Page 3 of 4 FirstFirst 1 2 3 4 LastLast
Results 41 to 60 of 61

Thread: Bachpan ki kavita, kahani, gaane - Parent support to revive roots

  1. #41
    [quote=shwetadhaka;158239]Ek aisi bhi thi par ab yaad nahi puri....... !

    Chandaa maama door ke
    khao pakoode bhoor ke
    ............................. !!

    Nice thread must say ! I just slipped years back! I also remeber playing those cute game like Poshampa !

    We used to sing something like this:

    "Poshampha bhai poshampha, laal kile me kya kiya.............. jail ki roti khaani padegi, jail ka paani peena padega ab to jail me jaana padega !"[/quote]



    hahahaha ... i enjoyed these lines... usually ladkiya khelti thi ye game... rite ???

  2. #42
    Quote Originally Posted by mukeshkumar007 View Post
    kisi ek ko peeth par dhook mar mar kye dhakan chadane ka khel bi khela jata tha..pher jisme bi dhakan chadh jati wo paglo ki tareh karne lag jata aur sabke peeche padh jata..jisko bi pakadta usko marta..

    uski dhakan utarne ke liye ulti chapal karke peeche se marni hoti thi...

    dhakan chadane ke liye line bolte the...

    Chadh Chadh makadi madhe Rani ,
    nale nale do dhakan jaye..
    churiya muriya karti jaye...
    ...............

    age yadh nai

    bhai ye toh kabhi nahi suna ... kya kya khelte the bhai

  3. #43
    ek game mast tha... woh TV type banate the jameen par aur ek pathar fenktei the across that aur jump maar kar uspar kood kar usko pair se uss box mein daalne ka hota tha ... kuch point system tha 100 for 1 200 for two aise kuch ... par mast game tha...

  4. #44
    Quote Originally Posted by shwetadhaka View Post
    Ye kaun sa stunt filled game tha!:o
    aisa hi tha yeh game.. ek adhe ko chot lagna to mamuli bat thi.... kai dhakan chadne ke scene ko jyada realistic banane ke chakar maie itni acting karte the(kai to gobar bi kha jate the ) ki sach maie dar lagne lag jata tha ki kehi sachi maie dhakan to nai chadh gaye iske ...
    “Lead me, follow me or get out of my way”

  5. #45
    ek game aur tha ... 1 to 8 hurdles... need to cross all by throwing a small stone in that box and cross with one leg only... more in file attached
    Attached Thumbnails Attached Thumbnails Click image for larger version. 

Name:	untitled1.JPG 
Views:	31 
Size:	8.6 KB 
ID:	2463  

  6. #46
    Quote Originally Posted by mukeshkumar007 View Post
    aisa hi tha yeh game.. ek adhe ko chot lagna to mamuli bat thi.... kai dhakan chadne ke scene ko jyada realistic banane ke chakar maie itni acting karte the(kai to gobar bi kha jate the ) ki sach maie dar lagne lag jata tha ki kehi sachi maie dhakan to nai chadh gaye iske ...


    hahahahahahahahahahahahah
    heheheheheheheeheheh
    hahahahahahahhahahahah
    sahi hai bhidu....
    bahut gobar khaya hai ... hmmmm hahahahah
    kuch bhi ho bhai par game mast lag raha hai .... full of thrill ... hahahaa

  7. #47

    Smile

    Does anybody remember Pitthu ( in punjabi language ) or Satoliya ( rajasthani or haryanvi language )

    All the players were used to divide in two teams. Seven pieces of a pitcher's ruins or Stones piled up. We had a rubber ball to destroy it ...... and if opponet player standing accros the pile catches the ball after one dip, it's out. And if we destroy the structure ... opponent used to shoot us with the ball while we try to rebuild the structure. It they shoot us our term ended there and if we rebuild the structure before they shoot us with the ball ... we get another life i.e. term.. and so on.
    It's better to be alone than in a bad company.

  8. #48
    Quote Originally Posted by dkumars View Post
    ek game aur tha ... 1 to 8 hurdles... need to cross all by throwing a small stone in that box and cross with one leg only... more in file attached
    yes !! jyada ladkiya khelti thi is game ko..

    ek maardhadi bi bhot acha game tha..
    “Lead me, follow me or get out of my way”

  9. #49

    Thumbs up Stepu !

    Quote Originally Posted by dkumars View Post
    ek game aur tha ... 1 to 8 hurdles... need to cross all by throwing a small stone in that box and cross with one leg only... more in file attached
    STEPU !

    Usually played by girls.
    It's better to be alone than in a bad company.

  10. #50
    Quote Originally Posted by vijay View Post
    Does anybody remember Pitthu ( in punjabi language ) or Satoliya ( rajasthani or haryanvi language )

    [
    bhot khela hai yeh to...

    Ek game aur tha jisme.. do pathar le lete the phir kuch dori par faink dete the..dusra us pathar ko marne ki kosis karte the..agar pathar ke lag jati to jiska patha tha usko dusre ko peeth par baitha kar sawari karwani hoti thi

    kai bar samne wala jyda heavy weight hota tha to situation gadbad ho jati thi
    “Lead me, follow me or get out of my way”

  11. #51
    [quote=dkumars;158247]
    Quote Originally Posted by shwetadhaka View Post
    Ek aisi bhi thi par ab yaad nahi puri....... !

    Chandaa maama door ke
    khao pakoode bhoor ke
    ............................. !!

    Nice thread must say ! I just slipped years back! I also remeber playing those cute game like Poshampa !

    We used to sing something like this:

    "Poshampha bhai poshampha, laal kile me kya kiya.............. jail ki roti khaani padegi, jail ka paani peena padega ab to jail me jaana padega !"[/quote]



    hahahaha ... i enjoyed these lines... usually ladkiya khelti thi ye game... rite ???
    Ji nahi sab khelte the aur uske baad 'khichne waali' ladaai hoti matlab jo fas jaata tha usse puchte the ki kya chahiye (Dono poshampa khelne waalo ke do naam hote the, jisme se koi ek wo chunta tha) aur fir do teams ban jaati thi...... aur fir tug of war! Jaanbhoojkar girte rehte the sab:p

    aur kuch laal pari types game bi hota tha:o

  12. #52
    Kya baat hai :p
    Badle yaha mijaaj hai, kya alag andaaj hain
    Sab bachhe ikkhatte ho gaye yaha to

  13. #53
    Quote Originally Posted by mukeshkumar007 View Post
    aisa hi tha yeh game.. ek adhe ko chot lagna to mamuli bat thi.... kai dhakan chadne ke scene ko jyada realistic banane ke chakar maie itni acting karte the(kai to gobar bi kha jate the ) ki sach maie dar lagne lag jata tha ki kehi sachi maie dhakan to nai chadh gaye iske ...
    Baap re ye kya tha!!:p

  14. #54
    ganje re ganje teram taer
    hadh me sotta dagger gher
    dagger badgye baddhi me
    de ganje ke tadhi me
    ganje ko paya passa
    ja dekhaya maa ko
    maa ne marra dolla
    h......bhara khatola
    maa chali dhon
    ganja challa ronn........
    Last edited by vipin; January 4th, 2008 at 05:18 PM.

  15. #55
    chiti chadhi pahad par
    pee kar no(9) mann tail
    haathi ghoda liye bagal mein
    sar pei dharli rail

  16. #56
    Quote Originally Posted by mukeshkumar007 View Post
    bhot khela hai yeh to...

    Ek game aur tha jisme.. do pathar le lete the phir kuch dori par faink dete the..dusra us pathar ko marne ki kosis karte the..agar pathar ke lag jati to jiska patha tha usko dusre ko peeth par baitha kar sawari karwani hoti thi

    kai bar samne wala jyda heavy weight hota tha to situation gadbad ho jati thi
    Maanna padega aap kaafi ajeeb the bachpan me :o

  17. #57
    Email Verification Pending
    Login to view details.
    [quote=jitendershooda;155839]ha ha ha Deshwal ji isspe ek baat yaad aagi ... mhare gaam mein ek se LOTAN ... er uska bhai se BALJEET .... to hum us dadi ne chidaya karte ...

    LOTAN-LOTANI ka BYAH .... BALJEETA BHAT NYO
    HAHAHAAAA
    bhai mere bhi balakpan ki ek yad aagi...
    bhai mahare ghar dhore 3 bhai the mange. sultaan.or hajare
    ham bhe un ne chidaya karte..

    mange mang mang layav
    sultaan dolaki bajav
    hajare khada khada lakhav

  18. #58
    Do u all remember the game::o
    Poshampa bhai poshampa..Dakiyon ne kya kiya...100 rupaye ki ghadi churai.....aath aane ki kulfi khai....ab to jel main aana padega jel ki roti khani padegi.....jel ka paani peena padega.......
    very intresting game it was......

  19. #59
    ek game aur tha mast sa..! Kudkud Dhanda !

    isme 10-12 friend hote the.. aur number(dhaav) nikalte, jiska bi number ata uske liye ek dhanda door fainka jata tha..aur phir usko us dhande ko wapis lake paidh(Tree) ke pass rakhna hota tha, itne maie baki sare paidh par chadh jate the..... ..phir use sabi ka paidh par chadh ke follow karna hota tha.. wo jisko bi hath se touch karna hota tha..agar wo kisi ko pakde isse pehle koi paidh se niche utar kar us dhande ko utakar paidh ke mar kar "KudKud Dhanda" bol deta to usi ka number reh jata aur phir se usi ka number reh jata..aur agar usne pehle kisi ko pakad liya to uski jageh uska number aa jata aur phir se game restart ho jata tha..har koi puri kosis karta ki wo kisi ko bi touch nai kar paye..iss chakar maie paidh par achi kashi race ho jati thi.. agar koi adjoinin paidh aur hota tha tab to aur bi maja ata tha..sare ke sare is paidh se us paidh par bandro ki tareh bhagte rehte the...kabi kabi to bhot hi risky ho jata tha kyoki kai baar koi dhali bhot kamjor hoti to toot bi jati thi..

    ek bar hum yehi game khel rehe the..aur us time "Jai Hanuman" naam se DD1 par programm ata tha..gaam maie ek jane ke TV tha to sare dost ikhate hokar jate the dekhne..adha ghante pehle hi jakar baith jate the chok maie.. is programm ka sabi par acha influence tha..to hum yeh game khel rehe the aur maie paidh ke sabse upar jake baith gaya tha ki yeha kaun ayega mere hath lagane..lakin jisme number tha usne to mujhe hi target bana liya kyoki wo samaj gaya tha ki yeh yeha se age to ja nai payega aur kudh bi nai sakta niche kyoki height bhoot jyada thi..aur bhaishab meri taraf hi ane lag gaya...ab jab bachne ka koi rasta nai tha to niche dekha aur jor se JAI HANUMAN bol ke khud gaya....mujhe yaad hi nai reha ki maie jameen par niche kab gira..jab hosh aya to sare friend charo taraf khade the aur bol rehe the mukesh yar kyo kuda tu yeha se...sab ke sab dhare huwe the..maie apni yadast wapis la reha tha ki kya ho gaya..tab jab maine uthne ki kosis kari to puri body maie pain ho reha tha..left hand maie facture ho gaya tha..ek adh chot aur ayi thi idhar udhar..lakin aise game bhot popular the jab school maie padate the ab to kam hi khelte hai..gaavo maie to ab ek hi game khelte hai cricket!
    “Lead me, follow me or get out of my way”

  20. #60
    Here's one me and my sis used to sing in unison when my mama used to visit us:

    एक पेड़ पे दो बन्दर;
    चल भाई बेटा राजिंदर
    राजिंदर भाई राजिंदर
    छोटी पूंछ बड़ा बन्दर!

    No prizes for guessing who Rajinder was.

    PS: I'm really sorry if racially offended anyone. The usage of word बन्दर in the aforementioned poem is purely conincidental
    Gentlemen, you can't fight in here. This is the war room!

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •