PDA

View Full Version : Shayari again ...by desiJAT



ajaynehra
September 16th, 2002, 11:40 PM
Bhai logon ki hausla afjaai ki wajah se main apne aap ko rok nahi paaya :

lo kuch sher pesh hain :
_______________________________________

merey meHbuub yeh dunyaa barri dilchasp dunyaa hai
yahaaN aa kar Khudaa bhhi murade ilzaam ho ja-ay

meri masti se tairii ankhkh-rriyoN ki baat qaa-im hai
agar maiN hoash meiN aa ja-uN tuu badnaam ho ja-ay

ko-ii jaam iss TaraH chchalkay ke mausam lehlahaa uththay
ko-ii zulf iss TaraH bikhkhray keh gehrii shaam ho ja-ay

____________________________________

Bas ik jhijhak hai yahii haal-e-dil sunaane me.in
ki teraa zikr bhii aayegaa is fasaane me.in ;

[jhijhak=hesitation; zikr=mention; fasaanaa=tale]

Baras pa.Dii thii jo ruKh se naqaab uThaane me.in
vo chaa.Ndanii hai abhii tak mere Gariib-Khaane me.in ;

[ruKh=face; naqaab=veil]

Isii me.n ishq kii qismat badal bhii sakatii thii
jo vaqt biit gayaa is ko aazamaane me.in ;

Ye kah ke TuuT pa.Daa shaaKh-e-gul se aaKhirii phuul
ab aur der hai kitanii bahaar aane me.in ;

_______________________________________

dastuur ibaadat kaa duniyaa se niraalaa ho
ik haath mein maalaa ho ik haath mein pyaalaa ho

puujenge saliiqe se andaaz magar apanaa
ho yaad-e-Khudaa dil mein saaqii ne sambhaalaa ho

mastii bhii taqaddus bhii ek saath chale dono.n
ik simt ho maiKhaanaa ik simt shivaalaa ho

)taqaddus = Pooja, simt = direction(

vo Duub ke mar jaayeen madiraa kii suraahii mein
maashuuq ne gar dil kii mahafil se nikaalaa ho

_______________________________________

Zaahid mujhe peene de masjid mein baith kar
ya wo jagah bata de jahan per khuda na ho

_____________________________________

ham hii aaGaaz-e-mohabbat me.n the anjaan bahut
varnaa nikale the tere vasl ke unvaan bahut

[aaGaaz = start; unvaan = title/subject]

dil bhii kyaa chiiz ab paa ke use sochataa huu.N
kyaa isii vaaste chhaane the bayaabaan bahut

[bayaabaan = wilderness/jungle]

ai Gam-e-ishq merii aa.Nkh ko patthar kar de
hai.n mere sar pe tere aur bhii ehasaan bahut

faasale raah-e-ta'alluq ke miTe.nge kyuu.N kar
husn paaband-e-anaa ishq tan aasaan bahut

[paaband-e-anaa = bound by rules]

us ko bhii lag hii ga_ii shahr-e-mohabbat kii havaa
vo bhii 'Amjad' hai ka_ii din se pareshaan bahut

________________________________


bus bus eeb mah thamb jaaon sooon , nahi to log kavange .. dekhya na Mirza Gaalib


n'joy


Ajay Nehra
desiJAT

Proud to be a JAT

jat_somveer
September 17th, 2002, 07:38 PM
bhai ajay,
galib naa se te uste kum bhi naa rah rahya


par bhai ya te bata de ya chot kit te khaa rahya se.

bera te laage mahre bhai gael isi bewafaai kun kar gaa

ar je tera yo chhota bhai kite kaam aan ka tane lagta ho te bata diye

par bhai itne katthe nahi

ye padh ke mera te rone ne ji karan laag jya se

thoda sa dekh ke


itne dukh bhare nahi

naa te main ro padoonga