PDA

View Full Version : Jindaggi Mili Hei To Hanss Ke Jio



devdahiya
February 2nd, 2006, 08:11 PM
The difference between STARS and US is very simple: Though either can fall on occasion,but we can get up and start shinning again.




Jindaggi mili hei to hanss ke jio
Har pyale ko ji bhar pio


Gilass dikhta hei aadhha khali ya aadhha bhraa
Kyun,kya tumne ye socha hei jara
Najjar jaissi hogi dikhega vaissa hi
Aur tumko milega fal bhi vaissa hi


Kantte to aate hein jindaggi mei sab ki
Lekin tartei hein wo jo sunte hein rab ki
Ronne se hoga na hasshil ye kuchh bhi
Jindagi hei gehri panni ki dubaki


Sab ko hansao,tum dil se lagao
Jindagi mei sabki khushbu feilao
Jindda-dilon ko na parwah hei hoti
Wo chunte rehte jeewan ke motti.

devdahiya
February 2nd, 2006, 08:28 PM
Kissi ke dil ko tum kabhi na dukhana
Nahi to paddega bahut pachhtana
Na sapne mei bhi tum kisi ko sattana
Dukhiyo ke dil pe marhamm lagana.

devdahiya
February 3rd, 2006, 09:10 AM
Ronne mei kya rakhkha hei, rotte hein kamjor
Darr jate hein dekh kar ghatta ek ghanghor
Roj-2 ke marne se marr lo ek hi baar
Warna jeewan vyarth hei,jeena bhi bekar.

pragati
February 3rd, 2006, 12:35 PM
very nice Dev Sir....

vijay
February 3rd, 2006, 01:07 PM
Hum Udha dete hain har gum ko hansi ki chadar,
Zinda rahne ki humse koi ada le jaye.

devdahiya
February 3rd, 2006, 09:16 PM
Hum Udha dete hain har gum ko hansi ki chadar,
Zinda rahne ki humse koi ada le jaye.



Bhai wah-2 patte ki baat keh di.



Kurbaan jauun iss ada tumhari nirali par
Meri dua hei ke aiss kar bhai jeewan bhar.