Page 13 of 13 FirstFirst ... 3 9 10 11 12 13
Results 241 to 245 of 245

Thread: Shayri-e-Sharab

  1. #241
    N jeene waalon ki kashti me sawaar the
    Tere kaaran duniya ne kashti se utaar diya

    Mere saath hone se, logo ne tumse sawaal kiye
    Jawabbo ke waaste tune zindagi se nikaal diya

    Har taraf gam me jeene waale hi nazar aaye
    Unki basati me humne in kadamo ko utaar diya

    N peete the to har khushi me aansoo aate the
    Ab, is peene ne to har gam me hansna sikha diya

    Jeene waalon se jeena sikha tha
    Ab peene waalon ne peena sikha diya

  2. #242

    Thumbs up

    Quote Originally Posted by cheelu View Post
    N jeene waalon ki kashti me sawaar the
    Tere kaaran duniya ne kashti se utaar diya

    Mere saath hone se, logo ne tumse sawaal kiye
    Jawabbo ke waaste tune zindagi se nikaal diya

    Har taraf gam me jeene waale hi nazar aaye
    Unki basati me humne in kadamo ko utaar diya

    N peete the to har khushi me aansoo aate the
    Ab, is peene ne to har gam me hansna sikha diya

    Jeene waalon se jeena sikha tha
    Ab peene waalon ne peena sikha diya
    Ye zindagi jo ab tak thi andhere mein
    Aaj tere pyar ne aake isko sanwaar diya

    Ek ehsaas jo dil mein rahta tha hardum
    Teri mohabbat ki chahhat ne aaj ubhar diya

    Es dil ke ander dard tha teri hi mohabbat ka
    Tumhare dard ko humne seene mein uttar diya

    Ek mohabbat thi jo humne teri zindagi pe war di
    Har paimaana humne teri tamanna mein waar diya
    It's better to be alone than in a bad company.

  3. #243
    Quote Originally Posted by vijay View Post
    Ye zindagi jo ab tak thi andhere mein
    Aaj tere pyar ne aake isko sanwaar diya

    Ek ehsaas jo dil mein rahta tha hardum
    Teri mohabbat ki chahhat ne aaj ubhar diya

    Es dil ke ander dard tha teri hi mohabbat ka
    Tumhare dard ko humne seene mein uttar diya

    Ek mohabbat thi jo humne teri zindagi pe war di
    Har paimaana humne teri tamanna mein waar diya
    Is dosti ke pyaar ko mohabbat n kehna
    jo kare ye wada use is dosti ka sansaar diya


    khushi me itni peeya karte hain hum sada
    ke gam ne bhi khushiyon ka daman swikaar kiya

    sirf humne akele kabhi koi dard saha hi nahi
    har us dost ko bata ek gam unpe udaar kiya

    jis jahan me ko dosti aur chahat se dekha
    usi jahan ne maikhane me hume utaar diya
    Last edited by cheelu; August 18th, 2006 at 08:14 AM.

  4. #244
    Kya Jarorrat saki kee kya kam paimane se
    salamat rahe "unki" ankhe matlab kya hame mykhane se

  5. #245
    Na tujhe chorr sakte hain... tere ho bhi nahi sakte
    Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte...


    Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai ...
    Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahin sakte...


    Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
    Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte.....


    Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin
    Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte......


    Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab toh....
    Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte...

    pretty senti i guess much unlike me but tas the ongoing theme i suppose

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •