Page 3 of 28 FirstFirst 1 2 3 4 5 6 7 13 ... LastLast
Results 41 to 60 of 543

Thread: Yaadon Ke Pal

  1. #41
    yaddo ki kitni bhi bandage laga lo bhale
    ye ghav bade adiyal hote h mohbbat ke
    ab vo kya saza dege mohbbat ke maaro ko
    dava hi jaha ghavo ko hara kar de aise bimaro ko
    Quote Originally Posted by devdahiya View Post
    Karam tum appne karte chalo
    Ghaon ko yaddon se bharte chalo
    Mohobbat aur sazza ka hei rista purana
    Zurmana lagge tou bharte chalo

  2. #42
    apka quote pad ke vo line yaad aagyi bhai

    ISHQ ME GADHI BHI PARI:p :p
    Quote Originally Posted by devdahiya View Post
    Sanam mere jab se aaye nigah mei,Badli thi duniya aissi hamaari
    Harr wo adda pehle na bhatti thi humko,lagne laggi thi jaan se bhi pyari
    Yakin na ho to karr mohobbat tum dekho
    Mohobbat ke aagge kuchh bhi nahi hei,jhhutti lagge gi tumhein Duniyadaari.

  3. #43

    Thumbs up

    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    Jo karte ho mohabbat to kaise gila shikwa
    rehte ho hamesha kyo ase khafa-khafa
    kahin bhi raho duniya mein, a dost
    na kar paaoge khud ko unke yadon se juda

    Kaun gila ya shikva karna hai ab kisi se yahan
    Ye mohabbat to kabhi bhi koi gila nahin karti
    Woh hamari yadon mein base rahenge hardum
    Lekin unki yaaden kyon humse wafa nahin karti
    It's better to be alone than in a bad company.

  4. #44

    Thumbs up

    Quote Originally Posted by ritu View Post
    yaddo ki kitni bhi bandage laga lo bhale
    ye ghav bade adiyal hote h mohbbat ke
    ab vo kya saza dege mohbbat ke maaro ko
    dava hi jaha ghavo ko hara kar de aise bimaro ko
    Woh kya saza denge mohabbat ki humen
    Jinhe mohabbat ka matlab bhi pata nahin
    Kya shamjhenge humhaare ghavon ko wo
    Jab unko iske dard ki dava ka pata nahin
    It's better to be alone than in a bad company.

  5. #45

    Smile Nice post, Ritu !

    Quote Originally Posted by ritu View Post
    yaado ke pal judjud kar dastan bana jaate h
    lamho se lamhe milkar karvan bana jaate h

    vo pahli mohbbat me kaise mile the hum onsse
    ankhe jab mili dil gaya begane hue hum khudse

    hai vo jalim intzaar kaisa tha bedardi
    na koi tariq na mahina sabr ki intaah kar di

    aur jab vo mile to aise mile ke kabhi jaise bichade hi na the
    shikvae shikayat sab kahne to chahe par harf juba se nikale hi na the

    on yaado ke karvan me vo masoomiyat chaht ki aaj bhi jinda h
    waqt aage nikal gaya h kahi par on yaado me dil ka koi hissa ab bhi jinda h

    Woh haseeen lamhe bhi kya they jo ab yaaden ban gaye
    Zindagi se kya mile ki tanhaai kaatne ke iraade ban gaye

    Pahli mohabbat to bhulaaye se bhi nahin bhoolti kabhi
    Jabse unse ankhen mili hun unke deewaane ban agye

    Unka intezaar karna bhi humen bahut aachha lagta tha
    Koi jawab nahin aaya to hum aashiq se insaan ban gaye

    Ab agar woh mil bhi jaaayen humen kabhi to kya bataayen
    Zindagi kahan rookti hai "Vijay" waqt ke saath balwaan ban gaye
    It's better to be alone than in a bad company.

  6. #46

    Smile

    Quote Originally Posted by vijay View Post
    Yaad aane waale to kabhi bhulaaye nahin jaate
    Dilbar to hardum is pyar bhare dil mein rahte hai
    Agar unki ankho mein aansho aaye hamaare liye
    Koi bataaye humen zara ki woh kahaan rahte hai
    Aur kahan, aapki palkoon mein baste hain
    roz khawaboon mein aakar kitna haste hain
    vaakif nahin aap un mulakaton se shayad
    tabhi aaj bhi milne ko itna taraste hain

  7. #47

    Thumbs up

    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    Aur kahan, aapki palkoon mein baste hain
    roz khawaboon mein aakar kitna haste hain
    vaakif nahin aap un mulakaton se shayad
    tabhi aaj bhi milne ko itna taraste hain
    Hamaari palkon mein baste ho aur kabhi dikhte nahi
    Mere khawaabon mein kya woh chehra aapka hai
    Na jaane mulakaat kab hogi hamaari apni zindagi se
    Zara bataao to kitna purana rishta hamara aapka hai
    It's better to be alone than in a bad company.

  8. #48
    Quote Originally Posted by vijay View Post
    Hamaari palkon mein baste ho aur kabhi dikhte nahi
    Mere khawaabon mein kya woh chehra aapka hai
    Na jaane mulakaat kab hogi hamaari apni zindagi se
    Zara bataao to kitna purana rishta hamara aapka hai
    Rishtoon ka kya hai, naye ho ya poorane
    Kal ki he mulaqat ho, ya gujar gaye ho zamane
    Jab bhi aapse mile,aap lage jaane pehchaane
    Kya hum lage kabhi aapko begaane?

  9. #49

    Thumbs up

    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    Rishtoon ka kya hai, naye ho ya poorane
    Kal ki he mulaqat ho, ya gujar gaye ho zamane
    Jab bhi aapse mile,aap lage jaane pehchaane
    Kya hum lage kabhi aapko begaane?

    Kabhi saari umar lag jaati hai rishta banaane mein
    To kabhi koi pal bhar mein hi lagne lagta hai apna
    Apno ka apnapan pehchana jata hai ek nazar mein
    Begaano ke liye to koi bhi nahin dekhta hai sapna
    It's better to be alone than in a bad company.

  10. #50

    Thumbs up

    Quote Originally Posted by vijay View Post
    Kabhi saari umar lag jaati hai rishta banaane mein
    To kabhi koi pal bhar mein hi lagne lagta hai apna
    Apno ka apnapan pehchana jata hai ek nazar mein
    Begaano ke liye to koi bhi nahin dekhta hai sapna

    Appno se beigganne achhe hote hein
    Appne tou kaan ke kachche hotte hein
    Iss duniya ko dekh kar ye paya
    Ei Vijay bass kewal kuchh dost hi hein jo tumahre sangg rotte hein.
    "LIFE TEACHES EVERY ONE IN A NATURAL WAY.NO ONE CAN ESCAPE THIS REALITY"

  11. #51

    Smile

    Quote Originally Posted by devdahiya View Post
    Appno se beigganne achhe hote hein
    Appne tou kaan ke kachche hotte hein
    Iss duniya ko dekh kar ye paya
    Ei Vijay bass kewal kuchh dost hi hein jo tumahre sangg rotte hein.

    Apne bhi apne nahin to begaano se kya umeed
    Bus 2 din ka pyaar karke ban jaate hain anjaan
    Saath rone waale to waise bhi bahut kum hai
    Ab saath hansne walo ki bhi ho gai hai pehchaan
    It's better to be alone than in a bad company.

  12. #52
    Aaj ke is yug mein na rakho kisi se koi aasha
    yahan koi nahin jaanta rishtoon ke paribhaasha
    ja kar dekh lo kisi ke bhi kareeb
    aapke haath lagege sirf aur sirf nirasha

  13. #53
    Dhadkata hai dil aaj bhi lekar jiska naam
    aate hai uske yaad bahut, subah-shaam
    hai masroof woh apne duniya mein kahin
    hum to fir bhi karenge intejaar, umar tamam

  14. #54
    Email Verification Pending
    Login to view details.
    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    hum to fir bhi karenge intejaar, umar tamam
    Jaroor aap ne lagaya hai Sabun Hamaam :D

    Kiddin.... Divya... thoddi si tone mein tone milaa dee

  15. #55

    Thumbs up

    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    Dhadkata hai dil aaj bhi lekar jiska naam
    aate hai uske yaad bahut, subah-shaam
    hai masroof woh apne duniya mein kahin
    hum to fir bhi karenge intejaar, umar tamam
    Jinke liye abhi bhi dhadkara hai hamara dil
    Kya hum bhi kabhi unko aise yaad aayenge
    Mohabbat mein dil par kya-kya gujrati hai
    Unko ahsas hamare jaane ke baad aayenge
    It's better to be alone than in a bad company.

  16. #56

    Smile

    Quote Originally Posted by anilsangwan View Post
    Jaroor aap ne lagaya hai Sabun Hamaam :D

    Kiddin.... Divya... thoddi si tone mein tone milaa dee
    Bata diya hamari khoobsurte ka raaz saare-aam
    par aapko hue kaise is baat ke pehchaan
    chalo aapko dete hain ye sabun, inaam
    nahaoo aur batooo aaye kitne hasinoon ke salaam

  17. #57

    Thumbs up

    Quote Originally Posted by vijay View Post
    Jinke liye abhi bhi dhadkara hai hamara dil
    Kya hum bhi kabhi unko aise yaad aayenge
    Mohabbat mein dil par kya-kya gujrati hai
    Unko ahsas hamare jaane ke baad aayenge
    Woh jo aaj samajhte nahin aapke jasbaat ko
    kal tarsenge wahi ek chote se mulaqat ko
    nikal jaayega jab waqt hathoon se
    tab karenge yaad apki kahi har baat ko

  18. The Following User Says Thank You to divyakadyan For This Useful Post:

    kamnanadar (January 21st, 2012)

  19. #58
    rishto ki ahmiyat aur logo ki
    kai baar jaane ke baad hi hoti h
    par na to waqt na jajbaat kisi ka intzaar karte h
    ye to h vo banjare aaj yaha kal waha safar karte h
    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    Woh jo aaj samajhte nahin aapke jasbaat ko
    kal tarsenge wahi ek chote se mulaqat ko
    nikal jaayega jab waqt hathoon se
    tab karenge yaad apki kahi har baat ko

  20. The Following User Says Thank You to ritu For This Useful Post:

    kamnanadar (January 21st, 2012)

  21. #59
    hahahhahha tumne to ise bebak kar diya sarre aam
    ab to ye bus yahi gana gaate rahega hamam wah hamam
    hasino ka to pata nahi par mankhia jarrur ab paaas nahi ayenge
    ab tumhre hamam ke inam ke karan on bechario ki rozi roti jayegi:p :D
    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    Bata diya hamari khoobsurte ka raaz saare-aam
    par aapko hue kaise is baat ke pehchaan
    chalo aapko dete hain ye sabun, inaam
    nahaoo aur batooo aaye kitne hasinoon ke salaam

  22. #60

    Appni khubsurati ka raaaz sarre aam na kholo
    Ai mere hamm nassi Jarra soch samajh kar bolo
    Hussan tou parde mei mehfuuz achha lagta hei
    Iss chilman ko jara dheere-2 kholo.

    Hum nahaye hammam se mal-2 kar
    Aap baat karte ho haseenon ke salam ki,yahan tou kisi ka phone bi nahi aaya
    Battao humnei 15 rupye kharach karke
    Tumharri iss dillaggi se kya paya.
    Last edited by devdahiya; November 23rd, 2006 at 08:22 AM.
    "LIFE TEACHES EVERY ONE IN A NATURAL WAY.NO ONE CAN ESCAPE THIS REALITY"

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •