PDA

View Full Version : Gayatri Mantra's Hindi Meaning



raj2rif
December 24th, 2004, 03:25 AM
Dear All,

I was visiting one of my friend. There I saw the Hindi transletion of Gyatari mantra. I thought I will share it with you all.

GAYATRI MANTRA MEANING


OM = Sabki raksha karne wala.

BHU = Jo sab jagat ke jiwan ka aadhar, pran se bhi priya aur swayam bhu hai

BHUV: = Jo sab dukhon se rahit, jiske sang se jeev sab dukhon se mukt ho jate hain

SWA: = Jo nana (vibhinn) vidh jagat mein vyapak hoke sabka dharan karta hai.

TAT, = Usi parmatma ke roop ko hum log.

SAVITU: = Jo sab jagat ka utpadak aur sab eshvarya ka data hai.

VARENYAM, = Jo sweekar karne yogya ati shresth hai.

BHARG: = Shudh swaroop aur pavitra karne wala chetan brahm swaroop hai.

DEVASYA: = Jo sab dukhon nivaran hara hai jiski prapti ke kamna sab karte hain.

DHIMAHI: = Dharan karen, kis prayojan ke liye ki

DHIYA: = Budhiyon ko.

YAH: = Jo savita dev parmatam

NAH: = Hamari

PRACHODAYAT = Prerna karen artharth bure kamon se mukt hokar achhe kamon mein pravat hon/ karen.

sunildahiya
December 24th, 2004, 11:26 AM
Dear Tavathia ji

Thanks

This is very nice