi khamoshi ki iss adaa per naaz hai ...

rkumar
January 16th, 2006, 03:04 PM
Thanks hamendra ji...one more

lab-a-khamoshi bhi ek khobsurat ehsas hai,
tujhe shayad mere hoton se nikle lafzon ki aas hai
per shayad manjoor nahi hai yeh khuda ko bhi,
usse bhi khamoshi ki iss adaa per naaz hai ...

Unke hansne par kabhi phool jhara karte the
magar zamane ne, unke labon ko si diya hai

RK^2

hamendra
January 16th, 2006, 03:36 PM
Thanks hamendra ji...one more

lab-a-khamoshi bhi ek khobsurat ehsas hai,
tujhe shayad mere hoton se nikle lafzon ki aas hai
per shayad manjoor nahi hai yeh khuda ko bhi,
usse bhi khamoshi ki iss adaa per naaz hai ...

Pragti Jee

Hazir hai

khamoshi par naaz to haum ko bhee tha,
unkee khamoshi se hum ne samja unhein hamshe pyar tha,
jaise hee khamoshi tootne ka hamien intzar tha,
par kyan karein e-khuda unka kahna kuchh aur tha....

pragati
January 16th, 2006, 04:23 PM
hamendra ji...kuch line hazir hai......

jab kah ke wo dilbar gaya, tere liye mai mar gaya,
hum lut gaye, dil jal gaya,
kahne ko fir kya rah gaya,ashko ka dariya bah gaya,
rote hai usko raat bhar, mai aur meri aawargi........

ab gam uthaye kisliye, aanso bahaye kisliye,
u jaa gawaye kisliye,u dil jalaye kisliye,
pesha na ho jiska sitam, dhundege ab aisa sanam,
honge kahi to kargar, mai aur meri aawargi....

malikuk14
January 16th, 2006, 06:11 PM
Wonderfull mr.Hamender,
keep it.its very nice.
aapke line padne ke baad mera man bhi kuch kehne ko kar reha h.
"Main jitna bhulena chahu tumhe,tum yaad aate ho,
main sabkuch bhul bedha hu megar tum yaad aate ho,
main mar ke bhi tumhe chahunga,kar lo tum yankin mera,
ho tum mere kasem se u bahut,tum yaad aate ho,
tum he to ho mere chahat,mera sapna,mere hasti k maalik,
dundata hu jab kudh ko main,tum yaad aate ho"

hamendra
January 17th, 2006, 04:34 PM
hamendra ji...kuch line hazir hai......

jab kah ke wo dilbar gaya, tere liye mai mar gaya,
hum lut gaye, dil jal gaya,
kahne ko fir kya rah gaya,ashko ka dariya bah gaya,
rote hai usko raat bhar, mai aur meri aawargi........

ab gam uthaye kisliye, aanso bahaye kisliye,
u jaa gawaye kisliye,u dil jalaye kisliye,
pesha na ho jiska sitam, dhundege ab aisa sanam,
honge kahi to kargar, mai aur meri aawargi....
Hi,
Pragati Jee

Kab Tak Apni Har Tamanna Apne Halaaton Ke Shikaar Karu,
Taakat Jigar Me Ab Aur Nahi, Haara Hoon Zindagi Me Itna,
Jeet Kee Khushi Ka Intezaar Kaya Karu...

Mohobat Bhi Khoi Issi Aalam Me Jawaani Ke,
Shayad Abhi Surkhuru Hona Hai Yeh Sochta Raha Ab Tak,
waqt ne itna naumeed kiya,
Guzre Waqt Ka Hisab Kaya Karu...

Har Kissi Ne Pai Hai Zindagi Me Eak Chahat Apne Dil Kee,
Mera Tajruba Bas Kuch Aur Raha Ab Gila Kisse Karu...

Kab Tak Apni Har Tamanna Apne Halaaton Ke Shikaar Karu...

pragati
January 18th, 2006, 01:10 PM
very nice....
wah..wah...
keep it up...

dhayal
January 19th, 2006, 05:49 PM
Aansuo ko bahut samjaaya tanhai mein aaya karo,
mehfil mein hamara mazak na udaya karo,
ispar aansoo tadap kar bole.....
itne logon mein aapko tanha paate hain isliye chale aate hain

dahiyasaab
January 25th, 2006, 01:51 PM
Chhubhti hui saanson mein jeeta hoon ,
Behte hue ashkon ko peeta hoon,
Kho chuka hoon raat ke andhere mein,
Taroon ki roshni mein manzil dhoondhta hoon,
In thandi raaton ko jaga hoon main,
Phir bhi kuch meethe sapno ko pirota hoon.

hamendra
January 30th, 2006, 02:01 PM
Tamanna-e-ishq hum bhi rakhte hai...
Kisi ke dil me hum bhi dhadkte hai...
Na jane hume woh kab milenge...
Jinke liye hum har roz Tadapte hai!!

pragati
January 30th, 2006, 02:46 PM
manzil unhi ko milti hai , jinke sapno me jaan hoti hai,
pankha hone se kuch nahi hota dosto, hooslon se hi udaan hoti hai....



Tamanna-e-ishq hum bhi rakhte hai...
Kisi ke dil me hum bhi dhadkte hai...
Na jane hume woh kab milenge...
Jinke liye hum har roz Tadapte hai!!

sjakhars
February 1st, 2006, 02:34 AM
manzilen apni hain na ye raaste jaane-pahchane hain
yun hi nikal pada hoon talaash me na jane kiski main.


manzil unhi ko milti hai , jinke sapno me jaan hoti hai,
pankha hone se kuch nahi hota dosto, hooslon se hi udaan hoti hai....

hamendra
February 1st, 2006, 03:43 PM
Zindgee Kee Pareshani Tab Aur Barhne Lagee
Rooh Mohabbat Se Jab Eak Ummeed Karne Lagee ,

Hizar Ne Hamaree Soorat Kuchh Itnee Bigar Dee
Maut Bhee Hamare Aab Ghar Aane Se Darne Lagee,

Dard Ne Jane Kya - 2 Sikha Diya Hai Aab Isko
Ankhe Hee Ashkon Kee Dekh Bhal Karane Lagee.

Nindgee mai Jaan Dalne kee Koshish Karte Rahe
Par Kya Karein Eai Khuda Wo Hamshe Door Bhagte Rahe,

Haar Nahee Manee Thee Jindgee Se,
Par Unko Soch Kar Haar Manne Lage.

dahiyasaab
February 4th, 2006, 07:06 PM
aankhon ki ye nami maangti thi wo khushi
jise dil dhoondta tha har kanhee
wo bebasi ke aanso ankhon main sulag gaye
dil ka dard banke aankho se baih gaye
aaye thi fir se rulane zindagi ki ye kami
roshni se dar ke hum tou andhero se lipat gaye
logon ki bheed se uth ker akele hum chup gaye
diwaron se milker ro rahi thi zindagi
taqdeer ke khail main hum khilona ban gaye
qadmo ne saath chorda raaste tham gaye
chikhti hi raih gayi hamari ye badnasibi...!!!

rkumar
February 4th, 2006, 07:40 PM
manzilon se hokar jaati hain, manzilon ki rahen
ai humsafar bata de , teri manzil kaunsi hai

pathar fenkne se nahi aati, samandar me lehren
kinare par khada reh, aur lehron ka intzaar kar

samunder ke lehren bas etnaa keh rahee hain
samander ke seene me bhi, dil dhadak raha hai

mat kar dillagi yun, enn samandar ki lehron se
baha le jayengi sab kuch, kabhi sunami ban kar.... LOL

RL^2

hamendra
February 13th, 2006, 07:51 PM
Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Mujhe Bhulna Bhee Chaho To Bhulana Sako Ge
Main To Palkon Pe Thahar Jaoon Ga, Aaansoon Kee Tarah

Huwi Hum Se Ye Nadani, Kay Teri Mehfil Mein Aah Bethay.
Ho Kay Zameen Kee Khakh, Aasman Se Dil Laga Bethay

Hajoome Gum Meri Fitrat Badal Nahi Sakte,
Mein Kya Karoon Mujeh Adat Hai Muskurane Kee

mukeshkumar007
February 14th, 2006, 10:07 AM
Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Mujhe Bhulna Bhee Chaho To Bhulana Sako Ge
Main To Palkon Pe Thahar Jaoon Ga, Aaansoon Kee Tarah

Huwi Hum Se Ye Nadani, Kay Teri Mehfil Mein Aah Bethay.
Ho Kay Zameen Kee Khakh, Aasman Se Dil Laga Bethay

Hajoome Gum Meri Fitrat Badal Nahi Sakte,
Mein Kya Karoon Mujeh Adat Hai Muskurane Kee

very nice bhai...dil kush ho gaya...


Chaand Aaya bhi Gagan may to kahan tak Aaya
Merey Aangane may Utarta hota to koiee Baat bhi thee.

Tu Aayey yaa naa Aayey terey Intizaar mai
Aadat see Par gaie hai Sanwarney ki raat bhar .

Kal safar Neend ka kaisa thaa? Khuda hi jaaney!
Raat bhar Khwab maie hum bane rehe tere diwane..

Yahi to Saadgee teri hamien Maarey hee jaati hai
Bhulana Laakh chaahon, Yaad phir bhi Aa hi jati hai

hamendra
February 27th, 2006, 09:06 PM
Eais Dil Se Teree Yaad Bhulai Nahi Jatee,
Ye Pyar Kee Daulat Hai Lutai Nahi Jatee,
Mar Mar Ke Banaye Hai Tasvir Mohabat kee,
Aab Apni Hathonse Mitai Nahee Jatee

vijay
February 27th, 2006, 11:08 PM
Eais Dil Se Teree Yaad Bhulai Nahi Jatee,
Ye Pyar Kee Daulat Hai Lutai Nahi Jatee,
Mar Mar Ke Banaye Hai Tasvir Mohabat kee,
Aab Apni Hathonse Mitai Nahee Jatee



Sara jeevan ganwaya tere liye
Tumko apna banaya tere liye
Dard ko dil main basaye hue
Umar bhar muskura tere liye

dhayal
March 1st, 2006, 11:00 AM
Chand ko garoor hai,
key uskey paas bahut noor hai,
mein kis par garoor karon,
mera chand hi mujhse bahut door hai.

dhayal
March 7th, 2006, 12:34 PM
Dost hee dost ka saath deeya karate hain,
dost hee dost ko gam deeya karate hain.
Zindagee mein kuchch pal aaise bhee aate hain,
jab dost hee dost ko badnaam kiya karate hain.

hamendra
March 17th, 2006, 04:16 PM
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,


Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,


Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,


Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,


Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata


Woh Duniya Jo Barso Se, Jeeye Jaa Rahee Hai,
Woh Mahfile Jo Barso Se, Saje Jaa Rahee Hai,
Woh Makhane Jo Barso Se, Aabad Hua Jaa Rahe Hai,
Woh Mai Hoon Jo Barso Se, Peechhe Chalee Aaa Rahee Hai.

hamendra
April 7th, 2006, 07:57 PM
Meri Zindagi Ka Koi Sahara Nahi Hai,
Is Jahan Me Koi Hamara Nahi Hai,
Chhua Unka Daaman To Woh Haskar Bole,
Dost Ye Daaman Tumhara Nahi Hai.

hamendra
April 19th, 2006, 07:43 PM
Saza-e-Ishq De De Abb Koi Sunvai Na De,
Doob Jane De Kashtee Ko Koi Rehnumai Na De

dhayal
June 10th, 2006, 04:02 PM
dard e dil kisko batayein hume yahan har doosra diljala mil jata hai
kambaqt yeah tera chehra humein ab
sharab mein bhi nazar aata hai
sochta hoon dil badal loon
lekin har dil mein tera ehsaas mil jata hai