PDA

View Full Version : 4 L I N E S...OR MORE



rinu
June 14th, 2003, 11:56 AM
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par
Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay

Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai

arjun
June 14th, 2003, 12:48 PM
kaafi shayaran andaaz hai !

rkumar
June 14th, 2003, 04:18 PM
Masha-allah Rinu Ji...Bahut hi khoob likhaa...

1.Isq ke samunddar me dil ki kashti utaar tu dee
dekho ub yah lahren hume kahan le jaate hain

2. bahut aankhen khol kar safar kiya humne
bas ek baar aanken band kia kee, dil ko luta baithe

3. Ajeeb si khushboo hai, yahan ki aabo hawa me
Lagta hai hum, koonch-e-yaar me aa gaye

4. Socha thaa mere marne par aaogee tum, mujhse milne
Magar Zalim jamane ne marte hi meri aankhen band karde

5. Jhatoko ne yoon Zulfen, jaljala aa jayegaa
Girega kisi gareeb ka aasiyan, tera kia jayega

6. Gore se dekh lo hamari surat ko aaj,
kahin jal na rahee ho shama aakhri baar.
barkarar rahenge tere hushn ke jalwe,
Hum rahen na rahen, karne ko tera intzaar

Khuda Mahfooz rakhe hushn walon ko....hahahaa ...aur hum yoon hi likhte rahen...LOL

Rajendra

bnashier
June 14th, 2003, 04:51 PM
Rinu Ji:

Padh kar aapki 4 line
khushi mele dil ko mine
bas aur kya kahun
aapki ye line padhta hi rahu

Very good job, Rinu, I am most impressed !

Budh

ranjitjat
June 14th, 2003, 05:16 PM
Rinu very nice -keep up
Araj kiya hae
Gumm suda jasan yad karata hae
Aak tuta huwa glass rasatay mae
Ham to uus rah ko karay sajjdda
JIS RAHH SY ROJ RINU GUJARATI HAE !!!!!!
USS RAH KO BHI KARAY SAJJDDA
JIS RAH SY SAEYAR GUJARATAY HAN !!!!!!

akdabas
June 14th, 2003, 06:25 PM
Rinu Ji,

Bhot Badhiya !

Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay

Shalimar film kee yaad dila dee :)

mbamal
June 14th, 2003, 08:37 PM
wah wah dudee uncle, rinu ji, rajendra uncle...ekdum mehfil see jama dee...

shayad shayad kehte kehte sahyad ne shayar ko mara,
ek din woh aayegee yahin sochta raha bechara,
shayad aur shayar ka koi rishta juda hua hai,
tabhi shayar kee kabar par shayad shayad khuda hua hai....

rkumar
June 14th, 2003, 08:48 PM
Mandeep Bamal (Jun 14, 2003 11:07 a.m.):
wah wah dudee uncle, rinu ji, rajendra uncle...ekdum mehfil see jama dee...

shayad shayad kehte kehte sahyad ne shayar ko mara,
ek din woh aayegee yahin sochta raha bechara,
shayad aur shayar ka koi rishta juda hua hai,
tabhi shayar kee kabar par shayad shayad khuda hua hai....

Haan mandeep theek kahte ho...intzaar me zindgi kat jaati hai...Shayad Shayad kahte...

1.Hamare paas thaa bhi kiya, ek sabr ke sivai
Wo bhi aaj luta baithe hain, teri intzaar mai

2. Le liya hai humne makan, raaste par unke
Ne kar sake wo bahana jis se, waqat milne ka

3. Jab se liya hai humne makan, raaste par unke
Nikalne lage hain wo humse, nazren bacha bacha kar..

4. Aa jana dekh kar, jalta hua diya tu meri mazar par
Chale jana fir, phool do chaar daal kar..

hahaha...Shayad wo kabhi aayengee...Shayad... hahahahahahhaha

Rajendra

dkumar
June 14th, 2003, 09:37 PM
hmmmmmmm....rinu ji....badiya hai:P

rinu
June 14th, 2003, 09:52 PM
:):) ShUkRiYa.........ShUkRiYa
Dudee uncle Ji, Nashier Uncle .Rajendra Mama ji, Mandeep Ji, Ashok Ji...........
ShUkRiYa EvErYoNe......



ReGaRdS,
RiNu





Dharmpal Singh Dudee (Jun 14, 2003 07:46 a.m.):
Rinu very nice -keep up
Araj kiya hae
Gumm suda jasan yad karata hae
Aak tuta huwa glass rasatay mae
Ham to uus rah ko karay sajjdda
JIS RAHH SY ROJ RINU GUJARATI HAE !!!!!!
USS RAH KO BHI KARAY SAJJDDA
JIS RAH SY SAEYAR GUJARATAY HAN !!!!!!

amarjitjoon
June 14th, 2003, 10:34 PM
maine theek hi kaha tha rinu ji aap lajawab hein

verey very nice rinu ji keep it up !!!

dharmpaltakhar
June 14th, 2003, 11:56 PM
nice to see this quality shayari
meri taraf se bhi kuch (copied from 'Majaaz')

fir meri aankh ho gayi nam-naak
fir kisi ne mizaz poocha hai..

kuch tumhari nigah kaafir thi
kuch mujhe bhi kharaab hona tha

ye bhi koi aana hai ki bas rasman chale aaye
ye milna khaak milna hai ki dil se dil nahin milta

sabka to mudawa* kar daala
apna hi mudawa kar na sake,
sabke to gareban see daale
apna hi gareban bhool gaye.

vida..

jaatni
June 15th, 2003, 12:11 AM
fabulous shayari...

rkumar
June 15th, 2003, 08:19 AM
1. Ne jaane kyoon aa jatee hai roj yah kambakht raat
Hoke mazboor hatani padtee hain nigahen, tere raste se

2. Ek baar to utar aao goya tum hamari Zameen par
Kia umar bhar muskuraati rahogee baithkar
chaand par.

3. e hawaon tum aakar mere labon se chipak jao
Suna hai tum unke rukhsaar ko chookar aayee ho.

4. Tere rukhsar yoon lagte hain, jaise bhadakte Shole
Aur zulfon ka dhuan utha raha hai aasman tak.

5. Es andheri raat me kyoon jati ho hume yoon chor kar
Isq ke khat padh lene do upne chehre ki roshnee mai.

Rajendra

lrburdak
June 15th, 2003, 03:51 PM
Very nice shayary !!!
Keep it up !!!

sukhbirhooda
June 16th, 2003, 01:19 AM
Nice collection


sukhbir Hooda