Results 1 to 7 of 7

Thread: !!!Bachpan!!!!

  1. #1

    !!!Bachpan!!!!

    !!!Bachpan!!!

    Bachpan ke dukh kitne ache hote they
    Tab to sirf khilone toota karte they
    Woh khushiyan bhi kaisi khushiyan thin
    Titli ke parr noach kar uchaala karte they
    Paaon maar kar khud baarish ke paani mein
    Apni kashti aap dooboya karte they
    Ab sochein to choat si parti hai dil par
    Aap bana kar, aap gharonde tora karte they
    Daana daal kar chirya ko pakra karte they
    Apne jall jaane ka bhi ehsaas na tha
    Jalte huwe sholon ko chera karte they
    Khushboo ke urtey hi, kyun murjhaya phool
    Kitne bhole pan se poocha karte they
    Aaj wohi tabeerein lahoo rulaati hain
    Bachpan mein jo sapney dekha karte they
    Ab tau ek aansoo bhi ruswaa kar jata hai
    Bachpan mein jee bhar ke roya karte they....
    “Lead me, follow me or get out of my way”

  2. #2
    Excellent Young Bro!!!

    Keep It Up!!

  3. #3
    Email Verification Pending
    Login to view details.
    bhai bahut badhiy alikha.
    appreciate ur effort.
    likhte rehna.

    Abhimanyu
    every single day makes me strong!

  4. #4
    keep it up dear.
    i appreciate your effort.
    khuda yeh dil se soch kar likhne ke kala bhi sab ko nahi deta mera bhai
    Ranbir Singh Sheoran
    Rresearch Scholar (Ph.D. Mechanical Engineering)
    DCRUST Murthal, Sonepat, Haryana

    E-mail: ranbirsheoran@gmail.com
    Contact no.:
    +91 9813043366,
    +91 9812312052




  5. #5
    Excellent, Mukesh dear.
    JAT - Justice And Truth

  6. #6
    well do0ne mukes and well said too..
    gr8 work done keep it up...
    manjeet

  7. #7
    Email Verification Pending
    Login to view details.

    Wink

    well written mukesh bhai...

    itne din ke baad kavita lekhe or such much bachpan ki yaado ko hela ke rakh diya...........


    ____Deepak Dahiya____
    *****Jai Mata Di*****

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •