Page 4 of 6 FirstFirst 1 2 3 4 5 6 LastLast
Results 61 to 80 of 105

Thread: shyari-e-mohabbat

  1. #61
    garmiye -hasrat nakaam se jal jaate hai
    hum chiragoan ki tarah shaam se jal jaate hai
    sama jalti hai jis aag mein numaish ke liye
    hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hai
    aur jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath
    jaane kyoun log mere naam se jal jaate hai...........................


    sehmi sehmi nighaoien mein khwab hum jaga denge
    suni suni raho mein phool hum khila denge
    ap hamare sang ek pal muskara ke to dekho
    aapke har gum ko hum bhula denge......


    aapki mehfil ka mausam suhana lage,
    ek pal chura lu,agar bura na lage
    aap hume milkar shyad bhula de
    per hume tumhe bhulane mein shyad jamana lage.......


    Julfo ko failakar jab koi mehbooba apne ashiq ki kabr per roti hai
    tab mehsoos hota hai ki maut bhi kitni haseen hoti hai.................


    teri aankhoein ka nasha hai yeh ya jaam ka hai saroor
    bahak hum rahe hai koi sambhale to humko hazoor..................
    Dektha huin teri aankhien to ho jata huin peene ko majboor
    maikhana kahta hai jaise humse yaha phir aana jaroor...............


    pyar karte bhi ho aur mukarte bhi ho
    humse milte bhi ho aur jhagadte bhi ho
    kyoun karte ho khilwad dil se itna
    jab khudse jyada pyar humse karte ho


    kismat pe aitbaar kisko hai
    mil jaye khushi to inkaar kisko hai
    kuch majbooriya hai hamare samne bhi
    warna aapki judai se pyar kisko hai
    Last edited by dndeswal; August 17th, 2006 at 11:04 AM. Reason: posts merged

  2. #62
    main jaanta hoon kee yeh khawaab zhuthe hain aur yeh kusheeyaan adhuree hai,
    magar zindaa rahane ke leeye mere dost , kuchch galatphamiyan zaruree hain.







    Quote Originally Posted by downtoearth
    bhai hidhyal,,
    hangama hai kyu barppa thodi si jo pi li hai
    dakka to nahi dalla chori to nahi ki hai
    dost,, yahaan ,,mahrey mein tey key daaru ki baans aawey sey:D :p :D
    n ways ok dude ...
    Make yourself an honest man, and then you may be sure there is one less rascal in the world
    SUBHASH DHAYAL

  3. #63

    Thumbs up

    Bhai Dhayal tune to muje ghayal kar diya yaar,
    yeh to ek dum umda or paragmatic sher tha yaar
    dil garden garden ho gaya!
    aur aane de ...

    rock on
    Jit

    Quote Originally Posted by hidhayal
    main jaanta hoon kee yeh khawaab zhuthe hain aur yeh kusheeyaan adhuree hai,
    magar zindaa rahane ke leeye mere dost , kuchch galatphamiyan zaruree hain.
    .. " Until Lions have their historians, tales of the hunt shall always glorify the hunter! " ..



  4. #64
    Kissi ko mohabbat ki sachai mar dalegi,
    Kissi ko mohabbat ki gehrai mar dalegi,
    Kar ke mohabbat koi nahi bachega,
    Aur jo bachega use tanhai mar dalegi.
    Make yourself an honest man, and then you may be sure there is one less rascal in the world
    SUBHASH DHAYAL

  5. #65
    Aajkushiyo ki koi badhali dega,
    Nikla hai chand to dikhai dega,
    E-mohabbat karne walo,
    Dekh ke mohabbat karna,
    ek aansu bhi gira to Sunai dega.
    "Do not worry about winning or losing. Work hard and you will be successful."

  6. #66
    kya kahun tujhe, khwab kahu to toot jayega
    dil kahu to bkhar jayega
    aa tere naam jindgi rakh duin
    maut se pehle to saath choot na payega


    Nanhe se dil mein armaan koi rakhna
    duniya ki bheed mein pehchan ko rakhna
    achhe nahi lagte ho jab rehte ho udas
    in hothon pe sada muskaan wahi rakhna


    waqt gujar jayega hum bikhar jayenge
    kaun jaane hum kaha jayenge
    hum aapki parchai hai yaad rakhna
    jaha tanhai mili waha nazar aayenge


    chahat pe jinda rehne wale hum na the
    kisi pe mar mitne wale hum na the
    aadat pad gayi hai aapko yaad karne ki
    warna kisi ko yaad karne wale hum na the


    KAASH! dil ki aawaj mein itna asar ho jaaye
    hum unko yaad kare aur unko khabar ho jaye..................


    sitaro ki bheed se churaya hai tujhe
    dil ki gahraiyo se chaha hai tujhe
    is dil to tootne mat dena kabhi
    kyonki dil ke hi kone main basaya hai tujhe........


    sunhari chandni mein ek khwab dektha tha
    humne uske chehre main aaftab dekha tha
    hamari maut ke saath hi gum ho gaye wo kisse
    kisi ne kaha unka ahssas dekha tha............


    tere yaad hai ki dil se mita bhi na saku..
    dhoondne usko chala hu ki jise paa bhi na saku
    meharbaan hoke bula lo chahe kabhi
    main koi gaya waqt nahi hu ki laut ke aa bhi na saku..............


    Sabko nahi milti wafa zamane mein
    dekho to maza ky a hai thokre khane mein..................


    aisa nahi ki aap hume yaad aate nahi
    khata sirf itni hai ki hum batate nahi
    mohabbat aapki anmol hai hamare liye
    samajhte hai aap isliye hum jatate nahi.......
    Last edited by dndeswal; August 17th, 2006 at 11:07 AM.
    Become more and more innocent, less knowledgeable and more childlike. Take life as fun - because that's precisely what it is!

  7. #67
    gulab ka phuul... todde paache bhi laal rahve see
    tu kade aa ke dekh
    .... tere paache mera ke haal rahve see
    don't argue with an idiot... people watching may not be able to tell the difference

  8. #68
    kaash gam-e-ishq KAAM kar jaaye
    jo gujarnee hai kal hum par woh abhi gujar jaaye
    hum to ro rahe hai veerane mein unka naam lekar
    wo hai ki baithe hai apne ghar main diye jalaye............


    nazar ko nazar ki nazar se mat dekho,
    nazar of nazar ki nazar lag jaayeegi
    aur nazar of nazar ki nazar lag gayi to
    hamari nazar phir kaha jaayegi.........


    Fir na simtegi agar mohabbat bikhar jayegi
    jindgi julf nahi jo phir se sawar jayeegi
    jo khushi de tumhe thaam lo daaman uska
    ro ke nahi jindgi haas ke gujar jaayegi..........


    Jeena chahte hai magar jindgi raas nahi aati
    marna chahte hai magar maut paas nahi aati
    bahut udas hai hum is jindgi se
    unki yaadein bhi tadphane se baaj nahi aati........


    Khwab dekhe bhi nahi aur toot gaye
    wo humse mile bhi nahi aur ruth gaye
    hum jagte rahe dunia soti rahi
    ek baarish hi thi jo saath roti rahi.........


    Fareb thi hasi uski hum ashiqui samajh baithe
    maut ko hi apni jindgi samajh baithe
    waqt ka mazak tha ya meri badnassibi
    unki do baatoien ko hum chahat samajh baithe...........


    na khairiyat koi na paigaam aaya hai....
    jo hamne chaha nahi wo anjaam aaya hai....
    lagta hai aapne bhula diya hame
    na koi dua na salaam aaya hai.................
    Last edited by dndeswal; August 17th, 2006 at 11:08 AM. Reason: posts merged
    Become more and more innocent, less knowledgeable and more childlike. Take life as fun - because that's precisely what it is!

  9. #69
    You learn to like someone untill you find out what makes them laugh...
    But you never can truly love somone unless you find out what makes them cry....
    Let your friends underestimate your potential, let your ememies overestimate your weakness

  10. #70

    Badhiya sai bahi par ek baat ka dhyaan rakhiye.........

    bhai ek baat mahri bhi sun le..........

    Ek baar bikhri to simaat nahi payegi,
    Zindagi kisse hassena ki zulf nahin jo sawar jayegi........



    Quote Originally Posted by prashantacmet
    gar tumne chaha hoto, to yeh halaat badal sakte thein.
    Aur tere yeh aansu ,meri ankhoien se nikal sakte thein
    per tum to tahare rahe JHEEL ke paani ki tarah
    dariya bante to door nikal sakte thein.


    Prashant chaudhary
    Yash Beniwal
    Life is a challenge accept it !
    JAI KILKI TAULL !!!!!!!!!!!!

  11. #71
    Ashq beh beh ke mere khaak pe jab girne lage,
    Maine tujhko tere daaman ko bahut yaad kiyaa,
    Yoon bhi ek din tujhe barbad to hona tha,
    Naaz kar naaz ke us ne tujhe barbaad kiya.
    Make yourself an honest man, and then you may be sure there is one less rascal in the world
    SUBHASH DHAYAL

  12. #72
    Dil ki dhadkano ki aawaz suni hai maine
    apni aankhoien se koi baat kahi hai maine
    bas unke ek didar ke liye khudh ko sambhale baithe hai
    jaane yeh ishq main kaun si rah chuni hai maine....................
    Become more and more innocent, less knowledgeable and more childlike. Take life as fun - because that's precisely what it is!

  13. #73
    safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalO
    sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chalO
    yehi hai zindagi kuch Khwaab chand ummideiN
    inhee khilonon se tum bhi bahel sako to chalO
    Make yourself an honest man, and then you may be sure there is one less rascal in the world
    SUBHASH DHAYAL

  14. #74
    Quote Originally Posted by misha0119
    it was too good!

    chullu mein doobna to sabko hi aata hai
    par 0.2 temperature mein bhala kaun nahata hai
    bhoot ache.....wah......wah....wash sabko phel kardiya...

  15. #75
    Jakhm jab uski yaadoen ke bharne lagte hai......
    to kiss ne kissi bahane unhe yaad karne lagte hai................
    aata hai yaad jab unki bewafai ka sabab..........
    soch ke majboori unki aankhoien se ashq girne lagte hai......................
    Become more and more innocent, less knowledgeable and more childlike. Take life as fun - because that's precisely what it is!

  16. #76
    Is hasrat se mila kya mujhko
    Ik jhalak mere dildaar ki
    Is muhabbat se mila kya mujhko
    Bechaini-o-beqarari yaar ki,
    Is ashiqui se mila kya mujhko
    Ik sunahari raah ishq ki,
    Aur tere pyaar se mila kya mujhko
    Ik raah jeene ki hamvaar si.
    Make yourself an honest man, and then you may be sure there is one less rascal in the world
    SUBHASH DHAYAL

  17. #77
    Wafa gar karte voh.. to Bewafa kaun kehlata??????
    Hum agar hanste hi rehte.. to yeh dard kahan Jata???
    Dekha maine.. saagar ko.... uchalte hue......
    Gagan gar voh chu leta to paani kaun bahata???
    But I do nothing upon Myself, and yet I am mine own executioner!!!!!

  18. #78
    Do kadam to sab chal lette hai
    jindigi bhar ka saath koi nahi nibhata
    agar ro kar bhulayi jaati yaadein
    to has kar koi gum na bhulata...........................

    Quote Originally Posted by shobhitdeshwal
    Wafa gar karte voh.. to Bewafa kaun kehlata??????
    Hum agar hanste hi rehte.. to yeh dard kahan Jata???
    Dekha maine.. saagar ko.... uchalte hue......
    Gagan gar voh chu leta to paani kaun bahata???
    Become more and more innocent, less knowledgeable and more childlike. Take life as fun - because that's precisely what it is!

  19. #79
    Nafrat thi to izhar kyoun kiya
    dena tha zeher fir pyar kyoun kiya
    deker jehar kahte ho isse pina hoga
    jab pi gaye to kahte ho ab jina hoga.................


    har ashq ka matlab gam nahi hota
    dooriya badhane se pyar kam nahi hota
    waqt bewaqt ho jaati hai aankhein nam
    kyounki yaadoen ka koi mausaum nahi hota............
    Become more and more innocent, less knowledgeable and more childlike. Take life as fun - because that's precisely what it is!

  20. The Following User Says Thank You to prashantacmet For This Useful Post:

    kamnanadar (February 2nd, 2012)

  21. #80
    dard bola to sunaayi dega

    tera her ashq dikhayi dega

    ishq tujhse hai kambakht mujhe

    ab to barson ki judaayi dega

    waqt rukta nahi rahon ke beech

    tu kya manjil ko wafaayi dega

    tu aashiq hai mera, katil bhi

    khudaa ko kya safaayi dega

    jakhm diyen hein gin gin ke tune

    ab gin gin ke dawayi dega

    kharch karta nahi tu mujh per lamhen

    kisi aur ko apni kamaayi dega

    tujhe paakar aansu poche the maine

    ab zindagi bhar ki rulayi dega

    tu kahan hai, main nahin jaanta

    par ab nahin kabhi dikhayi dega

    tu khush rahe aabad rahe ye dua hai meri

    par tera yahan na hona mujhe tanhayi dega..


  22. The Following User Says Thank You to rity79gem For This Useful Post:

    kamnanadar (February 2nd, 2012)

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •