Jinhe naaz hai Hind par wo kahan hai Kahan hai, kahan hai, kahan hai

Ye kooche ye nilaam ghar dilkashi ke
Ye lut-te huwe karvaan zindagi ke
Kahan hai, kahan hai muhafiz khudi ke
Jinhe naaz hai Hind par wo kahan hai

Kahan hai, kahan hai, kahan hai


Ye purpaich galiyan, ye badnaam bazaar

Ye gumnaam raahi, ye sikkon ki jhankaar

Ye ismat ke sauday, ye saudon pe taqraar

Jinhe naaz hai Hind par wo kahan hai

Kahan hai, kahan hai, kahan hai


Ye sadiyon se be-khauf sehmi si galiyaan

Ye masli hui adh-khili zard kaliyaan

Ye bikti hui khokli rang-raliyaan

Jinhe naaz hai Hind par wo kahan hai

Kahan hai, kahan hai, kahan hai


Wo ujle darichon mein payal ki chann chann

Thaki haari saanson pe tablay ki dhan dhan

Ye be-rooh kamron mein khaansi ki than than

Jinhe naaz hai Hind par wo kahan hai

Kahan hai, kahan hai, kahan hai


Ye phoolon ke gajre, ye peekon ke cheentay

Ye be-baak nazrein, ye gustaakh fitrein

Ye dhalke badan, aur ye beemar chehre
Jinhe naaz hai Hind par wo kahan hai

Kahan hai, kahan hai, kahan hai


Yahan peer bhi aa chuke hain, jawaan bhi

Tan-o-mand bete bhi, abba miya bhi

Ye biwi bhi hai, aur bahen bhi hai Maa bhi

Jinhe naaz hai Hind par wo kahan hai

Kahan hai, kahan hai, kahan hai


Madad chaahti hai ye Hawwa ki beti
Yashoda ki hum-jins, Radha ki beti
Payambar ki ummath, Zulekha ki beti
Jinhe naaz hai Hind par wo kahan hai

Kahan hai, kahan hai, kahan hai


Zara mulk ke rehbaron ko bulao

Ye kooche ye galiyaan ye manzar dikhao

Jinhe naaz hai hind par unko lao

Jinhe naaz hai Hind par wo kahan hai

Kahan hai, kahan hai, kahan hai



http://www.mastitube.com/music_video...kahan_hai.html