Papa..main bahut thodi hun aapki,
aur bahut sari hun unki...
Jinka naam aapke office ke dost nh jante,
nhi janti sarkari files...
nhi janti meri teacher..
nhi jante mere frnds bhi...
Papa..main bahut thodi hun aapki,
aur bahut sari hun unki...
Jisne mujhe boond se pahaad tak dhoya,
Sehn ki asehniye peeda...
Aur mrrtyuu k liye rhi taiyaar
kevval aur kevval meri paidaaish k liye..
Papa..main bahut thodi hun aapki,
aur bahut sari hun unki...
Jinka naam mere gumm ho jane par sipaahi nh poochte,
Voh....hai meri maa...
Yakeenan meri maa...
Jo khud apne hone ko gumm rakhti h,
apne hi rache sansaar mein...
* * * * * * * * *
gyaan ki ganga h,
pyar ki jamuna h,
yadon ka gehna h,
bahon ka jhoola h,
aanchal ki chaya h,
mamta h,maya h,
Pta nh kaisi h..
Pta nh kya kya h..
Yeh meri maa h-
haan, yeh meri maa h
I luv u maa...