PDA

View Full Version : Satkaram

devdahiya
October 5th, 2007, 11:59 AM
Worth mebers aaj kal samajj mein uthhal-puthal machi hui hei...charon aur beimaani,jaalsajji,badtameejji,chhina-chhapti,dushahass,mulyon ka pattan,prem ki kammi,naffrat ka aawesh,bardast karne ki takkat mei bhari kammi addi-2 buraiyan insaaniyat ko apni jakkadd mei le chuki hein.Sab aur annachar feilla huwa hei aur MANN KI KHHUSSI KO GREHAN LAGG GAYA HEI.Ye sab hammari barbaaddi ki surruwat hei aur ek bhyabheet kar dene valle bhawishay ki chetawani bhi.

Satkaram ka matlab aur uss par chalne ke liye kuchh battein jo behadd jarruri hein apni jindaggi mein shanti aur khussi ke liye....idhhar likhne ki koshish karrunga...aapse anurodhh hei ki aap apni baat bhi rakhkhein aur jahan mujh se trutti ho gai ho usse thheek krein.

SATKARAM KYA HOTA HEI: Satkaram ka matlab hei aisse karam karna jis se apni aatama,padoss ka watawaran aur jahan se insaan gujjre ya jahan tak usske karam pohnchein...wahan-tahan maholl mein ek achhi vayvastha vei soch banne aur meethhe riste kayam hon tathha jeewan se judde infrastructure ko bal mille.Jahan satkaram ho wahan burrai ka naas hota hei aur achhai falti fultti hei jis se aanandd ka mahol banta hei aur samaajj mein shanti aur bhai chara badhhta hei.INDVIDUAL level par satkaram aapki aatamo ko khussi se bhar deta hei aur aap ko jinddagi mei ek useful insaan ka darjja jarrur dilata hei aur aapke prewwar aur aapke najdeek rehne walle loggon par prox tarike se seedhha parbhaw dalta hei.

SATKARAM KE ANSH:

1] Jhhoot na bolna
2] Naffrat na karna
3] Chuggli na karna
4] Dhhoka na karna
5] Mehant karna
6] Sustti ka tyag karna
7] Dusseron ki maddad karna
8] Swaarth ko jahan tak ho sakke tyaggna
9] Dwesh se bachna
10]Jiss bhi praani mei jaan hei unse sahanubhuti puran vyahwaar karna
11]Kissi ki aatamma na dukhana
12]Ghammandd na karna
13] Dukhh mein vichlit na hona
14] Khhushi ko duniyan mei banttana
15] Appne kashtton ko khussi-2 appne aap katnna
16] Bhagwaan mein attuutt vishwas rakhna
17]Maa-baap ki sewa karna
18] Gurru ki izzat karna
19] Beinteha Muhobbat karna[saari insaniyat se]
20] Baddle ki bhawana ko sirr na uthhane dena
21]Appne karam purri nishthha se karna.

There can be a few more additions but i try follow these and i am happy on this earth.

netrapalsingh
October 5th, 2007, 12:19 PM
bahut sahee topic hai sir, Satkaram,

aapne achee tarah se likha hai iske bare me. Aisa nahi sir aaj bhee desh me sachee or nistha waan log hai par jyadatar we hee hai jo above 60 hai ya gareeb hai, kisaan majdoor hai.....inme aapko kahi na kahi sachhe log aaj bhee mil jayenge.

Dusree sabsee badee men baat hai development aaj log sikshij ho gaye unchee unchee post par service karne lage to unme panee kee age badhne kee lalsaa bhee badee or sir, mera ye manna hai kee jaha industry hai tarakki hai wahi bayee manee, lalach makkaree bhee jyada hai. Mera matlab yaha nahee hai waha har aadmee galat hai par jyada hai.

ek chota sa example Gudgaon me Mayee ka Mandir iskee kafee manytaa hai
leken mai last year yaha ayaa or dekh kar dang rah gayaa kee teen-teen din se log khade hai darshan nahi ho rahe.. or log 100 rupye me beech me ghusaye ja rahe the.....lohe jalee koi kai jagah se tod rakha tha or hamare police ke jawaan ye sab kar rahe the........hamne ek letter CM Haryana ko bhee likha tha jo shayad Raddi kee tokaree me dal diya gayaa.......

netrapal.....

devdahiya
October 5th, 2007, 11:31 PM

Ha..ha..ha..ha..wei chithhi tei uss Chandigadd aali SUKHNA lake mein tirti paweiggi bhai....arr mata ke darbaar mein te wahe loot challeggi....din dahadde.

deepakchoudhry
October 6th, 2007, 01:51 AM
Dev Bhai Sahib,

Sotay Hue insaan ko Jagaya ja sakta hai prantu Jo Insaan sohnay ka bahanaa kar raha ho usko jagana kathin hai.

Yeh nahin hai ki logon ko acchay buray ka pata nahin hai...chahe PHD ho, ya phir woh anpad hi kyun na ho.

Sabko pata hai ki kya bura aur kya sahi hai....phir prashan yeh hai, ki log phir bhi kyun galat karte hai.

Bus itna hi kehungaa ki Jo app kar rahe ho, karte raho...You have my support.

Deepak

skarmveer
October 6th, 2007, 11:50 AM
Dev sahab aap lagey raho, jab bahaney banaey waley nahi hartey to hum keo hareyn. Unhey aapney koshish karney do hum sab aapne koshish karengey.

Regards

October 6th, 2007, 12:14 PM
Dev sahab aap lagey raho, jab bahaney banaey waley nahi hartey to hum keo hareyn. Unhey aapney koshish karney do hum sab aapne koshish karengey.

Regards

Bilkul...behichakk...bedhaddakk........no one can ever stop us from doing a right thing till the last breath...ye kassam hei apni.

deepakchoudhry
October 6th, 2007, 12:21 PM
Bilkul...behichakk...bedhaddakk........no one can ever stop us from doing a right thing till the last breath...ye kassam hei apni.

Mujhe bhi aap say yehi umeed hai.:)