Yaar tune chhap to itna sab diya, par ek baat palle nahin padi. Tu start mein keh raha tha ki Indian is Indian, there is no RI or NRI. Aur fir end mein waapas wahi ki ko jahaan pe rehta hai woh wahin ka, India ka nahin. To sabse pehle to tu apna confusion clear karr le ki NRI Indian hain ki nahin. Aur fir apni understanding ko apne paas rakh. Kyunki tu Bharat ka passport ya PIO card nahin deta, jo dete hain, woh NRIs ko Indian maan ke bahut khush hain.
Aur teri objection kya hai? Aisa kya karr diya NRIs ne jisse desh ka nuksaan hua ho? Post #35 padh liyo jismain maine faayde bataaye hain. Apne mann se nahin banaaye. Reserve Bank of India ki site pe jaake dekh lena, NRIs ko kitni importance di jaati hai. As they are a crucial cog in the Indian economy.