PDA

View Full Version : FEW more SHER--->>



ajaynehra
December 20th, 2002, 10:11 PM
Garmi-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate hain,
hum charaagon ki tareh shaam se jal jaate hain.

Shama jis aag mein jalti hai numaish ke liye,
hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain.

Jub bhi aata hai mera naam tere naam ke saath,
jaane kyoon log mere naam se jal jaate hain

______________________________________

Un pe tuufaa.N ko bhii afsos huaa karataa hai
Vo safine jo kinaaro.n pe ulaT jaate hai.n;

[safine : boat]
_______________________________________

qafas mein mujhse roodad-e-chaman kehte na dar humdum
giri hai jis pe kal bijli wo mera aashiaan kyoon ho!

qafas = qaid (imprisonment), roodad-e-chaman = baagh ka haal
_______________________________________

Mausum ko ishare se bula kyon nahin lete
rutha hai to mana kyon nahin lete

deewana tumhaara hai koi ghair nahin hai
machla hai to seene se laga kyon nahin lete

tum jaag rahe ho mujhe achchha nahin lagta
chupke se meri neend chura kyon nahin lete

khat likh ke kabhi aur khabi khat ko jala kar
tanhaayi ko rangeen bana kyon nahin lete ||




_________======+++++++++=======______


AJAY NEHRA


desiJAT