PDA

View Full Version : Babul ki Beti Honour Killing



Arunshokeen
July 9th, 2010, 12:20 PM
Aaj bhi wo din yaad hai, jab maine usse pehli bar dekha tha, shyad utni khoobsurat wo kabhi na lage, wo nanhi si kali, apni maa ke pehlu se nikli, mere kaapthe hatho main jab aayo thi, yaaron kaise kahun us din maine kya khushi pai thi, sach haan us din main bada ho gaya, kal tak tha yuya ,us din main pita ho gaya, usne jab meri duniya main kadam rakha tha, shyad us din hi mera nasib jaga tha, uske nanhe kadme ki aahat se meri duniya gulzar hui, uske bina thi duniya meri virana uske aane ke baad gulzar hui, sach kahun usdin maine sara jahan paya, kaise karun main bayan meri duniya main kya aaya tha,

uske wo shabd jaise koyal ki boli se bhi pyare the, uske wo shabd maa ki lori se nyare the, jab usne mujhe papa kahan tha, us din ik naya sa ahsaas jaga tha, us din maine sara jahan paa liya, us lamhe ki yaad aaj bhi mere jehan main baki haan, kaise kahun wo awaaz kya thi, sach main kisis koyal ki bayar thi......


wo Din jab usne mujhse pehli bar kuch mangha tha, sach main us din apni bebasi ka ahsaas jaga tha, jaine kaise main usko yakin dila patha, ki wo meri sab kuch haan, par mere pass uske sawaal ka jawab nahi, duniya ko lagane ko haan jigar main aag par uski duniya karne ko roshan wo aaftab nahi, kaise usko main batatha ki kahan uski maa haan, meri yaddon main uski maa ka jahan haan, wo de kar us nanhi kali ko duniya chod gayi, wo janne kyon mujhse muh modh, gayi.



jab hui meri sohni muthyar toh jamana mujhe bari laghtha tha, main na chaain se sotha tha na jaghtha tha, yarron main ik jawan beti ka pitha hua, kaise kahun mujhe kya hua, uski bidhaai ki chintha sathane lagi, uski judaai ki baat mujhe sathane lagi,

Ik din wo kar ke mujhe rusha chali gayi, chod ke saath wo babul ka jaane kahan chali gayi, jise phoolon ki tarah rakha , jaise nazon se maine pala tha, wo mujhe tanhiyo main chod gayi, de ke saath ko kisi or ka mujhse alvida kar gayi.


Din shyad wo khyamat ka tha, ya zamane se bagawat ka tha, dilon ke armaan jaine kahan reh gaye, bhul gaya main ki main uski pitha hue, koi kasaai nahi, usne pyar hi kiya haan, koi bewafai nahin, mana ki usne mohabbat ki thi, karke shadi kisi gair jhaat main bagawat ki thi, par yeh koi gunaah nahi, mohabbat toh sabha haan koi gunaah nahi, Par shyad main aandha ho gaya, bebasi ke aalam ko kaise bayan karun, maine apne hathon se apni gudiya ko todh diya, wo karthi rahi minaathe, or maine sunna hi chod diya, Zamane ki jhuthi rashmo ke aage main majbur tha, sach kahun main insaniyat se bahut dur tha, uski koi bhi baat na mujhe yaad aayi thi, mere sar par bas hewaniyat chayi thi, or us lamhe main maine usko maar diya, shyad us din maine samaj ka sara karz uthar diya, us din samaj ke liye main ik yodha ban gaya, main pitha na rahan ik darindha ban gya,


Aab jail ke aandhero main wo mujhse milne aarhi haan, jail ki us kothri main ghar ke aanghan se yaad jagathi haan. aaj main usko yaad kar ke til til martha hu, bas main ik baat se dartha hu, ki babul ki beti kyon itni parai ban jathi haan, kyon samaj ki izaat apni hi beti ka khoon karathi haan, kyon baap apni beti ko bhul jatha haan, kyon usko wo pal yaad nahi aatha haan.

Shyad samaj ki rashme meri har yaad se badi haan, aaj bhi in jail ki diwaro ke bahar meri beti khadi haan, jo mujhse awaaz de kar ik hi baat puchthi haan, Babul jo payar haan gunah toh yeh tune bhi kiya haan, mere saath tu bhi gunaygar haan, bass mujhe saza tune di, or ab Babul ki beti vidhai ko tayaar haan, ko ab doli main nahi aathi main jathi haan, shyad yehi Honour killing keh lathi haan, shyad yehi honour killing kehlathi haan.

prashantacmet
July 9th, 2010, 01:22 PM
bahut badhiya bhai..yeh aapne hi likhi hai kya?

Arunshokeen
July 11th, 2010, 10:14 PM
haan Prashant g yeh gunah maine hi kiya haan, i m guilty of that crime, and gulty accepted.

neetu21
July 11th, 2010, 11:52 PM
Aaj bhi wo din yaad hai, jab maine usse pehli bar dekha tha....

Bahut badhiya, thanks for posting...:)

Arunshokeen
July 12th, 2010, 04:35 PM
My pleasure Neetu g , thanks for appreciate.

rajanisingh20
July 12th, 2010, 04:49 PM
Very nice poem Arun.....Keep it up....:)