PDA

View Full Version : krantikari aur aaj ka bharat

PARVYUG
May 9th, 2011, 05:01 AM
bharat jab ek paradheen rashtra tha tab apna ghar pariwaar apna jeevan sab kuchh desh par kurbaan karne vaale yuva krantikari aage aaye ramparsaad bismil,chandershekhar aajad,bhagat singh,ashfakulla khaan aur bahut se sabka ullekh to nahin kiya ja sakta. desh ki khatir jo atulniya balidaan inhone diya. agar aaj ye hote to kya karte. nishchay hi bhrashtachaar ke daur main ye us tarah ka
mahaan purusharth karte. sawaal hai ki jab desh ke liye inhone itna kuchh kiya hum ab desh ke liye kya kar sakte hai. kya hum bhrashtachaar ke khilaaf , aniti aur shoshan ke khillaf kuchh kar sakte hain? aaj kyon nahin aage aate yuva. kyon bhula dete hain unke sapno ko? kya hum krantikariyon ke katil to nahin ban rahe ?

riyaa
May 10th, 2011, 10:22 AM

Very well said Parvyug,But that time the war was between Britishers and Indians, But today its between Indians vs Indians apno ko kaise maare..haan agar har koi individually apne aap mai sudhar laye aur apni responsibility honesty ke saath nibhaye tou kuch ho skta hai.