Koi Nahi Paraya
koi nahi paraya,mera ghar sara sansar hai |
Mein na bandha hoon desh kaal ki zang lagi zangir mein,
Mein na khada hoon jaati paati ki unchi nichi bhid mein,
Mera dharm na kuch syahishabdo ka sirf gulam hain,
Mein bas kehta hoon ki pyar hain to ghat ghat mein ram hain,
Mujse tum na kaho ki mandir-masjid par mein sar tek doon,
Mera to aaradhya aadmi,devalay har dvar hain|
Koi nahi paraya,mera ghar sara sansar hain ||
Niraj
PS: I would like to share a poem by Niraj, I'm a great admirer of his work. He is truly a great poet. I hope you will like it.