Page 1 of 3 1 2 3 LastLast
Results 1 to 20 of 42

Thread: wo lahu jaat ka hota hai

  1. #1

    wo lahu jaat ka hota hai

    its' the blood of jats'
    Wo lahu jaat ka hota hai
    (It’s the blood of jats)

    Ø Yuo to hai sabka lahu laal, par hota ek saman nahi hai
    Ø Keval laal rang se hoti, lahu ki pahichan nahi hai
    Ø Kayer kruer kaputo ka bhi lahu laal hi hota hai
    Ø Saayer shur saputo ka bhi, lahu laal hi hota hai
    Ø Wo bhi hota hai lahu laal, jo gidad se dar jata hai
    Ø Wo bhi hota hai lahu laal, jo sharo se lad jata hai
    Ø Ek lahu jurm se katrata, ek jurmo se takrata hai
    Ø Ek lahu machalta ladne ko, ek marne se ghabrata hai
    Ø Ek lahu sahan apmaan kare, ek maan ke liye marta hai
    Ø Nij swabhimaan ki raksha mein, sarvsva nichaver karta hai
    Ø Ek lahu ka jalwa to, kuch ajab thath ka hota hai
    Ø Jo saaksaat martyu ko lalkare, wo lahu jaat ka hota hai.

    Ø Aandhi aur tufano mein jo, kabhi na ruk paya ho
    Ø Hote ho vraj parhar bhale, par kabhi na jukh paya ho
    Ø Nij aan baan ki raksha mein, jo bahne ko tayar rahe
    Ø Phansi ke takhte par chadkar, sach kahne ko tayar rahe
    Ø Sunker ke bari ki boli, betaab ublene lag jaye
    Ø Jo samar bhumi ka naam sune, balliya uchlene lag jaye
    Ø Josh bhari ek nayi lahar, jo dauda de bhuj dendo mein
    Ø Rakh shish hateli par kude, bari ke war prachando mein
    Ø Akhand-prachand pratigya kar jo apne pran pe aad jaye
    Ø Martbhoomi ki raksa mein, bali devi par jo chadh jaye
    Ø Bajte hi ranbhari, jiske tika lalaat ka hota hai
    Ø Jo saaksaat martyu ko lalkare, wo lahu jaat ka hota hai.

    Ø Swamitva bhav ho bhara, daaste jo kabhi nahi sweekare
    Ø Lahu ki antim bund tak jo, apne pawan pran pare
    Ø Aader se narm nivaden, jo mom ki tarah pighal jaye
    Ø Sadiyo ka vair puraana bhi, pyar mein turant badal jaye
    Ø Jo chao so karwalo, phir bhola itna ban jaye
    Ø Chal dhamb kapat ki chalo mein, jo aasani se aa jaye
    Ø Jo deen dukhi nirbalo, viklo ke liye sada hi marta ho
    Ø Sarnagato ki raksha, jo pran daker karta ho
    Ø Yadi samne bhuka dakhe, to thali apni bhi de dale
    Ø Aoro ke chan sakun hatu, apni khushali de dale
    Ø Dhan se bhale phakir rahe, par man samraat ka hota hai
    Ø Jo saaksaat martyu ko lalkare, wo lahu jaat ka hota hai
    Ø Budhe tan mein bhi rah kar, lalkare bhari jawani ko
    Ø Marte marte bhi likh dale, apni amar kahani ko
    Ø Paropkaar ke liye, basi kan-kan mein jiske kurbani ho
    Ø Bakar nahi jaye jiski, har bund-bund balidaani ho
    Ø Yadi apni par aa jaye, to tino lok masal dale
    Ø Parivatan jiski muthi mein, pal mein bhugol badal daale
    Ø Hunkar bhare amber gunje, dharti ka bhi dhiraj dole
    Ø Kaal bali ka shahash kya, jo aaker ke samukh bole
    Ø Itihaas ke prasth dhanya kiye ho, kavel jiske balidano ne
    Ø Jiske bal porush ki gatha, gayie ho vaid purano ne
    Ø Jiske gaurav ko sunke, baudh sakti virat ka hota hai
    Ø Jo saaksaat martyu ko lalkare, wo lahu jaat ka hota hai.

    v Compiled by Kapil Rana

  2. The Following User Says Thank You to kapilrana For This Useful Post:

    sanjeev1984 (September 21st, 2012)

  3. #2

  4. #3
    Bhai Kapil...jama ND tha...aur aan do..

  5. #4
    hey kapil

    really great yaar

    kati sahi baat kahi hai

    aur aan de
    Jeet jaayenge HUM tum agar sang ho

    Somveer Chharia

  6. #5
    Rana Sahab,
    Tanne toh katti latth gaadh diyah.
    Jee khuus kar diyah. nyunhi aateh rehya kaaro.
    Jat Balwaan\n Jai Bhagwaan

  7. #6
    Bhai Rana,
    Bade din baad koi acha post padhne ko mila nhi to lagta tha is site ki sarthakta sirf santa banta ke jokes tak hi rah gyi hai.
    Keep posting & help this site be alive.

    Rathee
    Don't be afraid of the space between your dreams and reality. If you can dream it, you can make it so.

  8. #7
    this is too gud...
    jaat ke thaath

  9. #8
    This is very well written.

  10. #9
    really khoon mein ubaal aa gaya soon ke!
    really great zealful stuff....
    three cheers for u!
    keep up the blood hotting stuff!!

    it's cool jat with hot blood!
    .. " Until Lions have their historians, tales of the hunt shall always glorify the hunter! " ..



  11. #10
    Kapil Rana Jee,

    Katii Veer rus zalak rai sai!!!

    badiya hai
    _(~)_

  12. #11
    kapil bhai ,its realy good one.keep it up

  13. #12
    Wah! Bhai Wah!, Padh ka Itna Josh Aaga ke Rongtey khadey hogey, Or aan de...................
    'Time Spent Laughing is the Time Spent With God'
    Amar

  14. #13
    Email Verification Pending
    Login to view details.
    wah kapilji.. bahut badhiya !! Keep it up.

  15. #14
    Email Verification Pending
    Login to view details.
    Nice post

  16. #15

  17. #16
    Kapil jee,
    Bahut achchee kavita hai aapaki.
    Ummeed hai ki aage bhi padhane ko milati rahengi.
    It is really very nice.

  18. #17
    Very inspiring, thought provoking...

    Rajendra
    There are many paths leading to God, politics is certainly not one of them...

  19. #18
    really good one. JAT's blood reflected in form of poem. well written.
    Kapil keep it up.

  20. #19
    bahut badhiya
    मेरी जिन्दगी.....मेरा अन्दाज
    Work as a Labour.....Live as a King.
    कर भला हो भला.....अंत भले का भला
    To do better make changes where necessary and find other avenues.
    ALL POWER IS WITHIN YOU. YOU CAN DO ANYTHING AND EVERYTHING. BELIEVE IN THAT.
    अपने तो अपने होते हैं.....बाकी सब सपने होते हैं ।

  21. #20
    nice one
    keep it up.
    I'm sometimes too frank for polite correspondence. This sometimes irks people, so I apologize in advance -- my intentions are always to be clear, not curt.

    Why , How , Where - It's in my nature.

    पढ़्ये-ओड़ तैं कढ़्या-ओड़ स्याणा हो सै

    भांग रगड़ क पिया करूँ , मैं कुण्डी सोट्टे आला सुं !!

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •