PDA

View Full Version : Shayari



dahbal
October 7th, 2003, 06:13 PM
* Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno
Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno
Mujhe Sher nahi aata kisi aur se suno

* Yeh mere aasu jinhe koi pochne wala bhi nahi,
Koi aanchal enhe milta to sitare hote.

* Jise dil diya woh dilhi chali gayi..
Jise pyar kiya woh italy chali gayi...
Dil ne kaha khud kushi(suicide) kar le zalim...
Bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi...

* Duniya Se Jo Dare, Usse Kayar Kehte Hain,
Duniya Jisse Dare, Usse Shayar Kehte Hain,
Biwi Se Jo Dare, Usse Shohar Kehte Hain.

* Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath
Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad
Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"

* Hamne mana aapme hogi sabra ki takat hamse jyada,
Dekh lo lekin utri hogi aapki surat hamse jyada.

* Mushkil ka meri unko mukshil se yeki aaya,
Samjhe meri mushkil ko magar badi mushkil se.

* Andaz apne dekhte hai aaine me woh,
Aur yebhi dekhte hai ke koi dekhta n ho.

* Dil na umid to nahi, nakam hi to hai,
Lambi hai gam ki shyam magar, shyam hi to hai.

* Bahut roai hai us aasu ke khatir,
Jo nikalta hai khushi ki intaha per.

* Zakhm kuch aaise huai phulo per soya n gaya,
Jisma jalkar khak aakho se raya n gaya.

* Aab es hadd pe laya hai intazaar muzhe,
Woh aa bhi jaye to aaye na yaki muzhe.

* Ek diya jo sare rah jalane nikle,
Aandhya bankar kai log buzane nikle.

* Kamse kam maut se aisi mujhe ummid nahi,
Jindgi tune to diya dhoke pe dhoka