PDA

View Full Version : Yuvraj Singh is JAT

rajoura
October 1st, 2007, 08:39 PM
Hi All

I would like to know if Yuvrj singh is Jat or ?. As per my research I have come to know that he is Jat and his gotra is Bhundel. Please find hereunder several liks which support what I say. Still I would like to know what do you guys think.

http://en.wikipedia.org/wiki/Yograj_Singh

http://www.mouthshut.com/review/Yuvraj_Singh-77906-1.html

Looking forward to hear from you.

Best Regards

Sanjeev

itsnavin
October 1st, 2007, 08:45 PM

yadi woh JAT hoga to usse kya hoga? Usne kaun sa jat dharamshala kholni hai. Bandhu...har jagah caste ko aagey matt lao. He's representing India and let him.

dkumars
October 1st, 2007, 11:15 PM
yadi woh JAT hoga to usse kya hoga? Usne kaun sa jat dharamshala kholni hai. Bandhu...har jagah caste ko aagey matt lao. He's representing India and let him.

Bilkul thiek kaha bhai... Jat hone se kya hoga ???
Woh ek indian hai... ye introduction kam hai kya ???

harvindermalik
October 2nd, 2007, 12:37 AM
Sanjeev is exited about Yuvi’s JAT connection …and there is nothing wrong in this… here we are on a CAST specific community portal JATLAND.. Yuvi is Indian…but he is called as Punjab da Puttar…Lion of Punjab by cricket commentators so many time… so in excitement or in curiosity if a member of JL want to know his Clan …usse Yuvi k Indian hone pr koi aanch na aati…

But Sorry to disappoint you Sanjeev…he is a JATT from Punjab…. and majority of members of this portal not consider Jatts as part of this JL…to wo JATT/JAT hai to bhi ....wo vo ala nhi jo aap sunna chahte ho…

ssindhu
October 2nd, 2007, 12:11 PM
How does it matter if Yuvi is jat? He will still be a cricketer playing for India.

devdahiya
October 2nd, 2007, 04:02 PM
Can we stop here....Yuvi is a punjabi INDIAN.Proud of him.

narenderkharb
October 2nd, 2007, 05:53 PM
Sanjeev

Yuvraj Singh is half Jat ,with a jat father and non Jat mother.

Excerpts from HT Brunch(070506)
Quote:

For Subnam(Mother of YuvRaj singh), the early years of her were
extremely tough and perhaps, if she had known, a portent of things to
come. A national level basketballer who caught the eye of
the larger-than life Jat Sikh Cricketer, she was married at 18 and left to
her own devices at 19.

Excerpts from HT Brunch(070506)
Quote:

"No, it was't easy at all," she says as she looks back 25 years."
It was anyway difficult to adjust to a jat sikh family.

And don't panic Bandhus there is no harm in knowing whether a person is Jat or not .
It is Jatland not Hindu Unity .org.

poonam
October 3rd, 2007, 01:53 AM
And don't panic Bandhus there is no harm in knowing whether a person is Jat or not .
It is Jatland not Hindu Unity .org.

Agreed with you and Harvinder, no harm in knowing that, it was a simple query...yahan JL per nahin poochhega to kahan poochhega.......:)

raj2rif
October 3rd, 2007, 03:28 AM
It really does not matter if he is a Jat or non Jat? He did well in 20/20 game and was rewarded more than what the effort would have called for. Good thing to promote a sports person.

However to the best of my knowledge he is a Rajput by caste. I remember this question had come up when he first arrived on the cricket scene as well as when his father made a famous new ball pair for Haryana State with Kapil Dev.

suneet_rana
October 3rd, 2007, 10:20 AM
jab jat hona ya na hona matter nahi karta then why this JATLAND exists?????

and why only jats are allowed here???

and as far as i think Jat is jat whether it is Sikh or Hindu???

We can change our religion but not the caste. That is why there are sikh jats, hindu jats ans muslim jats as well.

skarmveer
October 3rd, 2007, 11:02 AM
When you are quoting every bed thing in the society with Jats then why you afraid when some good things written in the name of Jats.

dkumars
October 3rd, 2007, 11:31 AM
Hi All… We are really proud of Yuvraj Singh, he is a gem.
But we can not conclude anything in such kind of threads, I suppose.
Just see the replies… Someone told that he is a Jaat then he became half Jat(as only father is jat) then he became a Punjabi and finally a rajput but he cant belong to these many castes… so what is the conclusion…

The conclusion is we are wrong somewhere and have a little knowledge abt this.
So its better we can close this thread coz its nt gonna conclude nething.

Chalo maan letein hai, he is a jat. Okay now how can we feel more proud ? Can we express it or will it give us extra pleasure… nope .
The only thing is we will try to prove in the society that he belongs to the same community which I belong to … and that is dikhaava (show off ) .

Sorry, all but somehow I cant resist myself whenever I see this caste, religion and region to comment over it.

vivekdh
October 3rd, 2007, 11:49 AM
arre yaar sanjeev ne 1 baat pucchi thi or usko uska jawab bhi mil gaya. ibb kyon lath tha rakha hai sabne :confused:

netrapalsingh
October 3rd, 2007, 11:49 AM
sahee hai hai hame Youv Raj par garv hona chahiye or har us bhartiy par jo desh ka gaurav badhata hai chahe wo jat ho ya koi anya.....

Youv Raj hai gotr Chauhan hai ab wo jat hai rajpoot mujhee nahi maloom ek bar jab ise man of the match mila tha tab iska poora naam pookaara gaya tha Youv Raj Singh Chauhan...........

ek bhai ne sawal poocha hai koi kya Youv Raj Jat hai to uska javab dena chahiye.....................Ye Jatland or yaha par jato se sambandhit jo bhee bat hai uskee charcha karne me kya boorayee hai?

Agar aap jateevaad me vishvaash nahi karte to yaha kyo? kyon kee ye site Jato kee hai or jatoo kee yaha charcha yaha par hotee hai..

netra....

dkumars
October 3rd, 2007, 12:38 PM

Haan bhai mein jaatiwad mein viswas nahi rakhta par iska matlab ye hai ki mein yaha nahi aa sakta ??? ya phir mein iss community se nata tod doon…
Aur bhai I am not only a member of this forum only(don feel necessary to mention others here)… I participate in other forums also for some healthy discussion…

Aap log agar community mein iss desh ko vibhajit karna chahtein hai toh aapki marji… I cant help it… but I feel really bad when we talk jat and rajput , yadav SC/ST and then we all Indians at last when we need some major domain…

Then y only jat… lets start another website of our own gotra and then our village only and then family… can u expect development after all this division… nahi bhai.

Agar hum bada socheinge toh he bada payenge… community se jyada poore desh ka sochna chahiye…

Aage aap ki marji… aap yuvi ko jaat banaiye ya rajput… rahega toh who yuvi he na…
Yahan discuss karne se kuch change toh nahi ho jaayega…

And well brother y m I in this forum… because mein bachpan se hi jaat logon ke beech pala hoon… maine hamesha hi aapne jaise baat karne wale … same culture wale log dekhe hai… mein unhe samajhta hoon aur who(jat) mujhe … isliye I feel more secure with them… that’s the only reason… otherwise nothing gr8

I have a lot of south Indian close friends… I am a part of their discussions also coz their also I feel more secure and I feel my society and community is of the people who r gud to me my well wishers … who understand me, after that if they r south Indians or SC/ST aur muslims doesn matter… even those muslims are as close to me as my jat brothers.

Please try to understand the message I want to convey . please don’t take it otherwise.
Thanks brother.. enjoy life … no caste … no religion … one religion… Human Beings…
Hahaha… chalo chodo all this and enjoy the posts

jitendershooda
October 4th, 2007, 10:53 AM
Arrey bhaiyo ... ke beejali maargi je aagle ne nue boojh le ek yo JAT se ek ke se? .... je kisse ne bera ho te bata dyo ...

Bhaiyo nue batao ya baat to sarkar bhi boojhati hande se er form bharte hana mhare barge sare chup chap likh ke chep ke post kar dein se .... koe na jhagada karta kisse ne na koe ... janhit yacheeka dali court mein ....

Sarkari naukriyan ke form bharaniyan ne boojho ... Jati - JAT ...religion ...HINDU .... na likhvaya ho kite .....

Haan jo baat aap log kaho ho we to jib aave hein jib yo bhai kime discrimination karega iss baat ne leke :) .... issa kaam kar diya ek yo rajoura jhijhak manega eeb kime boojhta ke batata aud bhi :)

jitendershooda
October 4th, 2007, 10:56 AM
Looking forward to hear from you.

Best Regards

Sanjeev

Bhaiyo ... dekhiyo iss bhai ne kitne ijjat te "Best Regards" .... bhi likh rakhi se ... ghane na kheecho eeb isne ... :)

skarmveer
October 4th, 2007, 06:10 PM
Aabhee 4-5 din pahely tak kai threads mian Jatto ke bahut saari burai ginva rahey they aap tab aapko nahi dhyan aaya tha wo sabhi Indian hai unhey Jat kehney say wo burai kum ho gai thee kya ? Kay itna kahne kafee nahi tha ke hamarey bhartiya samaj mein is tarah kee burai hai.

Bilkul thiek kaha bhai... Jat hone se kya hoga ???
Woh ek indian hai... ye introduction kam hai kya ???

dkumars
October 4th, 2007, 09:24 PM
Aabhee 4-5 din pahely tak kai threads mian Jatto ke bahut saari burai ginva rahey they aap tab aapko nahi dhyan aaya tha wo sabhi Indian hai unhey Jat kehney say wo burai kum ho gai thee kya ? Kay itna kahne kafee nahi tha ke hamarey bhartiya samaj mein is tarah kee burai hai.

Bhai Sahab Sadar pranam first of all...
Bhai Saahb mein koi jaaton ka dushman nahi hoon... mein bhi ussi community se hoon... aur ek baat bataiye jaat chaye achha kare ya bura ... chaahe unme 1000 buraiya ho, mujhe farak padta hai kya ??? agar woh bure hai toh mera kuch bigad jaayega kya ya phir acha karne se mujhe kuch fayda hai ???
Mujhe koi farak nahi padne wala hai, chaahe jaat community ho ya phir JL ya koi aur... Aapne meri baton ko galat dhang se liya... i too love jats... mein bhi wohi bhasha bolta hoon jo aaplog aur same culture n lotta more similarities, so i do have a spl attachment with jats. Mere yahan galti ginvane se koi nahi badalne wala, infact i think ek bhi Jlander nahi badlega. But bade bhai mere kehne ka matlab tha ki humaare smaaj mein bahut kuritiya hai... bahut gandapan hai abhi bhi, humlogon mein bhi bahut hai issliye better hai ki discuss karne se achha keval 1 achhi aadat ko palle baandh lo.. i mean kuch karo agar sach mein itni chinta hai jaton ki.... unki durdasha ki... maien pehle bhi kuch suggestions diye the par koi reply nahi aaya...

Aur ek baat bataiye... Aapko aur mujko ya kisi ko bhi Yuvraj ki cast ka kyoun pata lagana hai ??? kya jaroorat aan padi... Aap agar koi bhi question poochtein hai toh hamesha uske peeche ekintension/motto hota hai... without motto koi question nahi uthta dimaag mein... so may be uss bahi ne kisi aur intension se poocha ho par meine jo interpret kiya woh mujhe hajam nahi ho raha tha... isliye meine indian ki baat ki... aur agar mein galat hoon toh mein uss bhai aur aap sab se maafi ki gujaarish karta hoon.

Bhai saab jat jat kehke chowda hone mein koi fayada nahi hai... i feel really very bad when ppl compare jat n baniya or soem other caste... Agar jaaton ko garv hai unpar toh baniyo ko shame hona chahiye kya ???

My only and only motto to highlight all this jat and all is to eradicate this caste system from our society... Jaati ki jarrorat poorane samay mein thi... aur koi bhi jaati ko superior/inferior nahi mana jata tha... kaam ke hisaab se ye vyavastha kari gayi thi... jab jaroorat thi tab chalta hai... aaj jaroorat nahi hai toh bhi kyoun ghaseet rahein hai...

Aur bhai saab jahan tak mein samajhta hoon change prakriti ka niyam hai... aur aap/hum kitna hi rok le, aaj iss change ki jaroorat hai aur ye hokar rahega... aaj se 40-50 saal baad koi caste wagarh nahi hogi... pata nahi mein galat ho sakta hoon par meri samajh aisie hi hai... aur agar mein aaj apne jaat bhaiyo ko dekhta hoon toh bada ganda lagta hai, ki iss daud mein subse peeche rehne walon mein ek hai...

Arre bahi.... mein aapko ye sab yahan likh kar nahi bata sakta... ye ak bahut lamba khichne wala debate hai

Aur sabse badi baat... meine aapke 2 posts ke reply mein woh sab baatein likhi thi... although i mention thr itself that this is not for u, its for all of us... lekin agar aapko ganda laga toh mein nahi likhunga and truly very sorry abt dat... agar kuch galat kaha ho toh point karo bhai... m ready to accept if convincing

dkumars
October 4th, 2007, 09:37 PM

Aur bade bhai... aap humse kaafi bade hei umar mein experience mein... Yahan hum aaplogo ke experience se sekhne aaye hai aur thodi mauj masti... even bahut kuch sekha bhi hai... toh mera motto apne ko aap logo se oonch dekhane ka kabhi nahi hai... par shahayad kuch jagah hamare vichar nahi miltein, toh koi burai ya force nehi hai... meine bass apne vichar rakhe the/hai... agar aapko kuch galat lagta hai toh ussi samay boliye... i will surely respond politeyl(depends... hehe), baaton ko dil mein rakhoge toh galat roop mein bahar aayengi... So just take me very easy as a younger brother... aur kabhi future mein bhi galti hoti hai toh chotta bhai maan kar maaf kar digiyega... Thanks :)

rohit62
October 4th, 2007, 09:55 PM
dear all

YUVRAJ is not a JAT ,his father YOGRAJ played ranji trophy for Haryana with kapil dev an represented india in one test against NZ in NZ, he is now a prominent actor in punjabi movies.
but yuvraj not bieng a jat does not take away any thing from him he is today our hero for bringing laurels for the country.

skarmveer
October 5th, 2007, 03:38 PM
Mera kehna sirf itna hai kee aaj tak duniya mein easi koi cheej nahi hai jismey sirf burai hon isliya hum jab bhee kesi kee baat karey to uskee 10 burai key sath yeah bhee batai kee usmey 1 achachhai bhee hai nahi to hum kabhee koi sudhar nahi lasaktey.

Jaato mein bhee kuchh burai hai or unhey door karna bhee jaruri hai paer agar hum keesi ko kahengey tujh mein sirf kamiya hee hai to kya wo aapkee ya meree baat sunega ? nahi. Agar aap usey samjhaingey ke bhai to tumaharey ander saari achchhai hai sirf yea 1-2 aadtey theek karlo to tumhara koi javab nahi hoga.

Or bhai hamara Itihaas bahut achchha hai, aaj bhee hum bahut logo say achchey hain or hum bahut teji say sudher bhee rahey hai.

Please Be Positive.

Bhai Sahab Sadar pranam first of all...
Bhai Saahb mein koi jaaton ka dushman nahi hoon... mein bhi ussi community se hoon... aur ek baat bataiye jaat chaye achha kare ya bura ... chaahe unme 1000 buraiya ho, mujhe farak padta hai kya ??? agar woh bure hai toh mera kuch bigad jaayega kya ya phir acha karne se mujhe kuch fayda hai ???
Mujhe koi farak nahi padne wala hai, chaahe jaat community ho ya phir JL ya koi aur... Aapne meri baton ko galat dhang se liya... i too love jats... mein bhi wohi bhasha bolta hoon jo aaplog aur same culture n lotta more similarities, so i do have a spl attachment with jats. Mere yahan galti ginvane se koi nahi badalne wala, infact i think ek bhi Jlander nahi badlega. But bade bhai mere kehne ka matlab tha ki humaare smaaj mein bahut kuritiya hai... bahut gandapan hai abhi bhi, humlogon mein bhi bahut hai issliye better hai ki discuss karne se achha keval 1 achhi aadat ko palle baandh lo.. i mean kuch karo agar sach mein itni chinta hai jaton ki.... unki durdasha ki... maien pehle bhi kuch suggestions diye the par koi reply nahi aaya...

Aur ek baat bataiye... Aapko aur mujko ya kisi ko bhi Yuvraj ki cast ka kyoun pata lagana hai ??? kya jaroorat aan padi... Aap agar koi bhi question poochtein hai toh hamesha uske peeche ekintension/motto hota hai... without motto koi question nahi uthta dimaag mein... so may be uss bahi ne kisi aur intension se poocha ho par meine jo interpret kiya woh mujhe hajam nahi ho raha tha... isliye meine indian ki baat ki... aur agar mein galat hoon toh mein uss bhai aur aap sab se maafi ki gujaarish karta hoon.

Bhai saab jat jat kehke chowda hone mein koi fayada nahi hai... i feel really very bad when ppl compare jat n baniya or soem other caste... Agar jaaton ko garv hai unpar toh baniyo ko shame hona chahiye kya ???

My only and only motto to highlight all this jat and all is to eradicate this caste system from our society... Jaati ki jarrorat poorane samay mein thi... aur koi bhi jaati ko superior/inferior nahi mana jata tha... kaam ke hisaab se ye vyavastha kari gayi thi... jab jaroorat thi tab chalta hai... aaj jaroorat nahi hai toh bhi kyoun ghaseet rahein hai...

Aur bhai saab jahan tak mein samajhta hoon change prakriti ka niyam hai... aur aap/hum kitna hi rok le, aaj iss change ki jaroorat hai aur ye hokar rahega... aaj se 40-50 saal baad koi caste wagarh nahi hogi... pata nahi mein galat ho sakta hoon par meri samajh aisie hi hai... aur agar mein aaj apne jaat bhaiyo ko dekhta hoon toh bada ganda lagta hai, ki iss daud mein subse peeche rehne walon mein ek hai...

Arre bahi.... mein aapko ye sab yahan likh kar nahi bata sakta... ye ak bahut lamba khichne wala debate hai

Aur sabse badi baat... meine aapke 2 posts ke reply mein woh sab baatein likhi thi... although i mention thr itself that this is not for u, its for all of us... lekin agar aapko ganda laga toh mein nahi likhunga and truly very sorry abt dat... agar kuch galat kaha ho toh point karo bhai... m ready to accept if convincing

skarmveer
October 5th, 2007, 04:21 PM
Bhai, Agar koi hamari kamjori nahi janta to hee hamari Ijjat karega nahi to aaj to log kamiya dhondtey hai or fir hamarey samaj say to log vaisey bhee bahut jaltey hai or uska mein karn hai hum kesi key agaey jhuktey nahi. Isko hum aapna aadhar banaker hee agaey badh saktey hai. apna aek expreince batata hun.

Mein ney B.com kareny key baad 450/- PM ke naukeri kee aur hamesha khub mehnat kee jab bhee koi puchhta tha bhai kisa chal raha hai to mera jvab hota tha bhai bhagwan kee daya hai mouj hai, kabhi kesi ko nahi batya kee mere income kya hai or aaj bhee kesi ko nahi pata aaj mein is co. mein Asst.VP hun. Jab clark tha tab bhee hamesha khush raha or aaj bhee bhagwan kee Daya hai. Iskee vajah say itna samman mila hai bata nahi sakta.
"aapne kamjoori(dukh, Paresani) kesi ko batanee nahi chahiya or takat keese say chhupani nahi chahiya"i

Agar hum samarth hai to hamey sabsay pahley apney kamjor bhai kee madad karnee chahiya bajay uskee kamiya ginwaney key, usay is tarah khada karney kee koshish karnee chahiya ke kal wo dusrey kee madad karey.

"Hum jis bhee halat mein hon hamey khush rahtey huay aapney ko sudharney kee koshish kernee chahiya, Kabhee bhee kesi say kam nahi samjhna chahiya or na hee kabhee ghamand karna chahiya tabhee hum tarrakee ker saktey hai agar sirf aapnee kameeya hee gintey rahengey to Dipression mein chaley jayngey."

Aur bade bhai... aap humse kaafi bade hei umar mein experience mein... Yahan hum aaplogo ke experience se sekhne aaye hai aur thodi mauj masti... even bahut kuch sekha bhi hai... toh mera motto apne ko aap logo se oonch dekhane ka kabhi nahi hai... par shahayad kuch jagah hamare vichar nahi miltein, toh koi burai ya force nehi hai... meine bass apne vichar rakhe the/hai... agar aapko kuch galat lagta hai toh ussi samay boliye... i will surely respond politeyl(depends... hehe), baaton ko dil mein rakhoge toh galat roop mein bahar aayengi... So just take me very easy as a younger brother... aur kabhi future mein bhi galti hoti hai toh chotta bhai maan kar maaf kar digiyega... Thanks :)

dkumars
October 5th, 2007, 04:38 PM
Bhai, Agar koi hamari kamjori nahi janta to hee hamari Ijjat karega nahi to aaj to log kamiya dhondtey hai or fir hamarey samaj say to log vaisey bhee bahut jaltey hai or uska mein karn hai hum kesi key agaey jhuktey nahi. Isko hum aapna aadhar banaker hee agaey badh saktey hai. apna aek expreince batata hun.

Mein ney B.com kareny key baad 450/- PM ke naukeri kee aur hamesha khub mehnat kee jab bhee koi puchhta tha bhai kisa chal raha hai to mera jvab hota tha bhai bhagwan kee daya hai mouj hai, kabhi kesi ko nahi batya kee mere income kya hai or aaj bhee kesi ko nahi pata aaj mein is co. mein Asst.VP hun. Jab clark tha tab bhee hamesha khush raha or aaj bhee bhagwan kee Daya hai. Iskee vajah say itna samman mila hai bata nahi sakta.
"aapne kamjoori(dukh, Paresani) kesi ko batanee nahi chahiya or takat keese say chhupani nahi chahiya"i

Agar hum samarth hai to hamey sabsay pahley apney kamjor bhai kee madad karnee chahiya bajay uskee kamiya ginwaney key, usay is tarah khada karney kee koshish karnee chahiya ke kal wo dusrey kee madad karey.

"Hum jis bhee halat mein hon hamey khush rahtey huay aapney ko sudharney kee koshish kernee chahiya, Kabhee bhee kesi say kam nahi samjhna chahiya or na hee kabhee ghamand karna chahiya tabhee hum tarrakee ker saktey hai agar sirf aapnee kameeya hee gintey rahengey to Dipression mein chaley jayngey."

Bade bhai aapke words satvachan hai... 16 aane thiek baat kahi aapne...
Burai kisme nahi hoti ???? insaan khud hi galtiyo aur buraiyo ka putla hai...

likhne ka dil tha par kaam aa gaya... so shaam ko likhunga bade bhaiya ji.
And thanks a lot for ur polite reply

raj2rif
October 5th, 2007, 05:28 PM
Bhai, Agar koi hamari kamjori nahi janta to hee hamari Ijjat karega nahi to aaj to log kamiya dhondtey hai or fir hamarey samaj say to log vaisey bhee bahut jaltey hai or uska mein karn hai hum kesi key agaey jhuktey nahi. Isko hum aapna aadhar banaker hee agaey badh saktey hai. apna aek expreince batata hun.

Mein ney B.com kareny key baad 450/- PM ke naukeri kee aur hamesha khub mehnat kee jab bhee koi puchhta tha bhai kisa chal raha hai to mera jvab hota tha bhai bhagwan kee daya hai mouj hai, kabhi kesi ko nahi batya kee mere income kya hai or aaj bhee kesi ko nahi pata aaj mein is co. mein Asst.VP hun. Jab clark tha tab bhee hamesha khush raha or aaj bhee bhagwan kee Daya hai. Iskee vajah say itna samman mila hai bata nahi sakta.
"aapne kamjoori(dukh, Paresani) kesi ko batanee nahi chahiya or takat keese say chhupani nahi chahiya"i

Agar hum samarth hai to hamey sabsay pahley apney kamjor bhai kee madad karnee chahiya bajay uskee kamiya ginwaney key, usay is tarah khada karney kee koshish karnee chahiya ke kal wo dusrey kee madad karey.

"Hum jis bhee halat mein hon hamey khush rahtey huay aapney ko sudharney kee koshish kernee chahiya, Kabhee bhee kesi say kam nahi samjhna chahiya or na hee kabhee ghamand karna chahiya tabhee hum tarrakee ker saktey hai agar sirf aapnee kameeya hee gintey rahengey to Dipression mein chaley jayngey."

Dear Mr. Chahal,
That is an excellent approach to life. The more simple you keep, happier you are. Hard work always gets recognized, but more than hard work your positive attitude that brings you to leadership role.
One little example:
During IInd worldwar in Burma, after regular defeat and withdrawal for a long time, the Indian Soldiers got some break from Japaneese and for the first time were resting, when the message came that Japaneese have again contacted and they have to withdraw. Field Marshall Sir, William Slim's staff said "This is worst". Slim said "This could have been worst". The staff asked what could be worst than this? Field Marshall said "Suppose it was raining".
That is the difference in a good leader and outstanding leader.
The book written by Sir Slim "Defeat into Victory" is an excellent book on leadership and man management.

skarmveer
October 5th, 2007, 05:45 PM
Thanks for your good words for me, I learned things from my elders like you only and prefer to stay with elders most of the time.
Jab mein School mein tha to hamesha chhutiyo mein jab bhee gaon jata tha to apney DADA Ji key pass he baidta tha or uskey liya mujhey sara din hukka bharna padta tha parntoo Bahut saari Gayan vardhak kahani sunney ko miltee the or mujhey bahut achchha lagta tha.

Regards