PDA

View Full Version : Khoon Jat Ka..................!!



devdahiya
January 3rd, 2005, 06:08 PM
KHOON JAT KA HAI TUM-MEIN, TUM KABHI BHULA NAHIN DENA
ANTARMAN KI AAWAZON KO, KBHI SULLA MAT DENA


1) SOORVEER TUM, KARAMVEER TUM ; SACHCHE PATH PAR CHALNE WALE,
KARMATHH, YODDHA, VEER SIPAHI ; MARYADA PAR MARNE WALE

APNI MAA KE DOODH KI IZZAT, AISE HI TUM KARTE REHNA
KHOON JAT KA HAI TUM-MEIN, TUM KABHI BHULA NAHIN DENA.

2) SHIKSHA APNI KAMZORI HAI, DHYAAN BAHUT HI DENA HOGA,
ANPADH JEEVAN KYA JEEVAN HAI, DHRTI PAR JYON NARAK HO BHOGA,

GHAR GHAR MEIN PRAKAASH FELA KAR, PREM KITABON SE KAR LENA,
KHOON JAT KA HAI TUM-MEIN, TUM KABHI BHULA NAHIN DENA.
3) MAA-BEHNON KI IZZAT KO, HARPAL DHYAAN MEIN RAKHNA HOGA
KHARACH GUNJAISH SE ZYADA KARNA, AAJ-ABHI SE ROKNA HOGA,

DAHEJ KI DALDAL BAHUT BURI HAI, ISMEIN APNE PERR NA DENA,
KHOON JAT KA HAI TUM-MEIN, TUM KABHI BHULA NAHIN DENA.

4) DHHANG KHETI KE BAHUT PURANE, INKO AB TUM BADAL HI DALO,
"CASH CROP" KA AAYA ZAMANA, DEKHO UNKO BHI AAZMALO,

SAATH CHALE JO SAMAY KE BHAI,KABHI KISEE SE PICHE RAHE NA,
KHOON JAT KA HAI TUM-MEIN, TUM KABHI BHULA NAHIN DENA.
5) APAS MEIN JHAGDA KARNE SE, HOTI JAG MEIN KHOOB HASAI,
TALI PEETE DUNIYA DEKHO DO BHAIYON MEIN HUI LADAI,

KHOON-KHARABA AUR ADALAT, INSE TUMKO KYA HAI LENA,
KHOON JAT KA HAI TUM-MEIN, TUM KABHI BHULA NAHIN DENA.

bsmanderna
January 3rd, 2005, 08:19 PM
very well thoughtafter and befitting poem in simple words with great message.
keep it up dahiya bhai.
wish you all the best.

balwan

kulwant
January 3rd, 2005, 08:39 PM
excellent composition sir...........keep it up :)

vinodkaliramna
January 4th, 2005, 08:26 AM
JUST GREAT JOB ! excellent !!

Keep It up BRO !!

Cheers !!

devdahiya
April 2nd, 2006, 01:18 AM
Needs to be read with a peace of mind really.

deswal
April 2nd, 2006, 06:00 AM
Bhai Sahab,

Bahot badiya!!

Nasha pata karna aur sara din tash khele jana wo bhi apna kaam chhod kai in do chijan aur lapet lo!!

Best of regards!!

devdahiya
April 2nd, 2006, 02:55 PM
Bhai Sahab,

Bahot badiya!!

Nasha pata karna aur sara din tash khele jana wo bhi apna kaam chhod kai in do chijan aur lapet lo!!

Best of regards!!


Jaissa aap ka hukkam:


Taas peettana chhod kaam mei dhyan karo mere bhai
Tharre thhalli rehne nei wa tangg kar di sei tai
Aaandhhe ho kei matt baithho bhai...ho lene ka dena
Khoon Jat ka sei tum mei.................................

Darru dushmann ho mannass ki,kyun pee kei girkawei
Suthhni dhass jya teri gaar mei,mattna dhakke khawei
Nasse-patte hon nass karaniya.....Haath lagga matt denna
Khoon Jat ka..........................................

ratheetheraist
April 2nd, 2006, 03:23 PM
kaka......its great.........

jaat tu kabb tak yun hi auroon ki taraf dekhta rahegaa......
tujhee aajj to khudd unkii tarah unchaa khada hona padegaa......

tu hamesha aurunn se dwesh rakhta haii.......
lekin kyaa ye unchaa uthane ka rasta haii.......

jat sabse acha tujhee mahool milta hai......jahan tu koshish kar ke aasmaan cho sakta hai......
lekin tu iss mahool ko kharab karta hai......lekin aasmaan ki aur dekhnaa seekh to sakta hi hai....

dedicated to jat women.......

jat chori iss khoon ka karj tum te jada koi na chuka saktaa........
tum se hai rishta saare jaaton ke bhavishey kaa......

chote chote jat tumse sabse zayada seekhengee......
tumsee sachaai aur virtaa kii baat seekhengee......

zindagi ka sabse zaroori waqt tumharee sath guzarta haii bachhaa.......
tumse hi pyaar aur tumse hi swabhimaan seekhta haii bachhaa.......

tumhare hawalee hai abb ye jaaton kaa bhavisheyy...
ab tumhare haath main hai iss kishtii kii dorr......
le jana issee himalyaa ki aurr....