Results 1 to 13 of 13

Thread: best shayri

  1. #1

    best shayri

    Khush Khush Dikhaai Deta Hai Par Andar Se Lachaar Kyun HaiChota Sa Ghar,Chota Sa Aangan,Beech Mein Deewar Kyun HaiZamaane Ki Khabar To Rehti Hai Par Apno Ka Kuch Pata NahiKabhi Maa Ke Paas Bhi Baith,Sirf Puch Mat Ke'Maa Beemar Kyun Hai'Yaaden Kayi Bachpan Ki Juudi Hui Hain Mere Uss Ghar Se..!!!Kaash Woh Pal Phir Laut Aaye,Zindagi Ki Aaisi Raftaar Kyun HaiBadhti Umar Ke Saath Har Cheez Badalti Hai,Itni Khabar Hai MujhePar Main Sochta Hoon,Jahaan Pyaar Tha Aaj Wahaan Karobaar Kyun HaiSuuna Hai LogoN Ne Itni Tariqi Ki Ke Jungle Ko Shehar MeN Badal DiyaPar Inn Hi LogoN Ke HaathoN Mein PhooloN Ki Jagah Aaj Talwaar Kyun HaiBichad Kar Apno Se Mujhe Yakeen Hai Ke Woh Bhi Khush Nahi...!!!Main Aaj Puchta Hoon Uss Se...'Main Iss Paar Aur Tu Uss Paar Kyun Hai'."RAJ"Do Roti Kam Mile Par Izzat Ki Zindagi Jee Sake Hum..!!!Jab Rabb Saath Ho,To Kal Ki Fiqr MeN Hum Sab Aaj Bezaar Kyun Hai
    Last edited by solanki123; June 21st, 2014 at 03:39 PM.

  2. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  3. #2

    Maine Auron Se Suna Hai Ke* Pareshaan Hoon Main...

    Apne Haalaat Ka Khud Ehsaas Nahi Hai Mujh Ko,Maine Auron Se Suna Hai Ke* Pareshaan Hoon Main...Chehre Pe Shikanj,AankhoN Mein Ek Tufaan Sa ThaJab Mila Mujh Se Woh Shakhs,Kuch Pareshaan Sa ThaTamaam Raunake Maujood Thi Par Phir Bhi Dil UdaasYuh Mehsoos Hua Jaise KhushiyoN Se Woh Anjaan Sa ThaNaa Jaane Kya Soch Kar Woh Rishton Ko Nibhaata RahaDuniya Jisse Kahe Pyaar,Uss Ke Liye Woh Ehsaan Sa ThaTujhe Khabar Nahi Shayad,Tujhe Dekh Koi Muskuraata HaiBin Tere..Saans Leta* Woh Shakhs Bhi Be-Jaan Sa ThaChup Reh Kar MushkiloN Ka Saamna Karta Hua Woh ShakhsPuchne Par Kehta Raha "Zindagi Ka Har Mod Asaan Sa Tha"Naa Jaane Kyun Khud Ko Tanhai Ke Shehar Mein Basaata RahaNaye Rang Apnana Seekho,Yuh Jeena To Jaise Bas Nuksaan Sa ThaKisi Ke Dil MeN Ghar Kar Sako To Zaroor Karo "Raj"Tere Baad Tujhe Yaad Kar Kahe Log "Raj" Accha Insaan Sa Tha

  4. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  5. #3

    Main Hi Apne Aap Ka Sabse Bada Dost Aur Dushman Hooon..!!!

    Ghazab Ka Pyar Tha Uss Ki Udaas Ankhon MeiN......Gumaan Tak Na Hua Ke Woh Bicharrne Wala Hai.....!!!Sach Kahoon To Tujhe Paane Ki Koi Chaahat Nahi RahiYuh Samajh Lo Tooth Kar Bikharne Ki Taaqat Nahi RahiMumkin Hai Duniya Ke Bheed meN Hum Mil Jaaye Kaheen Par Ab Woh Sukoon,Woh Tadap,Woh 'Ek' Raahat Nahi RahiMohabbat Ho To Dil Se Ho Aur Umar Bhar Ke Liye Ho.!!Jahaan Mohabbat Ho Wahaan Phir Kadwaahat Nahi RahiMain LogoN Ke Mutaabiq Kabhi Nazar Aa Hi Nahi Sakta..!!Be-Wajeh Muskuraane Ki Mujh MeN Ab Koi Aadat Nahi RahiMain Hi Apne Aap Ka Sabse Bada Dost Aur Dushman Hooon..!!!Mujhe Zamaane MeN Kisi Se Bhi Koi Bhagawaat Nahi RahiMain Tere Intezar MeN Baith Jaata Har Pal Ke Liye..!!!!Mujh Tak Pahunch Sake,Tere KadmoN MeN Woh Aahat Nahi RahiBadalte Daur Ne Hum Sab Ko Bhi Badal Kar Rakh Diya "Raj"Muskurate To Hum Sab HaiN Par Chehre Pe Khil-khilaahat Nahi Rahi
    Last edited by solanki123; June 21st, 2014 at 06:01 PM.

  6. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  7. #4

    Aashiqui Mein Zaruri Hai Waqt-Bewaqt, Chot Pe Chot Khaana Bhi

    Mujhe Aaj Bhi Yaad hai Mohabbat meN Woh Ruthna Aur Manana Bhi Mere Do Pal Ki Judai MeiN Teri AankhoN Se Ashq Bahaana BhiMain Bhi Qaid Hoon Teri Hi Yaadon Mein Ayye Mere Humdum..!!Bin Tere Mere Saath Chalta Hai Mere Hisse ka Veerana BhiKabhi Tere KhayaaloN Se Muskurata Hun To Kabhi Ro Deta Hun Aashiqui Mein Zaruri Hai Waqt-Bewaqt,Chot Pe Chot Khaana BhiTeri AankhoN MeN Meri Duniya Basti Hai,InheN Nam Na Kiya Karo Inn AankhoN MeN Woh Nasha Hai Ke Doob Jaaye Koi Maikhaana BhiZindagi MeN Kuch RishteN Ehsaas Ke Dam Par Bhi Jee Lete HaiN Woh Mohabbat,Mohabbat Nahee Gar Zaruri Ho Humesha Paas Aana Bhi Taqdeer meN Jo Likha Hai Hona Waheen Hai To Afsos Kis Baat Ka..!!Kabhi Dekho Shama Ke Liye Aaj Tak Jal Jaata Hai Parwaana BhiTumhare Hisse Ka Har Ek Gham Kaash Tum Mere Hawaale Kar Do..!!"Raj" Ko Bahut Aziz Hai Tere Saath Tera Muskuraana Bhi
    Last edited by solanki123; June 24th, 2014 at 02:23 PM.

  8. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  9. #5

    Kabhi Taye Naa Kar Saka Ke Kya Rishta Hai Tera-Mera

    Jo Ujar Gaya Woh Basa Nahi, Jo Bichar Gaya Woh Mila Nahi.....Sab Kuch Hai Paas Mere Phir Bhi Ek Kami Reh GayiMain Muskura Raha Tha Aur AankhoN MeN Nami Reh GayiKabhi Taye Naa Kar Saka Ke Kya Rishta Hai Tera-MeraTu Anmol Hai Mere Liye, Meri Hi Keemat Lagi Reh GayiHar Baar Tujh Se Mil Kar Yuh Bichande Ka Darr KyunKya Yeh Judaai Taqdeer Mein Mere Hi Likhi Reh GayiBe-Ikhtiyaar Uthe HaiN Mere Kadam Yahaan-Wahaan..!!!Meri Manzil Meri Hi NazroN Se Kaheen Chuppi Reh GayiYeh Kuch Panne Aaj Bhi PhooloN Ki Tarah Mehakte HaiNTera Naam Ki Siyaahi Inn PannoN MeN Jo Basii Reh GayiChand Ki Judaai MeN Aasman Bhi Zaroor Tadapta HogaBaat Uss ke Dil Ki, Dil MeN Hi Kaheen Dabii Reh GayiKya Bataaun Kisi Ko,Kaise SamjhaauN Kisi Ko..!!!!!Tu Jaaye To Meri NazreiN Tujhe Hi Dekhti Reh Gayi"Raj" Tujhe Kabhi Alwida Naa Keh Paayega..!!!!Yeh Kehte Waqt Saansein Meri,Jaise Rukhi Reh GayiSab Kuch Hai Paas Mere,Phir Bhi Ek Kami Reh Gayi...........

  10. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  11. #6

    zindagi ki kitaab jo khuli zara si thi

    Ek Daur Tha Jab Kaagaz Ki KashtiyoN MeN Sawaari Ka Shauq Tha Aaj Yeh ShikayateN HaiN Ke Kaheen Koi Kinara Nahi Milta..!!!!Uss Raah Se Bhi Chal Diye Hum,Jahaan Roshni Zara Si ThiKhul Ke Has Bhi Na SakeN,Inn AankhoN MeN Nami Zara Si Thi Waqt Ne Majboor Kiya Hai Har Ek Shakhs Ko Kisi Raah ParDekhte-Dekhte Woh Bhi Bichad Gaya Jis Se Doori Zara Si Thi Yuh To Saaye Ki Tarah Saath Rehne Ke Daawe Karte HaiN Log Par Koi Saath Naa Chal Saka Jab Raah MeN Dhoop Mili Zara Si ThiRehnuma Kho Bhi Jaaye To Kya ManzileN Khud Awaaz Deti HaiN.Har Muqaam Se Guzar Gaye Hum,Par Kuch Apno Ki Kami Zara Si Thi Ab Aaena Dekhoon To Apna Chehra Bhi Be-Rang Sa Nazar Aata Hai Har Ek Panna Padh Liya Humne,Zindagi Ki Kitaab Jo Khuli Zara Si Thi Kabhi Muud Kar Vaapas Naa Dekhne Ki Kasam Khaayi Thi"Raj"Yeh Ho Na Saka,Waheen Tham Gaye Hum,Uski Awaaz Jo Aayi Zara Si Thi

  12. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  13. #7

    chandd paiso ki khatir ghar se nikal gaye hum

    Taqdeer Ne Jaise Chaaha,Waise Dhal Gaye Hum Kabhi Giire To Kabhi Khud Sambhal Gaye Hum

    Kaun Chaahta Hai Apno Se Bichadd Kar Jeena Chandd Paiso Ki Khaatir Ghar Se Nikal Gaye Hum

    Aaj Sab Kuch Hai Paas Mere Phir Bhi Dil Udaas Hai ZaroorateiN Poori Karne MeN Khud Bhi Badal Gaye Hum

    Khwaab MeN Aaj Ek Bicchre Hue Dost Se Mulaaqat Hui Naa Puch Meri Khushi Ka Manzar,Neend MeN Uchal Gaye Hum

    Woh Ek Waqt Tha Jab Kisi Ko Rota Dekh Hairaan Reh Jaate The Ab Samaj Aaya 'Jazbaat' Kya HaiN,Mom Ki Tarah Pighal Gaye Hum

    Apno Se Bichadd Kar Jeena Kya Hota Hai Pucho Kisi Pardesi Se... "Raj" Roshni Ke Liye Ek Diya Ban,Khushi Se Jal Gaye Hum

  14. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  15. #8

    Gar wo mera dost hai to....

    HaqeeqatoN Ko Badalna To Kisi Ke Bas MeN Nahi
    Phir Zamaana Chaahe Jo Kisse Mere Banaaya Kare

    Gar Woh Mera Dost Hai To Apnapan KaheeN Nazar Bhi Aaye
    Dushman Hai To Dushmani Chaahe Khul Kar Dikhaaya Kare

    Jo Katta Woh Ek Darakht To Samjho Ek Ghar Ka Hua
    Hara-Bhara Rahe To Hazaaro Ke Sar Par Saaya Kare

    KhushiyoN Ke LamhoN Ko Jo Yaad Naa Kar Sako To Theek..!!!
    Par Gham Ke PaloN Ko Bhi Phir Dil Se Apne Bhoolaya Kare

    Ab Marasim Mere Uss Se Kuch Bhi Baaqi Nahi,
    Jaanta Hoon Main Gale Naa Mil Sako Naa Sahee
    Par Haath To Woh Milaaya Kare

    "Raj" Tha Mujhe Maalum,
    Woh Mehfil MeN Baithe HaiN Kaheen
    Kaash Aisa Ho Main Awaaz Doon To Woh Saamne Mere Aaya Kare

  16. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  17. #9

    ये दुनिया है, दुनियादारी का मज़ा लेती है !

    कभी हौंसला बढ़ाती है, तो कभी रोक लेती है,
    ये दुनिया है,
    दुनियादारी का मज़ा लेती है !!
    अपने पुराने भरे जख्मों का मरहम भूल कर,
    मेरे एक गलत नुस्ख़े की सज़ा देती है !!
    सब का अपना-अपना नज़रिया होता है यहां ,
    चेहरों की चमक से अक्सर,
    नज़र दग़ा देती है!!
    ऐसा हुनर,
    कि आग कभी बुझने नहीं देती,
    वो अंगारे राख में,
    बस दबा देती है !!
    हर एक तक़लीफ़ का यहां शर्तिया इलाज है,"राज"
    यही दर्द देती है,
    फिर यही दवा देती है !!
    अपनी मुश्किलों का सबब मिले इसे या न मिले,
    मुफ्त में , ये दूसरों को सलाह देती है !!...
    ये दुनिया है,
    दुनियादारी का मज़ा लेती है!!
    Last edited by solanki123; July 2nd, 2014 at 11:42 AM.

  18. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  19. #10

    Tajurbon ko kamaate jaoo

    Inn AankhoN Ko Apni Tasveer Dikhaate Jaao
    Alwida Kehna Hai Keh Do Par Muskuraate Jaao

    Yeh PalkeiN Sirf Bhigone Ke Liye Nahi HaiN..!!!
    Naye Rang Bharo,
    Niit Naye Khwaab Sajaate Jaao

    Zindagi Ko Jeene Ke Liye Yeh Ek Hunar Zaruri Hai
    Apno MeN Faasle Ho To Inn FaasloN Ko Mitaate Jaao

    Main Kehta Hoon Apne Dil MeN Kaheen Basa Lo Mujhko
    Naa-Mumkin Hi Sahee Par Khwaab Koi Aisa Jagaate Jaao

    Main Jaanta Hoon BulandiyoN Ko Chuuna Asaan Nahi..!!!
    ManzileN Bahut Door Ho To Kya,
    TajurboN Ko Kamaate Jaao

    Muskurate Khwaab,
    Phoolon Ka Chaman,
    Tumhe Sab Naseeb Ho Meri Iss Dua MeN,
    Tum Bhi Bas Haath Apne Uthaate Jaao

  20. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  21. #11

    wo bhi kuch pal apne bachon k saath bitaana chahta tha

    Yeh Kaisa Rishta Woh Nibhaana Chaahta Tha...!!kareeb Reh Kar Ek Din Bhool Jaana Chaahta ThaUskee AankhoN MeN Khud Ko Naa Paa Sake Hum..!!!Woh Bicchad Jaane Ka Koi Bahaana Chaahta ThaHar Ek Ne Baant Ne Ke Liye, Usse Apne Gham DiyeN..!!Koi Pucche Uss Se ,Woh Bhi To Muskuraana Chaahta Tha Nazuk Se KandhoN Par ZimedariyoN Ka Bhoj Uthata Raha Ek Parinde Ki Tarah Tha Woh, Jo Kabhi Apna Aashiyana Chahta ThaYuh Daudhta Raha, Jaise Uss Ne Kabhi Thamna Seekha Hi NahiWoh Bhi Kuch Pal Apne BachoN ke Saath Bithaana Chaahta Tha Woh Ek Daur Jab Makaan Kachhe Thye Par Pakki Neend Sote The Sab Aaj Makaan Pakke HaiN,Neend Kacchi Insan Sab Kuch Jo Paana Chaahta Tha"Raj" Sab Kuch Paa Kar Bhi Kuch Khaalipan Sa Kyun Mehsoos Hota Hai Dil Waheen Saadgi Waheen Bachpan Waheen Guzra Hua Zamaana Chaahta Tha

  22. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  23. #12

    Milna Hai To Milo Dil Se Par Adakaari Nahi Karni

    Milna Hai To Milo Dil Se Par Adakaari Nahi Karni
    Yahaan Sab Ek Hai,
    Kisi Ki Tarafdaari Nahi Karni
    Kisi Mazloom Ko Daboch Kar Kya Haasil Hoga Humein.!!!
    Rula Kar Kisi Ko ,
    Apni KhushiyoN Ki Khareedari Nahi karni
    Main Ghar MeN Sabse Bada Hoon,
    Meri Kuch Zimmedariyan HaiN
    Yeh 'Ghar" Hai Mera,
    Isse Kabhi Chaar-Deewaari Nahi karni
    Gar Koi Galat Hai To Zaroor Kaho usse,
    Yehi Behtar Hai..!!
    Par Itna Khayal Rahe,
    Aisi BaateN Darbaari Nahi Karni
    Badi Asaani Se Toot Jaate HaiN Rishte Aaj Ke Daur MeN
    Jahaan Zaroorat Naa Ho,
    Wahaan Phir Sardaari Nahi Karni
    Kisi Gareeb Ke Mooh MeN Niwaala Ho To Sab Theek Hai..!!
    Gareeb Ko Rota Dekh,
    Mujhe Bhi Ab Yeh Aftaari Nahi Karni..
    Main Aam Insaan Hoon, Siyaasi Muamlo Se Door Rehta Hoon.!!
    Sukoon Ki Neend Sona Chahta Hoon,
    Yeh Maara-Maari Nahi Karni
    Main Dariya Hoon, Meri Kamzori Aur Hunar Main Jaanta HooN
    Mujhe Dariya Hi Rehne Do,
    Samundar Se Rishtedaari Nahi Karni
    Kisi Ko Daad Dena Ho Dil Se Do,
    LafzoN Se Do To Bahut Khooob
    'AakdoN' Se Jod Kar "Raj" Ki Shayari Ko Bazaari Nahi Karni

  24. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

  25. #13

    per ye bhi soch Tera likha koi lafz kisi ko chubha to nahi hai

    Rakhte Hai'n Jo Aurou'n Ke Liye Pyaar Ka JazbaWoh Log Kabhii Toot Kar Bikhra Nahi'n Karte..!!Sab Hai Tere Saath Tu Kisi Haal MeN Tanha To Nahi Hai Bas Itna Khayaal Rakh, Koi Tujh Se Rootha To Nahi HaiKisi Ko Rota Dekh Kar Tu Bhi Ro De,Yeh Hi Insaniyat Hai..!!Teri Zarurat Ho Usse, Aur Haath Tera Usse Choota To Nahi Hai Aao Hum Apne Buzurgo Se 'Mil-Jhulkar Rehne" Ke Maayne Samjhe Teri Badaulat Ashq Ka Katra AankhoN Se Kisi Ke Behta To Nahi HaiMumkin Nahi Ke Har Ek Rishta Zinda Rahe Umar Bhar Ke Liye Par Dekh Dil Kisi Ka Teri Wajeh Se Tootha To Nahi HaiKal Ek Faqeer Ko Do Roti Ke Liye Tarasta Dekha Maine..!!! Zara Soch, Kisi Gareeb Ka Haq Tuune Kabhi Loota To Nahi Hai"Raj" Yuh Likh Ke Tere Alfaaz Mehakte Rahe Umar Bhar..!!Par Yeh Bhi Soch Tera Likha Koi Lafz Kisi Ko Chuuba To Nahi Hai

  26. The Following User Says Thank You to solanki123 For This Useful Post:

    SALURAM (September 26th, 2017)

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •