PDA

View Full Version : **Promote gender eqaulity and empower women ***Part of UN Millenium Goals



zorba
January 15th, 2008, 06:15 AM
Bhaiyyon aur Behno Ram Ram

wese to sari duniya main hi Aurat ke saath atyachaar hua hai , lekin kyonki ye Forum Jaat samaj ka pratinidhitav karti hai to kyo na usi realm main baat ki jaye.

kyonki mera aadhe se jyada jeevan isi samaj main beeta hai, iski peeda mujhe bhi vedana se bhar jati hai. Humare samaj main naari ki bahut hi buri dasha rahi hai. humne usko kabhi chun ne ki sawtantrta nahin di uska astitav sirf maa, behan aur beti hone main hi reh gaya na hi wo kavi ho paai na hi vaigyanik aur is partantrta ki vajah se wo Maa Beti Aur behan ka kirdaar bhi poori tarah nahin nibha paai ( udhahran ke liye usne bete aur beti main farak samjha aur aesa hi sikhaya aur ise sahi mana). ye uske partantr astitav ko aur partantrr banane main sahayak hua.


To aaj 21wi sadi main United Nations ne to ye goal banaya hi hai lekin hum ek samaj ki hasiyat se kya kadam uthayein jis se hum apni mata aur behno ko unke jeene ka haq de sakein unko maa behan aur beti ke kirdaar se nikaal ke ek insaan hone ka mauka de sakein. aap sab ke vichar sprem nimantratit hain.