PDA

View Full Version : ye kaisa sahar hai

santoshbenaam
October 4th, 2003, 09:28 AM
Is sahar me ye kaise log rahty hai
Apno ko hi jo dhukh dety hai
Pyar nahi karta hai koi kisi se
Pyar ke badle jakhm dety hai
Maine dekha hai aisa karty hua
Logo ko ghut ghut ke marty hua
Jane kitne massom phir rahe hai
Apni hi parchai se ghir rahe hai
Kisi maa ke dil pe kya gujarti hogi
Kisi bete ke laas jab nikalti hogi
Rone ko aansu nahi milty hai
Jab log samshaan ki or nikalty hai
Main bhi kabhi chita me jal jaoinga benaam
Sahar me kyu is kadar mujh se log jalty hai

santosh benaam

rkumar
October 4th, 2003, 07:40 PM
wah janab..bahut khoob...Achaa likh lete ho masa allah...dil me bahut dard hai lagta hai...

Rajendra

santoshbenaam
October 6th, 2003, 12:11 PM
Rajendra Kumar Kalkhunde (Oct 04, 2003 10:10 a.m.):
wah janab..bahut khoob...Achaa likh lete ho masa allah...dil me bahut dard hai lagta hai...

Rajendra

sukriya Rajendra ji, dil me dard to bahut hai aapne thik hi kaha

rkumar
October 6th, 2003, 02:14 PM
santosh benaam (Oct 06, 2003 02:41 a.m.):

Rajendra Kumar Kalkhunde (Oct 04, 2003 10:10 a.m.):
wah janab..bahut khoob...Achaa likh lete ho masa allah...dil me bahut dard hai lagta hai...

Rajendra

sukriya Rajendra ji, dil me dard to bahut hai aapne thik hi kaha

E Dil tu gamm nikal de dil se
aur fir dhadak, hokar be-dhadak

Rajendra

VirenderNarwal
October 6th, 2003, 04:08 PM
bahut khub...irrshad

uday
October 7th, 2003, 09:57 AM
Bahut Umda..

santosh benaam (Oct 03, 2003 11:58 p.m.):
Is sahar me ye kaise log rahty hai
Apno ko hi jo dhukh dety hai
Pyar nahi karta hai koi kisi se
Pyar ke badle jakhm dety hai
Maine dekha hai aisa karty hua
Logo ko ghut ghut ke marty hua
Jane kitne massom phir rahe hai
Apni hi parchai se ghir rahe hai
Kisi maa ke dil pe kya gujarti hogi
Kisi bete ke laas jab nikalti hogi
Rone ko aansu nahi milty hai
Jab log samshaan ki or nikalty hai
Main bhi kabhi chita me jal jaoinga benaam
Sahar me kyu is kadar mujh se log jalty hai

santosh benaam

dahbal
October 7th, 2003, 06:30 PM
Bahut aacha farmaya...
Lagta hai bahut purane gkham hain...

Mujh se achhe to hai.n teri rah ke pathhar sanam,
Roz dikhati ho jinhe aate huye jaate huye !

Even the pebbles in your path are better off than me ,
They see your face every day while you come or go !

Rajendra Kumar Kalkhunde (Oct 06, 2003 04:44 a.m.):