Page 2 of 6 FirstFirst 1 2 3 4 5 6 LastLast
Results 21 to 40 of 105

Thread: shyari-e-mohabbat

  1. #21
    muhabbat mere kabhi kisi kaam na aayee
    badhti aur ghati rahee, jaise parchaayee
    gile sikwon me umar beet gayee sari,
    dil me ghar kiye baithee rahee, tanhayee

    RK^2

  2. The Following User Says Thank You to rkumar For This Useful Post:

    kamnanadar (February 2nd, 2012)

  3. #22
    Hadh kar di Kalkhande JI......................

    I think it is ur own creation....................

    Try more, all the best............

  4. #23
    kya bat hai uncle muhabbat kabhi kisi ki nai hoti, woh toh us bawre ki tara hai, jo khile phoolun per madrata hai aur murjane per dusre phoolun ki tarf rukh kar deta hai

    Quote Originally Posted by rkumar
    muhabbat mere kabhi kisi kaam na aayee
    badhti aur ghati rahee, jaise parchaayee
    gile sikwon me umar beet gayee sari,
    dil me ghar kiye baithee rahee, tanhayee

    RK^2
    -------------------------------------------------

    bhai intzaar karte karte unki sadhi ho gye

    ab batao kya kare
    hahahahahaha

    Quote Originally Posted by prashantacmet
    theek kaha subhash bhai........

    But there must be someone in ur life to whom u are waiting. U will get a different type of pleasure in this INTZAAR..........

    Yeh bhi thik hai na vikram bhai................
    Last edited by dndeswal; August 17th, 2006 at 10:46 AM. Reason: posts merged
    Make yourself an honest man, and then you may be sure there is one less rascal in the world
    SUBHASH DHAYAL

  5. #24
    Hushn per niyaat hai, magar naam muhobbat hai.
    labzon ka fasana hai, magar ye baat hakiqat hai
    tirchee nazren karke nikalte hain wo meri gali se
    kahte hain ki unko ne muskurane ki hidayat hai

    RK^2

  6. #25
    KYA BAAT HAI UNCLE EK HUMARI TARF SE


    Zindagi kisi ki amannat nahi hoti,
    amannat kisi ki ibadat nahi hoti,
    dil soch samajkar lagana yaaron,
    pyar ki jail mein kabhi jamanat nahi hotiā€¦.
    Make yourself an honest man, and then you may be sure there is one less rascal in the world
    SUBHASH DHAYAL

  7. #26
    Quote Originally Posted by hidhayal
    KYA BAAT HAI UNCLE EK HUMARI TARF SE


    Zindagi kisi ki amannat nahi hoti,
    amannat kisi ki ibadat nahi hoti,
    dil soch samajkar lagana yaaron,
    pyar ki jail mein kabhi jamanat nahi hoti….
    Zindgi ek aisa, ahsaas hua kartee hai
    jaise sawan me, barsaat hua kartee hai
    bheege hue wo, niklen meri gali se
    hamari ye dua, din raat hua kartee hai

    RK^2

  8. #27

    Zindagi

    kya baat hai uncle ji ek ish tarf se bhi



    Tufano mein Kashti ko Kinaare bhi milte hai,
    Jahan mein Logone ko Sahaare bhi milte hai,
    Duniyan mein sabse Pyari hai Zindagi,
    kuch log Zindagi se bhi Pyaare milte hai.


    Make yourself an honest man, and then you may be sure there is one less rascal in the world
    SUBHASH DHAYAL

  9. #28
    dost ban ban ke mujhko mitane wale
    maine dekhe hai kai rang badalne wale
    aur apne to chup reh ke aur bhi JULM dhya mujh per
    aap se achhe hai mere haal per hasne wale.....................


    Jindgi se humme shikayat na rahti
    agar aapse Mohabbat na hoti
    aap khush to hai ab apni duniya mein
    Rote umar bhar, agar humne BEWAFAI ki keemat na chukai hoti..........


    Rone se game-dil ka gujara nahi hota
    har ashq mohabbat ka sahara nahi hota
    aap kyoun paresaan hai apne haal-e tanhai per
    daryay-e-ishq mein har kasti ka kinara nahi hota..............
    Last edited by dndeswal; August 17th, 2006 at 10:52 AM. Reason: posts merged

  10. #29
    Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
    tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
    Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
    tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
    Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
    teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
    Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
    is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
    Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir"
    shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai
    Make yourself an honest man, and then you may be sure there is one less rascal in the world
    SUBHASH DHAYAL

  11. #30

    Aap kee Khidmat mai

    Ek aap ho ki sharmate bahut ho,
    Ek aap ho kii itrate bhi bahut ho.
    Dil to karta hai ki aapko Dinner pe ley javein,
    Kambakht ek aap ho ki khaate bhi bahut ho

    Safar lamba hai dost banate rahiye ,
    Dil mile na mile haath badate rahiye.
    Taj na banaiye costly padega
    Har taraf Mumtaj banate rahiye...

    Ghunghat nein tujhe dekha to deewana hua.
    Sangeet ka tarana hua,
    Shamaa ka parwana hua,
    Masti ka Mastana hua,
    Jaise hi ghunghat uthaya is duniya se ravaana hua...

    Woh chham chham karke aayee
    Aur chham chham karke chalee gayee
    Main sindoor ka dibba lekar khada raha
    Woh Rakhee bandh ke chalee gayee.

    Ramlila se hanuman tha farar,
    role k liya fit kia 1 sardar.
    jo tha bahut hi kamal,
    ped se chalang mar ka bola jo bole So nihal ,
    sita maiya SASRIAKAL
    ~~ u never know where ur destiny takes u ~~

  12. #31

    Talking

    Quote Originally Posted by hamendra
    Ek aap ho ki sharmate bahut ho,
    Ek aap ho kii itrate bhi bahut ho.
    Dil to karta hai ki aapko Dinner pe ley javein,
    Kambakht ek aap ho ki khaate bhi bahut ho

    Ramlila se hanuman tha farar,
    role k liya fit kia 1 sardar.
    jo tha bahut hi kamal,
    ped se chalang mar ka bola jo bole So nihal ,
    sita maiya SASRIAKAL
    Ye dono mast the Hamendra
    What if God was one of us...?

  13. #32
    Chahat mein meri kami kuch bhi na thi jaane kyo tu begana ho gaya
    tujhe lagta hai kush huin mein mujhe hasein to ek jamana ho gaya.........


    Wo jamane gaye jab thi mohhabat jaan ki baazi
    ab koi bichde to mein mar nahi jaata
    "wasim" agar tadaf hai uski to uske paas chalo
    kabhi "kuan" pyasaa ke paas nahi aata...........


    Udass aankhoein se aasoien nahi nikalte hai
    yeh to motiyoun ki tarah sipyoun mein palte hai
    aao is ped(tree) ke pass gale mil ke ro le hum
    yaha se tere mere raste badale hai
    aur kai sitaroen ko janta huin mein bAchpan se
    jahan bhi jaun mere saath saath chalte hain............


    Udass aankhoein se aasoien nahi nikalte hai
    yeh to motiyoun ki tarah sipyoun mein palte hai
    aao is ped(tree) ke pass gale mil ke ro le hum
    yaha se tere mere raste badale hai
    aur kai sitaroen ko janta huin mein bAchpan se
    jahan bhi jaun mere saath saath chalte hain............


    peechha hum kisi ka kiya nahi karte
    aur giravat ki jindgi jiya nahi karte
    agar unhe hai jarrorat to kar le dil ka tabadla
    youin hum apna dil kisi ko diya nahi karte.......
    Last edited by dndeswal; August 17th, 2006 at 10:57 AM. Reason: posts merged

  14. #33
    Email Verification Pending
    Login to view details.
    Kuch Likhna Chahata Hoon
    Sochta Hoon Kya Likhoon ?

    Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
    Barish Ka Woh Bhega Pani
    Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
    Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?

    Kuch Likhna Chahata Hoon
    Sochta Hoon Kya Likhoon?

    Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat
    Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
    Aur Baatoon Mein Woh Nazakat
    Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?

    Kuch Likhna chahata Hoon
    Sochta Hoon Kya Likhoon?

    Unka Aaker Muskurana
    Jo Rooth Jaon To Manana
    Jate Jate Phir Rulana
    Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?

    Kuch Likhna Chahata Hoon
    Sochta Hoon Kya Likhoon?

    Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
    Her Shaam Ek Diya Jalana
    Soi Umeed Ko Roz Jagana
    Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?

    Kuch Likhna Chahata Hoon
    Sochta Hoon Kya Likhon?

  15. #34
    aaj hi maine pahli bar ye page dekha jatland.com par. bahut achha laga.i want to join this talented team , so here is mine...........

    Hairan hoon isliye, ki hairani nahi jati
    pareshan hoon isliye, ki pareshani nahi jati
    hairan is kadar kar diya hai is jamane ne
    ki palat kar dekhti hoon apni soorat aiene mein, to pahchani nahi jati.

    na khushi hai gum ki, na gum khushi ka
    ajeeb sa alam hai meri jindgi ka................

    ---------------------------------------------------
    Mat roko, bahne do in asuon ko
    varna ye utpat karenge,
    hasne mein to tum jeet bhi jao shyad
    par rone mein hum tumhe maat karenge.

    ---------------------------------------------------
    Koyee kahta hai jindgi jahar hoti hai
    koyee kahta hai jindgi kahar hoti hai
    kinare par pahunchne ko jo tadapti hai
    jindgi wo ek lahar hoti hai..................

    --------------------------------------------------
    Ek dahak chingari, angar banti hai
    har tahni ek din patwar banti hai,
    rondi jaye jo mitti hardum
    wahi mitti ek din minar banti hai..........

    ------------------------------------------------

    rah mein ek sitara bhi bahut hota hai
    ankh wale ko ishara bhi bahut hota hai,
    beech majhdhar mein jane ki jaroorat kya hai
    jab doobna ho to kinara bhi bahut hota hai......
    Last edited by dndeswal; August 17th, 2006 at 10:59 AM. Reason: posts merged
    The difficulties of life are intended to make us better not bitter.

    LOVELEENA.
    416-904-1910

  16. #35
    gam ki rahoein mein jo hamdard tumhare honge
    wahi to gardidh-e -hallaat ke mare honge....

  17. #36
    loveleena ji wellcome to jatland yaha per aapka swagat hai

    aur aap ki paresani door karne ki kosis ki jayegi




    e=loveleena]aaj hi maine pahli bar ye page dekha jatland.com par. bahut achha laga.i want to join this talented team , so here is mine...........

    Hairan hoon isliye, ki hairani nahi jati
    pareshan hoon isliye, ki pareshani nahi jati
    hairan is kadar kar diya hai is jamane ne
    ki palat kar dekhti hoon apni soorat aiene mein, to pahchani nahi jati.[/quote]
    Make yourself an honest man, and then you may be sure there is one less rascal in the world
    SUBHASH DHAYAL

  18. #37
    raat ke sannate mein humne kya kya dhoke khaye hai
    apni hi dil dhadka to samjhe ki -- wo-- aaye hai....

  19. #38

    Baant le apne Gamo

    Baant le apne Gamo ko mere Gamo ke sath
    main hoon tanha, tu bhi ho ja mere sath


    Omindra

  20. #39

    very nice

    Quote Originally Posted by prashantacmet
    dost ban ban ke mujhko mitane wale
    maine dekhe hai kai rang badalne wale
    aur apne to chup reh ke aur bhi JULM dhya mujh per
    aap se achhe hai mere haal per hasne wale.....................
    Parshant Ji, I liked these lines,very realistic.u sent me one appretiation mail but i couldn't read that.by mistake i delete that before reading, any way thanks for appritiation.
    The difficulties of life are intended to make us better not bitter.

    LOVELEENA.
    416-904-1910

  21. #40
    Quote Originally Posted by loveleena
    ...
    jab doobna ho to kinara bhi bahut hota hai......
    wah kyaa baat hai...masa-allah...

    ji karta hai doob kar mar jaun chullu bhar paani mai
    aawaj de lena, jab paani se bhar jaye chullu aapki

    RK^2

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •