Results 1 to 4 of 4

Thread: Be social,natural & Be a human lover

  1. #1

    Be social,natural & Be a human lover

    dear friends
    hum sab log apni kai kai saal ki jindagi bita chuke hai, koi kam to koi zyada
    sab apne according achhii zindagi jeene ka davaa karte,sab log apne ko achha kahalwana pasand karte hai,aap ne ab tak kitne aise kaam kiye hai
    ki saamne wale ne apni aatma se ,dil se aapko aashirwad ya dhanyawad diya hai,meri ye request hai sab jats se ki agar vo apne ko ek achha jat samajhta hai to aisa koi kaam karo ki aapko dher saara pyar mile,buure log bhi kahen ki banda to vahi hai baki sab to zindgi mein uun hi aaye hai,
    Help the poor if he/she really need ur help
    help ur relative, friend or anyone who need ur help
    i think most of us who r members r well settled or r fron well to do families
    kisi ko bhikhh mat do,apne tarike se uski genuine help karo
    many of us who r well settled r self-centered.
    Be social,Be natural,Be human lover
    Taaki aapki baki ki zindgi mein natural happiness ho artificial na ho

    My best wishes r with u

    SB
    GJU
    JATS R GENIOUS :o

  2. #2
    Email Verification Pending
    Login to view details.
    bhai sahab,
    apne thik kaha. aise hi kam se aadmi ko zaindagi ko purv ahsas hota hai. ye daan dena bahoot acchi cheej hai. ye to har bade maha purus ne bhi kaha hai. or in karmo ko karne se hi aadmi ko sacchi chain pahoonchti hai. hum sabko milkar koi na koi aisa kam karna chahiya jis se doosro ka bhala ho sake. america, india, or pure sansar mein organizations hai jo dusro ka bhala karti hai. ve non-profit bhi hai. shayad hum sabko milkar aisa hi karna chahiye taki india mein rahne wale log, jo hamari tarah kabil nahin, vo or dukhi na ho. aise kam se sab khush ho payenge.

  3. #3
    Jindaggi Jeene ka naam hei
    Chinta kyun jab dil mei RAM hei
    Dil mein ho jajjbba ke karna koi kaam hei
    Ye meri baat nahin hei..Santton ka paigaam hei
    Kuddrat se khhilwaad,narrak ka dhham hei
    Thodda propkaar aata badda kaam hei
    Apne karmon ka sab ko jhelna paddta anjjamm hei
    Khhussi bantto,Bhalla karo,sach ye aayam hei
    Dennein mei karo viswass,lena harram hei
    FIR KOI DUKHKH HO NAHIN SAKTA,YE PRABHU KA FARMAAN HEI.
    "LIFE TEACHES EVERY ONE IN A NATURAL WAY.NO ONE CAN ESCAPE THIS REALITY"

  4. #4

    Bahut sunder Baat likhee hai

    Dev Sahab Ram-Ram,

    Bahut sahi likha hai aapney or bahut sunder topic hai disscussion ka.

    Hum paida hone say marney tak har samay is samaj say khuchh na kuchh letey hee rehtey hai isliyea yeah hamari jemmedari hai kee hum is kerj ko utarey or uska eak hee rasta hai kee hum is samaj keyliea jitna jayada say jayada ho sakay karein.

    Regards
    Quote Originally Posted by devdahiya View Post
    Jindaggi Jeene ka naam hei
    Chinta kyun jab dil mei RAM hei
    Dil mein ho jajjbba ke karna koi kaam hei
    Ye meri baat nahin hei..Santton ka paigaam hei
    Kuddrat se khhilwaad,narrak ka dhham hei
    Thodda propkaar aata badda kaam hei
    Apne karmon ka sab ko jhelna paddta anjjamm hei
    Khhussi bantto,Bhalla karo,sach ye aayam hei
    Dennein mei karo viswass,lena harram hei
    FIR KOI DUKHKH HO NAHIN SAKTA,YE PRABHU KA FARMAAN HEI.
    WORD IMPOSSIBLE SAYS I M POSSIBLE.

    Apologising dosent mean that U are wrong & the other is right.....It only means that U value the relationship much more than ur ego.

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •