PDA

View Full Version : Mera Bharat Mahan



dharmender
October 20th, 2007, 03:04 PM
mai apne sabhi jaat bhaiyo ko namaskar karta hu.
waise to mai bahut dino se jaat land ka member hu lekin kisi karan mai kuch likh nahi paya. Mai is samay Dubai (UAE) mai hu or ye meri pheli videsh yatra hai.
Yahan aa kar maine dekha ki kis prakar hamara desh ek doosre desh se different hai.
Yahan videsh mai jab bhi mai apne desh ki kuch buri khabar TV par dekhta hu to mera kleja jalne lagta hai. :confused:
Ye roj roj ki khabar chori, daka, Sadako par hote haadse, bhukmari, corruption, police ka rayayya or sabse upar hamara system.
Ye sab dekh kar mujko sharam aati hai ki doosre desh ke log hamare baare mai kya sochte honge.

Ye to is desh ka aho bhagye hai ki in sab ke vipreet bhi ye vikas ki raah par agrsar hai.

mai sochta hu ki kis prakar ye system theek kiya jaaye........
Ye baat mai hi nahi aapme se bhi bahut log sochte honge..lekin mushkil ye hai ki us par amal kaise kiya jaaye....

dekha jaaye to aaj ki yuva pidhi hi is vishal hal ko kandha de sakhi hai....

Mai khena chahata hu ki desh ki yuva pidhi ko professional dhang se politics mai involve hona chaihiye...kyo ki wahi se is system ki kamman sambhali ja sakti hai.

mai aap sabhi dosto se nivedan karta hu ki aap sab apne vicharo se gyan ka addan pradaan kare or is par ghambhir roob se vichar kare.

nandini
October 22nd, 2007, 10:59 AM
sahi kah rahe ho RANA SAAB
par humari nau jawan peedhi ko apni jimmedari ka ehssas hona bhi jaroori hai.jab kuch karne ki baat aati hai tau sab ka ek hi jawab hota hai hum kyu kare ye tau sarkar ka kaam hai.

aaj ke naujawan agar rajniti mei aate hai tau kya pata vo bhi kuch dino baad aaj kal ke netao jaise ho jaye.

devdahiya
October 22nd, 2007, 11:02 AM
mai apne sabhi jaat bhaiyo ko namaskar karta hu.
waise to mai bahut dino se jaat land ka member hu lekin kisi karan mai kuch likh nahi paya. Mai is samay Dubai (UAE) mai hu or ye meri pheli videsh yatra hai.
Yahan aa kar maine dekha ki kis prakar hamara desh ek doosre desh se different hai.
Yahan videsh mai jab bhi mai apne desh ki kuch buri khabar TV par dekhta hu to mera kleja jalne lagta hai. :confused:
Ye roj roj ki khabar chori, daka, Sadako par hote haadse, bhukmari, corruption, police ka rayayya or sabse upar hamara system.
Ye sab dekh kar mujko sharam aati hai ki doosre desh ke log hamare baare mai kya sochte honge.

Ye to is desh ka aho bhagye hai ki in sab ke vipreet bhi ye vikas ki raah par agrsar hai.

mai sochta hu ki kis prakar ye system theek kiya jaaye........
Ye baat mai hi nahi aapme se bhi bahut log sochte honge..lekin mushkil ye hai ki us par amal kaise kiya jaaye....

dekha jaaye to aaj ki yuva pidhi hi is vishal hal ko kandha de sakhi hai....

Mai khena chahata hu ki desh ki yuva pidhi ko professional dhang se politics mai involve hona chaihiye...kyo ki wahi se is system ki kamman sambhali ja sakti hai.

mai aap sabhi dosto se nivedan karta hu ki aap sab apne vicharo se gyan ka addan pradaan kare or is par ghambhir roob se vichar kare.



Good thoughts dear.Keep it up!We all want this nation has its character intact.