PDA

View Full Version : ek aur paheli



navingulia
May 8th, 2003, 11:11 AM
maine ek paheli post kari thi saas bahu ki, ab usi series mei ek aur paheli post kar raha huun, ummid hai pasand aayegi.
ek aadmi aur ek aurat hain, us aadmi aur us aurat ke baabbu(father) aapas mei baap bete hain.
ab bataao ki us aadmi aur aurat ka rishta kya hai.

smalik
May 8th, 2003, 12:01 PM
bro-sis or grndpa-grnd daughter

pnauhwar21
May 8th, 2003, 01:19 PM
dono Baap-Beti hain

uday
May 8th, 2003, 01:37 PM
Baap - Beti...

amar0974
May 8th, 2003, 04:52 PM
Baap-Beti. Par bhai is ma itni Maatha Pachi na hoye jitney pehla aali paheli ma hoye the. Maza sa nahi aaya or Aan do.

rsdalal
May 8th, 2003, 06:18 PM
Guliya Bhai Kuchh miss kar gaye kya...
Itni Assan te nahi ho sakti apki pahelee

akdabas
May 8th, 2003, 07:13 PM
Navin bhai kuchh bhul gaye.

paheli poori nahi hai. :)



navin gulia (May 08, 2003 01:41 a.m.):
maine ek paheli post kari thi saas bahu ki, ab usi series mei ek aur paheli post kar raha huun, ummid hai pasand aayegi.
ek aadmi aur ek aurat hain, us aadmi aur us aurat ke baabbu(father) aapas mei baap bete hain.
ab bataao ki us aadmi aur aurat ka rishta kya hai.

sweet
May 8th, 2003, 10:57 PM
Baap-beti hain dono............................

navingulia
May 9th, 2003, 06:51 AM
kyaa baat karte ho aap sab log. baap aur beti ke sasur , baap bete kaise ho sakte hain?
fir dimaag lagaao
jawaab ye hai----
wo aadmi us aurat ke pati ka fooffa hai.

lo samjha bhi deta huun, us aurat ka sasur uske pati ka baap hai, aur uske pati ka dada us aadmi ka sasur hai. iska matlab, wo aadmi uske pati ki bua kai byaa raakhya sai, yaani ki uske pati ka fooffa.

pnauhwar21
May 9th, 2003, 09:32 AM
Galat baat Navin.. In your paheli you had said ki "aadmi aur aurat ka babu(father) na ki sasur". u r changing ur words now..

navingulia
May 9th, 2003, 11:42 AM
rai bhai,
mannai 'KE BAABBU' yaani plural kahaa thaa
'ka baabbu' yaani singular nahin kahaa
mera matlab donuaan ke baabu tha
meri pahli paheli mai donuaan ki maa thi ar abki baar donuaan ke baabbu
bhai JAAT suun, apni galti kati nahin maanunga
ha ha ha
per bhai waakai meri galti nahin hai, yo tai samjhan ki galti sai 50/50