PDA

View Full Version : shero shayari


sandeepmann
August 13th, 2005, 10:04 PM
this thread is for the funny shers.. so those who have the shayari skills are welcome... I start with some .............


Maine tujhe chaha tujhe abla samajhkar.
Tere baap ne mujhe peeta tabla samajhkar.



Kal milye the toh
baja dil mein ek sound
aaj milye toh
file not found!


woh sadak ke us paar thi
main sadak ke is paar tha
do kadam main unki taraf chala
do kadam woh meri taraf chali
main 2 kadam aur unki taraf chala
woh 2 kadam aur meri taraf chali
chalte chalte aise hua ki
ab main sadak ke us paar hoon
aur woh sadak ke is paar hain

silly we're crossing the road




Hum wahan gaye to pata chala wahan kuchch nahi tha,
hum wahan gaye to pata chala wahan kuchch nahi tha

agar hame pata hota,
to hum wahan jaate hi nahi




Usko Chaha Bhi To Izhaar Na Karna Aaya...
Lut Gaye Hum Magar Pyar Na Karna Aaya...
Usne Maangi Bhi To Judaai Maangi...
Aur Hum They, Humay Inkaar Bhi Na Karna Aaya...!





Hawa chal rahi thi
Patte hil rahe the..

Hawa chal rahi thi
Patte hil rahe the

Patte to hilne hi the
Hawa jo chal rahi thi





Unki yaad mein mein paikhaana gaya,
Maikhaana samajh ke

Dabbe ka paani pi gaya
Paimaana samajh ke




Zindagi Jeena Aasan Nahi Hai Peeter,
Zindagi Jeena Aasan Nahi Hai Peeter,
HeroHonda Ekk Liter Aassee (80) Kilometer.......




Jisse Dil Diya Who Delhi Chali Gai...
Jisse Pyar Kiya Who Italy Chali Gai...
Dil Ne Kaha Khud Khushi Karle...
Julmi Bijli Ko Haath Lagaya To Bijli Chali Gayi...




Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai;
Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai;
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai???





Taj Mahal ki deewaron pe ab bhi likha hua hai!
Taj Mahal ki deewaron pe ab bhi likha hua hai!

.....yahan thookna mana hai




Kaun kehta hai ki boodhe ishq nahin karte
Ishq karte hain magar log unpar shak nahin karte
Shak bhi karte hain to zikra nahin karte
Aur gar zikra karte hain to boodhe fikra nahin karte!!





woh chham chham karke aayi...
aur chham chham karke chali gayi...
mai sindoor ka dibba lekar khada raha....
woh rakhi baandh ke chali gayi




khud ko kar buland itna......
ki himalaya ki choti pe jaa pahuche.....
...aur khuda tumse pooche....
'abe saale gadhe....ab utrega kaise???

royalboy
August 13th, 2005, 10:44 PM
good , maan bhai

sandeep.dahiya
August 16th, 2005, 11:59 PM
bahut badhiya bhai.

specially........


Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai;
Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai;
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai???