
Originally Posted by
skarmveer
bhaiyeo bhart mein itna sab hai dekhney key liyea kee aabhe to yahan hee sab nahi dekha gaya fir iskey baad kabhee mauka mila to bahar kee sochengey. Mein gaya hun:-
jammu & kashmir--- jammu (mata vaishno devi) kai baar, shreenagar 3 baar, pahagaon, gulmarg and khilanmarg bahut hee sunder tha kashmir.
himachal : Shimla, baddi and parvanu.
punjab: Amritsar ka sawarn mandir bahut sunder lagya, ludhiyana, jalundher, pathankot eavm patiyala meiney dekha hai.
Haryana lagbhag saarey sahar dekhey hai or chandigarh bhee dekhney layak sahar hai.
rajashtan --shree nath jee ka mandir nathdawara, salaser ka hanuman mandir, khatu ka shree shyam mandir, jhunjnu mein rani sati jee ka mandir, ajmer kee dargah or jaipur, udaipur, chittor, mount abu, jodhpur. Bikaner or jaislmer chhod ker lagbhag sara dekha hai.
gujrat : ahmdabad, baroda or surat dekha hai.
maharstra :mumbai, puna, nasik, nagpur or mahabaleshwer.
karnatka : Banglore or mysore.
tamilnadu:-chennai.
kerla :-chochin and aas-paas ke area, earnakulam.
andhera :-tirupati world richesttemple on tirumala hills, hyderabad and vijaywada.
mp : Ujjain (maha kal mandir) bahut hee sunder or dharmit sahar,
indore, ratlam, neemach and gawalior.
up : lagbhag sara utter pardesh mandiro ka perdesh sabhee tarah key log mathura or vrindavan, aaydhya, varanasi. Milijuli sanskri key perteek agra, luknow, aligarh, meerut, saharnpur(sakumbhari devi mandir) ityade yea hai mera grih perdesh.
utterakhand : Dherm sethli eavm paryatan kaa adbhut sangam, rurkee say haridawar(mansa devi eavm chande devi mandi, har kee paudi), rishekesh(laxman jhula eavm ram jhula, swarg ashram or sekdo mandir or aashram), narendernagar, chamba, utterkashi gangotri,
yamnotri, sreenagar, joshimath, auli, badrinath eavm kedarnath, masoori,
kempti, dhanolti, talataal, dehradoon, shastra dhara.
(dharmi or paryatn kee dristi say is perdesh ka koi mukabla nahi hai)
bihar : Patna ranchi eavm jamshedpur.
orrisa : Cuttak eavm bhubneshwer, puri jana chahta hun abhe tak nahi ja paya.
bengal : Kolkata pura sahar, kaalighat ka kaali mandir eavm dakhsineswar mandir, barah mahadev, viktoriya memorial etc.
assam : Guwahati ka kamakhya devi mandir or pura sahar.
Yea sab dekh hai per abhe bahut sara baake hai or kuchh yaad nahi aa raha hai.