Page 5 of 28 FirstFirst 1 2 3 4 5 6 7 8 9 15 ... LastLast
Results 81 to 100 of 543

Thread: Yaadon Ke Pal

  1. #81
    Quote Originally Posted by swati View Post
    na puch dil ka aalam aiy dost
    ab to dawa bhi dard sa asar dikhati hai
    chod gaye ho hamein us sham ki tareh
    jise na din apnata hai na raat apnaati hai
    shikwa kyun karte ho uske chale janae ka
    kyun hain intzaar tumhe uske laut aane ka
    yun to is jahan men mohabbat nahi mayyasar
    par hota yahi hai har mohabbat ka anzam aksar
    Last edited by divyakadyan; November 27th, 2006 at 04:44 PM.

  2. #82
    Quote Originally Posted by swati View Post
    na puch dil ka aalam aiy dost
    ab to dawa bhi dard sa asar dikhati hai
    chod gaye ho hamein us sham ki tareh
    jise na din apnata hai na raat apnaati hai
    shikwa kyun karte ho uske chale janae ka
    kyun hain intzaar tumhe uske laut aane ka
    yun to is jahan men mohabbat nahi mayyasar
    par hota yahi hai har mohabbat ka anzam aksar

  3. #83

    Smile

    nahi hai darr key hawaain taiz aur kashti shakast
    garr saath hai tu to tut jaaye badbaan mera

    rang sab mil gaaye masaraat kai
    kaisa rangeen howa jahaan mera

    khwab umeedain tamanaain aur tu
    nahi hai abb duniya sa jahaan mera

    thodee si chaoon bhi ghaneemat thee terey bin
    mil gaya mujhey ab aasmaan mera
    I dont have personality,i am mere statistics.I used to be "downtoearth". Now this is my present name. Do i possess a name, a face ,an individuality ?:rolleyes:


  4. #84

    Smile

    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    Kabhi har Pal baste the woh hamari yaadon mein
    Roj aate the milne raat ko, khawaboon mein
    Aaj hain woh shaamil jeevan mein is tareh,
    Jaise sukha hua phool koi rehta hai kitaboon mein

    Woh to aaj bhi baste hain hamari ankhon mein
    Khawaab aab bhi sajte hain sooni raaton mein
    Ye dil to dhadakata hai bus unka hi naam lekar
    Unka jikar aa hi jata hai baaton-baaton mein
    Last edited by vijay; November 27th, 2006 at 06:58 PM.
    It's better to be alone than in a bad company.

  5. #85

    Smile

    Quote Originally Posted by swati View Post
    na puch dil ka aalam aiy dost
    ab to dawa bhi dard sa asar dikhati hai
    chod gaye ho hamein us sham ki tareh
    jise na din apnata hai na raat apnaati hai

    Dil ke ye haalat idhar bhi hai aur udhar bhi
    Koi dawa aur dua bhi kahin kaam nahin aaye
    Ye zubaan bhi khamosh ho bus yahi sochkar
    Ishq mein lute logon mein naam nahin aaye
    It's better to be alone than in a bad company.

  6. #86
    Jinhe humne aaj tak apna samajha parwaane nikle
    Jinse mohabbat ki woh kisi aur ke deewaane nikle
    Kuchh aur bhi rishtey they ess mohabbat ke shivaa
    Jin par zindagi luta di humne aaj woh begaane nikle
    "Do not worry about winning or losing. Work hard and you will be successful."

  7. The Following User Says Thank You to panwar18 For This Useful Post:

    kamnanadar (January 21st, 2012)

  8. #87

    Smile

    Quote Originally Posted by devdahiya View Post
    Harr sham dhhal kar raat ho jati hei
    Harr Raat subeh ko jaggati hei
    Par bewaffai ka aalam tou dekho
    Aane se pehle chali jatti hei
    Sham to raat ke aanchal mein simti
    Ess raat ko fir nai subah jagaayegi
    Bewafa ki sachhai to bus ye hai ki
    Woh aai hi kab thi jo chali jaayegi
    It's better to be alone than in a bad company.

  9. #88

    Smile

    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    shikwa kyun karte ho uske chale janae ka
    kyun hain intzaar tumhe uske laut aane ka
    yun to is jahan men mohabbat nahi mayyasar
    par hota yahi hai har mohabbat ka anzam aksar
    Apno se shikwa nahin to kya gairo se hoga
    Apne sawaal dhodh rahe unke jawaabo mein
    Kahte hain ki intezaar nahin kisi ke lautne ka
    Kisliye phool abhi bhi rakha hai kitaabo mein
    It's better to be alone than in a bad company.

  10. #89

    Smile Very nice Rupi !

    Quote Originally Posted by downtoearth View Post
    nahi hai darr key hawaain taiz aur kashti shakast
    garr saath hai tu to tut jaaye badbaan mera

    rang sab mil gaaye masaraat kai
    kaisa rangeen howa jahaan mera

    khwab umeedain tamanaain aur tu
    nahi hai abb duniya sa jahaan mera

    thodee si chaoon bhi ghaneemat thee terey bin
    mil gaya mujhey ab aasmaan mera
    Nahin ho tere mere darmiyaan koi bhi
    Ye dil chahta bus woh mukaam mera

    Teri chahat se damke ye andheri zindagi
    Bus tumse hi mahake ye gulistaan mera

    Unke dil mein ek jagah mil jaaye kahin
    Mujhe nahin pata kahan makaan mera

    Lakho hain zindagi mein chahne waale
    "Vijay" ne kaha sirf tu hi hai imaan mera
    Last edited by vijay; November 27th, 2006 at 08:13 PM.
    It's better to be alone than in a bad company.

  11. #90

    Smile

    Quote Originally Posted by vijay View Post
    Woh to aaj bhi baste hain hamari ankhon mein
    Khawaab aab bhi sajte hain sooni raaton mein
    Ye dil to dhadakata hai bus unka hi naam lekar
    Unka jikar aa hi jata hai baaton-baaton mein
    kiska zikar aata hai aapke har baat mein
    shaamil hai kaun aapke har jasbaat mein
    kardijiye benakaab us hasin chehre ko
    na rakhiye mahfoos use apne khayalat mein

  12. #91

    Smile

    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    kiska zikar aata hai aapke har baat mein
    shaamil hai kaun aapke har jasbaat mein
    kardijiye benakaab us hasin chehre ko
    na rakhiye mahfoos use apne khayalat mein
    Kaise us haseen ko benaqab karen sabke saamne
    Jinse mohabbat ki humne zamaane ko bhulaa kar
    Unhe pata bhi nahin hoga ki mohabbat kya hoti hai
    Jo chale gaye humen zindagi bhar ke liye rulaa kar
    It's better to be alone than in a bad company.

  13. #92

    Thumbs up

    Quote Originally Posted by vijay View Post
    Kaise us haseen ko benaqab karen sabke saamne
    Jinse mohabbat ki humne zamaane ko bhulaa kar
    Unhe pata bhi nahin hoga ki mohabbat kya hoti hai
    Jo chale gaye humen zindagi bhar ke liye rulaa kar
    Na karo kissi se mohabbat is kadar
    ki rona pade uske yaad mein umar bhar
    tadapna padta hai ye dil dekar
    na raho is sachhai se aye dost, bekhabar

  14. #93

    Smile

    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    Na karo kissi se mohabbat is kadar
    ki rona pade uske yaad mein umar bhar
    tadapna padta hai ye dil dekar
    na raho is sachhai se aye dost, bekhabar
    Kya mohabbat bhi sochkar ki jaati hai
    Jab dil aa gaya kisi par to kiski khata
    Agar tadapana hi mohabbat hai yahan
    Dard zindagi bhar hoga nahin tha pata
    It's better to be alone than in a bad company.

  15. #94
    Email Verification Pending
    Login to view details.

    Smile

    bhole ban kar haal na pucho
    behte hain ashk to behne do
    jis sey badhe bechaini dil ki
    aisi tassalli rehne do!

  16. #95
    Quote Originally Posted by swati View Post
    bhole ban kar haal na pucho
    behte hain ashk to behne do
    jis sey badhe bechaini dil ki
    aisi tassalli rehne do!


    Haal puchhne tou naraaz hotte ho
    Gar haal na puchchein tou rotte ho
    Aisse modd par la khdda kiya tumnei
    Hammein bechein karr fursatt mei sotte ho.
    "LIFE TEACHES EVERY ONE IN A NATURAL WAY.NO ONE CAN ESCAPE THIS REALITY"

  17. #96

    Smile

    Quote Originally Posted by vijay View Post
    Kya mohabbat bhi sochkar ki jaati hai
    Jab dil aa gaya kisi par to kiski khata
    Agar tadapana hi mohabbat hai yahan
    Dard zindagi bhar hoga nahin tha pata
    Janab Is dil he ka to hai sara kasoor
    Ye nahin manta koi riwaaz, na he koi dastoor
    Rakhna isse sambhal ke apne pass
    Na jaane kab chala jaaye aapse kooson door

  18. #97

    Smile

    Quote Originally Posted by swati View Post
    bhole ban kar haal na pucho
    behte hain ashk to behne do
    jis sey badhe bechaini dil ki
    aisi tassalli rehne do!
    Haal poocha to kyon behaal ho gaye
    Abb rok bhi lo enn askon ko bahne se
    Bechaini to mohabbat ki pehchaan hai
    Kabhi hans kar dikhao kisi ke kahne se
    It's better to be alone than in a bad company.

  19. #98

    Smile

    Quote Originally Posted by divyakadyan View Post
    Janab Is dil he ka to hai sara kasoor
    Ye nahin manta koi riwaaz, na he koi dastoor
    Rakhna isse sambhal ke apne pass
    Na jaane kab chala jaaye aapse kooson door

    Ye dil hi to hai jo bus aa jata hai kisi par
    Ess par kisi ka jor kabhi chala hi nahin
    Dekhte hain ki kab mohabbat hoti hai
    Koi haseen khawaab abhi pala hi nahin
    It's better to be alone than in a bad company.

  20. #99
    Email Verification Pending
    Login to view details.
    Quote Originally Posted by vijay View Post
    Ye dil hi to hai jo bus aa jata hai kisi par
    Ess par kisi ka jor kabhi chala hi nahin
    Dekhte hain ki kab mohabbat hoti hai
    Koi haseen khawaab abhi pala hi nahin
    ishk mein is dil ko sabar ab kahan
    unse mil gayi ye ankhein to ab khwab kahan

  21. #100

    Smile

    Quote Originally Posted by vijay View Post
    Ye dil hi to hai jo bus aa jata hai kisi par
    Ess par kisi ka jor kabhi chala hi nahin
    Dekhte hain ki kab mohabbat hoti hai
    Koi haseen khawaab abhi pala hi nahin
    Khwaab ka kya hai,Mohabbat hote he palne lagte hain
    Kisi ke ankhoon mein jammen-aasman milne lagte hain
    dosh na aapka hai na kisi aur ka, na he umar ke daur ka
    Jab bhi ho Mohabbat, kadam khud-b-khud fisalne lagte hain

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •