PDA

View Full Version : Navratri - A poem



deepakchoudhry
September 29th, 2006, 09:42 PM
Navratri ki is shubh avasr per, Maa Tujhe Naman hum karte hain.
Jhum Jhum kar Nach Nach Kar, Tera Abhinandan karte hain.

Kali Ka roop dhar kar tu, Ahnkaar Mitati hai.
Vasanao say ghire man ko Ma, tu nijaat dilati hai.

Laxmi ka roop dekh kar, Mugdh main ho jaata hoon
aur tere aashirwaad say dhan dhanay sukh (spritiual wealth) pata hoon.

Maa tu hain gyan ki devi, Jo andhakaar mitati hai
apne sneh ki joyti say, tu raah hame dikhlaati hai.

Tera Gun Gaan Karoon kaisay, Man prem vibhor ho jata hai
baar baar naman karnay ko, yeh mastak charaon main jukh jata hai.

choudharyneelam
September 29th, 2006, 10:21 PM
Navratri ki is shubh avasr per, Maa Tujhe Naman hum karte hain.
Jhum Jhum kar Nach Nach Kar, Tera Abhinandan karte hain.

................

Tera Gun Gaan Karoon kaisay, Man prem vibhor ho jata hai
baar baar naman karnay ko, yeh mastak charaon main jukh jata hai.

Excellent! Deepak...good poem...saare navratre khatam ho gaye itni late kyun likhi ye acchi poem....chalo koi baat nahin late likhi lakin bahaut acchi likhi...i really like it.. :)

Regards
Neelam

swati
September 30th, 2006, 03:20 PM
bobo neelam
mai teri baat te bilkul sehmat hoon
dher badhiya kavita hai dher sutri lagi maje to ya
:)
keep it up dear

zigyasa
September 30th, 2006, 10:14 PM
nice poem
well done deepak

deepakchoudhry
October 1st, 2006, 05:17 PM
Thank you all. :)

We were just discussing this at home what is happening nowadays at Navratri Festivals. The true meaning has been lost somewhere.