jaatni
December 30th, 2002, 11:51 PM
aadmi ka jism kya hai,jis par shaida hai jahan.
ek mitti ki imarat, ek mitti ka makan.
khoon ka gaara banaya,inten hain jismen haddiyan.
chand shvason par data hai yeh khyale aasmaan.
maut ki purzor aandhi,jab isse takraigi
toot kar yeh imarat,khaak main mil jaayegi