PDA

View Full Version : Mirza Ghalib



hamendra
January 17th, 2006, 06:35 PM
1. aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai

[ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]

2. dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai

[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
KHummaar = intoxication ]

3. giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

[ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]

4. hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

[ 'abas = indifferent, gumaan = suspicion, ranjish = unpleasantness,
KHaak = ashes/dust, ushshaaq = lovers, GHubaar = clouds of dust ]

5. dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

[ ma'anee = meanings, GHair-e-gul = blossoms ]

6. qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

[ 'ahad = promise, baare = at last, ustuwaar = frim/determined ]

7. toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai !

[ mai_kashee = boozing, 'eitbaar = trust/faith ]

hamendra
January 17th, 2006, 06:36 PM
1. aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak
kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?

2. daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg
dekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak

[ daam = net/trap, mauj = wave, halqa = ring/circle, sad = hundred,
nahaNg = crocadile, sad_kaam-e-nahaNg = crocadile with a hundred
jaws, guhar = pearl ]

3. aashiqee sabr talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?

[ sabr = patience, talab = search ]

4. ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak

[ taGHaful = neglect/ignore ]

5. partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem
maiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak

[ partav-e-khur = sun's reflection/light/image, shabnam = dew,
fana'a = mortality, inaayat = favour ]

6. yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak

[ besh = too much/lots, fursat-e-hastee = duration of life,
GHaafil = careless, raqs = dance, sharar = flash/fire ]

7. GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak

[ hastee = life/existence, juz = other than, marg = death,
sahar = morning ]

hamendra
January 17th, 2006, 06:36 PM
1. 'arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

[ niyaaz = desire/an offering ]

2. jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue
hooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha

[ hastee = life/existence, shamma'a_kushta = extinguished lamp,
darKHur = worthy ]

3. marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa

[ tadabeer = solution/remedy, shaayaan = worthy, dast = hand,
baazoo = shoulder ]

4. bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai
yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheeN rahaa

[ bararoo = in front, shash = six, jihat = direction,
imtiaz = distinction, naakis = cunning, qaamil = intelligent ]

5. waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn
GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha

[ waa = open, GHair_az = other than, haayal = obstacle ]

6. go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha

[ sitam = oppression, GHaafil = unaware/careless ]

7. dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha

8. bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad'
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

[ bedaad = injustice ]

hamendra
January 17th, 2006, 06:36 PM
1. baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

[ baazeechaa = play/sport, atfaal = children ]

2. ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

[ auraNg = throne, 'eijaz = miracle ]

3. juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

[ juz = other than, aalam = world, hastee = existence,
ashiya = things/items ]

4. hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

[ nihaaN = hidden, gard = dust, sehara = desert, jabeeN = forehead ]

5. mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

6. sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

[ KHudbeen = proud/arrogant, KHud_aaraa = self adorer,
but = beloved, aainaa_seemaa = like the face of a mirror ]

7. fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

[ gul_afshaanee = to scatter flowers, guftaar = speech/discourse,
sahaba = wine, esp. red wine ]

8. nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

[ gumaaN = doubt, rashk = envy ]

9. imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

[ kufr = impiety, kaleesa = church/cathedral ]

10. aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

[ farebee = a fraud/cheat ]

11. KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

[ hijr = separation ]

12. hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

[ mauj_zan = exciting, qulzum = sea, KHooN = blood ]

13. go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

[ jumbish = movement/vibration, saaGHar-o-meena = goblet ]

14. ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !

[ ham_pesha = of the same profession, ham_masharb = of the
same habits/a fellow boozer, ham_raaz = confidant ]

hamendra
January 17th, 2006, 06:37 PM
1. be-'eitadaaliyoN se, subuk sab meiN ham huve
jitne ziyaada ho gaye, utne hee kam huve

[ be-'eitadaaliyoN = intemperatness ('eitadaal = moderation),
subuk = embarrased ]

2. pinhaaN thaa daam-e-saKHt qareeb aashiyaaN ke
uDne na paaye the; ki giraftaar hum huve

[ pinhaaN = concealed, daam = trap ]

3. hastee hamaaree apnee fana'a par daleel hai
yaaN tak mite ki aap ham apnee qasam huve

[ hastee = existence, fana'a = mortality, daleel = witness ]

4. saKHtee_kashaan-e-ishq kee poochche hai kya KHabar ?
woh lagaa rafta-rafta sar_aa_pa alam huve

[ saKHtee_kashaaN = to pull tightly, rafta = slowly,
sar_aa_pa = from head to feet, alam = sorrow ]

5. teree wafa se kya ho talaafee, ki dahar meiN
tere siwa bhee ham pe bahut se sitam huve

[ talaafee = compensation, dahar = world, sitam = opression ]

6. likhte rahe junooN kee hikaayat-e-KHooNchakaaN
harchand usmaiN haath hamaare qalam huve

[ junooN = ecstasy, hikaayat = story/narrative,
KHooNchakaaN = blood drenched, qalam = cut ]

7. alla re teree tundee-e-KHooN, jiske beem se
azzaa-e-naala dil meiN mere rizke-ham huve

[ tundee = heat, beem = terror, rizk = subsistence ]

8. ahle hawas kee fatah hai, tark-e-nabard-e-ishq
jo paaNv uTha gaye wahee unke 'alam huve

[ tark = relinquishment, nabard = battle, 'alam = flag/banner ]

9. naal-e-'adam meiN chand hamaare supurd the;
jo waaN na kheeNch sake so woh yaaN aake dam huve

[ 'adam = non-existence, dam = breath ]

10. choDee 'Asad' na hamne gadaaee meiN dil_lagee
saail huve to aashiq-e-ahl-e-karam huve

[ gadaaee = beggary, saail = begger, dil_lagee = amusement,
ahl-e-karam = charitable person ]

hamendra
January 17th, 2006, 06:37 PM
1. bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona
aadmee ko bhee muyassar naheeN insaaN hona

[ dushwaar = difficult, muyassar = possible ]

2. giriya chaahe hai KHaraabee mere kaashaane ki
dar-o-deevaar se Tapke hai bayaabaaN hona

[ giriyaaN = weeping, kaashaana = house, bayaabaaN = wilderness ]

3. waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko
aap jaana udhar aur aap hee hairaaN hona

4. jalva az_bas ki taqaaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aaina bhee chaahe hai mizhgaaN hona

[ az = from/then/by, jauhar = skill/knowledge, mizhgaaN = eyelid ]

5. ishrat-e-qatl_gah-e-'ehl-e-tamanna mat pooch
id-e-nazzaara hai shamsheer ka uriyaaN hona

[ ishrat = joy/delight, shamsheer = sword, uriyaaN = naked/bare ]

6. le gaye KHaak meiN ham daaGH-e-tamanna-e-nishaat
too ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaaN hona

[ nishaat (or nashaat) = enthusiasm/happiness, sad_rang = hundred
colours ]

7. ishrat-e-paara-e-dil, zaKHm-e-tamanna_KHaana
lazzat-e-reesh-e-jigar GHarq-e-namakdaaN hona

[ ishrat = joy/delight, paara = fragment/piece, lazzat = taste,
reesh = wound, GHarq = drown/sink, namakdaaN = container to
keep salt ]

8. kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba
haay us zood_pashemaaN ka pashemaaN hona

[ jafa = oppression, zood = quickly, pashemaaN = ashamed/
embarrassed ]

9. haif us chaar girah kapDe ki qismat 'GHalib'
jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona

[ haif = alas!, girah = one sixteenth of a yard, girebaaN = collar ]

hamendra
January 17th, 2006, 06:38 PM
1. daayam paDa huaa tere dar par naheeN hooN maiN
KHaak 'eisee zindagee pe ke patthar naheeN hooN maiN

[ daayam = always ]

2. kyooN gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil ?
insaan hooN, pyaala-o-saaGHar naheeN hooN maiN

[ gardish = bad time/luck, mudaam = always ]

3. yaarab ! zamaana mujhko miTaata hai kis liye ?
loh-e-jahaaN pe harf-e-muqarrar naheeN hooN maiN

[ harf = alphabet, muqarrar = again ]

4. had chaahiye saza meiN uqoobat ke waaste
aaKHir gunaahagaar hooN, kaafir naheeN hooN maiN

[ uqoobat = pain ]

5. kis waaste 'azeez naheeN jaante mujhe ?
laal-o-zumarrud-o-zar-o-gauhar naheeN hooN maiN

[ laal = a kind of gem, zumurrud = green colored gem,
zar = gold, gauhar = gem ]

6. rakhte ho tum qadam meree aaNkhoN se kya dareGH
rutbe meiN mehar-o-maah se kamtar naheeN hooN maiN

[ dareGH = regret/grief, mehar = sun, maah = moon ]

7. karte ho mujhko man'a-e-qadam_bos kis liye ?
kya aasmaan ke bhee baraabar naheeN hooN maiN ?

[ bosa = kiss ]

8. 'GHalib' wazifaa_KHwaar ho, do shaah ko duaa
woh din gaye ki kehte the;, "naukar naheeN hooN maiN"

[ wazifaa_KHawaar = pensioner ]

hamendra
January 17th, 2006, 06:38 PM
1. dard minnat_kash-e-dawa na huaa
maiN na achchaa huaa, bura na huaa

[ minnat_kash-e-dawa = obliged to medicine ]

2. jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ?
ik tamaasha huaa gila na huaa

[ raqeeb = opponent, gila = complaint ]

3. ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ?
too hee jab KHanjar aazma na huaa

4. kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb
gaaliyaaN khaake be_maza na huaa

[ sheereeN = sweet ]

5. hai KHabar garm unke aane kee
aaj hee ghar meiN boriya na huaa !

[ boriya = mat, here it refers to groceries ]

6. kya woh namrood kee KHudaaee thee
bandagee meiN tera bhala na huaa

[ namrood = an old king who used to say that he was god ]

7. jaan dee, dee huee usee ki thee
haq to ye hai ke haq adaa na huaa

8. zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama
kaam gar ruk gaya rawa na huaa

[ rawa = right/lawful ]

9. rahzanee hai ki dil_sitaanee hai ?
leke dil, dil_sitaaN rawa na huaa

[ dil_sitaaN = lover, rawa = agree/admissible ]

10. kuchch to paDhiye ki log kehte haiN
"aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa"

hamendra
January 17th, 2006, 06:38 PM
1. dekhna qismat ki aap apne pe rashk aajaaye hai
maiN use; dekhooN, bhalaa kab mujhse dekha jaaye hai

[ rashk = envy ]

2. haath dho dil se yahee garmee gar andeshe meiN hai
aabgeena tundee-e-sahbaa se pighla jaaye hai

[ andesha = suspicion, aabgeena = a crystal glass,
tundee = heat, sahbaa = red wine ]

3. GHair ko yaarab ! woh kyoNkar mana'a-e-gustaaKHee kare ?
gar haya bhee usko aatee hai to sharma jaaye hai

4. shauq ko ye lat ke hardam naala KheeNche jaayiye
dil ki woh haalat ki dam lene se ghabra jaaye hai

5. door chashm-e-bad ! teree bazm-e-tarab se waah-waah
naGHma ho jaata hai waaN gar naala mera jaaye hai

[ bad = wicked, tarab = joy, naala = lamentation ]

6. GHarche hai tarz-e-taGHaaful, pardaadaar-e-raaz-e-ishq
par ham 'eise khoye jaate haiN ki woh paa jaaye hai

[ taGHaaful = negligence, pardaadar = one who puts on a veil ]

7. uskee bazm_aaraaiyaaN sunkar dil-e-raNjoor yaaN
misl-e-naqsh-e-muddaa-e-GHair baiTHa jaaye hai

[ aaraaiyaaN = decorations, raNjoor = sad/distressed, misl = record,
naqsh = copy/print ]

8. hoke aashiq woh paree_ruKH aur naazuk ban gaya
rang khulta jaaye hai, jitna ki uData jaaye hai

[ paree_ruKH = angel faced ]

9. naqsh ko uske musawwir par bhee kya-kya naaz hai
kheeNchta hai jis qadar, utana hee khiNchta jaaye hai

[ naqsh = copy/print, musawwir = painter ]

10. saaya meraa mujhse misl-e-dood bhaage hai 'Asad'
paas mujh aatish_bazaaN ke kisse Thahra jaaye hai

[ misl-e-dood = like smoke ]

hamendra
January 17th, 2006, 06:39 PM
1. dhota hooN jab maiN peene ko us seem_tan ke paaNv
rakhata hai zid se kheeNch ke baahar lagan ke paaNv

[ seem_tan = silver bodied, lagan = a basin ]

2. dee saadgee se jaan paDooN kohakan ke paaNv
haihaat ! kyoN na TooT gaye peerzan ke paaNv

[ kohakan = a mountain digger, haihaat = alas !, peerzan = old woman ]

3. bhaage the; ham bahut see uskee saza hai ye
hokar aseer daabte haiN raahzan ke paaNv

[ aseer = prisoner, raahzan = robber ]

4. marham ki justjoo meiN ghira hooN jo door-door
tan se siwa figaar hai is KHastaa_tan ke paaNv

[ justjoo = desire, figaar = wounded ]

5. allaah re zauq-e-dasht-e-nawrdee ki baad-e-marg
hilte haiN Khud-ba-KHud mere andar qafan ke paaNv

[ zauq = taste, dasht-e-nawrdee = to roam around in wilderness,
marg = death ]

6. hai josh-e-gul bahaar meiN yaaN tak ki har taraf
uDate hue ulajhte haiN murGH-e-chaman ke paaNv

[ murGH = bird ]

7. shab ko kisee ke KHwaab meiN aaya na ho kaheeN
dukhte haiN aaj oos but-e-naazuk_badan ke paaNv

[ but = idol/beloved ]

8. 'GHalib' mere kalaam meiN kyoNkar maza na ho ?
peeta hooN dhoke KHusrau-e-sheereeN_suKHan ke paaNv

[ kalaam = writing/speech, sheereeN = sweet, suKHan = speech/words,
KHusrau-e-sheereeN_suKHan = this is pointed at Badshah Zafar ]

hamendra
January 17th, 2006, 06:39 PM
1. dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai

2. ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?

[ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]

3. maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN
kaash ! poocho ki "muddaa kya hai" ?

4. jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai

5. ye paree chehara log kaise haiN ?
GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai ?

[ paree chehara = angel faced, GHamza = amorous glance,
ishwa = coquetry ]

6. shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai ?
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?

[ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ]

7. sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ?
abr kya cheez hai, hawa kya hai ?

[ abr = clouds ]

8. hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai

9. "haaN bhala kar tera bhala hoga"
aur darvesh kee sada kya hai ?

[ darvesh = beggar, sada = voice ]

10. jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai

11. maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib'
muft haath aaye to bura kya hai ?

hamendra
January 17th, 2006, 06:40 PM
1. dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?

[ sang = stone, KHisht = brick ]

2. dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?

[ dair = temple, haram = mosque, dar = gate, aastaaN = abode,
rehguzar = path/way ]

3. jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN ?

[ jamaal = beauty, faroz = shining/luminous, meher = sun,
neem_roz = mid day, nazzaara_soz = beautiful/worth seeing ]

4. dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN ?

[ dashna = dagger, GHamza = amorous glance, jaaN_sitaaN = distroying
life, naawak = a kind of arrow, aks = image ]

5. qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?

[ hayaat = life, band-e-Gham = conceled sorrows,
nijaat = release/liberation ]

6. husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN ?

[ husn_zan = favourable view, bulhawas = slave of passions/very
greedy, 'eitmaad = reliance/dependance ]

7. waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN ?

[ GHuroor = pride, iz'z-o-naaz = respect and beauty,
hijaab = veil/modesty, paas = regard, waz'a = behaviour ]

8. haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?

[ parast = worshipper, deen = religion/faith ]

9. 'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?

[ KHasta = sick/injured, zaar-zaar = bitterly ]

hamendra
January 17th, 2006, 06:40 PM
1. dil se teree nigaah jigar tak utar gayee
donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee

2. shaq ho gaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq
takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar gayee

[ shaq = crack/split, firaaq = separation,
pardaadaaree = to hide, esp. fault ]

3. woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN ?
uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee

[ baada = wine, shabaana = night, sahar = morning ]

4. uDtee fire hai KHaak meree koo-e-yaar se
baare ab 'ei hawa, hawas-e- baal-o-par gayee

[ baare = at last, koo-e-yaar = lover's street ]

5. dekhooN to dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar gayee

[ dil_fareb = heart alluring, naqsh = copy/print, pa = leg,
mauj = wave/enjoyment, KHiraam = speed ]

6. har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee
ab aabru-e-sheva-e-'ehl-e-nazar gayee

[ bulhawas = greedy, husn_parastee = to appreciate beauty,
shiaar = habit, aabru = respect/honour, sheva = manner/habit ]

7. nazzaare ne bhee kaam kiya waaN naqaab ka
mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee

8. farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya
kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee

[ farda = yesterday, dee = tomorrow, tafarqa = difference ]

9. maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe
woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?

[ walwale = enthusiasm ]

downtoearth
January 17th, 2006, 07:27 PM
terey waqt mein likhney ki gustakhi ki hai ey gaalib
par jantey hain tere fann ke aagey hum kuch nahi

dndeswal
January 17th, 2006, 10:59 PM
Bhai Hemendra,

Kuchh thodi si Urdu bhi seekhi hai ya yoon hi Ghalib ko likh rahe ho? I do not think ham mey se kisi ko Urdu aati hoti (maine thodi se seekhi thi, ab to almost bhool gaya hoon).

Urdu mein nukta (dot . ) ek khaas jagah rakhta hai. Urdu alphabets mein aap dekhoge ki dot bahut aati hain. Isi per ek Sher:

Wo mohabbat-mohabbat likhte rahe
Hum mehnat-mehnat padhte rahe
Nukte ke her-pher se 'khuda' 'juda' ho gaya.

Jab maine ek Pakistani ko ye sher sunaya to usko yakeen hi nahin hua ki mujhe Urdu nahin aati.

hamendra
January 17th, 2006, 11:09 PM
Bhai Hemendra,

Kuchh thodi si Urdu bhi seekhi hai ya yoon hi Ghalib ko likh rahe ho? I do not think ham mey se kisi ko Urdu aati hoti (maine thodi se seekhi thi, ab to almost bhool gaya hoon).

Urdu mein nukta (dot . ) ek khaas jagah rakhta hai. Urdu alphabets mein aap dekhoge ki dot bahut aati hain. Isi per ek Sher:

Wo mohabbat-mohabbat likhte rahe
Hum mehnat-mehnat padhte rahe
Nukte ke her-pher se 'khuda' 'juda' ho gaya.

Jab maine ek Pakistani ko ye sher sunaya to usko yakeen hi nahin hua ki mujhe Urdu nahin aati.
Bhai Deswal Jee,
Muje ye collection Mirza Ghalib Sahab ka mil gaya tha, Socha ki site pe post kar deta hoon, jinko acchha lagega pad lenge. Urdu, muje nahee aatee hai Bhai.
Kuchh Galat laga ho to maaf karna Bhai.

downtoearth
January 17th, 2006, 11:21 PM
deswal sir,bahut khoob,,,,hum mehnat mehnat padtey rahey........agar dekha jaye to zitni tehjeeb aur mithaas is jubaan mein hai aur kisi language mein nahi...sir,urdu likhni nahi aati lakin thodey bahut alfaazoon ki knowledge hai.....

dndeswal
January 18th, 2006, 12:48 AM
Hemendra bhai,

aap to wakai bahut mehnat kar rahe ho - isme galat ke honna bhai- yeh forum to bani hi isi kaam ke liye hai! Hum to videsh main baithe hain - site par jaakar to aisa lagta hai jaise apne gaon ki chopaal mein baithe hon !

Mein aap ki post ko alag se save karke dhyaan se padhoonga. Many many thanks.

dndeswal
January 18th, 2006, 12:51 AM
Ek aur yaad aaya. Mere paas Dada Bastiram ke Haryanavi bhajno ka collection hai. Par English mein likhna thoda mushkil hai - Hindi software hoti to achha tha. Phir bhi koshish karoonga.

keshavdahiya
January 18th, 2006, 12:53 AM
bhai hamender ji kassuta kaless kaat diya aapne....
all ready bookmarked it..
manne ek be to nyu lagya huki aaj bhai chuut liya se bera na datte bhi ga ke na,:D:D lekin phir 13 threads paache saans aaya....;):p
hor bhi koyye bach rehya ho to aana diyo mauka padya se
but it was gr8 work

hamendra
January 18th, 2006, 10:59 PM
bhai hamender ji kassuta kaless kaat diya aapne....
all ready bookmarked it..
manne ek be to nyu lagya huki aaj bhai chuut liya se bera na datte bhi ga ke na,:D:D lekin phir 13 threads paache saans aaya....;):p
hor bhi koyye bach rehya ho to aana diyo mauka padya se
but it was gr8 work
Dhanyabad Bhai