Page 5 of 183 FirstFirst 1 2 3 4 5 6 7 8 9 15 55 105 ... LastLast
Results 81 to 100 of 3648

Thread: पी एम हो तो मोदी जैसा...........

  1. #81
    Quote Originally Posted by sanjeev1984 View Post
    Aisa kya different tha 2002 mai??? Jo us time ke news reader the ek saal baad sabne aaj apne news chennal ki dukan khol li hai... kahan se aaya itna paisa??? tab se hi to kama ruhe hongae??? humare saamne aaj aa ruha hai... 1965 or 71 mai to itne news chennal nahi the... desh to tab bhi ek saath khada tha... media ko credit kahan se chla gaya desh ko joodne ka??? or media ke kuch constructive acts (pata nahi koun se???) and unke sare distructive acts pe parda dal sakta hai... but kisi state ki 10 saal ki growth se wahan se 6 din ke riots ko nahi bhulaya ja sakta... vo bhi jisme common log hi culprit the or common log hi victim... badhiya vichar hain... but bhai itna negative hona accha nahi hota...

    Bhai maine kya padha hai or kya nahi is par aap kaise comment kar sakte ho... maine pehle bhi kahan hai... aap apni raye kuch jayada jaldi bana lete ho... thoda time lagaya karo.. do-chao alag angle se socha karo fir raye banaya karo kisi ke bare mai... maine gulberg society ke bare mai padha bhi hai or dekha bhi hai... 2002 mai gulberg mai riot huae... ek bar in sawalo ke jawab likh dekha (as aapne kafi detail mai padha hoga... or aap ko sara ghatna karam bhi yaad hoga...)
    1). riot to 2002 mai huae but jakia jafri ne first time modi ke aarop kab lagaya???
    2). modi pe aarop lagane se pehle alag-alag investigation teams ne kitni bar jaika jafri ka statement liya tha???
    3). jakia jafri ne ab tak kitni bar statement change kiya hai???
    4). jakia jafri ko modi pe aarop lagane mai itna time kyon lag gaya???
    5). CM office ke records main ehsaan jafri ki dialed ya incomming call record kyon nahi mila? mr jafri ke phone record mai bhi wahan ke local logo ke hi no mile (incomming and out going)??? ehsaan jafri telepathy se baat kar ruha tha kya modi se, jo ki baat bhi kar li or kahin koi record bhi nahi hai???
    6). kuch or bhi hai... but pehle bhai inke hi jawab de do....

    Bhai provoke karne ke liye age certificate ki jarurat hoti hai kya??? jo ye bol ruhe ho ki 70 saal ka aadmi kya provoke karega... mere dada ji 85 saal ke hain... teen din pehle mere dada ne mere chaha ke ladke ko provoke kar ke ek bechara rikhsha wala bihar pitwa diya... bhai provoke to koi bhai kar sakta hai... bas bolna hi to hai...

    Police Commissioner ka office 2 kilometre to kya agar gulberg society mai bhi hota... to 4500 log jinke pass hathyar hain, unke saamne Police Comm. kya karta... Again Vo bhi insaan hai Superman nahi hai bhai... or kitni baar bolu???... or agar vo police Comm wahin pe kafi sari force lagwa deta to kahin or jayada log mare jate... resources to limited hi hain jaisa ki maine pehle bola...

    Bhai punjab ne 80 mai jo dekha vo terrorism tha... usko aap north east ke nexals se ya kashmir ke terrorism se to cmpare kar sakte ho but 10-15 din ke riots ke saath compare karna theek nahi hai... ek mai cold blodded killers hain jo plan kar ke logo ko marte hain/maarte the... or doosri taraf provoked logo ke gusse ka eruption hai...
    Oh bhaii sanjeev ...... i read aal your posts .....
    u want a healthy debate .. but nobody else want teh same ..
    so koi fayda nahi h .. kitni baar likh l e..... kitne panne bhar le .. logan ke koi farak nahi padhna ..
    unke to chasme laag rahe h ... SICKULARISM aale .. jisa ek bhai ne kaha tha .....
    bas haar baat me 2002 ghusa de se ......
    1984 k bare me koi baat nahio karan chahta ....
    Kuch log moral grounds ki baat kar rahe h ........ par wo moral grounds sirf modi par lagu hote h GANDHI and bakiyon par lagu nahi hote .....
    so better to back off .....
    Navdeep Khatkar
    मिट्टी का तन, मस्ती का मन, क्षण भर जीवन, मेरा परिचय

  2. #82
    or har koi baat karta h .. ki itne muslim mare gaye .. utne mare gaye ...... kisi ne ya nahi kah ki itne hindu mare gaye .......

    Modi par ilzaam to tab lagate na jab pahel hinduon me muslims ko mara hota ......

    it was mere a reaction to the action .....

    or haan i criticize both .... but more criticism to the attack on hindus becaus that was planned avt which provoked the other section to retaliate ...


    PERIOD............
    Navdeep Khatkar
    मिट्टी का तन, मस्ती का मन, क्षण भर जीवन, मेरा परिचय

  3. The Following User Says Thank You to navdeepkhatkar For This Useful Post:

    cooljat (June 24th, 2012)

  4. #83
    make sense!

    Quote Originally Posted by sanjeev1984 View Post
    police starting se hi active hi... or aapko ye bhi maluum hoga ki humare yahan 50:1 ratio hai common man:police ka... or shayad ratio is-se bhi jayada ho... ab police walo itne bade area ko shaat rukhne ke liye time to lagega hi... vo bhi insaan hain... superman to nahi hain... taj ke 3 terrorist ko control karne main kitni sari mumbai police or NSG ke kitne commandos lage the, fir bhi 6 dim mai control kar paye the... gujarat mai to common aadmi hi terrorist bana hua tha chahe hindu ho ya muslim... (ab pls ye mat bolna ki taj te terrorist trained the is liye itne log or din lage... wahan trained the to retaliation force bhi jayada thi... yahan untrained the to rioters vs force ka ratio bhi jayada tha)

    bhai mai media ke pressure ke concept ko nahi maanta... ye media kya pressurize karegi kisi ko jo khud biki hui hai... aisi media kya pressure banayegi jo news kam sunate hain or humara entertainment jayada karte hain... kabhi to nazar surkash kavach sale karte hain, kabhi ek call kar ke ek face identify karne pe logo ko hazaro ka inaam dete hain, kabhi souna slim belt sale karte hain, kabhi to barkha dutt jaise log 2g spectrum mai involve huae dikhte hain... ye kya pressure karangae kisi ko... or agar media ke pressure jaisi cheez hoti to media ne wahan modi ko action lene ke liye jitna pressurize nahi kiya jitna aaj tak use resign karwane ke liye kiya hai.. agar modi media ka pressure maanta to na narmada dam banta... or modi kab ka pressure mai aa ke resign kar chuka hota... ye kaisa concept hai ki modi media ke pressure mai action to le leta hai but resign nahi karta...

    Ex-MP bhi insaan hi hai, superman to nahi hai... riots ke time mai jab, sab logon ke sur pe khoor sawar hai, or curfew jaisi halat hai... aise mai to ghar pe baithna hi samajhdari hai (chahe vo Ex-MP hindu ho ya muslim)... superhero ban ke public ko provoke karega to or kya ho sakta hai... jo hua vo theek to nahi hua but agar aise mahool main vo apne ghar mai ander hota to jayada safe hota... or agar itna hi patience sab mai hota to na riots hote... or na bechara Ex-MP mara jata...

    Bhai maine police ye nahi kahan ki police inefficient hai... maine kaha hai ki vo bhi insaan hain... unke bhi bacche hain.. or unko bhi marne se darr lagta hai... mere family and relatives mai kafi log police mai hain... ek unkle hain crime branch mai. thode senior hain... unki batai hui baat batata hu... ek bar unki team ko order mila tha...delhi ke ek kafi naami criminal ko uthane ka... unki sari team ko ye bhai pata tha ki vo criminal kis time pe, kitne logo ke saath, kahan aane wala hai... ek restro se uthana tha usko... sari team ko ye bhi pata tha ki uske pass kounse weapons hain or kitni ammunition hai... un unkle ki team ka ek inspector us goone ki table pe baith kar wapas aa gaya or bola sir kisi or ko bol do ye karne ke liye mai nahi kar sakta... to bhai mere kehne ka taatpariye ye hai ki support sher nahi banati... situation sher banati hai... i hero ka 50 criminals ko peetna sirf movies mai hi chalta hai... ground reality kuch or hi hoti hai... vo bhi ek situation thi ki kuch logo ne mil kar 80 log jinda jala diye... wahan ve sher ban gaye... or ye bhi ek situation thi ki fir logo ne mil kar, sher ban kar... kuch or log mar/jala diye... (kiya to dono ne galat... but sher kisi neta ki support ke karan nahi bane... sher bane to situation ke karan...) or jab police sher ban gai tab dono kism ke log aaram se baith gaye...

  5. #84
    Jaswant Singh - no way

    I would still vote for Modi


    Quote Originally Posted by swaich View Post
    Economy wali baat pe pehle hi bata chuka hun ki kai states Guj se aage hain. Same for health and social indicators.

    Aur beech mein Punjab or Haryana kahan se aa gaye?

    Baki, appka question "Ki agar Modi nahin to kaun?" valid hai. I like BJP as a party more than Congress jo ki sirf chamchagiri jante hain. If BJP comes to power they have a plethora of leaders to choose from. I think Jaswant Singh is a good enough guy. True aap keh sakte hain ki Mdi is a better leader, adminstrator etc. But Jaswant Singh isnt communal. He doesnt run away from interviews when asked about controversial topics. And he will have the honor of resigning if something like Godhra and Guj riots happened under his watch.

  6. #85
    shayad Sushma Swaraj bhi-

    but jassoo toh bilkul nahi


    Quote Originally Posted by rekha View Post
    Jaswant Singh - no way

    I would still vote for Modi

  7. #86
    ur facts make valid points here

    but phir ek some poice officer - koi Bhatt kar ke -
    how come he has accused Modi for nothing

    was that just some publicity stunt

    but whatever- the things u have said
    thnx for sharing as i was not aware of them

    all i was aware of the tragic stories of inhuman killing of muslims by hindus

    my brother said once to me regarding same " tu itni emotional ho rahi hai ki humne muslims ko mara- unki gals ko insult kiya ---- but think agar wahan par muslim population zyada hoti- toh kya woh humei chod dete- humari ladkiyon ki aarti utarte-
    I m not justifying what we have done was right- but simple logic hai- gussa tha n hum majority mei the- mumbai ke kitne riots me sabse zyada hindus ke aisee taisee huyee hai-
    tab tu emotional nahi huyee------this time isse media ne hype kiya n muslims are in so called minority isliye tu unke sath hai
    it was all act of anger - we being hindu do not hate muslims- but if soembody would be a threat to Hinduism- plz do not expect us to stay quite

    jab bhi riots hote hai-----innocent marte hi hai-

    not just us- but dono ko yeh samajhna chahiye

    ( i know he is kattar hindu - forget muslims he has even facts to prove christians are threat to us as well )



    Quote Originally Posted by sanjeev1984 View Post
    Aisa kya different tha 2002 mai??? Jo us time ke news reader the ek saal baad sabne aaj apne news chennal ki dukan khol li hai... kahan se aaya itna paisa??? tab se hi to kama ruhe hongae??? humare saamne aaj aa ruha hai... 1965 or 71 mai to itne news chennal nahi the... desh to tab bhi ek saath khada tha... media ko credit kahan se chla gaya desh ko joodne ka??? or media ke kuch constructive acts (pata nahi koun se???) and unke sare distructive acts pe parda dal sakta hai... but kisi state ki 10 saal ki growth se wahan se 6 din ke riots ko nahi bhulaya ja sakta... vo bhi jisme common log hi culprit the or common log hi victim... badhiya vichar hain... but bhai itna negative hona accha nahi hota...

    Bhai maine kya padha hai or kya nahi is par aap kaise comment kar sakte ho... maine pehle bhi kahan hai... aap apni raye kuch jayada jaldi bana lete ho... thoda time lagaya karo.. do-chao alag angle se socha karo fir raye banaya karo kisi ke bare mai... maine gulberg society ke bare mai padha bhi hai or dekha bhi hai... 2002 mai gulberg mai riot huae... ek bar in sawalo ke jawab likh dekha (as aapne kafi detail mai padha hoga... or aap ko sara ghatna karam bhi yaad hoga...)
    1). riot to 2002 mai huae but jakia jafri ne first time modi ke aarop kab lagaya???
    2). modi pe aarop lagane se pehle alag-alag investigation teams ne kitni bar jaika jafri ka statement liya tha???
    3). jakia jafri ne ab tak kitni bar statement change kiya hai???
    4). jakia jafri ko modi pe aarop lagane mai itna time kyon lag gaya???
    5). CM office ke records main ehsaan jafri ki dialed ya incomming call record kyon nahi mila? mr jafri ke phone record mai bhi wahan ke local logo ke hi no mile (incomming and out going)??? ehsaan jafri telepathy se baat kar ruha tha kya modi se, jo ki baat bhi kar li or kahin koi record bhi nahi hai???
    6). kuch or bhi hai... but pehle bhai inke hi jawab de do....

    Bhai provoke karne ke liye age certificate ki jarurat hoti hai kya??? jo ye bol ruhe ho ki 70 saal ka aadmi kya provoke karega... mere dada ji 85 saal ke hain... teen din pehle mere dada ne mere chaha ke ladke ko provoke kar ke ek bechara rikhsha wala bihar pitwa diya... bhai provoke to koi bhai kar sakta hai... bas bolna hi to hai...

    Police Commissioner ka office 2 kilometre to kya agar gulberg society mai bhi hota... to 4500 log jinke pass hathyar hain, unke saamne Police Comm. kya karta... Again Vo bhi insaan hai Superman nahi hai bhai... or kitni baar bolu???... or agar vo police Comm wahin pe kafi sari force lagwa deta to kahin or jayada log mare jate... resources to limited hi hain jaisa ki maine pehle bola...

    Bhai punjab ne 80 mai jo dekha vo terrorism tha... usko aap north east ke nexals se ya kashmir ke terrorism se to cmpare kar sakte ho but 10-15 din ke riots ke saath compare karna theek nahi hai... ek mai cold blodded killers hain jo plan kar ke logo ko marte hain/maarte the... or doosri taraf provoked logo ke gusse ka eruption hai...

  8. #87
    rekha ji, vo police officer hai sanjiv bhatt... or khud uske upar case chal ruha hai.. court mai forged proofs submit karne ka and false witness se court mai statements dilwane ka... us bhai ka kehna hai ki modi ne bola tha ki logo ka gussa nikalne do or jo log muslims ko maar ruhe hain unko maarne do... or vo ye bhi kehta hai ki vo us meeting mai present tha jahan(CM House mai) modi ne aisa order diya... ye sari controversy create karne ke picche uska kya maksad hai vo to mugjhe pata nahi... but isme kuch point gaur karne layak hain...
    1). Sanjiv Bhatt ke seniors or uska driver refuse kar chuke hain uski presence... Sanjiv Bhatt ke cell phone ke records bhi yahi batate hain ki vo meeting ke time modi ke ghar ke aas-pass bhi nahi tha. Or na hi uski entry CM House ki Entry-Exit log book mai hai... Us bhai ka pehla jhoot...
    2). 2002 mai riot hue or uske 8 saal ke baad, Bhatt Saab ne apni statement di media ke saamne!!! itne sensitive issue ko lekar itne din tak us bhai ne apni desh-bhakti ki bhavana ko pata nahi kahan sula rukha tha... uo achanak 7-8 saal ke baad ubhar aai...
    3). Aap ko kya lagta hai koi bhi officers (Sanjiv Bhatt or saath mai uske bahot sare senior, including Police Comm.) is type ke order verbal lega ya written mai??? or verbal ya written jo bhi ho... uske proper records hote hongae ya nahi???
    4). Or chlo maan bhi lo ki Modi ne aisa order diya bhi hai... tab agar Modi pe case banta hai or saza milti hai to mere hisaab se modi ko jitni saza mile us-se jayada us Sanjiv Bhatt ko saza milni chahiye... jisne aise dushkram mai modi ki baat maan kar, uska saath diya or itne dino tak aise sensitive issue ko daba kar rukhne ke liye... taki future mai koi or senior officer kisi neta ke pressure mai aa kar koi aisa galat kaam na kare...
    5). Ab sawal uthta hai vo aise aarop Modi pe kyon laga ruha hai... Kuch bhi ho sakta hai... chahe jo marji stutation mai Sanjiv Bhatt ko fir kar ke dekh lo... Sab ke do type ke hi result nikalte hain... (Result 1 : Modi=Clean, Sanjiv Bhatt=Guilty and Result 2 : Modi=Guilty, Sanjiv Bhatt=Guilty)
    Case A : modi ne aisa order nahi diya, sanjiv bhatt (was absent/present in meeting) accused him. (for misguiding the court)
    Case B : modi ne order diya, sanjiv bhatt (was absent/present in meeting) accused him. (for not concelaing the facts to the court for 8 years, and participating in the ill motives of modi)
    Case C : Modi ne jo bhi order diya ho, Sanjiv Bhatt (absent) accused him : (again misguiding the court and submitting the false documents to the court)
    Case D : Modi gave order, Sanjiv Bhatt asked for favour in terms of money or promotion, and kept quite for 7-8 years... Then, later Modi refused to give any money or promotions. For revenge Bhatt revealed everything. (Again he is culprit)

    Ab ek baat batao rekha ji... mai us insaan ki baat kaise maan lo jo har situation mai galat hai... kisi bhi insaan ko us Sanjiv Bhatt ki intentions pe shaq hoga...

    or ruhi baat sirf muslims ki tragic stories hi dekhne ki to aap to bad wahi dekhoge na jo aapko dikhaya jayega... or public ko dikhaya wahi jayega jiska media ko paisa milega!!! aap news pe last 1-1.5 month se President ko lekar darama dekh ruhe hogae... us cheez ko lekar itna bada drama khada kar diya ki kisi ne ab tak ye Sawaal nahi pooch ki hum apni is President Mrs. Partiba Patil ko re-elect kyon nahi kar sakte. Agar vo suitable candidate hai to!!! or agar nahi hai to last term mai kaise ban gai??? or vo agar suitable candidate nahi thi to usko president bana-ne walo ko kya saza mile... khair choodo ye ek alag topic hai... hum to modi ki baat kar ruhe hain...

    Rekha ji... koi kisi ke liye threat nahi hai... hum khud hi apne liye threat hain... Pehle to hume bachpan se ye nahi sikhaya jata ki hum kya hain or humara culture kya hai... fir baad mai baccho ko galat kaam karne par saza de dete hain... jis system ko education system bolte hain... or career development pe jayada focused hai, character development pe kam... yahan pe padha likha insaan jayada galat kaam karta hai or anpad kam... or secularism ka jhanda to kuch logon ne aise utnaha hua hai ki thode din mai ye naubat aa jayegi ki.. log mandir jane se darangae, ki kahin koi usko communal na bol de... ek taraf salman khursheed khulle aam muslim bhaio ke liye sub-quota ki demand karta hai to vo fir bhi secular hai... or main agar kahin gujarat ki development ka example bhi de du to log mugjhe communal declare kar dangae... abhi do din pehle hi nitish kumar ne modi ko communal bol kar khud ko secular sabit kar diya... ideology ka majak bana rukha hai...

    waise or logon ka to pata nahi.. but agar modi communal hota to main usko kabhi support nahi karta... but baki logon ke liye main koi comment nahi karounga... agar salman khursheed apni race/religion ke bare mai soch kar bhi secular hai to fir baki log agar modi ko pro-hindutava hone par support karte hain to isme bhi kuch galat nahi hai...


    Quote Originally Posted by rekha View Post
    ur facts make valid points here

    but phir ek some poice officer - koi Bhatt kar ke -
    how come he has accused Modi for nothing

    was that just some publicity stunt

    but whatever- the things u have said
    thnx for sharing as i was not aware of them

    all i was aware of the tragic stories of inhuman killing of muslims by hindus

    my brother said once to me regarding same " tu itni emotional ho rahi hai ki humne muslims ko mara- unki gals ko insult kiya ---- but think agar wahan par muslim population zyada hoti- toh kya woh humei chod dete- humari ladkiyon ki aarti utarte-
    I m not justifying what we have done was right- but simple logic hai- gussa tha n hum majority mei the- mumbai ke kitne riots me sabse zyada hindus ke aisee taisee huyee hai-
    tab tu emotional nahi huyee------this time isse media ne hype kiya n muslims are in so called minority isliye tu unke sath hai
    it was all act of anger - we being hindu do not hate muslims- but if soembody would be a threat to Hinduism- plz do not expect us to stay quite

    jab bhi riots hote hai-----innocent marte hi hai-

    not just us- but dono ko yeh samajhna chahiye

    ( i know he is kattar hindu - forget muslims he has even facts to prove christians are threat to us as well )

  9. The Following 3 Users Say Thank You to sanjeev1984 For This Useful Post:

    bazardparveen (June 24th, 2012), rsdalal (July 24th, 2012), vikda (June 25th, 2012)

  10. #88
    Quote Originally Posted by swaich View Post
    Bhai, there were planned attacks in which administration and police helped or abetted the mobs. Various indepdendent journalists, NGOs and witnesses have confirmed this. Aap Gujarat riots ke wiki page of padh le or uske neeche refrenced sources ko bhi. Aap ko kaafi kuch clear ho jayega. Here' an extract -





    Now how can such level of state complicity be possible without the approval of Modi?

    And do watch the documentary on the riots 'The Final Solution'.
    bhai eek meri baat ka bhi jawab dee dee naa....mullla nee train kyo jalai?thats wat i wana know..wasnt that planned by katwas...

  11. The Following 4 Users Say Thank You to cutejaatsandeep For This Useful Post:

    navdeepkhatkar (June 25th, 2012), puneetlakra (July 26th, 2012), RTEWATIA (June 24th, 2012), satyenderdeswal (June 25th, 2012)

  12. #89
    Quote Originally Posted by cutejaatsandeep View Post
    bhai eek meri baat ka bhi jawab dee dee naa....mullla nee train kyo jalai?thats wat i wana know..wasnt that planned by katwas...



    hahahahah jab tuje yhi nhi pata ki ye sab hua kyun to is thread main kya kar rhe ho








    Narender Modi:- Narender modi and Police act like as hilter with Gujarat muslim people . He disrespected some Muslim people at the front of media. Some bloody muslim want to take revenge thats why they messed with hindu.

    Thats only big reason

  13. #90
    please bhai... mai ab aap ke comments se irritate hona suru ho gaya hu... ye itne baseless, faltu or vahiyat comments hote hain ki mugjhe digvijay singh ki yaad aa jati hai... or aapke comments padh kar ye reflect hota hai ki, aapne sirf is liye likhte ho ki kuch to likhna hi tha to ye likh diya...

    kya hai ye "Narender modi and Police act like as hilter with Gujarat muslim people . He disrespected some Muslim people at the front of media. Some bloody muslim want to take revenge thats why they messed with hindu."... freedom of speech mere hisaab se, fundamental right kam hai but duty and responsibility jayada hai... ek amankadian, ek digvijay singh, ek lalu, ek rakhi sawant or ek india tv... kya bolte hain, bas ye khud hi samajh sakte hain... please bhai, spare us... healthy debate chal ruha hai... please don't spoil this...

    Quote Originally Posted by amankadian View Post
    hahahahah jab tuje yhi nhi pata ki ye sab hua kyun to is thread main kya kar rhe ho








    Narender Modi:- Narender modi and Police act like as hilter with Gujarat muslim people . He disrespected some Muslim people at the front of media. Some bloody muslim want to take revenge thats why they messed with hindu.

    Thats only big reason
    Last edited by sanjeev1984; June 24th, 2012 at 11:00 PM.

  14. The Following 2 Users Say Thank You to sanjeev1984 For This Useful Post:

    rajpaldular (April 8th, 2013), vikda (June 25th, 2012)

  15. #91
    i have majority of friends who are communal types- main reason they give terrorism n all that

    n i reply them "

    " just becoz every terrorist happens to be muslim that does not mean every muslim is terrorist "




    Quote Originally Posted by cutejaatsandeep View Post
    bhai eek meri baat ka bhi jawab dee dee naa....mullla nee train kyo jalai?thats wat i wana know..wasnt that planned by katwas...

  16. #92
    hmmmmmmmmmmmmmm


    may be he has not said soemthing coz he was under pressure from CM or something like that

    again that is just assumption of mine !


    i kinda agree with whatever u said - as u have all the facts

    actually i m confused what Modi did or what not ???????????????

    but one thing sure-
    agar woh galat hota toh- aaj gujarat yahan nahi hota



    Quote Originally Posted by sanjeev1984 View Post
    rekha ji, vo police officer hai sanjiv bhatt... or khud uske upar case chal ruha hai.. court mai forged proofs submit karne ka and false witness se court mai statements dilwane ka... us bhai ka kehna hai ki modi ne bola tha ki logo ka gussa nikalne do or jo log muslims ko maar ruhe hain unko maarne do... or vo ye bhi kehta hai ki vo us meeting mai present tha jahan(CM House mai) modi ne aisa order diya... ye sari controversy create karne ke picche uska kya maksad hai vo to mugjhe pata nahi... but isme kuch point gaur karne layak hain...
    1). Sanjiv Bhatt ke seniors or uska driver refuse kar chuke hain uski presence... Sanjiv Bhatt ke cell phone ke records bhi yahi batate hain ki vo meeting ke time modi ke ghar ke aas-pass bhi nahi tha. Or na hi uski entry CM House ki Entry-Exit log book mai hai... Us bhai ka pehla jhoot...
    2). 2002 mai riot hue or uske 8 saal ke baad, Bhatt Saab ne apni statement di media ke saamne!!! itne sensitive issue ko lekar itne din tak us bhai ne apni desh-bhakti ki bhavana ko pata nahi kahan sula rukha tha... uo achanak 7-8 saal ke baad ubhar aai...
    3). Aap ko kya lagta hai koi bhi officers (Sanjiv Bhatt or saath mai uske bahot sare senior, including Police Comm.) is type ke order verbal lega ya written mai??? or verbal ya written jo bhi ho... uske proper records hote hongae ya nahi???
    4). Or chlo maan bhi lo ki Modi ne aisa order diya bhi hai... tab agar Modi pe case banta hai or saza milti hai to mere hisaab se modi ko jitni saza mile us-se jayada us Sanjiv Bhatt ko saza milni chahiye... jisne aise dushkram mai modi ki baat maan kar, uska saath diya or itne dino tak aise sensitive issue ko daba kar rukhne ke liye... taki future mai koi or senior officer kisi neta ke pressure mai aa kar koi aisa galat kaam na kare...
    5). Ab sawal uthta hai vo aise aarop Modi pe kyon laga ruha hai... Kuch bhi ho sakta hai... chahe jo marji stutation mai Sanjiv Bhatt ko fir kar ke dekh lo... Sab ke do type ke hi result nikalte hain... (Result 1 : Modi=Clean, Sanjiv Bhatt=Guilty and Result 2 : Modi=Guilty, Sanjiv Bhatt=Guilty)
    Case A : modi ne aisa order nahi diya, sanjiv bhatt (was absent/present in meeting) accused him. (for misguiding the court)
    Case B : modi ne order diya, sanjiv bhatt (was absent/present in meeting) accused him. (for not concelaing the facts to the court for 8 years, and participating in the ill motives of modi)
    Case C : Modi ne jo bhi order diya ho, Sanjiv Bhatt (absent) accused him : (again misguiding the court and submitting the false documents to the court)
    Case D : Modi gave order, Sanjiv Bhatt asked for favour in terms of money or promotion, and kept quite for 7-8 years... Then, later Modi refused to give any money or promotions. For revenge Bhatt revealed everything. (Again he is culprit)

    Ab ek baat batao rekha ji... mai us insaan ki baat kaise maan lo jo har situation mai galat hai... kisi bhi insaan ko us Sanjiv Bhatt ki intentions pe shaq hoga...

    or ruhi baat sirf muslims ki tragic stories hi dekhne ki to aap to bad wahi dekhoge na jo aapko dikhaya jayega... or public ko dikhaya wahi jayega jiska media ko paisa milega!!! aap news pe last 1-1.5 month se President ko lekar darama dekh ruhe hogae... us cheez ko lekar itna bada drama khada kar diya ki kisi ne ab tak ye Sawaal nahi pooch ki hum apni is President Mrs. Partiba Patil ko re-elect kyon nahi kar sakte. Agar vo suitable candidate hai to!!! or agar nahi hai to last term mai kaise ban gai??? or vo agar suitable candidate nahi thi to usko president bana-ne walo ko kya saza mile... khair choodo ye ek alag topic hai... hum to modi ki baat kar ruhe hain...

    Rekha ji... koi kisi ke liye threat nahi hai... hum khud hi apne liye threat hain... Pehle to hume bachpan se ye nahi sikhaya jata ki hum kya hain or humara culture kya hai... fir baad mai baccho ko galat kaam karne par saza de dete hain... jis system ko education system bolte hain... or career development pe jayada focused hai, character development pe kam... yahan pe padha likha insaan jayada galat kaam karta hai or anpad kam... or secularism ka jhanda to kuch logon ne aise utnaha hua hai ki thode din mai ye naubat aa jayegi ki.. log mandir jane se darangae, ki kahin koi usko communal na bol de... ek taraf salman khursheed khulle aam muslim bhaio ke liye sub-quota ki demand karta hai to vo fir bhi secular hai... or main agar kahin gujarat ki development ka example bhi de du to log mugjhe communal declare kar dangae... abhi do din pehle hi nitish kumar ne modi ko communal bol kar khud ko secular sabit kar diya... ideology ka majak bana rukha hai...

    waise or logon ka to pata nahi.. but agar modi communal hota to main usko kabhi support nahi karta... but baki logon ke liye main koi comment nahi karounga... agar salman khursheed apni race/religion ke bare mai soch kar bhi secular hai to fir baki log agar modi ko pro-hindutava hone par support karte hain to isme bhi kuch galat nahi hai...

  17. #93
    even i can sense u being annoyed

    out of curiosity-
    how come u have got so much facts reagrding Modi n all
    were u in gujarat at that time


    plz yar yeh mat bolna- u r so Aware of everything- b'coz i haven't seen much of ur posts on any other topic

    just Modi-------
    r u a hard core fan of Modi?

    admire mei bhi karti hoon usse -
    specially when my brother told me about his personal life-

    but hard core fan -----hmmmmm


    plz bhai do not take it other wise - bas aisee ho poocha

    itna sensitive koi tabhi ho sakta hai- jab usne yeh sab dekha ho

    aur accused- uske sage wala ho

    sorry agar mei zyada bol gayee hoo toh



    Quote Originally Posted by sanjeev1984 View Post
    please bhai... mai ab aap ke comments se irritate hona suru ho gaya hu... ye itne baseless, faltu or vahiyat comments hote hain ki mugjhe digvijay singh ki yaad aa jati hai... or aapke comments padh kar ye reflect hota hai ki, aapne sirf is liye likhte ho ki kuch to likhna hi tha to ye likh diya...

    kya hai ye "Narender modi and Police act like as hilter with Gujarat muslim people . He disrespected some Muslim people at the front of media. Some bloody muslim want to take revenge thats why they messed with hindu."... freedom of speech mere hisaab se, fundamental right kam hai but duty and responsibility jayada hai... ek amankadian, ek digvijay singh, ek lalu, ek rakhi sawant or ek india tv... kya bolte hain, bas ye khud hi samajh sakte hain... please bhai, spare us... healthy debate chal ruha hai... please don't spoil this...

  18. #94
    Sanjeev's posts make lot of sense whereas there are some others who are unnecessarily punishing their keyboards!!

  19. The Following User Says Thank You to vikda For This Useful Post:

    navdeepkhatkar (June 25th, 2012)

  20. #95
    [QUOTE=amankadian;308916

    Narender Modi:- Narender modi and Police act like as hilter with Gujarat muslim people . He disrespected some Muslim people at the front of media. Some bloody muslim want to take revenge thats why they messed with hindu.

    Thats only big reason[/QUOTE]

    Dekh bhaii Aman ....... bhaut ho li terio bakwas ..... tere reply h wahiyat ....
    abhi tak tu baat kar raha tah ki hinduoon ne ye kiya wo kiya .. itne musal maan mare .... or and band ...

    ab aapne jo reason diya h .... for killing so many hindus .. wo us se bhi wahiyaat h ....
    isk amatlab ye h ki koi kisi ki indult kare to uski community par planned attack kar do .....

    or agar dusri community us planned attack ka reply kare to .. aap Modi ko communal kaho ..... hats off to u man ...
    Navdeep Khatkar
    मिट्टी का तन, मस्ती का मन, क्षण भर जीवन, मेरा परिचय

  21. #96
    Quote Originally Posted by vikda View Post
    Sanjeev's posts make lot of sense whereas there are some others who are unnecessarily punishing their keyboards!!
    Bilkul sahi baat dahiya saab .... Kai jane to aade sookha Thook bilon laag rahe h ..... for the sake of posting ... they are posting anything ...
    Navdeep Khatkar
    मिट्टी का तन, मस्ती का मन, क्षण भर जीवन, मेरा परिचय

  22. #97
    rekha ji as i already said... in any case we will end up at only two results which are (Result 1 : Modi=Clean, Sanjiv Bhatt=Guilty and Result 2 : Modi=Guilty, Sanjiv Bhatt=Guilty)

    agar modi ke pressure mai aa kar Sanjiv Bhatt ne pehle 7-8 saal kuch nahi bola... or ab usme desh-bhakti jaag uthi hai...

    pehli baat to ye hai ki agar vo kisi communal neta ke pressure se chup ruha to galat kiya... koi IPS agar kisi neta ke pressure main chup reh kar, koi galat kaam me saath deta hai to.. mere hisaab se.. us neta pe peace and harmony spoil karne ka charge lagana chahiye or us IPS officer ke upar sediction ka charge laga kar... fasi deni chahiye...

    or pressure ab kahan chla gaya??? tab to modi sirf ek CM tha... uske favour mai sirf gujarati log the... centre against tha, media against tha, gujarat ke bahar ki public against thi, kisi court se koi clean chit nahi mili thi, tab to modi development ke naam pe bhi logo ko apne favour mai nahi kar sakta tha(as 2002 tak kuch significant nahi kar paya tha, thoda time hua tha CM bane huae)... modi ki poole kholne ke liye vo sahi time tha ya uske 7-8 saal baad... jab modi or jaya strong ho gaya, gujarat ke bahar bhi log appriciate karne lage, usko PM candidate ka option samajhne lage... tab to mere hisaab se pressure or jayada hona chhiye tha... but Sanjiv Bhatt ne tab hi courage dikhai...

    Or ye wahi Sanjiv Bhatt hai jo ek bar Times Channel pe interview dene gaya tha... Anchor ne ek sawaal poocha "Aap yahan ek Congress ke ek leader ka cell or car le kar aaye ho???" (waise to koi kisi ki bhai gadi mai ja sakta hai, but cell phone!!!) Bhatt saab ke pass pehle to jawab nahi tha fir bola "mai ye better communication ke liye laya hu"... He he he he.. Better communication ke liye cell fone, vo bhi kisi opposition party ke leader ka, or TV pe interview dete time. Dont you find something fishy in this??? Any way...

    Rekha ji confuse hone ki jarurat nahi hai... modi ne 2002 mai jo bhi kiya ho, uske liye Supreme Court ne SIT appoint kar rukhi hai, investigale karne ke liye... And we have Supreme Court for judging his acts, we are no one to judge... Let Supreme Court do its job...

    Or Mai Modi ko uske pro hindu hone ya development ke liye appriciate nahi karta... Mai use appriciate karta hu Judicial System ko respect de kar, sab investigations ke liye co-operate karne ke liye... And that is how we should see it...


    Quote Originally Posted by rekha View Post
    hmmmmmmmmmmmmmm


    may be he has not said soemthing coz he was under pressure from CM or something like that

    again that is just assumption of mine !


    i kinda agree with whatever u said - as u have all the facts

    actually i m confused what Modi did or what not ???????????????

    but one thing sure-
    agar woh galat hota toh- aaj gujarat yahan nahi hota

  23. The Following User Says Thank You to sanjeev1984 For This Useful Post:

    rekhasmriti (June 25th, 2012)

  24. #98
    hahahhahahaahah


    well n that category includes ?????????????????????//




    Quote Originally Posted by navdeepkhatkar View Post
    Bilkul sahi baat dahiya saab .... Kai jane to aade sookha Thook bilon laag rahe h ..... for the sake of posting ... they are posting anything ...

  25. #99
    Quote Originally Posted by rekha View Post
    hahahhahahaahah


    well n that category includes ?????????????????????//
    kyu baar baar naam likhvaoo ho .. Refer my earlier posts
    Navdeep Khatkar
    मिट्टी का तन, मस्ती का मन, क्षण भर जीवन, मेरा परिचय

  26. #100


    rekha ji... dont feel sorry for anything... aapne koi galat sawal nahi poocha...

    mai 2002 mai to wahan nahi tha bhut 2004 mai jab mera campus placement hua L&T mai, to mugjhe wahan jane ka chance mila... wahan riots huae the, plague faila tha, earthquake aaya tha or floods to aate hi rehte hain... meri sari family mere wahan jane se against thi... but i want to experience a hostel life, away from family... gujarat ke liye mugjhe negative feeling jayada thi positive kam thi...

    modi mera koi saga nahi hai, ki koi usko accuse karega to mugjhe problem hogi... mugjhe to tab bhi problem hoti hai jab log biased tarike se humare Khap System ko ulta seedha bolte hain... or tab bhi problem hoti hai jab kuch talibani log afganistan ke ek school ke khane/pani mai zehar mila kar 100 se jayada ladkiyon or teachers ko maar dete hain... mugjhe to tab bhi problem hoti hai jab UN mai india ka videsh mantri kisi doosre desh ki speech padh deta hai... or mugjhe to tab bhi problem hoti hai jab BJP ke bhai log, Inflation ke against bharat bandh karte hain, jis se common man hi harrass hota hai (though i support BJP too) .... or mugjhe to tab bhi problem hoti hai, jab 1984 and uske alawa or bahot sare riots ki baat karte hi congress muh fer leti hai... mai agar baki topic pe nahi likha to iska matlab ye to nahi ki mai or kisi issue ke bare mai aware nahi hu...

    rekha ji mai fir se bolta hu, hum democratic log hai... or democracy mai criticism to accha hai but allegation theek nahi hai... 2002 main ya to mera ek bhi saga nahi mara tha... ya fir jitne bhi log mare the... chahe train mai, chahe riots mai ya fir police firing mai... sab mere sage the...

    India ko modi ki jarurat hai. or ye hume maan lena chahiye... Aaj india mai youth population kafi jayada hai... bahot sare log, kafi hardwork kar ruhe hain or kama ruhe hain... but fir bhi india ki collaborative growth bahot kam hai, infact population ke hisaab se kafi kam hai... india ko ek aise leader ki jarurat hai jo itne sare youth ke budda (old) hone se pehle, India ke youth human resources ko efficiently manage kare, busy rukhe, kaam generate kar sake... or india ke resources ko itna conserve kar sake ki, jab ye youth budda ho jaye (jab khane wale muh jayada ho or kamane wale haath kam) to us time pe bhi india selfdependent reh kar sustain kar sake... or tab amir khan ye uska beta, satayamev jayate ke ek episode mai "Behaviour with Seinor Citizens" ke topic pe lecture de ruhe hongae... agar ye congress and media (divert and divide theory ko lekar) aise hi lage ruhe to aane wala time India ke liye bahot mushkil bhara ho sakta hai.. jiski strating waise to abhi ho chuki hai...

    Modi ko agar koi fasi pe chada bhi de to koi farak nahi padega... But truth is that, at this point of time "Modi don't need India, India needs Modi"

    Quote Originally Posted by rekha View Post
    even i can sense u being annoyed

    out of curiosity-
    how come u have got so much facts reagrding Modi n all
    were u in gujarat at that time


    plz yar yeh mat bolna- u r so Aware of everything- b'coz i haven't seen much of ur posts on any other topic

    just Modi-------
    r u a hard core fan of Modi?

    admire mei bhi karti hoon usse -
    specially when my brother told me about his personal life-

    but hard core fan -----hmmmmm


    plz bhai do not take it other wise - bas aisee ho poocha

    itna sensitive koi tabhi ho sakta hai- jab usne yeh sab dekha ho

    aur accused- uske sage wala ho

    sorry agar mei zyada bol gayee hoo toh

  27. The Following User Says Thank You to sanjeev1984 For This Useful Post:

    rajpaldular (April 8th, 2013)

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •