Results 1 to 2 of 2

Thread: Khaak Ho Jayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak.

  1. #1

    Cool Khaak Ho Jayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak.

    Raste Mein Kadam Foonk Ke Rakhna Mere Pyaro.
    Hain Charon Taraf Shaiher Mein Bikhri Hui Ankhen.

    Yun Uske Bichad Jane Pe Ansoo Na Bahao.
    Manjar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Ankhen.


    Ashqui Sabr-Talab Aur Tammana Betaab,
    Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-E-Jigar Hone Tak.

    [sabr-talab = patient]

    Humne Mana Ki taGaaful Na Karoge Lekin,
    Khaak Ho Jayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak.

    [taGaaful = neglect/ignore]
    Deepak Sejwal
    ---------------------------------------------------------------------------

  2. #2
    This is a great ghazal by Ghalib. The urdu is a bit high fidelity but the semantics are cool.

    aah ko chaahiye ek umra asar hone tak
    kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak

    daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg
    dekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak

    [ daam = net/trap, mauj = wave, halqa = ring/circle, sad = hundred,
    nahaNg = crocadile, sad_kaam-e-nahaNg = crocadile with a hundred
    jaws, guhar = pearl ]

    aashiqee sabr talab aur tamanna betaab
    dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?

    [ sabr = patience, talab = search ]

    partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem
    maiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak

    [ partav-e-khur = sun's reflection/light/image, shabnam = dew,
    fana'a = mortality, inaayat = favour ]

    yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil
    garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak

    [ besh = too much/lots, fursat-e-hastee = duration of life,
    GHaafil = careless, raqs = dance, sharar = flash/fire ]

    GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
    shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak

    [ hastee = life/existence, juz = other than, marg = death,
    sahar = morning ]

    Enjoy,
    -Vikas
    http://tharsis-tholus.tumblr.com/
    http://www.trafford.com/robots/04-2584.html

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •