PDA

View Full Version : Mushairaa (All Shayars Invited)



rkumar
June 15th, 2003, 10:21 AM
Doston, Khwateen, Buzurgon, Naujawanon sabse pahle Nitin bhai ka bahut bahut Shukriya ki hum dil jalon ke liye Time pass me Shairee ko jagah dee...Poora bharosa hai mujhe ki Sabhi Shayar bhaiyon ko upna upna hunar dikhaane ka mauka milega...Sabse gujarish hai ki wo upnee Shairee sirf yaheen post karre. Jab yahan par bahut sare sher ho jayenge to ho sakta hai usko Jatland ke banner tale publish krwa saken...Please mention jaroor kar dena jo aapke upne original hon aur jo kisi aur ke hon.

Rajendra

rkumar
June 15th, 2003, 10:31 AM
Rajendra Kumar Kalkhunde (Jun 15, 2003 12:51 a.m.):
Doston, Khwateen, Buzurgon, Naujawanon sabse pahle Nitin bhai ka bahut bahut Shukriya ki hum dil jalon ke liye Time pass me Shairee ko jagah dee...Poora bharosa hai mujhe ki Sabhi Shayar bhaiyon ko upna upna hunar dikhaane ka mauka milega...Sabse gujarish hai ki wo upnee Shairee sirf yaheen post karre. Jab yahan par bahut sare sher ho jayenge to ho sakta hai usko Jatland ke banner tale publish krwa saken...Please mention jaroor kar dena jo aapke upne original hon aur jo kisi aur ke hon.

Rajendra


1. 4 L I N E S...OR MORE (Rinu Singh)

last updated at Jun 14, 2003 06:31 a.m. (1 times)

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par
Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay

Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai
------------------------------------
Rajendra Kumar...

Masha-allah Rinu Ji...Bahut hi khoob likhaa...
1.Isq ke samunddar me dil ki kashti utaar tu dee
dekho ub yah lahren hume kahan le jaate hain

2. bahut aankhen khol kar safar kiya humne
bas ek baar aanken band kia kee, dil ko luta baithe

3. Ajeeb si khushboo hai, yahan ki aabo hawa me
Lagta hai hum, koonch-e-yaar me aa gaye

4. Socha thaa mere marne par aaogee tum, mujhse milne
Magar Zalim jamane ne marte hi meri aankhen band karde

5. Jhatoko ne yoon Zulfen, jaljala aa jayegaa
Girega kisi gareeb ka aasiyan, tera kia jayega

6. Gore se dekh lo hamari surat ko aaj,
kahin jal na rahee ho shama aakhri baar.
barkarar rahenge tere hushn ke jalwe,
Hum rahen na rahen, karne ko tera intzaar

Khuda Mahfooz rakhe hushn walon ko....hahahaa ...aur hum yoon hi likhte rahen...LOL

Rajendra

Date: Jun 14, 2003 on 10:48 a.m.

4. Re:4 L I N E S...OR MORE


Rinu Ji:
Padh kar aapki 4 line
khushi mele dil ko mine
bas aur kya kahun
aapki ye line padhta hi rahu

Very good job, Rinu, I am most impressed !

Budh


--------------------------------------------------------------------------------
When your means are honest and your conscience is clean, all good things in life come your way!
Budh Nashier, M.Sc.(Hons.), Ph.D.

Date: Jun 14, 2003 on 11:21 a.m.


5. Re:4 L I N E S...OR MORE


Rinu very nice -keep up
Araj kiya hae
Gumm suda jasan yad karata hae
Aak tuta huwa glass rasatay mae
Ham to uus rah ko karay sajjdda
JIS RAHH SY ROJ RINU GUJARATI HAE !!!!!!
USS RAH KO BHI KARAY SAJJDDA
JIS RAH SY SAEYAR GUJARATAY HAN !!!!!!
--------------------------------------------------------------------------------
Jay Jawan Jay Kisan Jay Jat Shaheed
Date: Jun 14, 2003 on 11:46 a.m.

6. Re:4 L I N E S...OR MORE


Rinu Ji,
Bhot Badhiya !

Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay

Shalimar film kee yaad dila dee


--------------------------------------------------------------------------------
Everyone thinks of changing the world, but no one thinks of changing himself.
Date: Jun 14, 2003 on 12:55 p.m.

7. Re:4 L I N E S...OR MORE


wah wah dudee uncle, rinu ji, rajendra uncle...ekdum mehfil see jama dee...
shayad shayad kehte kehte sahyad ne shayar ko mara,
ek din woh aayegee yahin sochta raha bechara,
shayad aur shayar ka koi rishta juda hua hai,
tabhi shayar kee kabar par shayad shayad khuda hua hai....


--------------------------------------------------------------------------------
JATS DO IT !!!
Date: Jun 14, 2003 on 03:07 p.m.

8. Re:4 L I N E S...OR MORE

--------------------------------------------
Mandeep Bamal (Jun 14, 2003 11:07 a.m.):
wah wah dudee uncle, rinu ji, rajendra uncle...ekdum mehfil see jama dee...
shayad shayad kehte kehte sahyad ne shayar ko mara,
ek din woh aayegee yahin sochta raha bechara,
shayad aur shayar ka koi rishta juda hua hai,
tabhi shayar kee kabar par shayad shayad khuda hua hai....


--------------------------------------------------------------------------------

Haan mandeep theek kahte ho...intzaar me zindgi kat jaati hai...Shayad Shayad kahte...

1.Hamare paas thaa bhi kiya, ek sabr ke sivai
Wo bhi aaj luta baithe hain, teri intzaar mai

2. Le liya hai humne makan, raaste par unke
Ne kar sake wo bahana jis se, waqat milne ka

3. Jab se liya hai humne makan, raaste par unke
Nikalne lage hain wo humse, nazren bacha bacha kar..

4. Aa jana dekh kar, jalta hua diya tu meri mazar par
Chale jana fir, phool do chaar daal kar..

hahaha...Shayad wo kabhi aayengee...Shayad... hahahahahahhaha

Rajendra


--------------------------------------
Dimag se hindu hoon, aur dil ka hoon musalmaan
Hum hain es jahan ke, aur hamara hai sara jahan....
Date: Jun 14, 2003 on 03:18 p.m.

9. Re:4 L I N E S...OR MORE


hmmmmmmm....rinu ji....badiya hai:P
Date: Jun 14, 2003 on 04:07 p.m.

10. Re:4 L I N E S...OR MORE


ShUkRiYa.........ShUkRiYa
Dudee uncle Ji, Nashier Uncle .Rajendra Mama ji, Mandeep Ji, Ashok Ji...........
ShUkRiYa EvErYoNe......

ReGaRdS,
RiNu






--------------------------------------------------------------------------------
Dharmpal Singh Dudee (Jun 14, 2003 07:46 a.m.):
Rinu very nice -keep up
Araj kiya hae
Gumm suda jasan yad karata hae
Aak tuta huwa glass rasatay mae
Ham to uus rah ko karay sajjdda
JIS RAHH SY ROJ RINU GUJARATI HAE !!!!!!
USS RAH KO BHI KARAY SAJJDDA
JIS RAH SY SAEYAR GUJARATAY HAN !!!!!!
--------------------------------------------------------------------------------

Date: Jun 14, 2003 on 04:22 p.m.



maine theek hi kaha tha rinu ji aap lajawab hein
verey very nice rinu ji keep it up !!!

Date: Jun 14, 2003 on 05:04 p.m.

Dharmpal Takhar


nice to see this quality shayari
meri taraf se bhi kuch (copied from 'Majaaz')
fir meri aankh ho gayi nam-naak
fir kisi ne mizaz poocha hai..

kuch tumhari nigah kaafir thi
kuch mujhe bhi kharaab hona tha

ye bhi koi aana hai ki bas rasman chale aaye
ye milna khaak milna hai ki dil se dil nahin milta

sabka to mudawa* kar daala
apna hi mudawa kar na sake,
sabke to gareban see daale
apna hi gareban bhool gaye.

vida..

Date: Jun 14, 2003 on 06:26 p.m.

Simran Malik

fabulous shayari...
------------------------------------
jaat ke thaath
Date: Jun 14, 2003 on 06:41 p.m.

14. Re:4 L I N E S...OR MORE

last updated at Jun 15, 2003 03:10 a.m. (1 times)
1. Ne jaane kyoon aa jatee hai roj yah kambakht raat
Hoke mazboor hatani padtee hain nigahen, tere raste se
2. Ek baar to utar aao goya tum hamari Zameen par
Kia umar bhar muskuraati rahogee baithkar
chaand par.

3. e hawaon tum aakar mere labon se chipak jao
Suna hai tum unke rukhsaar ko chookar aayee ho.

4. Tere rukhsar yoon lagte hain, jaise bhadakte Shole
Aur zulfon ka dhuan utha raha hai aasman tak.

5. Es andheri raat me kyoon jati ho hume yoon chor kar
Isq ke khat padh lene do upne chehre ki roshnee mai.

Rajendra

------------------------------------
Date: Jun 15, 2003 on 02:49 a.m.

satbir
June 15th, 2003, 04:30 PM
utha tha ek kadam rahe sonk se
manjil tamam umer hamen dundh te rahin
unki manjil unhen ho mubarak
hame unse koi sikayaet nahin he
socha tha bahut door nickle jayenge
mager dekha to har kadam unki rahe gujar me he.

ranjitjat
June 15th, 2003, 07:04 PM
ARAJ KIYA HAE
HAM TO RUUK NAHI SAKATY
PAYAR KARANA HAMARI PURANI ADAT HAE
PAYAR KY LIYE JINA MARANA
DESH PREM MAE KURWANI DAENA
YAH HAMARI PURANI SAHADAT HAE
YAHI JAT BEER SHAHEEDO KI HAKIKAT HAE !!!!


KOE SAMAJHY YA NAHI SAMAJHY
DESH PREM DHARMPAL KI MAJBURI HAE !!!!!!!!!

HAM SY BAHIN BHAIO KUE DURI HAE
HAM SY BAHIN BHAIO KUE DURI HAE !!
APANY BAHIN BHAIYO SY PAYAR KARANA
YAHI TO DHARMPAL KI BADI KUSHNASIVI HAE !!!!!!!!!

dahiya
June 16th, 2003, 10:20 AM
MOHAABTOON MEIN HABAAB JAISA|
WO EK CHEHRA GULAAB JAISA|

ABHI TO GUJRA HAI SAAMNE SE|
ABHI TO DEKHA HAI KHWAAB JAISA|

HUM APNI DUNIYA NISAAR KAR DEIN|
MILE TO KOI ZANAAB JAISA|

uday
June 16th, 2003, 10:56 AM
Dear All,
Please mention original ya kisi or ki...
Please mention original ya kisi or ki...



Rajendra Kumar Kalkhunde (Jun 15, 2003 04:51 a.m.):

...Please mention jaroor kar dena jo aapke upne original hon aur jo kisi aur ke hon.

Rajendra

amar0974
June 16th, 2003, 12:23 PM
Kesey or key:-

Jahaan gaaye the khushiyon ke taraane,
Muqaddar dekhiye roye wahiin par
Hue masjid se Gum juute hamaare,
JahaaN se paaye the, khoye wahiin par

Janaza Mera Nikla, Duniya Dekh Ne Nikli
Magar Woh Zalim Na Nikli, Jiske Liye Mera Janaza Nikla

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Kafas Udas Hai yaaro, Subah Se Kuch To Kaho
Kahin To Behr-E-Khuda Aaaj Zikr-E-Yaar Chale

Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Sab Ne Suni Hai
Jo Saaz Pe Guzri Hai, Woh Kis Dil Ko Khabar Hai

In Main Moti Hai Ke Pathar, Kise Khabar
Dil To Samundaron Se Bhi Gahra Hai Dosto

Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki
Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki

Galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum
Samajh sake na koi, woh kitaab hai hum

************************

yvsgaawar
June 16th, 2003, 06:10 PM
Original:

Woh umadti Jindgi chali aati thee,
Badan tutata thaa neend bhali aati thee,
Firte thee Nidar, hoke dunia se bekhabar.
Dil dhadaktaa thaa jab teri gali aati thee.

rkumar
June 16th, 2003, 11:28 PM
YagyaVir Singh Gaawar (Jun 16, 2003 08:40 a.m.):
Original:

Woh umadti Jindgi chali aati thee,
Badan tutata thaa neend bhali aati thee,
Firte thee Nidar, hoke dunia se bekhabar.
Dil dhadaktaa thaa jab teri gali aati thee.


Bahut sunadr Yagyavir Singh ji. Beautiful really.

Rajendra

jaatni
June 17th, 2003, 12:11 AM
KISI AUR KI...

aadmi ka jism kya hai,jis par shaida hai jahan
ek mitti ki imarat ,ek mitti ka makaan
khoon ka gaara banaya,iintain hain jismen haddiyan
chand shvason pe data hai,yeh khayale aasmaan
maut ki purzor aandhi,jab is se takrayegi
toot kar yeh imarat,khaak main mil jayegi

yvsgaawar
June 17th, 2003, 12:23 AM
Bahut badhiya Simran ji.
Do line ek filmi kawwali ki:
"Hue naamwar, benisshaan kaise kaise"
"jameen khaa gai, naujawaan kaise-kaise"




Simran Malik (Jun 16, 2003 02:41 p.m.):
KISI AUR KI...

aadmi ka jism kya hai,jis par shaida hai jahan
ek mitti ki imarat ,ek mitti ka makaan
khoon ka gaara banaya,iintain hain jismen haddiyan
chand shvason pe data hai,yeh khayale aasmaan
maut ki purzor aandhi,jab is se takrayegi
toot kar yeh imarat,khaak main mil jayegi

akdabas
June 17th, 2003, 12:33 AM
Wah wah wah wah wah wah............................................... ...................................!!!
Veeerrry gooooood Ssssssssshaayari.

rinu
June 17th, 2003, 01:15 AM
WaH WaH WaH...........

NiCe ShAyArI N AnDaJ -E- BaYaN

SwEeT-SwEeT


RiNu

rkumar
June 17th, 2003, 08:18 AM
Sabhi sahibaan ka shukriya..bahut khoobsoorta shairee ke liye...

Here are some originals;

1. Hone lagee hai hume aajkal chaand se nafrat
Aakhir hai to wo bhi, humshakl aapka

2. Tumne to khwabon me aane ki kasam khaayee thee
Magar ho gayee gayab, hamari neenden churakar

3. Meri gazlon aur sheron me aayee ho tum jaan bankar
Warna yeh bhi murda hotee, hamari tarah.

4. Waqt thoda hai, ji bhar ke pilade saaki
Bahakne ko to umar padi hai saari baaki.

5. Be-gairat ho jao kuch to, e hushn walo
nikla karo idhar se tum, nakab hata kar

6. Suna hao wo aajakl khaak batora karte hain
Lagta hai hume, khaak me milaane ki kasam khaai hai

Rajendra

mbamal
June 17th, 2003, 08:50 AM
wah wah wah!!! kya fundoo shyari hai....bazaad bhai maan gaye, kudos to all fundoo shayars

yvsgaawar
June 17th, 2003, 07:22 PM
6. Suna hao wo aajakl khaak batora karte hain
Lagta hai hume, khaak me milaane ki kasam khaai hai


Bahut badhiya, Rajender ji.
Ek Kahi padha thaa, bahut pahle. Pahli line yaad nahi, doosri kuch aise hai:

"Woh idhar se hoke chala kare, "
"tou gubar banke uda kare."

uday
June 18th, 2003, 10:23 AM
Self written.. on invitation of Rajendraji to Mushairaa (All Shayars Invited)… :-) :-)

Hya main shabnam ki mahak milakar vo guzrey to kya ho;
Muflisee main her mukaam miley, hasrat ho jay puri to kya ho;
Tassowar main ho yun saarey, aur deedaar ho jaye yahan hamare to kya ho !!

Hya- sharam
Muflisee – garibi \ bura waqt
Tassowar - Intezar

******************************
Re:Kya mere Nagmey.. Kya meri hasti # 2


Bahut sundar Dahiya ji. Dahiya ji Musaairaa me aao naa..khoob jamegee.... Rajendra
***************************
Dimag se hindu hoon, aur dil ka hoon musalmaanHum hain es jahan ke, aur hamara hai sara jahan....
Date: Jun 17, 2003 on 01:53 a.m.

ranjitjat
June 18th, 2003, 09:46 PM
self made 1 day old baby
Jat ka teer bhi hota- tooka hae
Wild guess aur pas mae hooka hae !!!!

Jat ka tooka bhi hamaesa teer hae
Pita sheet-Rabadi khata kheer hae !!!!!

uday
June 19th, 2003, 02:34 PM
Bhai Rajendra,
Dil Jale nahi hai kati bhee. Dil to pura Garden garden hai :-) kabhi kabhi likhney ka shok hai..

Bhai mushairaa to bula liya... er do - teen din se khood gayab hai....Mushairaa ayojen ka kharcha panni koun dega eeeb :-) :-) :-)
........................
By the way
Rajendra Kumar Kalkhunde (Jun 15, 2003 04:51 a.m.):
Doston, Khwateen, Buzurgon, Naujawanon sabse pahle Nitin bhai ka bahut bahut Shukriya ki hum dil jalon ke liye Time pass me Shairee ko jagah dee...Poora bharosa hai mujhe ki Sabhi Shayar bhaiyon ko upna upna hunar dikhaane ka mauka milega...Sabse gujarish hai ki wo upnee Shairee sirf yaheen post karre. Jab yahan par bahut sare sher ho jayenge to ho sakta hai usko Jatland ke banner tale publish krwa saken...Please mention jaroor kar dena jo aapke upne original hon aur jo kisi aur ke hon.

Rajendra

yvsgaawar
June 19th, 2003, 06:51 PM
Jat ka tooka bhi hamaesa teer hae
Pita sheet-Rabadi khata kheer hae !!!!!


Dudee ji, your baby is good and healthy.

ranjitjat
June 19th, 2003, 07:51 PM
YAgya vir bhai- Abhi to baby sher hae
Dudh malaye kha kar tagada ho jayaga

Kisi ny sher sy khamkha panga liya to pher
Dudee sher ka bachha hae ragada ho jayaga !!!!

CHEERS

VirenderNarwal
June 20th, 2003, 07:25 PM
bhut badhiya sairo sayri hai
araz haiye
ye sraab bahut buri chees hai
aao isko jadd se khatam karte hai
ek botel tum uthao
baki hum khtam karte hai

shokeen123
June 20th, 2003, 08:02 PM
"Ek botel tum uthao
baki hum khtam karte hai"

Fer te bhai kati beda paar ho jygaa...

yvsgaawar
June 20th, 2003, 08:08 PM
hahaha... Kisi aur ka:

"Angoor ki beti ne utha rakhi hai Duniya sar par"
"Accha hua Angoor ke Beta na hua"



Virender Singh Narwal (Jun 20, 2003 09:55 a.m.):
bhut badhiya sairo sayri hai
araz haiye
ye sraab bahut buri chees hai
aao isko jadd se khatam karte hai
ek botel tum uthao
baki hum khtam karte hai

ranjitjat
June 20th, 2003, 11:56 PM
SELF MADE- DAESI DARU
Daesi ka pavva khub pioo Bhaiya
Jaladi sy par hogi- jiwan ki naeya !!!!

Rum mae RAM basay-Whiski mae Hanuman
Khub dawa kar pio- Tum ho bhua ky Mahman !!!!

Yah to tumari khalla ji ka hi ghar hae
Apna hi ghar samajho-YAHA kisaka dar hae !!!!

jaatni
June 21st, 2003, 12:47 AM
KISI AUR KA...

zindagi aankh se gira ek bedhang katra
tere aanchal ki panah paata to aansoon banta..

shokeen123
June 21st, 2003, 02:55 AM
Okay people here is my contribution...

Jeena kise kahete hain
Jindagi kya cheez hai?
koi eis laash se puchhey
maut kitni azeez hai?

Barsaatein jab jab aayi
bheegta raha uska kamzor badan
magar bahaaron ko bhi na jaane kyon
gawaara nahi hui uski dhadkan?

Chand ki roshni se
jalta raha uska zehen
magar jab andhera hua
bijliyon ko dhoondhta raha uska kafan

Sadak ke kinaare
awaara laash par aaj fool kisne chadha diya
jindagi ke oos bujhe chirag ko
kis shukhs ne fir jalaa diya?

bnashier
June 21st, 2003, 03:40 AM
Kahen bhi to kya kya kahen, kahane ko bahut khuchh hai
Aap jab se milen hai, hamari jindagi mein sab khuchh hai
Hamse jo bhi galatian hon unko maph kar dena aap
Akhir, beta, bhagwan ne banaya hamen tumara baap

ashokpaul
June 21st, 2003, 10:01 AM
araz kiya hai...

ladkiyan DAK ticket hoti hain
jab ye nicket hoti hain
aadmi ka tanna saafa hota hai
aur...
aur jab ye nahin hoti,
aadmi lifafa hota hai.
mohar in par lagati hai
dard lifafe ko hota hai
magar...
jab ye chipki rahati hein
lifafe ka aapna ek rang hota hai
aur...
aur jab nahin hoti
lifafa be-rang(bairang) hota hai

take it easy

ranjitjat
June 21st, 2003, 04:07 PM
BABAR SHER
Iss kadar una ka iitana -intjahr hae AAJ
Daman sawar sy Dharmpal-tar-tar hae AAJ !!!!!

AUR likhany ka jara bhi na khayal raha
Vah ayagi -yahi Dharmpal ko intjar raha !!!!!

shokeen123
June 21st, 2003, 07:04 PM
Dharmpal Singh Dudee (Jun 21, 2003 06:37 a.m.):
BABAR SHER
Iss kadar una ka iitana -intjahr hae AAJ
Daman sawar sy Dharmpal-tar-tar hae AAJ !!!!!

AUR likhany ka jara bhi na khayal raha
Vah ayagi -yahi Dharmpal ko intjar raha !!!!!

************************************************** ********************

Wah Wah Baber Sher Bhai!!!
Shayri me kya khumaar hai
Aapko "wah wahi"
or mujhe "kothli" ka intezar hai

Amreeka jab aayenge tou
ghewar kasaar lana padega
Jab aa hi rahe ho tou
"old house" or "new house" ka
silsila bhulana padega...

regards,

Sujata

ranjitjat
June 22nd, 2003, 03:34 AM
Sujata bahin ji Kothalli to Bahin bhai ky
Sachay payar ki aak madhur nisani hae
Jis baat sy bahin ky dil ko khusi maely
Vah baat Bhai ky dil sy nahi chhani hae !!!!

ranjitjat
June 22nd, 2003, 06:34 PM
Sujata Bahin ji Saman teej sy
Pahaly jaladi Amirica ayangy
GHewar aur Kassar ki kothali
BHI ROYAL BRITISH MADE LAYANGY

Yadi Amrican custom ny allow nahi kiya
To Ghewar- Kassar ghar mae aakar banayagy
Old house- Pihar new house- sasural
Sasary ky riwaj ka faraj bhi Dharmpal kushi sy nibhayangy !!!!

uday
June 23rd, 2003, 09:28 AM
It's Beautiful :-)...

Sujata (Jun 20, 2003 05:25 p.m.):
Okay people here is my contribution...

Barsaatein jab jab aayi
bheegta raha uska kamzor badan
magar bahaaron ko bhi na jaane kyon
gawaara nahi hui uski dhadkan?

?

yvsgaawar
June 23rd, 2003, 07:18 PM
Kisi Aur Ka:

tere ashkon se bheege khat mai jalaata kaise
teri yaado se bhare khat mai jalaata kaise
tere khat ajj mai GANGA mai baha aaya hoon
AGG bahte hue paani mai laga aaya hoon

ranjitjat
June 23rd, 2003, 07:50 PM
READY MADE
Tumhari khathani - karni mae antar hae aaj
Tumhara galat hae saray hi andaaj
pani mae aag lagakar to dikhlao
Khat Ganga mae baha kar to dikalao

yvsgaawar
June 23rd, 2003, 08:18 PM
READY MADE:
Dudee ji Appko accha nahi laga mera koi bhee andaaj.
Yoon tou na udao dhool, thodi tou rakho meri Laaj.
App hi kai dam se hai Jatland par kavita.
App hi the sher jaatland ke kal, aur app hi hai Ajj.




Dharmpal Singh Dudee (Jun 23, 2003 10:20 a.m.):
READY MADE
Tumhari khathani - karni mae antar hae aaj
Tumhara galat hae saray hi andaaj
pani mae aag lagakar to dikhlao
Khat Ganga mae baha kar to dikalao

ranjitjat
June 23rd, 2003, 09:38 PM
Yagyavir bhai- hama ko Bahut bahut
Achha lagata hae-Aap ka shayrana andaj
Parntu yah jiskay liye likha gaya hae
KASAM RAM KI VAH BAHUT2 ROYAGI AAJ

yvsgaawar
June 23rd, 2003, 11:49 PM
Dharmpal Singh Dudee (Jun 23, 2003 12:55 p.m.):
Yagyavir bhai- hama ko Bahut bahut
Achha lagata hae-Aap ka shayrana andaj

#Dudee ji Bhatijey ko Bhai tou na boliye.
Mai hoon 30 ka aur app 60+ ke ho liye.


Parntu yah jiskay liye likha gaya hae
KASAM RAM KI VAH BAHUT2 ROYAGI AAJ


# Royegi tou uski jisney likha hai"
maine tou kisi aur ka cut/paste kiya hai"

uday
June 24th, 2003, 09:06 AM
class !!

# Royegi tou uski jisney likha hai"
maine tou kisi aur ka cut/paste kiya hai"

[/quote][/quote]

akdabas
June 25th, 2003, 03:41 AM
Ha..Ha..Ha.....

Aap ne to kamal kar diya Dudee Ji & Gaawar Bhai :)



YagyaVir Singh Gaawar (Jun 23, 2003 02:20 p.m.):

Dharmpal Singh Dudee (Jun 23, 2003 12:55 p.m.):
Yagyavir bhai- hama ko Bahut bahut
Achha lagata hae-Aap ka shayrana andaj

#Dudee ji Bhatijey ko Bhai tou na boliye.
Mai hoon 30 ka aur app 60+ ke ho liye.


Parntu yah jiskay liye likha gaya hae
KASAM RAM KI VAH BAHUT2 ROYAGI AAJ


# Royegi tou uski jisney likha hai"
maine tou kisi aur ka cut/paste kiya hai"

uday
June 25th, 2003, 08:58 AM
bahut umda...

YagyaVir Singh Gaawar (Jun 23, 2003 09:48 a.m.):
Kisi Aur Ka:

tere ashkon se bheege khat mai jalaata kaise
teri yaado se bhare khat mai jalaata kaise
tere khat ajj mai GANGA mai baha aaya hoon
AGG bahte hue paani mai laga aaya hoon

yvsgaawar
June 25th, 2003, 07:14 PM
Thanks Uday and Ashok bhai.
Infect mine is third class TUKBANDI, compare to Dudee ji, Rajender ji and Uday bhai. Dudee ji has natural talent. I have gone through Dudee ji's "POET CORNER -A MEMORIAL IN HONOUR OF ALL INDIAN MARTYRS &SHAHEEDS ON MARTYRDOM DAY AND ALWAYS FOR EVER"(Current Affairs Section) and they are wonderful.

rkumar
June 29th, 2003, 01:13 AM
[quote]Uday Dahiya (Jun 19, 2003 05:04 a.m.):
Bhai Rajendra,
Dil Jale nahi hai kati bhee. Dil to pura Garden garden hai :-) kabhi kabhi likhney ka shok hai..

Bhai mushairaa to bula liya... er do - teen din se khood gayab hai....Mushairaa ayojen ka kharcha panni koun dega eeeb :-) :-) :-)

---------------------------
Uday Bhai kyaa kroon kaam bhi karna padta hai beech beech mai. Japan gaya thaa. Aaj hi lauta hoon. Musaira has to continune come what may....Yah kisi ne kisi ka aana jana to laga rahega...

Rajendra

uday
July 1st, 2003, 10:16 AM
Aapni Nazroon ki chahat ka ek deedar de do;
A khuda mujhe Baksh! Tum mujhe azaad kar do !!

amar0974
July 1st, 2003, 12:44 PM
Other's:-

Jindgi na bulaya to Chale Aaye,
Maut Aayegey to Chale Jaayengey,
Magar Zindgi Kuch iss Tarha Se Jee Jaayengey,
Key Markar Bhey Duniya Waalon Ko Yaad Aayengey.

rkumar
July 1st, 2003, 07:08 PM
1. Kis kaam ka wo dil, jo ne ho saka kisi ka
Kab chal basen, kia bharosa Zindgi ka

2. jale kabab ki boo aati hai, jab gujarte hain wo kareeb se
Lagta hai hai sareek hone lage hain wo bhi, dil jalon ki mahfil mai.

3. lita dena hume kabr me, sahare karwat ke
kamjor hai dil ub, kisi aur wajan ke liye

4. kahte hain sharab faidemand hai, dil ki shehat ke liye
Nikal jaate hain dil se sab mal, mai peene ke baad

Rajendra

yvsgaawar
July 1st, 2003, 07:41 PM
Badhiya Amardeep bhai,
Ek Kabir ka Doha yaad aa gaya:
"KABIRA JAB HUM PAIDA HUE, JAG HANSE HUM ROYE"
AISI KARNI KAR CHALO, HUM HANSE JAG ROYE"


Amardeep Bazaad (Jul 01, 2003 03:14 a.m.):
Other's:-

Jindgi na bulaya to Chale Aaye,
Maut Aayegey to Chale Jaayengey,
Magar Zindgi Kuch iss Tarha Se Jee Jaayengey,
Key Markar Bhey Duniya Waalon Ko Yaad Aayengey.

yvsgaawar
July 1st, 2003, 07:42 PM
1. Kis kaam ka wo dil, jo ne ho saka kisi ka
Kab chal basen, kia bharosa Zindgi ka


Wah Wah Rajender Ji..

rinu
July 1st, 2003, 07:48 PM
VeRy NiCe......


RiNu



Amardeep Bazaad (Jul 01, 2003 03:14 a.m.):
Other's:-

Jindgi na bulaya to Chale Aaye,
Maut Aayegey to Chale Jaayengey,
Magar Zindgi Kuch iss Tarha Se Jee Jaayengey,
Key Markar Bhey Duniya Waalon Ko Yaad Aayengey.

akdabas
July 1st, 2003, 07:50 PM
Bhai Wah ! Wah !

Kya sama bandh rakha hei aap logon nei !

Mazza aa gaya !

rkumar
July 1st, 2003, 11:06 PM
Ek Gazal:

AA jana dekh kar, jalta huaa diya tu meri majar par..

tujhse milneki kee lakh nakaam koshisen
Chora fir jahan thaa, tera intzaar kar.....AA jana...

Jab nikla mera janaja, tere dur ke saamne se
Dekha udhar thaa humne, kafan utaar kar...AA jana....

Ho sake to aa jana, tu padhne faatiyaa
chale jana fir, phool do chaar daalkar...AA jana dekh kar......

Rajendra

amar0974
July 2nd, 2003, 12:56 PM
Wah Rajendra Ji Wah!

Ershad Hai:

Kafan Na Dalo Mere Chehrey Pe,
Mujhey Aadat Hai Muskuraney Ke!
Abhey Na Dafnao Merey Maiyat,
Khabar Miley Hai Unkey Aaney Ke!

Yahi Dua Hai Khuda se,
Teri har Khushi ma Mera Haath Rahey!
Ye Jahan to Kaya
Us Jahan Mey Bhey Tumhara Saath Rahey!


Rajendra Kumar Kalkhunde (Jul 01, 2003 01:36 p.m.):
Ek Gazal:

AA jana dekh kar, jalta huaa diya tu meri majar par..

tujhse milneki kee lakh nakaam koshisen
Chora fir jahan thaa, tera intzaar kar.....AA jana...

Jab nikla mera janaja, tere dur ke saamne se
Dekha udhar thaa humne, kafan utaar kar...AA jana....

Ho sake to aa jana, tu padhne faatiyaa
chale jana fir, phool do chaar daalkar...AA jana dekh kar......

Rajendra

jaatni
July 3rd, 2003, 12:38 AM
wah ji wah...yahan to sab pahunche hue shayar hain...
hmm...
ek jagjit singh ki gai hui ghazal hai...
aah ko chahiye ik umar asar hone tak,kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak...
can nebody plz lemme know the meaning of this particular sentence...
-
simran

yvsgaawar
July 3rd, 2003, 01:18 AM
Kisi Aur kaa:

Gazal kaho ke ye haal ab Gazal ke qaabil hai.
pakaa pakaa hai kalejaa dukhaa dukhaa dil hai.

rinu
July 7th, 2003, 08:43 PM
ChOrI Ka:


Unki har baat dil lubhaati hai,
Har adaa , har khataa bhi bhati hai.

Dil mai.n mere khayaal aaye to,
Baat unki zubaa.n pe aati hai .

Paas baithe.n to aisa lagataa hai,
Jaise woh har janam ki saathi hai.n

Sab Mere haal par pareshaan hai.n
Ek woh hain ki muskuraati hai.n .

Geet meraa likhaa hi hai shaayad,
Woh jo haule se gun gunaati hai.n ,

Hai agar sakht woh usulo.n ki,
To meri neend kyo.n churaati hai.n .

Mere rabba mujhe bataa to zara,
Ishq karake bhi kyo.n chupaati hai.n .



RiNu

jaatni
July 7th, 2003, 11:18 PM
hmm...
good one rinu ji...



Rinu Singh (Jul 07, 2003 11:13 a.m.):
ChOrI Ka:


Unki har baat dil lubhaati hai,
Har adaa , har khataa bhi bhati hai.

Dil mai.n mere khayaal aaye to,
Baat unki zubaa.n pe aati hai .

Paas baithe.n to aisa lagataa hai,
Jaise woh har janam ki saathi hai.n

Sab Mere haal par pareshaan hai.n
Ek woh hain ki muskuraati hai.n .

Geet meraa likhaa hi hai shaayad,
Woh jo haule se gun gunaati hai.n ,

Hai agar sakht woh usulo.n ki,
To meri neend kyo.n churaati hai.n .

Mere rabba mujhe bataa to zara,
Ishq karake bhi kyo.n chupaati hai.n .



RiNu

yvsgaawar
July 8th, 2003, 01:45 AM
Kisi Aur ka:

Ye kah-kah ke hum dil kou bahla rahe hai.
Ye kah-kah ke hum dil kou bahla rahe hai......
Woh ab chal chuke hai, Woh ab aa rahe hai.

rkumar
July 8th, 2003, 07:19 PM
1. Kyoon butt bane baithe ho, buttkhaane mai
Butt kabhi butt ke liye asq nahi bahate

2. Kya loge jaakar yoon roj ibadatkhaane
Kyyon sune khudaa tumhaari, jab tum hi kisi ki nahi sunte

3. Maja aane laga hai hume aajkal, sikast khaane mai
Achaa lagta hai unhe rahna hamara, iss haal mai.

4. Rone ko aaye hain aaj ji bhar ke teri mahfil mai
Kahin dil ne baith jaye tera, hume hansta dekh kar

5. Bhatak rahe hain hum, andheron ki talash mai
farak ne mahsoosh ho jahan, chehron ke beech.

Rajendra

rkumar
July 16th, 2003, 09:42 AM
1. Kyoon jaa rahee ho chorkar hume, ess undheri raat mai
Padh lene do khat isq ke, upne chehre ki roshnee mai.

2. Socha thaa kante nikalwayenge unse upne per ke.
Magar wo muskura diye, hume upnee nazuk ungliyaan dikhakar

3. tum muskuraati ho to duniya mere kadmo tale hoti hai
Tum preshaan hoti ho to hum duniya tale hote hain.

4. Khaali kiye baithe hain kabse hum upne dimaag ko.
Kardo aabad isko tum, shaitaan bankar

5. Mulkon ko jeet kar jab hum ghar laute
loot liya sab kuch hamara unkee ek nazar ne

6. meri kasmat bhi hai kitnee be-aabroo
laakh usko dutkara humne, magar wo nahi bhaagi door humse.

7. Tum saut ho mere dil ki dhadkanon ki
Jab tum aati ho to wo chali jaati hain

8. mera dil masjid hai, aur tera dil maikhana
Tum khuda ke kareeb raho, aur hum shaarb ke.

Rajendra

yvsgaawar
July 16th, 2003, 06:11 PM
Wah ..Wah Rajender Ji...

yvsgaawar
July 16th, 2003, 11:16 PM
One More, kisis aur ka:

Usne jab meri taraf Pyar se Dekha hoga.
Mere baare mai, bade gaur se socha hoga.

akdabas
July 17th, 2003, 12:56 AM
Rajendra ji,

Wah wah wah wah wah wah wah wah......


Rajendra Kumar Kalkhunde (Jul 08, 2003 09:49 a.m.):
1. Kyoon butt bane baithe ho, buttkhaane mai
Butt kabhi butt ke liye asq nahi bahate

2. Kya loge jaakar yoon roj ibadatkhaane
Kyyon sune khudaa tumhaari, jab tum hi kisi ki nahi sunte

3. Maja aane laga hai hume aajkal, sikast khaane mai
Achaa lagta hai unhe rahna hamara, iss haal mai.

4. Rone ko aaye hain aaj ji bhar ke teri mahfil mai
Kahin dil ne baith jaye tera, hume hansta dekh kar

5. Bhatak rahe hain hum, andheron ki talash mai
farak ne mahsoosh ho jahan, chehron ke beech.

Rajendra

akdabas
July 17th, 2003, 01:01 AM
Gaawar bhai,

wah wah wah.................Bahut badhiya sub chalta hai bassssssss layae jaao. :)


YagyaVir Singh Gaawar (Jul 16, 2003 01:46 p.m.):
One More, kisis aur ka:

Usne jab meri taraf Pyar se Dekha hoga.
Mere baare mai, bade gaur se socha hoga.

amar0974
July 17th, 2003, 03:53 PM
Nawjawan Aaj Kal Kam he Dikhtey Hain,
Ab to Langoti se Jayada Kafan Biktey Hain.

Dil Ke Chaale Jal Uthey Seenay Ke Daag Se,
Or Ghar ko Aag Lag Gaye Ghar ke Charaag Se.

yvsgaawar
July 18th, 2003, 02:44 AM
Here is one of my favorite Song/Poem:


swapna jhare phool se
meet chubhe shool se
loot gaye singar sabhi,baag ke babool se.
aur hum khaxde-khade bahar dekhate rahe.
karvan gujar gaya gubaar dekhate rahe.


nend bhi khuli na thi ki haaye dhoop dhal gayee,
pav jab talak uthe thi jindagi fisal gayee,
paat paat jhar gaye ki sakh-sakh jal gayee,
chaah tou nikal saki na, par umar nikal gayee,
geet ask ban gaye,
chand ho dafan gaye,
sath ke sabhi deeye dhua dhua pahan gaye,
aur hum jhuke-jhuke ,
mod par ruke ruke,
umer ke chadav ka utar dekhate rahe,
karvan gujar gaya gubar dekhate rahe;


kya sabab tha ki phool-phool pyar kar uthaa,
kya sarup thaa ki dekh aina sihar utha,
iss taraf jameen aur aasman udhar utha,
thaam kar jigar utha ki jou mila najar uthaa,
ek din magar yaha,
aisi kuch hawa chali,
lut gayee kali kali ke ghut gaye gali gali,
aur hum lute lute,
wakt se pite-pite,
sans ki sarab ka khumar dekhate rahe,
karvan gujar gaya gubar dekhate rahe;

hath the mile ki julf chand ki sanwar doon,
hot the khule ke har bahaar kou pukar doon,
dard thaa diya gaya ki har dukhi kou pyar doon,
aur saans yoon ki swarg bhoomi par utaar doon,
ho saka naa kuch magar,
saanjh ban gaye sahar,
wah uthi lahat ke dah gaye kile bikhar-bikhar,
aur hum dare-dare,
neer nain mai bhare,
odah kar kafan pade, majaar dekhate rahe,
karvan gujar gaya gubar dekhate rahe;


maang bhar chali ke ek jab nayee - nayee kiran,
dholake dhumuk uthi, thumuk uthe charan-charan,
shor mach gaya ke lo chali dulhan chali dulhan,
gam sab umad pada, bahak uthe nayan nayan,
par tabhi jahar bhari,
gaaj ek wah giri,
punch gaya sindoor taar taar hue choonari,
aur hum ajaan se,
door ke makaan se,
paalki liye hue, kahaar dekhate rahe.
karvan gujar gaya gubaar dekhate rahe.



http://www.anubhuti-hindi.org/gauravgram/neeraj/karva.htm

rkumar
July 20th, 2003, 09:39 PM
1. AAsmaan me chiraag jalte hain raat bhar
Kahin chaand kho ne jaye, bhatkar aasmaan me

2. mere makan ki neev jo maine khodnee ki shuroo
Yakayak kisi ke chillane ki aawaj aayee
Maine dekha charon taraf ghoom kar
Magar koi bhi nazar nahi aayaa
kisi ne fir mera paon pakdaa
aur kaha ki neeche bhi dekh lo
Zameen ke oopar to nahi rahne diya
Kam se kam zameen ke neeche to so lene do


Rajendra

shokeen123
July 21st, 2003, 02:34 AM
Rajendra Kumar Kalkhunde (Jul 20, 2003 12:09 p.m.):

kisi ne fir mera paon pakdaa
aur kaha ki neeche bhi dekh lo
Zameen ke oopar to nahi rahne diya
Kam se kam zameen ke neeche to so lene do

Rajendra

Superb!

amar0974
July 21st, 2003, 02:14 PM
Wah Rajender Je, Excellent

2. mere makan ki neev jo maine khodnee ki shuroo
Yakayak kisi ke chillane ki aawaj aayee
Maine dekha charon taraf ghoom kar
Magar koi bhi nazar nahi aayaa
kisi ne fir mera paon pakdaa
aur kaha ki neeche bhi dekh lo
Zameen ke oopar to nahi rahne diya
Kam se kam zameen ke neeche to so lene do

uday
July 21st, 2003, 02:23 PM
Bahut Khub !!

uday
July 28th, 2003, 07:18 PM
SELF:-
(Kya mere Nagmey.. Kya meri hasti # 4 )

Manziloon ke daur main ek Zajba chaltey chaltey kahin kuch yun thehra ;
Har Chot pukar kar kahe, main hoon jeeti per tu kyon hara!
Shakh per udas baithi insaniyaat mili, Zurrat ne jabse khola apna chehra;
KHAYALI nihare kabse khidki, kash FIR se suru ho vo SAVERA !!


KHAYALI--> Each Indian who wants to see INDIA as a Super Power...

rkumar
July 28th, 2003, 08:43 PM
Bahut sundar Uday Bhai....Great indeed...

Rajendra

yvsgaawar
July 28th, 2003, 09:29 PM
KHAYALI nihare kabse khidki, kash FIR se suru ho vo SAVERA !!


bahut accha, Uday Bhai.

jaatni
July 28th, 2003, 11:39 PM
really a nice one...:-)



Uday Dahiya (Jul 28, 2003 09:48 a.m.):
SELF:-
(Kya mere Nagmey.. Kya meri hasti # 4 )

Manziloon ke daur main ek Zajba chaltey chaltey kahin kuch yun thehra ;
Har Chot pukar kar kahe, main hoon jeeti per tu kyon hara!
Shakh per udas baithi insaniyaat mili, Zurrat ne jabse khola apna chehra;
KHAYALI nihare kabse khidki, kash FIR se suru ho vo SAVERA !!


KHAYALI--> Each Indian who wants to see INDIA as a Super Power...

amar0974
July 29th, 2003, 03:12 PM
Wah! Uday Ji, Bahut Badhia or Aan do

rinu
August 6th, 2003, 09:06 PM
AtI UtTaM....






RiNu



Uday Dahiya (Jul 28, 2003 09:48 a.m.):
SELF:-
(Kya mere Nagmey.. Kya meri hasti # 4 )

Manziloon ke daur main ek Zajba chaltey chaltey kahin kuch yun thehra ;
Har Chot pukar kar kahe, main hoon jeeti per tu kyon hara!
Shakh per udas baithi insaniyaat mili, Zurrat ne jabse khola apna chehra;
KHAYALI nihare kabse khidki, kash FIR se suru ho vo SAVERA !!


KHAYALI--> Each Indian who wants to see INDIA as a Super Power...

jatdevta
August 6th, 2003, 09:32 PM
Arz Kiya Hai!!

Aey Chand Teri Khoobsoorti Main Kya Rakha Hai
Ek Daag Jo Tune Apne Seene Main Chhupa Rakha Hai
Aise Kai Daag Mere Seene Main Bhi Hain
Maine Har Daag Main Ek Chaand Chhupa Rakha Hai

rinu
August 6th, 2003, 11:45 PM
WoW... BeAuTiFuL.......




RiNu



Sunil Chaudhary (Aug 06, 2003 12:02 p.m.):
Arz Kiya Hai!!

Aey Chand Teri Khoobsoorti Main Kya Rakha Hai
Ek Daag Jo Tune Apne Seene Main Chhupa Rakha Hai
Aise Kai Daag Mere Seene Main Bhi Hain
Maine Har Daag Main Ek Chaand Chhupa Rakha Hai

rkumar
August 7th, 2003, 12:29 AM
bahut khoob Sunil Bhai....

Rajendra

uday
August 11th, 2003, 04:02 PM
Nice One..


Sunil Chaudhary (Aug 06, 2003 12:02 p.m.):
Arz Kiya Hai!!

Aey Chand Teri Khoobsoorti Main Kya Rakha Hai
Ek Daag Jo Tune Apne Seene Main Chhupa Rakha Hai
Aise Kai Daag Mere Seene Main Bhi Hain
Maine Har Daag Main Ek Chaand Chhupa Rakha Hai

uday
August 11th, 2003, 04:04 PM
Dear All,
Please mention original ya kisi or ki...




Rajendra Kumar Kalkhunde (Jun 15, 2003 04:51 a.m.):

...Please mention jaroor kar dena jo aapke upne original hon aur jo kisi aur ke hon.

Rajendra[/quote]

uday
August 25th, 2003, 08:34 PM
kisi or ka i.e. Copied one....

Reshmee Salwar Kudta kharad ka,
Roop sha nahi jaye is bawlitred ka !!

:-) :-) :-) :-)

akdabas
September 7th, 2003, 12:27 AM
Wah...Wah...Wah...bahut badhiya........Lage raho.

uday
September 12th, 2003, 07:57 PM
Self Written ( Below small creativity comes out while attending an 4 hr long... boring.... official meeting )

Chupke se aakar, gar tu 'mujhe' mil jaye;
Chakoor ko yun jaise chaand mil jaye!
Rasmain wfa ki gur tu puri nibha jaye;
Baki na koi kashish zindgi mai reh jaye!!

Stay Tuned !!

rinku
September 20th, 2003, 12:53 PM
Dahiya O.P. (Jun 16, 2003 12:50 a.m.):
MOHAABTOON MEIN HABAAB JAISA|
WO EK CHEHRA GULAAB JAISA|

ABHI TO GUJRA HAI SAAMNE SE|
ABHI TO DEKHA HAI KHWAAB JAISA|

HUM APNI DUNIYA NISAAR KAR DEIN|
MILE TO KOI ZANAAB JAISA|

aapke mushaire ko padhke ek sher humein bhi yaad aa gaya "ab yeh kiska yeh nahi pata".
" bahut kam nikle mere armaan,phir bhi khub nikle,
ek ek armaan aisa ki jis pe dum nikle."


















'

haritta
September 22nd, 2003, 12:38 AM
trying my hand see how it goes.
Pyaar hamnee bhi kiya Pyaar tumne bhi kiya
Pyaar hamnee bhi kiya Pyaar tumne bhi kiya
Khambakht zamnee ne hamee milnee na diya
Kya saachi muuchi woh pyaar tha ya woh khyal tha
Pyaar tha to waqt ne use bhoola diya aur
Khyal tha to suhana tha ku ki khyal to sari umaar atta hi raha
well my friends i tried hope it jives .

rkumar
September 22nd, 2003, 05:42 AM
bahut khoob.....ek se badhkar ek....wallah masaallah....

Rajendra

ranjitjat
September 22nd, 2003, 06:22 PM
BALJIT BHAI bah 22222222222 khub lika han
2 line ready made for u
PAYAR to karaty ho
Batana bhul jatay ho
PAYAR ka vayada to karty ho
Nibhana bhul jatay ho !!!!

yvsgaawar
September 22nd, 2003, 06:22 PM
Anil Bhai,
Ye hai Mirza Galib ka sher, Aur kuch aisa hai:

Hajaron khwahisse aisi ki har khwahish par dam nikle,
Bahut nikle mere armaan lekin phirbhi kam nikle.



ANIL MALIK (Sep 20, 2003 03:23 a.m.):

Dahiya O.P. (Jun 16, 2003 12:50 a.m.):
MOHAABTOON MEIN HABAAB JAISA|
WO EK CHEHRA GULAAB JAISA|

ABHI TO GUJRA HAI SAAMNE SE|
ABHI TO DEKHA HAI KHWAAB JAISA|

HUM APNI DUNIYA NISAAR KAR DEIN|
MILE TO KOI ZANAAB JAISA|

aapke mushaire ko padhke ek sher humein bhi yaad aa gaya "ab yeh kiska yeh nahi pata".
" bahut kam nikle mere armaan,phir bhi khub nikle,
ek ek armaan aisa ki jis pe dum nikle."


















'

yvsgaawar
September 22nd, 2003, 06:23 PM
Bahut Badhiya Uday bhai.


Uday Dahiya (Sep 12, 2003 10:27 a.m.):
Self Written ( Below small creativity comes out while attending an 4 hr long... boring.... official meeting )

Chupke se aakar, gar tu 'mujhe' mil jaye;
Chakoor ko yun jaise chaand mil jaye!
Rasmain wfa ki gur tu puri nibha jaye;
Baki na koi kashish zindgi mai reh jaye!!

Stay Tuned !!

yvsgaawar
September 22nd, 2003, 06:25 PM
Kya saachi muuchi woh pyaar tha ya woh khyal tha
Pyaar tha to waqt ne use bhoola diya aur
Khyal tha to suhana tha ku ki khyal to sari umaar atta hi raha


Bahut badhiya .......

amitdahiya
October 1st, 2003, 12:53 PM
Apni Kaum ke liye:

Gazab ae Malik
Gazab to yeh hai
Makaan wale
Makaan kay bheetar
Bhatak rahein hain


Watan kay dushmanon kay liye:

Jab kaafir kay sabr ka baandh tootay ga
uskay dushman uskay aagay bhaagay ge
Uskay lohay par ek nayee aur chamaktee
huee dhaar unsay teekhay aur katt tae huay sawaal karay gi
unkay bachhon ki badduaon say kaafir ki aankh say khoon kay ansoon bahay ge

Angoor ki beti ko maarnay walon kay liye:

Nashaa sharaab mein nahi man may hota hai
Bootal ko kyune nahin hota jo sharaabi ko hota hai
Botalon ko mat todo us rastay par jidhar say khud ko bhi guzarna pad sakta hai

Sharabi se rishta mat todo duniya ko badalnay walon
kal aayeenay ko jodnaa bhi pad sakta hai.

Adaab arz hai....

rkumar
November 9th, 2004, 05:03 PM
Haseenon ki nazar me bada asar hai yaaro
unkee ek nazar se, mera sanam toot gaya
umar bhar saath nibhane ka jinse kiya thaa waida
dekhte dekhte haathon se unka daman choot gaya

Rajendra

sumnendu
November 9th, 2004, 05:20 PM
Haseenon ki nazar me bada asar hai yaaro
unkee ek nazar se, mera sanam toot gaya
umar bhar saath nibhane ka jinse kiya thaa waida
dekhte dekhte haathon se unka daman choot gaya

Rajendra

Dear Rajendra Ji,

Apni Jat Biradari Dhanya ho Gayi Aap Jaisa Shayar Pakar.
Mein Bhi arz karta hoo (not an original)

Mariz-e-ishq ka kya hai jiya, jiya na jiya
Hai ek sans ka jhagda liya, liya na liya........

rkumar
November 9th, 2004, 06:16 PM
Mariz-e-ishq ka kya hai jiya, jiya na jiya
Hai ek sans ka jhagda liya, liya na liya........

wah janab..bahut khoob...Marz-e-Isq or Mariz-e Isq ka kiya kahna...Kismat walon ko hota hai yeh marz...hahhahaa here is one on the same from my side;

Mat lagao hume tum, upnee harkaton ke nashtar
karha lene do kuch aur, hume marz-e isq mai

Rajendra

ramksehrawat
November 10th, 2004, 10:48 AM
Wah.. Wah.. Rajendraji kya baat hai ! Aap to achhe khase shayar hain. Kabhi hum bhi chaar laina kah liya karte, par phir ghar walon ne shaadi kar di, shayari bechari dar ke bhag gayi. Yahin baithe-2 arj kiya hai :

Pukara to tha tumne, magar hum ruk nahi paye
Ki badnaseebi ke chheente, tere daman pe na aaye.
Par, tu ye na samajhna ki ham phir mil na payenge
Abhee chhe janam baki hain, hum phir aa jayene.

poonam
November 10th, 2004, 10:53 AM
wah wah wah wah.....aap to chha gaye Sehrawat ji..bahut khoob.. achha likha hai :)
wiase ye wala kaun se no. ka janam hai.. :)

Wah.. Wah.. Rajendraji kya baat hai ! Aap to achhe khase shayar hain. Kabhi hum bhi chaar laina kah liya karte, par phir ghar walon ne shaadi kar di, shayari bechari dar ke bhag gayi. Yahin baithe-2 arj kiya hai :

Pukara to tha tumne, magar hum ruk nahi paye
Ki badnaseebi ke chheente, tere daman pe na aaye.
Par, tu ye na samajhna ki ham phir mil na payenge
Abhee chhe janam baki hain, hum phir aa jayene.

ramksehrawat
November 10th, 2004, 11:16 AM
Dr. Sahiba, Honsla afjai ke liye shukriya. Jaise ladkiyon ki umar solah se oopar nahin jaati, ussi tarah hamara bhi har janam pehla hi hota hai. Thanks once again.

rkumar
October 31st, 2006, 06:49 PM
Humne Zindgi me marke dekha hai
doston ko bhi muh ferte dekha hai
jo jalate the mere ghar me roz chirag
unko chiragon ka tel churate dekha hai

RK^2

choudharyneelam
October 31st, 2006, 07:02 PM
Humne zindagi ko jee ke dekha hai
Dil kabhi udaas ho to hans ke dekha hai
Jo sadak jaati hai khushiyon ki aur
Uss maud pe humne mudke dekha hai